You are on page 1of 39

SAYYEDA-E-KAINAT

QURAN KI NIGAH ME
(SALAMULLAHI ALAIHA)

In Roman Urdu/Roman Hindi

Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri


www.facebook.com/DrQadriBooks
Ye Kitab dar-asal Shaykh-ul-Islam Dr. Muhammad Tahir-
ul-Qadri ka ek mashoor bayan hai jisko humne type
karke book banaya hai taake sabko faida pahunch sake.
Agar bahot gehrayi me jakar dekhen aur un mukamat ka bhi jaiza len
Quran-e-Majid me jahan Sayyeda-e-Kainat ka Zikr aur Ahle Bayt-e-Athar ka
zikr bil-waasta aaya hai, to un Aayat-e-Karima ki aur Mukamat ki taedaad
badh jaegi, magar bil-waasta ka zikr ko chodkar sirf un mukamat-e-Qurani par
iktefa kare jahan Sayyeda-e-Kainat Sayyeda Fatima tuz-Zahra RadiAllahu
Ta'ala Anha Salamullahi Alaiha aur Ahle Bayt-e-Nabuwwat (Salawatullah
Alaihim) ka zikr baraahe-raast aaya hai to wo mukamat Quran-e-Majid me 5
hain jahan Sayyeda-e-Kainat ka zikr hua hai. Aur unme se baaz mukamat me
Unka zikr sunke aapko khushgawar hairat bhi hogi kyunki us reference me
shayad Unka zikr kabhi nahi aaya ho. Aur maine is mauzu isliye muntakhab
kiya ke ek alamiya ummat-e-muslima ki taarikh me hai, ke ummat tafrika me
mubtila hogayi. Tafrika ke piche taarikhi awamil hain magar badkismati
sochon me inteha pasandi jab aati hai to bahot saare hakaik bhi nazaron se
oojhal hojate hain. Inteha pasandi/extremism/conservatism ye chizen bahot
saare facts aur realities ko oojhal kardete hain aur insan tassub ki bheet
chadke unka inkar karne lagta hai aur ye amal dono taraf hota hai, jab do
dhaare inteha ki taraf badhne lagte hain, ek dusre ke opposite, to dono simton
me tassub haqaiq ke idrak se dono simton me jaane wale logon ko maazur
karta chala jata hai. Aur Allah Rabbul Izzat is ummat ko ahle ilm ko aam ko
khawas ko har ek ko tassub ki lanat se mehfooz rakhe. Isliye is ummat ki jo
shaan hai wo Ummatan Wasatan hai, is ummat ko itedaal waali ummat kaha
hai inteha pasand ummat nahi kaha.
Lihaza jab Khilafat-e-Raashida ka waqt khatam hua, to usi daur me
Sayyedina Ali al-Murtaza RadiAllahu Anhu ke daur-e-Khilafat me aur ye
khilafat-e-Raashida ka period tha, Damaishq me ek mutawaazi hukumat ka
aylan kardiya gaya tha aur us hukumat ne Aapki Bayt nahi ki aur Aapki Itata'at
baja na laayi, to mutawazi hukumat ban gayi. Har chand ke bila-ikhtelaaf wa
bila-niza, muttafaqa taur par jo hukumat mabni bar haq thi wo Khilafat-e-
Raashida thi, aur wo Sayyeduna Ali al-Murtaza (Alaihissalam) ki hukumat thi.
Magar 2 mutawazi hukumat ke ban jaane se ek natural effect hai ke sochon
ke dhaare bhi banne lage fir unke muwafiqeen wa haami bhi paida hone lagte
hain aur haashiya bardar bhi janam lete hain aur fir disputes bhi hue ikhtelaf
bhi hue jange bhi hui, har mumkin koshish hui ke puri ummat amr-e-haq par
yaani khilafat-e-Raashida par mujtame hojaye. Magar na hosaka.
Aaqa Alaihissalam ki bisharat thi
"Al-Khilafatu Ba'adi Salasuna Sana"
"Khilafat-e-Raashida Mere Baad 30 saal tak rahegi."
Ye Hadees hai aur bahot se Aaimma-e-Hadees aur Ulama-e-Hadees ne
shawahid aur tawabeh ke saath is Hadees ki taaid ki hai. 30 baras mukammal
hote hain Sayyeduna Imam Hasan-e-Mujtaba Alaihissalam ke 6 Mahine ki
khilafat par. Ye period 30 baras ka hai, fir ummat me wahadat paida karne ke
liye Unhone withdraw kiya, aur ek bahot bade azeem isaar ki qurbani ki aur
wahadat-e-ummat ke khatir ek bahor bada Kaabil-e-Taqlid namuna aur misaal
pesh ki. Iski Bisharat bhi Aaqa Alaihiwalatu was-Salaam ne di thi. Sihah Sitta
me Ahadaees-e-Sahiha hain. Imam Hasan-e-Mujtaba Chote Bache they to
Aaqa Alaihiswalatu was-salam ne Unki taraf ishara karke farmaya: "Ye Mera
Beta Hasan Sayyed Hai aur Ye Meri Ummat ke 2 bahot bade girohon ke
darmiyan sulah karaega."
2 Hadees relevant hain, ek farmaya 2 bahot bade girohon ke darmiyan
musalehat karaega yaani Ummat ke 2 dhaaron ko yak ja Karega. Muttafaq
Alaih Hadees hai aur bahot se turk aur asaneed ke saath ye Hadees aayi hai
ke Aaqa Alaihiswalatu was-Salaam ne un 2 girohon ko bhi define kiya ke honge
to isi ummat me se magar mutayyan kardiya ke unme se ek giroh baagi hoga.
Wo is tarah mutayyan kiya ke Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu Huzoor
Alaihiswalatu was-Salaam ki Khidmat me baithe they aur Aaqa Alaihissalam
Unhe khitab karte hain ke Ammar! Tum ek baagi giroh ke haath se Shaheed
kiye jaoge. Aur jab jange siffin hui to Aap Sayyeduna Ali Alaihissalam ke
lashkar me they aur dusra giroh hukumat-e-damishq ka jinhone Sayyeduna
Ali al-Murtaza ki Hukumat kabool nahi ki thi unke haathon aap shaheed hue.
Ye kasrat ke saath tamam sihah Sitta ki kitabon me kasrat-e-turk ke sath ye
Hadees-e-Sahih aayi hai. Ye Hadees 50 se zyada Aaimaa-e-Hadees ne riwayat
kiya hai. Hazrat Ammar RadiAllahu Anhu us jang me shaheed hue, wo Hazrat
Ali (KarramAllahu Wajhahu) ke lashkar me they aur dusre giroh ke haathon
shaheed hue. Aaqa Alaihissalam ne ye bisharat bhi waajeh taur pe farma di
wo giroh Khilafat-e-Rashida ka baagi giroh hoga. Aur dono ke liye farmaya ke
honge musalman, "Meri Ummat me Se." Dono me se koi kafir nahi kehlayega,
na kisiko kehne ki ijazat hogi, jo kafir kahega kisi ek ko wo goya Farman-e-
Nabawi (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ka munkir hai. Chunke Aaqa
Alaihissalam ne ek bisharat ye di aur dusri bisharat ye di ke Mera Beta Hasan
(Alaihissalam) 2 Musalman bade girohon ke darmiyan sulah karaega. Haq par
kaun hoga, galati par kaun hoga, iski bhi sarahat kardi aur 2 musalman girohon
me wahdat paida karne ka amal, ummat par itna bada ehsan Mera Beta Hasan
karega iski bhi sarahat kardi.
To iske tarikhi aur mantaki nataij hone they, to natija ye hua ke jab
Khilafat-e-Rashida khatm hui to banu umaiyya ka jo daur-e-hukumat guzra,
takriban 90 saal, usme aam khatib aur aam maulvi us daur ke, aur unke
hukmaran, unke bache, unke officers, gali kunchon me aur jagah jagah
Sayyeduna Maula Ali al-Murtaza (KarramAllahu Wajhahul Kareem) ke khilaf
zuban darazi karneka rujhaan paida hogaya tha. Aur is wajah se Ahle Bayt-e-
Athar ke khilaf bugz aammatun naas ke zehno me paida hone lagi. To natija
ye hua jab ek taraf ye amal shuru hua to dusri taraf iska radde amal hua, yaani
wo giroh jo apne aapko Shian-e-Ali kehta tha (yaani khudko Hazrat Ali
Alaihissalam ke saathi kehte they), wo bhi extreme ki taraf jaane lage, aur isse
faida uthaya Banu Abbas ne. Hazrat Ali (Alaihissalam) aur Ahle Bayt ki
muhabbat se faida uthakar banu Abbas ultimately iktedar par aaye aur banu
umaiyya se intekam liya. Lekin jab wo iktedar par aaye to banu Abbas ne bhi
fir Ahle Bayt ke Aaimma-e-Athar ko apne liye challenge samjha, to natija ye
hua banu Abbas jo Ahle Bayt ki Muhabbat ka naara lagakar aur banu umaiyya
se intekam lekar iktedar me aaye, jab kursi sambhal li to wo khud sabse bade
dushman ban gaye Ahle Bayt ke. Unhone ne samjha ke awaam Ahle Bayt se
Muhabbat karti hai, Sachhe Ulema, Masha-ikh bhi Ahle Bayt se Muhabbat
karte they. Imam-e-Aazam Abu Hanifa, Ahle Bayt me jo Imam uthta tha Haq
ka alam uthakar, Imam-e-Aazam Abu Hanifa hazarhaan dinaar har Ahle Bayt
ke Imam ko Unki Tehreek ki madat ke liye bhejte they. Imam Maalik support
karte they, Imam Shafei support karte they. Logon ne Imam Shafei par rafzi
aur shia hone ka ilzam laga diya. Yaani ye ek muhim chala di gayi ke jo Ahle
Bayt se muhabbat kare, Aaimma-e-Ahle Bayt ki pairavi kare, Unka Naam le,
uspar tashaiyyo ka (shiyiyat ka) ilzam laga diya jata. Hatta ke Imam Nasai jo
Aaimma-e-Sihah Sitta me se hain aur Sunan-e-Nasai ke Muallif hain, unhone
Sayyeduna Ali al-Murtaza ki Shaan me Hadees ki kitab likhi "Khasais-e-Ali" aur
Damishq ke mimbar pe wo kitab padhi, kharjiyon ne iski saza me Unko
Shaheed kardiya. Itna jado-kop kiya (maara) ke wo kareeb-e-wafaat ja
pahunche. Unhone farmaya ke qabl iske ke mai mar jau ab mere charpaayi ko
fauri Makka pahuncha do taake meri rooh wahan kafase unsari se wahan
jaake parwaz kare. To unko legaye aur Safa-Marwa ke bich pahunchte he
Unka Wisaal hogaya, Shaheed hogaye.
Jab Imam Nasai ne Sayyeduna Ali Alaihissalam ki Shaan me likhi Hadees
ki kitab kharjiyo ke samne padhi to kharjiyo ne kaha aisi fazilate aur
manqabate jo aapne Hazrat Ali ki sunayi hain aisi fazilate hame Hazrat Ameer
Muawiya ki bhi sunaye. Imam Nasai ne farmaya mai Imam-e-Hadees hun, jo
Manaqib aur Fazail jis tarah ke liye Hazrat Ali ke liye Huzoor Alaihissalam ne
bayan farmaye waise Hazrat Muawiya ke liye nahi hain, wo mai kaise aur kaha
se sunau? Is baat par kharji hamlawar hue aur unko shaheed kardiya.
Ye to maine ek waqiya bayan kiya is tarah ki puri taarikh hai, banu Abbas
ne chun chunkar Aaimma-e-Ahle Bayt ko Shaheed kiya. Banu umaiyya ne ek
Marqa-e-Karbala bapa kiya tha aur banu Abbas ne bhi kai Aaimma-e-Athar
Ahle Bayt jo Shaheed kardiya. Jinke naam par banu Abbas iktedar par aaye
they Unhi ko Shaheed karte rahe, kyunki iktedar par aakar wo na haq ki baat
sunna chahte they na karna chahte they. Jo bhi Imam Kalima-e-Haq buland
karta, chahe Ahle Bayt ke Aaimma me se ho, Aaimma-e-Hadees me se ho,
Aaimma-e-Fiqh me se ho, Aaimma-e-Wilayat me se ho, Aaimma-e-Tasawwuf
me se ho ya Aaimma-e-Shariyat me se ho, jo bhi Kalima-e-Haq buland
karegaAhle iktedar usko apna dushman samjhte (illa MashaAllah).
Iski wajah se Ahle Bayt ka naam leneki ijazat nahi hoti thi kisiko. Jab ye
daur aage badhta chala gaya to is daur me fir jo zehan paraganda hochuke
they, to surat-e-haal ban gayi ke Ahle Sunnat me se koi shakhs agar Ahle Bayt
ka Naam kasrat se le, Sayyeda Fatima tuz-Zahra (Salamullahi Alaiha) ka Zikr
kasrat se kare, Sayyeduna Maula Ali al-Murtaza (Alaihissalam) ka Zikr kasrat
se kare, Ahle Bayt ki Muhabbat ki baat kare, to ye samjha jata hai ke is shakhs
me shiyiyat hai. Aisa tasawwur kharjiyat hai! Agar Ahle Bayt ki Baat sunkar
agar tabiyat me ghutan aajaye, pareshani aajaye (uncomfortable mehsus ho),
tabiyat pasand na kare, dilme farhat na ho, to aisa shakhs samajhle ke wo
munafiq hai, Allah ne usko Imaan se mehroom kardiya hai. AHLE BAYT KI
MUHABBAT IMAAN HAI AUR AHLE BAYT SE BUGZ NIFAQ AUR KUFR HAI.
Ye wajah hai jab dhaare bangaye Sunni aur Shia, to takseem hogaye, ab
Ahle Sunnat ka matlab MaazAllah ye hai ke wo sirf Sahaba-e-Kiram ki baat
karenge aur Ahle Bayt ki kum karenge, is tarah Ahle sunnat me Ahle Bayt ke
baareme wo kuch panapne nahi diya gaye jo Ahle Bayt ka haq tha, jo Aqida-
e-Ahle Sunnat ka buniyadi hissa tha. Isi tarrah Ahle Tashaiyyo (shia) ke yahan
galat riwayat ghad ghadkar Sahaba-e-Kiram aur Khulafa-e-Rashideen ki khilaf
failayi gayi, taaki unke andar Sahaba-e-Kiram aur Khulafa-e-Rashideen ki
nafrat paida ho. Idhar Ahle Bayt-e-Athar ka Muqaam kum ho aur tarah 2
dhade ban jaaye.
Lihaza Khulafa-e-Rashideen aur Sahaba-e-Kiram se nafrat aur dushmani
bhi sari gumrahi hai aur apne aapko Imaan ki daulat se mehroom karneke
mutaradif hai, aur Ahle Bayt ki Muhabbat se mehroomi bhi gumrahi aur Imaan
se meghroom hojana hai.
Isilie maine chaha ke aaj ye mauzu ka intekhaab karu taaki ispar Quran-
e-Majid ki roshani me aur Aaimma-e-Ahle sunnat aur Aaimma-e-Hadees aur
Aaimma-e-Tafseer hain unhone jo us par tasreef ki hai uski roshani me is baat
ko samjha saku ke asal Aqeeda Ahle Sunnat ka kya hai!
1. PEHLA ZIKR

