You are on page 1of 24

Part - II

Alamaat
-e-
Qayamat

Tehreer-muhammad
iqbal keelaani

Romanised by:
Nasreen Sabha

1 THE WAY OF SALAFIYYAH


AKLAQI IQDAAR
KI PAMAALI

MASLA - 26: Qayamat ke qareeb sab se zyadah


kamina aur ahmaq aadmi sab se zyadah muaziz
shumar hoga:
Hazrat Huzaifa Bin Yamaan r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya: “ Qayamat us waqt tak qaayam nahi hogi jabtak dunya
ke aitbaar se sabse bada khush naseeb ise samjha jaayega jo
khaandaani kamina aur ahmaq hoga”. Ise Tirmazi ne riwayat kiya
hai.

MASLA – 26/A: Log jaahilon se ilm haasil


karenge:
Hazrat Abu Umaiyya r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “ Ye qayamat ki nishaniyon me se hai ke log jaahilon se
ilm haasil karenge”. Ise Tibraani ne riwayat kiya hai.
2 THE WAY OF SALAFIYYAH
Sirf jaan
pehchan walon
ko salaam kehna

MASLA - 27: Sirf jaan pehchaan walon ko


salam kehna qayamat ki nishaniyon me se hai:
Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.
ne farmaya: “ Ye qayamat ki nishaniyon me se hai ke ek aadmi
dusre aadmi ko sirf jaan pehchaan ki waja se salaam karega”. Ise
Ahmed ne riwayat kiya hai.

Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.


ne farmaya: Ye qayamat ki alaamat hai ke aadmi masjid se
guzrega laikin do rakath namaz ada nahin karega aur salaam sirf
use kahega jise wo pehchanta hai. “Ise Tabrani ne riwayat kiya
hai.

3 THE WAY OF SALAFIYYAH


Wazahat: Yaad rahe ke Rasolallah s.a.w. ka irshad mubarak hai
behtarin salaam wo hai jo aashna aur na aashna dono ko kya
jae.” (Bukari-o-Muslim)

Amar bilmaroof
aur nahi anil-
munkar ka tark
karna

MASLA - 28: Qayamat ke qareem ache aur bure


log sab ek dosre ke saath ghulmil jaenge koi kisi
ko neki ka hukm nahin dega na burai se rokega.
Hazrath Abdullah Bin Umar r.a. se riwayath hai ke Rasoolallah
s.a.w ne farmaya “Bahut jald aisa waqt aayega ke nek log
uthaliye jaenge aur sirf bure log hi baqi rah jaenge wadah aur
amanat khalat malat hojaenge (yani unki parwah nahin ki jaegi)
log bilkul bigadh jaenge ache aur bure log aapas mein yun
4 THE WAY OF SALAFIYYAH
ghulmil jaenge.” Aur Aap s.a.w ne ek haat ki ungliyan doosre
haath ki ungliyon mein daal kar dikhaen. Sahaba r.a. ne arz kiya
“Agar aisa waqt hum par aajae tu hum kya karen?” Aap s.a.w ne
irshad farmaya “Jise neki samjho uspar amal karna jise bura
samjho use chordh dena aur us waqt apne qabil-e-etimad logon
ke paas chalejana aur dosron ko unke haal par chordh dena.” Ise
Ibn-e-Maja ne riwayat kiya hai.

Wazahat: Aap s.a.w ka irshad-e-mubarak hai “Jab log amar-e-


Bilmaroof aur Nahi Anil Munkar tark kardenge tu Allah Ta’ala
unpar azaab nazil karega phir wo duaen mangenge to dua qubool
nahi hogi” (Tirmizi)

5 THE WAY OF SALAFIYYAH


Budhon ka
jawanon se
mushabahat
iktiyar karna

MASLA - 29: Qayamat se pehle jawaan nazar


aane ke liye log siyaah rang ka khisaab
lagayenge:

Hazrat Ibn Abbas r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne farmaya


“Akhiri zamaane me kuch log kabutar ke seene jaisa siyaah rang
ka khizaab lagayenge aise log jannat ki khushbu tak na paa
sakenge”. Ise Abu Dawood ne riwayat kiya hai.

Wazahat: Rasoolallah s.a.w. ka irshaad e mubarak hai “Ibn


Aadam budha hojata hai lekin iski do khuwaishen jawan rehti
hain maal ki khuwaish aur lambi umar ki khuwaish.” (Bukhari-o-
Muslim)

6 THE WAY OF SALAFIYYAH


Awaam ka na
ahal
hukmuranon ko
pasand karna

MASLA - 30: Qayamat se pehle awaam jante


bhujte hukumat ki zimmedariyaan na ahal aur
bad diyanat logon ke suprid karenge:
Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “ Jab amanat zaaya ki jaaye us waqt qayamat ka intizaar
kar”. Hazrat Abu Huraira r.a. ne daryaaft kiya “ Ya Rasoolallah
s.a.w.! Amanat kaise zaaya ki jaayegi?” Aap s.a.w. ne irshaad
farmaya Jab hukumat un logon ko di jaaye jo iske ahal na hon,
to qayamat ka intizaar kar”. Ise Bukhari ne riwayat kiya hai.

