You are on page 1of 1

ahle nazar ki aankh ka tara ali ali

ahle wafa ke dil ka sahara ali ali

rehmat ne leliya mujhe aagosh e noor mei

maine kabhi jo roke pukara ali ali!

Ek kaif ek suroor sa rehta hai raat din

jab se hua hai wird hamara ali ali

Dunya main sabse aali gharane ke noor ho

iss waaste hai naam tumhara ali ali

Aazam ye maghfirat ki sanad hai hamare paas

hum hain ali ke aur hamara ali ali!

Shaahe mardaan shere yazdaan

Quwwate parwardigaar

Lafata illa ali

La saifa illa zulfiqar

You might also like