Pehle reference jo derahu hun "Sayyeda-e-Kainat Quran me" to mai


aagaz karta hun us muqaam se jo Quran-e-Majid me sabse aakhir me aaya
hai. Wo Sura Kausar hai, aur wo ek Hasin Zikr hai Sayyeda-e-Kainat ka.

1. (Ay Habib-e-Mukarram) Beshaq Hamne Aapko Kausar ata kardi.


2. Pas Aap Apne Rab keliye Namaz padha karen aur Qurbani diya karen.
3. Beshaq Aapka dushman he abtar hai.

Abtar yaani jo har khair se mehroom aur munkata un nasl hai, jiski nasl
baaki nahi rahegi.
Surah Kausar me jo lafz-e-Kausar hai uske darjan se zyada maani hain jo
hamari Ahle Sunnat ki kutub me hain, Aaimma-e-Tafseer aur Aaimma-e-
Hadees ne riwayat ki hai. Aur sabse aala maana Al-Kausar ka "Al-Khairul
Kaseer" hai, jise Imam Bukhari ne Sahih Bukhair ki Kitab ul Tafseer Hadees no.
6207 me riwayat kiya hai. Al-Khairul Kaseer me saare maane aajaye hain, "Har
Khair ki Kasrat", "Hamne Aapko Har Khair ki Bay inteha Kasrat ata kardi." Aur
Maaruf tareen maan Kausar ka "Nehar-e-Kausar" hai jo Jannat me hai, ye bhi
Ahadees-e-Sahiha me hai aur dusra Maaruf tareen maana "Hauz-e-Kausar"
hai, Jismese Qayamat ke Din Aaqa Alaihissalam Apni Ummat ko pilaenge.
So 3 maana wo hain jo aapne aksar wa beshtar sune, Nehr-e-Kausar,
Hauz-e-Kausar, Al-Khairul Kaseer zyada nahi suna magar saare maani se
jaame maana jise Imam Bukhari ne Kitab ul Tafseer me riwayat kiya wo Al-
Khairul Kaseer hai. Jab farmaya Har Khair ki kasrat to Nehr-e-Kausar bhi ise
me aagayi, Hauz-e-Kausar bhi isi me aagaya aur saari khairat isi me daakhil
hogayi.
Ye baat kehkar ab Imam Fakhruddin Raazi Rehmatullah Alaih Jinki
maaruf Tafseer "al-Kabeer" hai, unhone al-Kausar ke sabse zyada, tamam
mumkina maano ko apni tafseer me jama kardiya. Pehal qaul unhone "Nehran
fil Jannah" kaha, dusra qaul "Hauz-e-Kausar" ka bayan kiya. Al Qaulus Saalis
teesra (3) qaul jo Imam Fakhruddin Raazi ne quote kiya, wo farmate hain al-
Kausar iska teesra maan hai "Al Kausar Auladuhu" "Huzoor Alaihiswalatu was-
Salaam ki Nasl aur aulad ki kasrat!"
[Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Huzoor Alaihissalam ki Nasl aur Zurriyat ka Qayamat tak baaki rehna, farmate
hain al-Kausar ka maan ye hai! Ye 12 maani me ek maana hai. Aur Imam
Fakhruddin Raazi iski wajah wahi aage bayan karte hain, farmate hain:
"Innama Nazalat Raddan ala Man Aabahu Alaihissalam be Admil Aulad"
Aas bin waayal ek shakhs tha badbakht aur mukhtalif riwayaton me hai
aur kuffar aur mushrikin ke naam bhi aaye hain magar kasrat ke saath riwayat
me aas bin wayal ka naam aaya hai. Us badbakht ne Aaqa Alaihissalam ko
taana diya. Jab Huzoor Alaihissalam ke Sahabzaade Hazrat Qasim ka inteqal
hua, ek riwayat me Hazrat Ibrahim ka Zikr aaya hai. Jab Sahabzaade ka inteqal
hua to us shakh ne Huzoor Alaihissalam ko abtar kaha MaazAllah. Abtar ka
matlab hai jiski nasl baaki na bache. Nasl chunke chalti hai bete se. Betiyan to
dusre ghar chali jaati hain aur fir uske batan se jo aulad hoti hai wo to sasural
ki nasl hoti hai. Aur apni nasl jo chalti hai wo bete se chalti hai. Jab Aulad na
rahe Wisaal farma gaye to kafiro aur mushriko ne Aaqa Alaihissalam ko taana
diya ke ye abtar, munkata un nasl hogaye, Inki nasl cut gayi, ab Muhammad
(SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka (maazAllah) duniya me Naam lene
wala koi nahi rehega. Ispar Imam Fakhruddin Raazi Rehmatullah Alaih ne
farmaya ke kafiro ke is taane ke radd me Allah Tabarak wa Ta'ala ne Surah
Kausar ko naazil kiya. [Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Ye baat kabil-e-tawajjoh hai, Surah Kausar ki Shaan-e-Nuzool ki sabse
zyada kareeb tareen mutabekat aur muafeqat is maana ke saath banti hai.
Har chand ke pehle 2 maan aala aur arfa hain zyada maqbool aur maaruf hain
magar Shaan-e-Nuzool teesre maana ke zyada kareeb hai, ke naazil hui jab
Aaqa Alaihissalam ko taana diya gaya ke jab koi bete na raha to ye Surat naazil
hui. Isilye Surat ki aakhri aayat ye hai Mere Mehboob Aap abtar nahi hue,
Aapki Nasl na kati hai na kategi, "Innasha ni aka huwal abatar." Aapke
dushman ki nasl cut jaegi! Wo abtar hogaya jo Aapka dushman hai, uska naam
wa nishan mit jaega aur uski nasal baaki nahi rahegi, uski nasal ka nishan tak
agle zamano me kisiko dikhayi nahi dega.
Imam Fakhruddin Raazi kehte hain ke yahan Kausar ka maana Huzoor
Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat ki Kasrat, Huzoor Alaihiswalatu was-
Salaam ki Nasl ki kasrat, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Aulad ki kasrat.
Farmate hain Kyunki kafiron ke taane ke radd me naazil hui isliye Allah Rabbul
Izzat ne farmaya "Inna A'atoina Kal Kausar." Mere Mehboob Hamne Aapko
Aapki Nasl, Zurriyat aur Aulad ki wo Kasrat di hai ke Qayamat tak koi zamana
Aal-e-Rasool se khaali nahi hoga. Saadat ke wujood se koi zamana khaali nahi
hoga. Imam Fakhruddin Raazi farmate hain ke "Inna A'atoina Kal Kausar." ka
teesra maana hai ke Mere Mehboob ye dushman jo Aapko abtar ka nasl cut
jaane ka taana dete hain, Humne Aapko Bashaql-e-Kausar Qayamat tak sabse
zyada baaki rehne waali Nasl aur Zurriyat ata kardi hai.
Aur fir Imam Fakhruddin Raazi ke alfaaz hain is baat par wo daleel laate hain
"Fanzur Kam Qutila Min Ahlil Bayt Summal Aalamu Mumtaliyum Minhum"
[Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Farmate hain: Logon dekho kitne Nufus-e-Qudsiya ko chun chunkar Shaheed
kardiya gaya, Ahle Bayt-e-Muhammadi (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam)
ke kitne afraad Shaheed kardiye gaye aur kitni kasrat ke saath Ahle bayt ki
Shahadaten hui, magar iske bawajood saara zamana aur saara aalam Huzoor
Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat aur Ahle Bayt ke saath bhara pada hai.
Aur aage Imam Raazi kehte hain: Zamana saara Ahle Bayt ki sabse Shahadaten
hone ke bawajood, yaani Zurriyat-e-Hussain Alaihissalam me se sirf ek bache
Imam Zainul Aabideen Alaihissalam Karbala se, Imam Hasan-e-Mujtaba
Alaihissalam ke bhi Sahabzaade zyada nahi bache, magar Nasl faili, Qayamat
tak ru-e-zameen ke goshe goshe me Zurriyat-e-Muhammad (SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam) hain. Aur Imam Raazi farmate hain:
"Walam Yabke min bani umaiyyata fid dunya ahadaun"
Idhar banu umaiyya ko dekho, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Ahle Bayt
ko Shaheed karne waale, unme se ek shakhs nhi duniya me nahi bacha. Jo
Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Nasl mitana chahte they wo banu
umaiyya ki he puri nasl mit gayi. Aur Imam Raazi ne baat yahan khatam nahi
ki. Aage farmate hain:
"Summ manzur kam kaana feehim minal akabire minal ulama-e-kal Baaqir wal
Saadiq wal Kaazim war-Rida wan-Nafsuz-Zakiyyata wa amswalihi."
[Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Farmate hain, baat sirf ye nahi ke Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Ahle
Bayt-e-Pak, Aal-e-Pak se puri duniya bhari padi hai, baat sirf ye nahi. Farmaya
fir dekho kaise kaise ilm ke pahaad hue aur kaise kaise Maarifat ke Sutoon hue
aur rehnumaayi aur wilayat ke kaise kaise Imam aur Peshwa Huzoor
Alaihiswalatu was-Salaam ki Ahle Bayt me hue, ek taraf Imam Baaqir Nazar
aate hain, idhar Imam Jafar Sadiq Nazar Aate hain, Idhar Imam Musa Kaazim
Nazar Aate hain, idhar Imam Ali Raza Nazar Aate hain, idhar Nafse Zakiyya
Nazar Aate hain aur isi taraf itne bade bade ilm Marifat aur Wilayat ke sutoon
Ahle Bayt me Paida hue.

