You are on page 1of 4

Khaliq or makhlooq

ALLAH KA ARSH
 
Q1: Imam e Ahmed RA hamad ibn salima se rawaiyat krty han k ik roz kisi ne AP SAW se pucha "YA
RASOOL ALLAH SAW ZAMEEN O ASMAAN KI TAKHLEEQ SE QABL HUMARA RAB KAHAN THA?
 
Ans: Ap SAW ne farmaya "WO LA MAKAN ME THA JISKY UPAR OR NEECHY HAWAI KHALA THA , PHIR
USNE APNE ARSH PAANI PY TAKHLEEQ FARMAYA".
 
Quran: " USNE ZAMEEN OR ASMAAN KO 6 ROZ ME PAIDA KIYA JAB K USKA ARSH PAANI PR THA"
 
 
 
SAB SE PEHLY KIS CHEEZ KI TAKHLEEQ HUI?
Ulma e deen me ikhtilaaf paya jata hai k Allah ne konsi cheez sab se pehly paida ki? Kuch Ulma k
nazdeel Allah ne sab se pehly QALM (PEN) takhleeq kiya. IBN JAREER or IBN JOZI bhi yehi kehty han
lekin IBN JAREER kehty han k Allah ne QALM k baad Bareek BADAL paida kiya. However, is hadees
pr sab itifaq krty han jo imam e Ahmad ,Abu Dawood , Tirmizi or ibada bin Samat se marwi hai .
 
Hadees: " SAB SE PEHLY ALLAH NE QALM PAIDA FARMAYA OR QALM NE(USKE HUKAM SE) WO SAB
KUCH JO ROZ E AWAL SE QAYAMAT TAK WUJOOD ME ANI THIEN LIKH DIEN"
However, yeh hadees imam e Ahmed k alfaaz me hai ,is hadees ko husan, sahih k sath ghareb bhi
likha hai lekin timam ulma e deen ka is pr itifaq hai.
 
 
ARSH KI TAKHLEEQ PEHLY HUI
 
Hafiz abu al alaw hamdani k alfaaz me: "SAB SE PEHLY ARSH KI TAKHLEEQ HUI"
Ibn e Jareer ki riwayat jo unho ne ibn e abas RA or isi ki sand pr imam Muslim ne apni kitab me likha
sath me yeh bhi izafa kiya k hum ne Abdullah bin umar ibn Aas k hawaly se byaan kiya k unho ne Hzoor
SAW ko kehty suna :" ALLAH SWT NE ARZ O SAMAWAT KI TAKHLEEQ SE 50 HAZZAR SAAL PEHLY TMAM
MAUJOODAT KI TASWEER BNA DI THI " USKY BAAD AP SAW NE FARMAYA " IN TAKHLEEQAT SE QABL
QALM KI TAKHLEEQ HUI"
Is hadees ki taeed Bukhari ne bhi ki hai k ehl e yaman ne rasool SAW se pucha k maujoodat e alam me
sab se pehly kis cheez ki takhleeq hui ?" Ap SAW ne farmaya " Allah k wujood se pehly koi shey nhi thi"
 
Ik or rawaiyat me hai : ibn e jareer ne byaan kya hai k Allah ne sab se pehly paani paida kiya . Ibn e
Abaas, or ibn e Masood k hawaly or dusre ashaab ki zubani byaan kiya hai k "
ALLAH KA ARSH PAANI PY THA OR PAANI SE QABL ALLAH NE KOI CHEEEZ TAKHLEEEQ NHI FARMAYI"
isky ilawa ibn e jareer hi ne ABU ISHAQ k hawaly se byaan kiya hai k :" SAB SE PEHLY ALLAH SWT NE
NOOR O ZULMAT TAKHLEEQ KIYE PHIR UNHE IK DUSRE SE MUMTAZ KRNY K LIYE ZULMAT KO RAAT KI
TAREEKI OR NOOR KO ROSHAN DIN KI SHAKAL ATA KI"
Ibn e jareer k ilawa or bhi logon ne kaha:
" HUMARY RAB NE QALM K BAAD KURSI , KURSI K BAAD ARSH KI TALKHEEQ KI JISKY BAAD HAWA OR
ZULMAT PAIDA KIYE OR USKY BAAD PAANI PAIDA KIYA OR USPR APNA ARSH TAKHLEEQ FARMAYA"

ALLAH KNOWS BETTER.