Ye Imam Fakhruddin Raazi ke reference jo diya iski taaid me aur


important references deta hun taake koi ye na samjhe ke sirf ek qaul me
maine madaar karliya.
Imam Baizaawi, Tafseer Baizaawi, volume 4, Page 456 me kehte hain, aur
Imam Baizaawi itne bade Aaimma me se hain ke Unka Muqaam bayan karneki
haajat nahi hai. Tafseer Baizaawi me bhi unhone isi tarah al-Kausar ki tafseer
me is qaul ko bhi zikr kiya hai, farmaya "wa keela Auladuhu." (Yaani Huzoor
Alaihiwalatu was-Salaam ki Aulad).
Isi tarah Imam Saawi ne Jalalain ke Hashiya me is qaul ko zikr kiya aur farmaya
al-Kausar ka ek maan ye bhi hai "Annahu Az-Zurriyatul Kaseeratul Mubaraka,
wa Qad Haqqa qAllahu Zaalik, Fala Tajid Zurriyatan Li Ahadin Minal Khalki
Misla Zurriyatil Mustafa fil Kasra, wara fil baraka ila Yaumil Qayamah."
[Saawi, Hashiya Saawi, volume 6, page 2437]
Farmaya al-Kausar ka ek maana ye bhi hai jiski Allah Pak ne tehqeeq farma di
ke jitni Zurriyat aur aulad Mustafa (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ki
badhi, Kainat me kisi insaan ki nasl itni nahi badhi hai. Ye Kasrat sirf adad m
nahi hai, barakat me bhi hai aur ye kasrat-e-adadi aur kasrat-e-roohani
Qayamat ke din tak qaayam rahegi. Aur fir aage farmate hain jab Surah Kausar
naazil hui, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki 7 Auladen Thin. Hazrat Qasim,
Hazrat Abdullah (Jinko Tayyab wa Tahir bhi Kehte hain), Hazrat Ibrahim, 3
Sahabzaade they aur 4 Sahibzaadiyan Thin Hazrat Zainab, Hazrat Ruqaiyya,
Hazrat Umme Kulsum Hazrat-e-Fatima (Salawatullah Alaihim). Saari Aulad
Hazrat Khadijatul Kubra RadiAllahu Anha se Thin siwaye ek Sahabzaade Hazrat
Ibrahim ke Wo Hazrat Maria Kibtiya RadiAllahu Anha se They. Ab Imam Saawi
likhte hain ke 7 me se 6 Aulad Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Hayat-e-
Tayyiba me Wisaal Farma gaye siwaye Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke.
Ab mai us zikr ki taraf aaraha hun ke Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha ka
Zikr Quran me kaise! Imam Saawi farmate hain Huzoor Alaihiswalatu was-
Salaam ki Zurriyat keliye 7 Aulad me se sirf Sayyeda Fatima tuz-Zahra
Salamullahi Alaiha ko Muntakhab kiya gaya aur Qayamat tak jo Huzoor
Alaihiswalatu was-Salaam ki Nasl aur Zurriyat se puri kainat bhari padi hai wo
sirf Batan-e-Sayyeda Fatima ki Barkat se bhari padi hai! Ye jo Huzoor
Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat ki kasrat ko Kausar kaha us Kausar ka jo
Nehr-e-Kausar-e-Zurriyat wo Fatima tuz-Zahra hain! Nehr-e-Kausar-e-Nasl-e-
Mustafa wo fatima tuz-Zahra hain! Nehr-e-Kausar-e-Kasrat-e-Aale Rasool wo
Fatima tuz-Zahra hain! Ek Sayyeda-e-Kainat Fatima tuz-Zahra Salamullahi
Alaiha ke Batan se Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat itni badi ke
aajke din aur Qayamat tak Huzoor Alaihissalam ki Zurriyat se saare zamane
maamoor hogaye.
Imam Aalusi ne bhi Tafseer Rooh ul Ma'aani Volume 15, page 283 me al-
Kausar ka yehi maana liya hai. Ahle Sunnat ke bade bade akabir aur Aaimma-
e-Tafseer ne bina jhijhak ke is qaul ko hamesha liya hai.
Ab Kausar se muraad to Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat
hogayi. Lekin Nasl chalti hai beton se, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ke
teeno Bete thodi umar me wisaal farma gaye. Usme Khatam-e-Nabuwwat ka
Raaz tha, ke koi Beta na jawan hua na shaadi ki umar ko pahuncha na Pote
hue. Zurriyat to chalni thi Bete se lekin Bete to Wisaal farmagaye, usi par to
taana diya tha dushmanon ne, jis taane ke jawab me ye Allah Rabbul Izzat ki
Sunnat thi aur Aadat-e-Mubaraka thi, jo dushman badbakht Khuda ke Habeeb
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko taana deta, Huzoor SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ko Hukm tha Mehboob Aap kisi dushman ko jawab nahi
denge, taana Aapko Aapka dushman dega, Jawab Mai Dunga! Quran Pahlen
Jab Nooh Alaihisalam ko log taana dete they to Allah Pak Wahi farmata Nooh
Alaihissalam to Nooh Alaihissalam Jawab dete. Shuaib Alaihissalam par taana
diya to Shuaib Alaihissalam ne jawab diya. Hazrat Musa Alaihissalam ko taana
diya to Hazrat Musa Alaihissalam ne jawab diya. Hazrat Hud, Hazrat Saaleh,
unko taana diya gaya to Unhone khud jawab diya. Jis Paigambar ko dushman-
e-Deen aur kuffar ne taanajani ki, us Paigambar ne Izn-e-Ilahi se Khud Apni
Zaban se jawab diya. Rabb-e-Kainat ne sirf Apne Habib-e-Mukarram ko
Mustasna kiya, Farmaya Mere Mehboob ab yahan trik badal gaya, jo
badbakht Aapko taana dega, Aap Rehmatullilaalameen aur Raufur Raheem
hain Aap Chup Rahiyega, dushman jo taana dega Jawab Khuda dega! To Allah
Pak Jawab Dete. Lihaza dushman ne taana diya Huzoor Alaihissalam ko ke Aap
abtar hogaye, Rab ne is taane ki jawab me puri Surat Naazil kardi, aur sath
kaha Mere Mehboob ko abtar kehne waale teri khudki nasl cut gayi!
Ab baat ye hai Nasl to chalni thi Bete se, Bete to Wisaal farma gaye, fir
wo Kausar ka Khwab Kasrat-e-Zurriyat ke maana ke lihaz se uski taabeer kaise
hoti? To Aaqa Alaihissalam ne farmaya Imam Tabarani ne Al-Mujam al-Kabeer
#2632 me riwayat kiya, Imam Abu Ya'ala ne Al-Musnad #6741 me riwayat
kiya, Imam Dailami ne al-Firdaus me riwayat kiya, Khatib Baghdadi ne Tarikh-
e-Baghdad me, Mizzi ne Tehzib ul Kamal me riwayat kiya Hazrat Sayyeda
Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha he riwayat Karti hain ke Huzoor
Alaihiswalatu was-Salaam ne farmaya: Har Maa ki aulad apne baap ki taraf
mansoob hoti hai siwaye Fatima ke, ke Fatima ki Aulad Meri Hogi, Mai he
Unka Wali Hun, Mai He Unka Asaba Hun, Mai He Unka Baap Hun." Lihaza Aaqa
Alaihissalam ne kabhi Imam Hasan aur Imam Hussain Alaihimussalam ko
kabhi Nawasa nahi kaha, Unko Beta kaha. "Ibnaya" Ye Do Mere Bete Hain.
Farmaya Fatima ki Aulad Ali ki Taraf nahi wo Meri Taraf Mansoob hogi.
Dusri riwayat jise Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya Fazail-e-Sahaba me
Sayyeduna Farooq-e-Aazam RadiAllahu Anhu farmate hain Maine Apne
Kaano se Tajdar-e-Kainat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate
hue suna, Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Har aurat
ki aulad ka nasab apni baap ki taraf se hota hai siwaye Fatima ki Aulad aur
Zurriyat ke, Uska Nasab bhi Mai hun Uska Baap Bhi Mai Hun."
Aur teesri riwayat Hazrat Jabir bin Abdullah RadiAllahu Anhu riwayat karte
hain Imam Hakim ne al-Mustadrak #4770 me riwayat kiya Maine bhi Kaano
se Aaqa Alaihiswalatu was-Salaam ko farmate hue suna ke Har maa ki aulad
ka asaba, uska baap hota aur usi ki taraf wo mansub hoti hai, siwaye Fatima
ki Aulad ke, Unka Baap Mai Hunga aur Wo Meri taraf Mansub hongi.
Ab iski taabeer ye hui ke chunke abtar ke taane ka jawab Allah ne diya Mere
Mehboob Mai Aapki Nasl aur Zurriyat ko itna badhaunga aur usme itni kasrat
aur barkat paida karunga ke Qayamat tak Aapki Nasl aur Zurriyat baaki rahegi
Aapki dushmano ki nasle mit jaengi. Magar chunke Beta Aapka Jawan nahi
hua, aur kisi Bete ka jawaan na hona maqsood nahi ye ek alag subject hai, uski
hikmat Khatam-e-Nabuwwat ke masle me hai wo ek alag subject hai. To
chunke Beta zinda na raha lihaza hum Aapki Nasl aur Zurriyat ko Qayamat tak
failane ke liye Bete ka Muqaam Fatima ko dete hain. Ab Aapki Nasl aur
Zurriyat Fatima se chalegi, chunke wo Nasl o Zurriyat Huzoor ki Kausar bani us
kausar ke liye Nehar Sayyeda Fatima tuz-Zahra ko banaya gaya. Lihaza
Sayyeda Fatima tuz-Zahra ek maana ki ru se Kausar-e-Muhammad hain
(SallAllahu Ta'ala Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Zurriyat-e-Mustafa aur Aal-e-
Mustafa aur Nasl-e-Mustafa ki Kasrat ke lihaz se (SallAllahu Ta'ala Alaihi wa
Aalihi wa Sallam).
2. DUSRA ZIKR

Dusri Aayat-e-Muabaraka lete hain wo Sura Dahar me hai, Imam Wahidi


jo Ahle Sunnat me Asbab un Nuzool aur Usool-e-Tafseer par Imam tasawwur
hote hain. Imam Wahidi ne riwayat kiya aur isko Imam Fakhruddin Raazi ne
bhi aage riwayat kiya aur bahot saari tafseeron me ye aaya hai Tafseer al
Mazari Qazi Sanaullah Panipati tak sabne liya hai.
[Raazi, Tafseer al-Kabeer, Volume 30, Page 243] Isme waqiya ye hai ke
Sayyeduna Imam Hasan wa Sayyeduna Imam Hussain (Alaihimussalam) Dono
bimaar hogaye. Aaqa Alaihiswalatu was-Salaam Ghar tashreef legaye. Aur
Aapne farmaya ke Inke liye Nazar karo (Mannat Maano). To Sayyeduna Ali al-
Murtaza KarramAllahu Wajhahul Kareem ne, Sayyeda Fatima tuz-Zahra
Salamullahi Alaiha ne aur Aapki Khadima Hazrat Fizza RadiAllahu Anha ne
mannat maan li ke agar Hasanain Kareemain Shifayaab hogaye to 3 Roze
rakhenge. Sayyeduna Ali al-Murtaza ne Khayber ke ek yahudi sham-un ya
sam-un dono naam aaye hain kutub me, usse kuch karza liya ya kuch kaam
karke ujrat ke taur par kuch liya aur wo thode se paise jo aaye usse Aapne
ehtemam kiya 3 Roze rakhne ka. Pehla din aaya jab iftar ka waqt aaya to Jo
roti banayi gayi, darwaze par ek shakhs ne aakar aawaz di Ay Ahle Bayt-e-
Muhammad (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) mai miskin hu, bhooka
hun. Sayyeda-e-Kainat RadiAllahu Ta'ala Anha ne sabse puchakar roti aur jo
kuch paka tha wo uthakar saara miskin ko dediya aur Khud Paani se Roza Iftar
karliya Sabne. Agle din Roza rakha, jo bacha fir wo pakaya, Iftar ka waqt hua
shaam ko to ek aur saail aagaya usne kaha mai yateem hun. Aapne saara kuch
uthakar jo paka hua tha usko dediya Khud Paani se iftar karliya. Teesre din
Roza rakha to fir ek saail aagaya usne kaha mai kaidi hun Khudake liye mujhe
kuch den bhuka hun, Aapne saara kuch usko dediya Khud Paani se Iftar karliya.
Teeno din jab paani se iftar hota raha to bhook ki wajah se aur Gharme
chunke khane ka kuch na bacha, Hasanin Kareemain Shifayaab to hogaye they
magar bhook ki wajah se Unke Pyare Pyare Chehre bhi murjha gaye.
Sayyeduna Ali Sher-e-Khuda aur Sayyeda Fatima tuz-Zahra (Salamullah
Alaihim) ke Chehron par bhi bhook ke asarat bilkul numaya hogaye, hatta ke
Unka Pet Andar ki taraf lag gaya. Hazrat Ali RadiAllahu Ta'ala Anhu Hasanain
Kareemain ko leke Aaqa Alaihissalam ki Bargah me pahunche. Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hasanain Kareemain ka Chehra dekha, Hazrat
Ali ka Chehra Dekha, Uthke Ghar aaye Sayyeda Fatima tuz-Zahra ka Chehra
dekha. Pucha kya majra hua, to Unhone Pura Waqiya bataya. Bus itni baat hui
thi Imam Wahidi Riwayat karte hain aur Imam Fakhruddin Raazi ne Tafseer al-
Kabeer me isko darj kiya hai aur Allama Zamakshari ne halanke wo mutazali
hain, aur mutazila roohani baaton ko zyada manne wale nahi they, bade
roshan khayal aur jadid zehan ke modernist log they mutazila aur hatey hue
thode thode baaz afkar me raaste se jo mutazila they, Allama Zamakhshari
mutazila aaimma me se hain magar nahaw aur tafseer ke bade Imam aur
authority hain, wo bhi apni tafseer Kashhaf me riwayat karte hain, aur ye pura
waqiya Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma ne riwayat kiya hai.
To Jab Aaye Aaqa Alaihissalam Gharme aur ye Waqiya suna aur dekha ke
Sayyeda Fatima tuz –Zahra ki Aankhon me bhi Siyah Halke padgaye aur
Shahzadon ke halke dekhe to Aaqa Alaihissalam ki Tabiyat pe bojh hua aur
abhi kuch fikr aaya he tha ke Jibrael Alaihissalam Haazir hue aur arz kiya Ya
RasoolAllah! Lijiye ye Surah Dahar ki Aayaten! Allah Ta'ala ne Surah Dahar ki
Aayaten Tohfa Bheji hain Ahle Bayt Fatima tuz-zahra ke liye aapko Mubarak
ho. Aur uske baad Surah Dahar ki ye
Aayaten Tilawat ki. Wo Aaayaten ye thi.

Surah Dahar
Ye Aayaten lekar naazil hogaye Jibrael-e-Ameen aur arz kiya Ya RasoolAllah!
Ye Aayaten lijiye Sayyeda Fatima tuz-Zahra aur Unke Gharane Aapki Ahle Bayt
ke liye Allah ne Tohfa Bheja hai.
Maana ye hai ke Nazr rakhte hain (yani jo Nazr rakhi thi uska zikr kiya) aur
farmaya jab iftar ka waqt aata hai to Khaate nahi, apna Khana khila dete hain
Allah ki Muhabbat me, kabhi miskin ko khila dete hain kabhi yateem ko khila
dete hain kabhi kaidi ko khila dete hain. Is tafseer ko Hazrat Abdullah ibne
Abbas RadiAllahu Anhuma ne riwayat kiya, isi ko jalilul qadr Tabeyi Hazrat
Mujahid ne riwayat kiya, Sayyeduna Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma
se marvi jo Tabeyin ke zariye jo turk hain tafseer ke, Turuk-e-Arba, sabse
zyada muatamad turk, un muatamad tamam turk ne is tafseer ko riwayat kiya
hai. Hazrat Mujahid ne riwayat kiya, Hazrat Ata bin Abi Ribah ne riwayat kiya,
digar tabeyin ne riwayat kiya aur wo farmate Ye Aayaten Ahle Bayt ke liye
naazil huin, fir aage pura waqiya bayan karte hain. [Raazi, Tafseer al-Kabeer,
Volume 30, Page 243]. Fir isi tafseer aur waqiya ko Salabi ne bhi Hazrat
Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat kiya.