 
ALLAH KA ARSH
 
Allah k arsh(takht; 50 lac saalon ka fasla ( distance) (Allah knows better) 4 farishton ne uthaya hua
hai , LOH MAHFOOZ(takht k right ki traf, wo safaid moti se bna hai uski warq surkh yaqoot k han,
usme rizq, urooj o zawal or jo Allah chahy likha jata hai) ) jannat se upar hai ( jannat al firdous me
jannatiyon ko Allah k zikr ki awaazain ayengi) or jannat 7 asmano k upar hai or hr asmaan ka dusre
asmaan se fasla 500 saal/700 saal ka hai. Or wahan beher bhi han. Kursi or arsh mukhtalif han. (Allah
knows better ).
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
 
"Allah SWT badal ko paida farma kr is se baat krty han or hansty han" -hadees(imam Ahmed ka
yazeed bin haroon k hawaly se byaan).
Us badal ki quwat e lasaani garj or tazheek barq hai - Hadees.
Sidrat ul muntiha -> uski shaakh bulandi me sutoon jaisi or patay hathi k kaan ki trah baray han or uski
jarain 6th asmaan py han.
Bait ul Mamoor-> wahan hr roz 70 thousand farishty dakhil hoty han lekin dobara nhi jaty.
Wahn Huzoor ne Ibrahim AS ko dekha jinki pusht bait ul mamoor ki traf thi. ( 7th asmaan py ik masjid hai
jaise Khana Kaba zameen pr). Usey ZIRAH/ZRAH kehty han.wo kaba ki shakal ki ik masjid hai, Wo khana
kaba k ain upar hai or uski asmaano me itni hi hurmat hai jitni kaba ki zameen py - hazrat Ali RA.
 
Saato asmaano py haram paak tameer kiye gae han jinki tadad 14 han or bait ul mamoor unme se ik hai
or uska number 4th hai jo zameen ki pemaish se 7 guna bara hai. Isey bait ul izat bhi kaha jata hai or
isme jany waly pehly farishty ka naam ismail hai. " jo kuch mene asmano me dekha hai wo tum nhi dekh
skty or jo suna hai wo tum nhi sun skty.Hr jgah 4 farishty 4 ungliyon ki trah han yaani jgah nhi hai. Jo
kuch me janta hoon agr tumhe ilm ho jae tw tum hansny se ziada ronay lago or jo lutf tumhe apni
biwiyon k sath jismani akhlaat se hasil hota hai wo kabhi na ho or khauf e azaab ki wajah se Allah se
reham ki umeed krty raho".
 
Allah ne musalmano ko 3 wajoohat ki bna py dusre insano py faziliyat di hai .
1- Khaliq e yakta py imaan,jis trah asmaan py masjid hai usi trah ki zameen py hai.
2- humne usey paak mitti se bnaya.
3- jis trah farishty saf bna kr khary hoty han isi trah muslmaan masjid me ibadat k liye
 
"Me kis trah araam kr skta hon jab k israfeel soor ka munh upar uthaye isky phoonkny k liye hukam e
ilahi k muntazir han jab k jibriel or mikael unky daen baen khary han"
 