EK DILCHASP BAAT

Ab yahan ek dilchasp baat kehdun baaz ahle ilm hain jo is baat ka inkar
karte hain ke in Aayaton ka nuzool is waqiya ke peshenazar hua. Is Shan-e-
Nuzool ka inkar karte hain aur daleel unki ye hai ke ye Surah Dahar Makki
Surah hai. Kehte hain waqiya to Madina ka hai aur surat hai Makki, Naazil hui
Makka me, to ye Shan-e-Nuool kaise ban gaya? To zaahiran dekhkar ek aam
aadmi aur thoda padha hua aalim, jab ye aitraaz sunta hai ke ye Makki Surat
hai to Hasanain Kareemain kahan Paida hogaye? Maula Ali Sher-e-Khuda
Alaihissalam aur Sayyeda-e-Kainat Salamullah Alaiha ki Shaadi he Madina me
hui thi, Hasanain Kareemain Paida bhi Madina me hue par Surat hai Makki to
ye Shan-e-Nuzool kaise ban gaya? Ek aam aadmi ghabra jata hai aur yaqeenan
ilm ki kami ho to ghabrahat he hogi.
Iska jawab dena chahta hun aur ye jawab bahot aaimma-e-tafseer ne diya
magar Qazi Sanaullah Panipati ko yaad rakhlen, unhone bhi Tafseer al Mazari
me iska jawab diya.
Isme koi shaq nahi ke Surat Makki hai, magar yaad rakhle kisi Surat ka Makki
hona ya Madni hona is baat ko laazim nahi hai ke us Surat ki koi ek Aayat ya
do, char, paanch, das Aayaten bhi agar Makki Surat ho to Madina me naazil
nahi hoskati ya Madni Surat ho to Makka me naazil nahi ho sakti, ye sirey se
koi tasawwur Usool-e-Tafseer me nahi hai. Beshumar Suraten aisi hai jo
Madni hain magar jab Aaqa Alaihissalam Makka Haj ke liye gaye to safar me
Makka me naazil huin. Hatta ke Surah Maida jo Madni Surat hai aur jo aakhri
Aayat naazil hui "Al-Yauma Akmaltu Lakum Deenakum wa Atmamtu
Alaikum Naymati." Surah Maida 5:3
Ye Aayat Makka me naazil hui jab Hijjatul Wida farma rahe they, Makka ke
Maidan-e-Arafat me naazil hui, lekin Surat hai Madni. Isi tarah kai Suraten
Makki, isliye Makki kyunki unka beshtar hissa Makka me utar chuka tha, kuch
Aayaten Madina ke daur me utarne se us Surat ke Makki Surat hone me koi
fark nahi aata. Matlab hai ke gaalib hissa, aksar hissa is Surat ki Aaayat ka wo
Makka me nazil hua. Makka se murad Makki Zindagi ke daur me nazil hua aur
koi Surat Madni ho aur Makka me uski kuch Aayaten nazil hojayen to fark nahi
padta, matlab ye hai ke beshtar Aayaten saari daur-e-Madni me nazil huin aur
kabhi agar Makka ke safar me is Surat ki aayaten nazil hogayi to still wo Surat
Madni he rehti hai. Aur Makki Surat ki kuch Aayaten Madina me naazil hoagyi
to still puri Surat Makki rehti hai. Ye Usool-e-Tafseer ka Musallama qaida hai.
Ye ek jawab.

Ab is par dusra jawab. Jo log is baat ka inkar karte hain ke Sayyeda


Fatima tuz-Zahra aur Sayyeduna Ali Sher-e-Khuda (Salamullah Alaihim) aur
Sayyeduna Imam Hasan aur Sayyeduna Imam Hussain (Alaihimussalam) ahle
Bayt-e-Nabuwwat ke liye ye Shan-e-Nuzool nahi hai, jo ye khayal karte hain
aur wo iski jagah Ansari Sahabi ka ek waqiya bayan karte hain ke ye ek Ansari
Sahabi ka waqiya tha. Makatil ka ek qaul hai ke Ansari ek shakhs tha usne
khana miskin, yatim aur aseer ko khilaya uske haq me Aayat nazil hui. Jo Ahle
Bayt ke liye Shan-e-Nuzool ka inkar karte hain wo iske badle koi to Shan-e-
Nuzool denge na to wo Shan-e-Nuzool Ansari Sahabi ka waqiya bayan karte
hain. To ab uspar jawab deta hun! Allah ke bando! Chalo ek lamhe ke liye ahle
Bayt ke liye Shan-e-Nuzool na maane, aapki baat maanle ke wo Shan-e-Nuzool
hai Ansari Sahabi ka waqiya. To bataiye Ansar kab paida hue? Wo Hijrat-e-
Madna se pehle Ansar kab they? Wo bhi to Hijrat-e-Madina ke baad hue,
Ansar aur Muhajareen ka wujood kab aaya? Hijrat se pehle ya baadme?
Makka se Hijrat karke aaye wo Muhajareen kehlaye aur Madina me unki
madat karne waale Ansar kehlaye. Hijrat-e-Madina se pehle jab Huzoor
Alaihissalam Makki daur me they jab ye Surat utri Makki, tab na koi Ansari tha
na Muhajeer tha. Agar Ahle Bayt ki baat aajaye to aapko Makki Surat yaad
aajati hai aur Shan-e-Ahle Bayt ka inkar karne me ye bhool jaate hain ke dusra
waqiya jo aap lana chahte hain wo bhi Ansari Sahabi ka uska talluq bhi Madina
ke daur se hai.
Aur fir ye jo teesre din kaidi aaya jisko khana khilaya ye kaidi Makki daur me
to they he nahi! Kaidi to bane he Hijrat-e-Madina ke baad jab jange hui aur
kaidi hokar aaye! Gazwa-e-Badr me kaidi bane, Madina ke daur me jangon ke
natije me kaidi bane they, wo khana mangne aate they. Jab Quran ne kaha ke
kaidi ko khana khilaya to kaidi ke lafz ne saabit kardiya ke waqiya Madina ke
daur ka hai!
Lihaza fark nahi padta, do, chaar Aayaten ek Surat ki agar Madina me nazil hui
to Surat Makki he rehti hai. Aur Shan-e-Nuzool wahi hai jisko kasrat ke saath
Sahaba, Tabeyin aur Aaimma ne riwayat kiya.
Ab Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha ne miskin, yateem aur
kaidi ko khana diya aur Khud faaka kiya uspar Surah ad-Dahar me Allah Rabbul
Izzat ne Unka Zikr kardiya! Aur Zikr karke fir aage yahan tak nahi fir uske baad
Unko kaha ke Inko Jannaten Naseeb hongi aur jis tarah Khud pyaase aur
bhooke rahe, Ye Jannat me pyaason ki pyaas bujhaenge, Inko Chasme ata kiye
jaenge aur Inke isharon se Jannat ke chasme chalenge, jisko pilana chahenge
pilaenge! Inke itne darje ata hone!
3. TEESRA ZIKR

Aage Surah Shura, usme Sayyeda-e-Kainat ka Zikr aaya. Hazrat Jabir ibne
Abdullah RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain, badi ajeeb cheez hai, Quran-
e-Majid ki ye Aaya-e-Kareema Surah Shura Aayat: 23

"Farma Dijiye! Mai is (Tableeg-e-Risalat) par tumse koi ujrat nahi mangta,
magar (Apni aur Allah ki) Qarabat wa Qurbat se muhabbat Chahta hun."

Yaani farma dijiye Mere Habib, Mai jo fariza-e-Risalat ada kar raha hu, Mai jo
tumhe Tauheed ki daawat deraha hun aur zalalat aur gumrahi ke andheron se
nikaalkar roshani aur hidayat ki taraf laa raha hun, Mai jo zillat aur ruswayi ke
gado me giri hui insaniyat ko uthakar izzat aur tamkanat deraha hun aur Mai
tumhe Aakhirat ke azaab se bacha raha hun aur dozakh se nikaalkar jannat ke
darwaze ki taraf laraha hun! Ye Mere jitne ehsaanant hain jo Fariza-e-Risalat
ki adaegi ke zariye tum tak horahe hain! Farma do in tamam ehsanat ka tumse
koi ajar aur koi muawza nahi mangta. "Il-lal Mawaddata fil Qurba" Apne liye
koi ajar aur muawza nahi mangta, haan is par tumhe ek talqeen karta hun.
Apne liye koi muawza talab nahi karta "Il-lal Mawaddata fil Qurba" ab yahan
illa ke baad ajar nahi manga kyunki ajar ki to pehle nafi farmadi illa kehkar.
Ajar hota hai apne liye, apne liye har ajar ki nafi kardi, "In Ajriya illa ala Rabbil
Aalameen: Mera Muamla Allah ke saath hai." Lekin tumhe ek talkeen karta
hun aur wo ye "Il-lal Mawaddata fil Qurba" ke jo Mere Ahle Qarabat hain Meri
Ahle Bayt Unke saath Muhabbat rakhna! Ye jo aaqa Alaihissalam ko Allah Pak
ne Hukm diya ke Mere Ahle Bayt se Muhabbat ke saath muhabbat rakhna isko
Sahih Bukhari me Imam Bukhari ne Hazrat Saeed bin Jubair RadiAllahu Anhu
ka Qaul nakal kiya hai. [Sahih Bukhari, Volume 4, Page 1819, Hadees No. 4541]
Ke Hazrat Saeed bin Jubair RadiAllahu Anhu ne farmaya "Il-lal Mawaddata fil
Qurba" se muraad Aal-e-Muhammad hain (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam). Aur Imam Bukhari isi riwayat me Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se riwayat kiya Unhone isse murad Quraish liye. Huzoor
Alaihissalam ka pura Khandan Quraish murad liya. Magar Hazrat Saeed bin
Jubair RadiAllahu Anhu ne khaas kiya aur unhone farmaya Qurba se muraad
Aal-e-Muhammad hain (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam). Aaqa
Alaihissalam ne farmaya Logon Mai tumhe Apne Fariza-e-Risalat ki adaegi par
Apne liye koi muawza nahi mangta, magar tumhare bhale ki ek baat karta
hun! Wo ye ke Meri Qarabat se Muhabbat rakhna, Meri Ahle Bayt se
Muhabbat rakhna.
Pucha gaya Ya RasoolAllah! "Man Qarabatuk?" Aapke wo Qarabatdar
kaun hain jinse muhabbat karneka Hukm diya jaraha hai? Aaqa Alaihissalam
ne farmaya, "Aliyyun wa Fatimata Wabna Huma." Farmaya Jis Qarabat se
muhabbat ke hukm ke bareme puch rahe ho wo Qarabat Meri, Ali hai, Fatima
hai aur Unke Dono Bete Hasan aur Hussain hain (Salawatullah Alaihim).
[Jame Tirmizi, Page 866, Hadees No. 3251]

Aur mufassireen ne isme ye bhi murad liya ke Banu Hashim aur Banu
Abdul Muttalib Huzoor Alaihissalam ka saara Khaandan jinpar sadqa haram
hai wo Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Qarabat hain. Kisine ye bhi kaha
Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Aal Qayamat tak Qarabat hai. Aaqa
Alaihissalam ne farmaya: "Inni Taarikumuss-Saqlain, Kitabullah wa Ahlu
Bayti." [Tabrani, Mujam al-Kabeer, Volume , Page 47, Hadees no. 2641].
Farmaya Ay logon Mai tumhare andar 2 wazni cheezen chode jaraha hun, jo
tumhare imaan ke bachaw aur hifazat ka baais hongi, Ek, Allah ki Kitab aur Ek
Meri Ahle Bayt! Aur farmaya: "Uj-zakiru Kumullah fee Ahle Bayti." Mai Apni
Ahle Bayt ke muamle me tumhe Khuda ka Khauf yaad karata hun, kahi Unse
su-e-khulq na karna.
Fir Sahih Muslim me dusri riwayat me Aaqa Alaihissalam ne farmaya ke
agar in dono ko ikatta thaame rakhoge to kabhi gumrah nahi hoge aur Quran
aur Meri Ahle Bayt aapas me kabhi juda nhi honge aur Hauz-e-Kausar pe Ye
ikatthe Mere paas aaenge! Ye Hadees Kaseer Kutub me Isnaad-e-Sahih ke
saath Hadees-e-Sahih aayi hai.
Ab ek sawal paida hota hai baaz log ispar aitraaz karsakte hain aur baaz
zehan jo Ahle Bayt ki Muhabbat ki Naymat se khaali hain ya baaz dil un dilon
ya zehano me ek khayal aata hai Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Shaan
me tankis ke liye maazAllah, wo ye ke aayat me pehle to farmaya "Qul La As
Alukum Alaihi Ajran" ke Mai tumse koi ajar nahi mangta is Risalat ke Farize ki
adaigi par aur ehsan-e-Risalat par Ajr nhi mangta. Fir aage "Il-lal Mawaddata
fil Qurba" Apni Qarabat, Ahle Bayt ke saath Muhabbat mangli to unke zehano
me baazon ke zehano me ye khayal aata hai Apni Ahle Bayt ke liye Muhabbat
mangli to ye to ajar to mangliya? MaazAllah. Iska jawab Aaimma-e-Tafseer ne
diya hai. Qaazi Sanaullah Panipati ne bade latif aur pyare andaz ke saath jawab
diya Tafseer al Mazari me aur usooli baat ye hai isko Imam Bagawi ne bhi
riwayat kiya, Imam Jalaluddin Suyuti, Imam Qurtabi, Imam Raazi ne bhi
riwayat kiya magar Qazi Sanaullah Panipati ne lateef baat ki, unhne kaha Ajar
hota hai apne liye, jab Aaaqa Alaihissalam ne Allah ke Amr se farma diya aur
Quran ne keh diya ke "Qul La As Alukum Alaihi Ajran" Ispar Mai Ajar nahi
mangta to Ajr ki nafi hogayi. Ab kisi Musalman ke zehan me kisi kism ke ajar
ka khayal "illa" ke baad nahi aana chahiye. To sawal paida hai jab Apne ajar ki
nafi pehle he kardi Allah ke izn se to Apne Ahle Bayt ki Muhabbat mangi wo
ujrat to nahi hai, fir kya hai? Wo farmate hain: Wo jo Ahle Bayt ki Muhabbat
batayi wo Hukm diya! Ajar nahi manga balke Hukm diya. Farmaya,
logonMaine Fariza-e-Risalat ada kardiya aur bagair ajar ke ada kardiya aur
ispar tumhe ek hukm deta hun ke Meri Ahle Bayt ki Muhabbat ka daaman
thaame rakhna aur ye tumhare khudke bhale ki baat hai. Kyunke Meri Ahle
Bayt se wabasta rahoge to kabhi gumrah nahi hone paoge. Maine apni Risalat
ke zariye jis Rasta-e-Hidayat pe tumhe gaamzan kiya hai, Meri Sham-e-Risalat
ke zariye tum gumrahi ki tariki se nikle ho aur Hidayat ki raah par aaye ho!
Kahi ye Hidayat ki raah tumhare haathon se choot na jaaye, jis Hidayat par
Mai tumhe apne Faizan-e-Risalat ke zariye laaya hun ab is Hidayat ki hifazat
karneka tareeqa bata raha hun ke Meri Ahle Bayt ki Muhabbat pe kaayam
rehna! Jis dilme Meri Ahle Bayt ki sachhi muhabbat aur itteba hogi wo kabhi
Hidayat se mehroom nahi hoga!
To ye ummat ki nafa ki baat hai, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ka ajar
nahi!
Aage Qazi Sanaullah Panipati jo Hind ke Imam hain Tafseer me Hadees me aur
Fiqh me, fir ek pyari aur lateef baat farmate hain Iman Afroz, wo farmate hain
ye isliye farmaya Meri Ahle Bayt aur Itrat ke saath muhabbat rakhna ke Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ishara de rahe they ke Aap Khatamun-
Nabiyyin hain, Mere baad ab koi Nabi nahi aayega. Mere baad Meri ummat ki
Islaah aur Hidayat faraham karne ka kaam Meri ummat ke ulema anjaam
denge. Aur ulema 2 kismo ke honge, Ulema-e-Zaahir bhi aur Ulema-e-Baatin
bhi aur inke zariye Amr-e-Shariyat kaayam hoga, inke zariye ummat ke liye
Hidayat ke raaste khole jaenge, inke zariye Deen ki Tajdeed hoti rahegi. Inke
zariye rushdo hidayat ka samaan faraham hota rahega, nabi koi nahi aayega
jaise Bani Israel me har Nabi ke baad Nabi aate they magar Mere baad ab
Aaimma honge. To Aaqa Aalaihissalam ne ye ishara dekar farmaya ke sabse
badhkar Ilm-e-Zaahir aur Ilm-e-Baatin ke Ameen aur Haamil, jo is ummat me
peshwa aaenge wo Meri Itrat aur Meri Ahle Bayt me se honge!
Ye ishara diya isliye pehla aylan kardiya Sayyeduna Ali (Alaihissalam) ki taraf
"Ana Madinatul ilmi wa Aliyyun Babuha" [Tabrani, al Mujam al Kabeer, vol 11,
page 65, Hadees no. 11061]. Mai ilm ka Shehar hun aur Ali Uska Darwaza hai,
yaani Apni Ahle Bayt ke pehle Imam ka naam bata diya ke Ali Mere Shehar-e-
Ilm ka Darwaza hai. Chunke Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Ahle Bayt
Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke Batan se chalni hai, to Zurriyat-e-Fatima
he Zurriyat-e-Mustafa hogi (Salawatullah Alaihim). Meri ummat me zaahir aur
baatin ke jitne ulema aaenge magar jitni kasrat se Meri Aulad aur Zurriyat me
aaenge utne kisi aur jagah nahi honge!
Isliye farmaya Meri Ahle Bayt se Muhabbat rakhna, matlab ye tha agar Meri
Ahle Bayt se jude rahoge to zaahir ke Imam aur ilm ke Imam aur baati, Marifat
aur Wilayat ke Imam jitni kasrat se Meri Ahle Bayt me aaenge, utne kahi aur
nahi milenge!
Isliye Qazi Sanaullah Panipati apni Tafseer al-Mazari me likhte hain ke logon
agar is Farman-e-Nabuwwat ki Tasdeeq chahte ho to tamam Auliya Allah ke
salasil ko dekhlo, Auliya ke sab silsile Maula Ali al-Murtaza pe khatam hote
hain! Ab Qazi Sanaullah Panipati raaz batate hain "il-lal Mawaddata fil Qurba"
ka ke tumhara bhala kaise hai Huzoor Alaihissalam ki Ahle Bayt se muhabbat
rakhne me. Farmate hain ke wo Aaimma-e-Ahle Bayt, saare Wilayat aur
Marifat ke Imam hue, aur kul Imam Aaimma-e-Ahle Bayt ki taraf ruju karte.
Khud Imam-e-Aazam Abu Hanifa ke Asatiza me se 9 Shuyukh Aaimma-
e-Ahle Bayt they! Imam Abu Hanifa Imam Muhammad al-Baqir ke Shagird
they, Imam Jafar as-Sadiq ke bhi Shagird they, Imam Nafse Zakiyya ke bhi
Shagird they, Imam Muhammad bin Hanafiyya ke bhi Shagird they, is tarah 9
Imam sirf Ahle Bayt me se they jinke Imam Abu Hanifa shagird they. Isi tarah
tamam ulema-e-zaahir-o-baatin unka Marja Ahle Bayt-e-Athar they.
Aur fir Qazi Sanaullah Panipati farmate hain "Kaseerum Minal Auliya
fiss-Saadatil Izaam Min Hum Gaus-us-Saqlain." Ye Qazi Sanaullah Panipati ke
lafz hain. Aaj baaz log bidakte hain ke Gaus kyu kehte hain Allah ke siwa koi
Gaus nahi hota, aur Gaus-us-Saqlain kyu kehte hain. Ye sab jhahalat ki baate
hain. Kul Akabir ye tiltles aur al-qaab hamesha kitabon me likhte aur bayan
karte chale aaye hain. Qazi Sanaullahu Panipati farmate hain "Kaseerum
Minal Auliya fiss-Saadatil Izaam Min Hum Gaus-us-Saqlain Mohiuddin Abdul
Qadir al Jeeli al Hasani wal Hussaini, wa Min hum Bahauddin an-
Naqshbandi, wa Minhum Sayyed us Sanad Maudud al-Chisti, wa Minhum
as-Sayyed Moinuddin al-Chisti, wa Minhum Abul Hasan as-Shazli wa
Gairihim."
Qazi Sanaullahu Panipati farmate hain kul silsilon ke Imam aur Akabir wo
Huzoor ki Ahle Bayt aur Saadat me se hue hain.
Aur aage ginta chala jau Sayyed ahmed Rifayi, Abu Madyan Gaus al Magribi,
jidhar jaen kasrat ke saath tamam salasil ke Auliya, Ilm-e-Zaahir ki inteha jaha
hoti hai wo bhi Saadat aur Aal-e-Rasool me hain aksar, Ilm-e-Baatin ki jaha
Nehar milti hai ya jaha se chasma phoot ta hai wo bhi Ahle Bayt ke Aaimma-
e-Athar me se hain. To Kasrat ke saath ye Hidayat ka saaman Huzoor
Alaihissalam ki Ahle Bayt me chalna tha isliye Huzoor Alaihiswalatu was-
Salaam ne Qayamat tak mutawajjah kardiya ke Meri Ahle Bayt ka Daaman
thaame rakhna ke Qayamat ke Din bhi Quran aur Meri Ahle Bayt dono jude
hue Mere paas Hauz-e-Kausar pe aaenge! Aur end par Qazi Sanaullahu
Panipati ye Hadees quote karte hain Isliye Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam
ne farmaya: "Inni Taarikun Fikumus-Saqlain Kitabullahi wa Itrati." Ke Mai 2
chizen chode jaraha hun tumhare liye Ek Allah ki Kitab Quran aur Ek Meri Ahle
Bayt wa Itrat!
Aur ye Ahle Bayt Sayyeda-e-Kainat Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi
Alaiha Unki Nehar-e-Zurriyat se nikli hai!
4. CHOWTHA ZIKR