"Jb asmaan ufq hony lgy ga us waqt jibriel AS mjhse kuch fasly pr khary hongy or israfeel AS zameen ki
traf atay huye dikhai daingy . Me dekhon ga k ik farishta mere samny hai, Wo mjhse puchy ga " AY
MOHAMMAD ! Ap ba-hesiyat e Nabi insaan hona psand karaingy ya farishta? Jibriel As mjhe ishary se
kuch btaengy jisse dekh kr me smjh jaonga or farishty ko jawab doonga " INSAAN" yeh sun kr farishta
asmaan ki janib parwaaz kr jaega. Phir me jibriel AS se puchonga k yeh konsa farisha tha? Wo kahaingy
yeh Israfeel thy. Allah ne jb unhe unki asal khalqat py paida kiya tha tw unky dono hathon k darmyan
khalaa tha or unky or unky rab k darmyaan 7 noori parday han wo inki traf ik qadm bhi nhi utha skty
kyun k tajali e noor ki wajah se jal jaengy wo zameen se galla or nibaatat ugany pr muqarar thy , izraeel
ka kaam qabz e arwah hai Loh e mahfooz inky samny rehti thi jisme wo Allah ka hukam dekh kr amal krty
rhy han. Mene jibriel se inky kaamo k baray me pucha jinka Allah ne unhe hukam dy rkha hai? Jibriel AS
ne farmaya : hawa pr tasalt or farishton ki sarkardgi" - Ghareeb Hadees.
 
Mikael zameen pr barish or nibataat k moaqal han inky sath or bhi farishty madad kr rhy hn.
Allah-> Mikael-> other angels. ( har barish ki boond k sath mikael k madad gar k tor py us boond ki
nigrani k liye ik farishta asmaan se zameen ki traf ata hai.
 
Jab insan ki maut ati hai tw malk ul maut k beshumar mawan farishton mese koi na koi farishta insan ki
rooh jism se khench kr isky halqoom me pohncha deta hai , rooh k halqon me pohcnh jany k baad uski
rooh ko jism se mukamal tor py nikalny ka kaam malk ul maut k hath me hota hai lekin wo bhi uski rooh
ko mukamal tor py nhi salb krta jab tak uski tadfeeen nhi ho jati phir wahan uski qabr me munkir nakeer
sawal jawab krty han agr tw wo naik hai tw asmaan k darwazy uski rooh k liye khul jaty han or wo udhr
parwaaz kr jati hai lekin agr naik nhi hai tw wo rooh zameen o asmaan k darmyan moalaq krdi jati hai.
 
 

Farishton ki taqseem
Friday, March 20, 2020
8:46 PM
Zimadariyon ki base py taqseem kiye gae han inmese kuch hamleen e arsh han or kuch arsh k charon traf
han unhe karobyaan kehty han. Farishton ki yeh dono qismain ashraf ul malaika han or muqarbeen
kehlatien han. or hazrat jibriel or mikael bhi inhi se han. Or yeh momino k liye dua krty han.
Inky ilawa bhi bht se farishty han jo hr waqt ibadat me mashgool han kuch rukoo kr rahe han or kuch
sajda . Or phir wo 70 70 hazaar farishton k groh han jo bait ul mamoor me jaty han . Kuch farishty jinnat
pr mamoor han . Kuch naik arwah pr or unky khany peeny, kapron wagaira ka intizaam krty han. Jannat
ka daroga bhi ik insan hai jiska nam rizwan hai . Kuch aise han jo dozakh pr mamoor hn inki tadaad 19
hai inka sardar k naam MALIK hai or dozakh ka ki sari agh ka nigran hai. Kuch insan ki hifazat pr mamoor
han . Hr insan k sath ik farishta hai jo iski hifazat krta rehta hai. Or wo din rraat usey jin or shayateen k
waswaso se uski hifazat krta hai. Or Allah k hukam se door ho jata hai.wo 2 suraton me door hoty han
jab taqdeer me kuch likha ho or maut k waqt. Kiram-man katbeen 3 okat me dor hoty han
1- hum bistri
2- halat e jnabat
3-ghusal
Inhe Allah ne ikhlaq e kareema ata kiye han yeh amal e kabeeha krty waqt door ho jaty han.
Farishty kisi aise ghr me dakhil nhi hoty jisme kutta, mujasma ya tasveer ho. (Or jis ghr me jgah jgah
peshab kiya jata ho.- hazrat Ali)
Insan k sath kuch qareene jino k o rkuch farishton k hn. Qareen hifazat waly farishton k ilawa hai jo insan
ko flah ki janib rwagib krta hai.

You might also like