Chowtha Zikr Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha ka Quran me wo Aaayat-e-


Mubahla hai. Ye Aayat Surah Aale Imran me hai, Aayat no. 61. Najran se
isaiyon ka wafad aaya, [Qazi Sanaullahu Panipati, Tafseer Mazari, Volume 2,
page 64] 60 ya 80 unke akabir ulema they isayi najran ke wo Aaqa
Alaihiswalatu was-Salaam ki Bargah me aaye. Aur aakar unhone Aaqa
Alaihiswalatu was-Salaam se kuch sawalat karna chahe Isa Alaihissalam ke
baare me. Unke iradey gustakhana they, khair unhone sawalat kiye, Aaqa
Alaihiswalatu was-Salaam ne jawab diye. Kyunki wo log galat iradey se aaye
they to tamam jawabaat sunkar unhone kaha ke hum kal aapko iska reply
(jawab) denge. Aur unhone Mubahle ka socha wo maazAllah Isa Alaihissalam
ko Khuda ya Khuda ka beta saabit karna chahte they (maazAllah). Unhone
kaha k agar humne saabit kiya to hum Aapko bad-dua denge aur agar Aapne
hame galat saabit kiya to Aap hame bad-dua den. Jiska Aqeeda jhoota hai wo
halaak aur barbaad hojaega. Bewakoof log kyunki unka Aaqa Alaihissalam ki
Nabuwwat aue Sadaqat par to unka Imaan tha nahi, unko ye baat sujh gayi
galat aur Aaqa Alaihiswalatu was-Salaam ko challenge kardiya. Aaqa
Alaihiswalatu was-Salaam ne challenge kabool karliya ke subh mubahla hoga.
Ab Sahih Muslim Hadees No. 2404 ki Hadees-e-Pak me aata hai
mubahla ke liye subh wo aaye to Aaqa Alaihissalam ne bulwa bheja
Sayyeduna Imam Hussain ko Sayyeduna Imam Hasan ko, Sayyeda Fatima tuz-
Zahra ko aur Sayyeduna Ali al-Murtaza (Salamullah Alaihim) ko. Aur Quran-e-
Majid me Allah Rabbul Izzat ne Aayat naazil ki:

Surah Aale Imran Aayat: 61


"Aajao hum (milkar) Apne Beton ko aur tumhare beton ko aur Apni Auraton
ko aur tumhari auraton ko aur Apne Aapko bhi aur tumhe bhi (ek jagahpar)
bula lete hain, fir hum mubahla karte hain. Aur jhooton par Allah ki lanat
bhejte hain"

Allah Pak ne Aayat bheji aur farmaya Mere Habib (SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam) inhe bulalen, kahen: Aajao, Mai Apne Beton ko bulata hun tum
apne beton ko saath laao, Mai Apni Auraton ko bulata hun tum apni auraton
ko saath laao, Hum Apni Jaano ke saath aate hain tum bhi apni jaano ke saath
aao, is tarah aamne samne aakar mubahla karte hain. Is Aayat-e-Karima ke
saath Hadees-e-Pak me aata hai ke Aaqa Alaihiswalatu was-Salaam ne usi
waqt Apni Ahle Bayt ko bula bheja ye Sahih Muslim ki Hadees hai Hazart Ali
ko bulake Apne piche karliya, Hazrat Fatima ko Saath karliya, Hasano Hussain
ke Haath Pakad liye aur arz kiya: Baari Ta'ala Ye Meri Ahle Bayt hai! Aur un
isaiyon se kaha Mai Apne Bete laaya hun, Imam Hasan aur Imam Hussain ko
mubahla ke muqaam par Aaqa Alaihissalam ne Quran ki Zuban me Apne Bete
Kehke aylan karwaya! "Abna Ana wa Abna Akum."
SAADAT (SAYYED) KAUN HAIN

Isliye Aaqa Alaihissalam ne 3 Hastiyon keliye Sayyed ka lafz istemal kiya, aapko
batau Lafz Sayyed kaha se chala aur Saadat kaise bane. Aaqa Alaihissalam ke
Apne daur me to Sayyed ka koi tasawwur nahi tha, Huzoor to Quraishi,
Hashmi aur Muttalabi they (Hazrat Abdul Muttalib RadiAllahu Anhu Ke Pote).
Allah Rabbul Izzat ne Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Sayyed ka
Title diya. Sahaba aur baaz Tabeyin ki riwayat ke mutabiq "Ya Seen" ka ek
maana ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ko
Pukara "Ya Sayyed"! Ye "Ya Seen" ka ek maana hai tafaseer bhari padi hain
Tabeyin aur Aaimma-e-Tafseer ke aqwal se. Aur Aaqa Alaihissalam ne Amr-e-
Ilahi se Apne Aapko farmaya: "Ana Sayyedu Waladi Aadam wala Fakhr" [Jame
Tirmizi, Volume 5, Page 308, Hadees no. 3148] "Mai kul Bani Aadam ka Sayyed
hun (Sardar hun)." To Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ne Khudko Sayyed
kaha, Pehle Sayyed is Kainat me Tajdar-e-Kainat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam. Dusre kaun jisko Sayyed kaha, wo Fatima tuz-Zahra (Salamullahi
Alaiha). Farmaya: "Sayyedatu Nisa-ee Ahlil Jannah" aur "Sayyedatu Nisa al-
Aalameen" aur "Sayyedatu Nisa-e Hazihil Ummah." [Jame Tirmizi, Volume 5,
Page 660, Hadees No. 3781] "Meri Beti Fatima is ummat ki aur saare aalam
ki aur tamam Jannati auraton ki Sayyeda (Sardar) hai." To Pehla Sayyed
Khudko Kaha, Dusra Sayyed yaani Sayyeda Hazrat Fatima ko kaha
(Salawatullah Alaiha). Aur teesra title Sayyed ka Imam Hasan aur Imam
Hussain (Alaihimussalam) ko diya. Farmaya "Al-Hasanu wal Hussain Sayyeda
Shabab-e-Ahlel Jannah." "Hasan aur Hussain tamam Jannati Jawanon ke
Sayyed yaani Sardar hain." [Jame Tirmizi, Volume 5, Page 660, Hadees 3781]
. To 3 Sayyed hue, Pehla Sayyed Baap yaani Muhammad-e-Mustafa SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Dusri Sayyeda Beti Fatima tuz-Zahra (Salamullahi
Alaiha), Teesre Hasan aur Hussain Sayyed, aur fir Qayamat tak jo Hasan aur
Hussain ki Aulad se hue wo Sayyed hogaye. Yaad rakhlen "Sayyed" Ali Sher-e-
Khuda ke Nasab ne nahi banaya, "Sayyed" Fatima tuz-Zahra ne banaya hai. Is
Nasl ko is Zurriyat ko, fir kehraha hun, "Sayyed" Ali al-Murtaza ne nahi banaya,
"Sayyed" Sayyeda Fatima tuz-Zahra ne banaya. Isliye kyunki Sayyeda-e-Kainat
Salamullahi Alaiha ke Wisaal ke baad Maula Ali Sher-e-Khuda ki aur Shadiyan
bhi hui aur Aulad bhi hui, Muhammad bin Hanafiyya bhi Aapke Bete They
magar Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha ke bagair jis jauza se
Hazrat Ali Alaihissalam ki jo Aulad hui wo Sayyed nahi hai. Agar Sayyed Ali
Sher-e-Khuda ke Nasab se bante to Maula Ali al-Murtaza (KarramAllahu
Wajhahul Kareem) ki Saari Aulad Sayyed hoti, lekin Huzoor Alaihissalam ne
Mutayyan kardiya tha ke Sayyed sirf Sayyeda Fatima (Salamullahi Alaiha) ke
Nasab se banega. Aur wo Nasab fir Hazrat Ali ki Taraf nahi balke Mustafa ki
taraf aayega (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam). Lihaza Imam Hasan aur
Imam Hussain Alaihimussalam ki Aulad Sayyed hue, Ya Hasani hain ya Hussaini
hain teesri kism nahi hai. Aur bakiya azwaaj se jo Hazrat Ali Sher-e-Khuda ki
Aulad hai wo to Unki Aulad haina magar Sayyed nahi hain. Sayadat yun chali
isliye kehte hain "Sayyeda-e-Kainat" ke Saari Kainat me jo Nasab-e-Sayadat
faila wo Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha se Faila.

(Note: Isse koi ye galat matlab na len ke Khud Maula Ali Alaihissalam
maazAllah Sayyed nahi hain. Aaqa Alaihiswalatu was-Sallam ne Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ke liye bhi farmaya "Anta Sayyedun fid dunya Sayyedun fil
Aakhirah". "Ay Ali Tum Duniya me bhi Sayyed ho Aakhirat me bhi Sayyed ho."
[Hakim, al-Mustadrak, 3/138, Hadees no. 464. Aur Imam Hakim ne kaha ye Hadees
Imam Bukhari aur Imam Muslim ki Sharait par Sahih hai]. Lekin Huzoor Shaykh-
ul-Islam ne isliye ye yahan zikr nahi kiya kyunki yahan maqsad Saadat kaun
hain ye samjhana tha. Saadat sirf Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha ka
Nasab hai yaani Imam Hasan aur Imam Hussain (Alaihi-Musalam) aur
Qayamat tak Inki Saari Aulad).

To mai arz karraha tha ke jab Ye chale aur udhar se Najran ke isayi samne aaye
tayyari karke mubahla ke liye. Jab un isaiyon ki Inpar nazar padi, Aaqa
Alaihiswalatu was-Salaam ka jalaal dekha, Shehzade Hasan aur Hussain
dekhe, Sayyeda-e-Kainat aur Ali al-Murtaza ko dekha (Salawatullah Alaihim)
to Hadees ke alfaz aate hain wo jo unke bade sarbara they isayi wafad ke
unhone apne isaiyon ko rok liya, aur jo askaf-e-najran tha usne kaha: 'Ya
masharan nasara! Inni la ara wujuhan lou sa'alullaha ayi uzeera jabalan
makanihi la za lahu.' [Qazi Sanaullah, Tafseer Mazari,Volume 2, page 64] usne
kaha "mai wo Chehre dekhraha hun ke agar in Chehro ne Apni Zuban se
kehdiya Ay Allah ye pahaad apni jagah se hata de to Khuda ki Qasam pahad
hat jaenge!" aur usne kaha mere isaiyi bhaiyon Khuda ke liye aage na bado,
agar is mubahla me Mustafa (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ne dua
kardi aur Hasan aur Hussain aur Sayyeda Fatima aur Sayyeduna Ali ke Zuban
se Aameen nikalgaya to Khuda ki Qasam Qayamat ke din tak Ru-e-Zameen par
koi Isayi nahi bachega! (Kyunki Huzoor Alaihissalam Apni Ahle Bayt se Farma
diya tha ke Jo bhi Dua karunge us par Tum Sab Aameen kehna). Wo saare isayi
wahi wapas palat gaye aur unhone tauba karli aur kaha ke hum mubahla se
taaib hote hain challenge wapas lete hain.
Ye Chowtha Zikr tha Sayyeda Fatima tuz-Zahra ka Quran me! Isme hua
kya, "Abna Ana" Mai Apne Beton ke saath ata hun, To Beton se Hasan aur
Hussain muraad liye (Alaihi-Mussalam), fir farmaya "Nisa ana wa Nisa akum"
Jab Auraton ka zikr kiya to sirf Sayyeda Fatima tuz-Zahra ko bulaya kisi aur ko
nahi, batana maqsud ye tha ke "Nisa Ana" me Fatima is liye hai ke Qayamat
tak Meri Nasl Isi se chalni hai. Ye Nehr-e-Kausar-e-Aal-e-Rasool hai (SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam). Aur "Wa Anfusana wa anfusakum" Apni Jaano ke
Saath aate hain tum apni jaano ke saath aao, Yahan Apni Zaat-e-Pak ke Saath
Hazrat Ali Sher-e-Khuda ko Quran ki Nas se Apni Jaan me Shaamil kiya! Apne
Nafs me Shaamil kiya! Isliye farmaya "Aliyumm Minni wa Ana Min Hu" aur ye
bhi farmaya "Ya Ali Anta Minni wa Ana Minka" "Tu Mujhse Hai aur Mai Tujhse
Hun. Isliye ke Anfusana wa Anfusakum! "Lahumaka Lahmi, Jismuka Jismi, Fark
Nahi Mabain Piya." Hazrat Ali Alaihissalam ko Apna Nafs qaraar diya, Jo Aapse
Muhabbat karega wo Mujhse Muhabbat karega! Jo Aapse bugz rakhega wo
Mujhse bugz rakhega.
5. PAANCWA ZIKR

Panchwa Zikr Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha ka aaya hai Surah


Ahzab me Aayat 23 me.

"Bas Allah Yehi Chahta Hai Ki Ay (Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa


Sallam ke) Ahle Bayt! Tumse har kism ka gunah ka mayl (aur shaq wa naqs
ki gard tak) Door Karde aur Tumhe (Kaamil) Taharat se Nawaz kar bilkul Paak
wa Saaf Karde."

Sahih Muslim Sharif ki Hadees me hai


"Hazrat Safiya binte Shaiba se riwayat hai ke Ummul Momineen Hazrat
Aayesha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan farmati hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam subah ke waqt bahar tashreef laaye
darhalaanke Aap SallAlahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek chadar oodhi hui
thi jispar siyah oon ke kajawon ke naksh bane hue the. Hasan ibne Ali
Alaihimussalam aaye to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe us
chadar me daakhil karliya, fir Hussain Alaihissalam aaye Aapke humraah
chadar me daakhil hogaye, fir Fatima Salamullahi Alaiha aayin, Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe us chadar me daakhil karliya, fir Ali
Alaihissalam aayen to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe bhi
chadar me le liya. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ye Aayat-e-
Mubaraka padhi “Ay Ahle Bayt! Allah to yehi chahta hai ke Tumse (Har tarah
ki) aaludgi door karde aur Tumko kaamil darja Taharat se nawaz de.”
[Sahih Muslim, 4:1883, Hadees no. 2424]

Is Hadees se lafz Panjatan Pak aaya ke Allah Ta'ala Quran me direct Ahle
Bayt se Mukhatib hua aur Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ne is Hadees ke
Amal se bata diya ki Aapki Ahle Bayt kaun hain! Aur Sayyeda-e-Kainat nhi Ahle
Bayt hain to Quran ne Ahle Bayt kehkar Sayyeda-e-Kainat ka bhi Zikr kardiya!
(Salawatullah Alaiha)

(Panchwa Zikr Is bayan me nahi hai, humne dusre lecture se short me


add kiya hai)
To Sayyeda-e-Kainat Muhabbat-e-Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam) ka markaz wa mehwar hain, Nisbat-e-Rasool (SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam) ka markaz wa mehwar hain, Talluq-e-Rasool (SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ka markaz wa mehwar hain, Ata -e-Rasool
(SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ka markaz wa mehwar hain aur Raza-e-
Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ka markaz wa mehwar hain.
Unse jitni muhabbat aur talluq ustawaar karen utna Imaan pukhta hoga aur
Aaqa Alaihissalam ki qurbat nasib hogi.

Aur aakhri kalima-e-nasihat, Muhabbat takmeel pazeer hoti hai itteba


ke saath. Sayyeda Fatima tuz-Zahra jahan Paikar-e-Azmat hain wahan Paikar-
e-Sharm-o-Ismat-o-Iffat hain. Sharm aur Haya ka Paikar Sayyeda Fatima tuz
Zahra jaisa Kainat me koi nahi hua, lihaza Apni zindagiyon me sharm, ismat,
iffat, parda daari aur haya itna badhayen ke aap Sayyeda-e-Kainat ki Qurbat
paa len. Aur jood-o-sakha Fatima tuz-Zahra jaisa kisime na tha, wo aap sun
chuke, Khud bhuka rehliya par miskin, yatim aur aseeron ko khila diya. To
thoda mile ya zyada mile sakhawat kiya karen, Sadqa khairat kiya karen, jitna
aapka haath aur aapka dil jitna zyada sakhi hoga utna aap Jannat ke kareeb
honge. Haath ki sakhawat me hai gareebon haqdaaron ko maal khairat karna
aur dil ki sakhawat me hai rishtedar, shariq log, aaizza akabir, ache burey, dost
dushman, har ek ko maaf karte rehna aur har ek se bhalayi karna ye dil ki
sakhawat hai. Aur Aaqa Alaihissalam ne farmaya Meri ummat ke Abdaal aur
bade bade Auliya bhi Jannat me jaenge to Kasrat-e-Nafil ya Roze ke wajah se
nahi balke dilon ki sakhawat ki wajah se Jannat me jaenge. Jinke dil sakhi hote
hain wo chugli nahi karte, geebat nahi karte, kudte nahi hain, kisike liye dil
tang nahi karte, saas ho ya bahu ho, nand ho ya bhaawaj ho, rishtedar ho ya
gair rishtedar ho, koi achayi kare ya burayi kare, khatir me nahi laate, Allah ki
Raza ke liye har ek ko maaf karte rehte hain aur har ek se bhalayi karte rehte
hain. Is kirdar ko apna len to Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha ke
Kareeb hojaenge. Aur teesri cheez Kasrat-e-Ibadat, Ye Hazrat Fatima tuz-
Zahra ka Shewa hai. Imam Hasan-e-Mujtaba farmate hain "Khuda ki Qasam
Maine Apni Maa se Badhkar Kisiko Ibadat Guzaar nahi dekha. Raat shuru hoti
to Mai Unko Mehraab me Dekhta aur Fajr Tulu Hoti to Mehraab ke Sajde me
Dekhta." Saari raat Ibadat Kartin, Ye Fatima tuz-Zahra Hain.
To Kasrat-e-Ibadat ka Naam Fatima tuz-Zahra hai, Kasrat-e-Shram-o-
Iffat ka Naam Fatima tuz-Zahra hai aur Kasrat-e-Jud-o-Sakhawat ka Naam
Fatima tuz-Zahra hai (Alaiha Salatu was-Salaam).

Allah Tabarak wa Ta'ala is Kausar ke Kareeb karde aapko jo Kausar-e-


Muhammad Hain (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam), Allah Tabarak wa
Ta'ala Apni Rehmat farmaye Apna Karam kare aur dua karta hun aapki ye
majlis kabool ho aur iske asraat barkat ke saath door tak pahunche. Wama
Alaina il-lal balaag.

You might also like