7 THE WAY OF SALAFIYYAH


Dunya se
muhabbat aur
maut se nafrat

MASLA - 31: Qayamat ke qareeb musalmaanon


me dunya se muhabbat aur maut se nafrat paida
hojayegi jiski waja se kaafir musalmaanon par
chad dhoudenge:
Hazrat Saubaan r.a.kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne farmaya “
Anqareeb (kaafir) ummatein tumhare upar chad doudhne ke liye
ek dusre ko is tarah bulayenge jis tarah khaane waale ek dusre
ko dastar khuwaan ki taraf bulate hain”. Ek aadmi ne arz kiya “
Shayed us waqt hum tedaad me kam honge?” Aap s.a.w. ne
irshaad farmaya “ Nahi” ! balke tum kasrat me honge lekin
tumhari haisiyat paani ke upar behne waali jhaak ki maanind
hogi Allah Taala tumhare dushman ke dilon se raa’b khatam
kardenge aur tumhare dilon me wahen paida farma denge”. Ek
aadmi ne arz kiya “ Ya Rasoolallah s.a.w. wahen ka kiya matlab
8 THE WAY OF SALAFIYYAH
hai?” Aap s.a.w. ne farmaya “ Dunya ki muhabbat aur maut se
nafrat”. Ise Abu Dawood ne riwayat kiya hai.

Shirk ki kasrat
MASLA - 32: Qayamat se pehle arbon me
dubara butparasti shuru hojayegi:
Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya” Qayamat qaaim na hogi jabtak ke dos qabeele ki
auratein zul khalsa ke but khana me chakkar na lagalein”. Ise ne
Bukhari ne riwayat kiya hai.

Wazahat: Yaman me zul khalsa ke muqaam par qabeela daus


ka but tha jiska mushrik zamanae jahiliyat me tawaaf karte the.

MASLA - 33: Baaz arab qabayeil buton ki


ibadat shuru kardenge aur baaz qabayeil
mushrikon ke sath mil jaayenge:
Hazrat Saubaan, Rasool Akram s.a.w. ke aazaad karda gulaam se
riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w. ne farmaya “Mujhe apni ummat
9 THE WAY OF SALAFIYYAH
ke baare me gumraah karne wale haakimon ka sabse zyaada
qauf hai ( ke wo deen ko bahut zyaada nuqsaan pahunchayenge)
Meri ummat ke baaz qabayeil anqareeb buton ki ibadat shuru
kardenge aur baaz qabayeil mushrikon ke sath mil jaayenge
qayamat se pehle taqreeban tees jhoote dajjal zaahir honge
jinme har ek daawa karega ke wo Nabi hai meri ummat ka ek
guru hamesha haq par qaim rahega unki hamesha ( Allah taala ki
taraf se ) madad hoti rahegi aur koi muqalif quwwat unhein
nuqsaan nahi pahuncha sakegi hatta ke Allah ka amar ( yaani
qayamat) aajaye”. Ise Ibn Maaja ne riwayat kiya hai.

MASLA - 34: Qayamat ke qareeb Laat aur


Uzza ki isi tarah ibadat shuru hojayegi jis tarah
zamana e jaahiliyat me hoti thi:
Hazrat Ayesha r.a. kehti hain main ne Rasoolallah s.a.w. ko
farmate hue suna hai ke “Din Raat qatam nahi honge jabtak Laat
aur uzza ki ibadat ( Dubara ) na shuru hojaye”. Wo Allah hi hai
jisne Apna Rasool Hidayat aur deen e haq dekar bheja taake ise
baaqi saare adyaan par gaalib karde, khuwaah mushrikon ko
kitna hi na gawaar kiyun na ho”. ( Sure Tauba , ayat 33) to ab ye

10 THE WAY OF SALAFIYYAH


hamesha ke liye hai? Aap s.a.w. ne farmaya aisa hoga jabtak
Allah chahega. Ise Muslim ne riwayat kiya hai.

tijarat ki kasrat

BID’AAT kI kAsrAT

MASLA - 35: Bid’aat ki kasrat qurb -e-


qayamat ka fitna hain:
Hazrat Asma Binte Abi Bakar r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah
s.a.w. ne farmaya: “Main apne hauz par honga aur intizaar
karunga kaun mere paas aata hai kuch log (mere paas aane se
pehle hi) pakad liye jaayenge, main kahunga ye to mere ummati
hain farishte kahenge Aap s.a.w. nahi jaante ye log ulte paun phir
gaye the (hadees ke raawi) Ibn Abi Maleeka ( hadees bayan karne
ke baad) ye dua maangte “Ya Allah! Hum is baat se teri panah
talab karte hain ke apni ediyon ke bal palatjaaye ya kisi fitne me
mubtila kiye jaayein”. Ise Bukhari ne riwayat kiya hai.
11 THE WAY OF SALAFIYYAH
MASLA - 36: Tijarat is qadar aam hojayegi ke
log likhna padhna pasand nahi karenge:
Hazrat Umro Bin Taglab r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “Qayamat ki nishaniyon me se ye hai ke maal aam
hojayega aur bahut badh jaayega, Tijarat aam hojayegi, Ilm
zaahir hoga, Ek aadmi maal farokht karega lekin phir inkaar
kardega kahega nahi, Pehle me falaan Taajir se mashwara karlun
(yaani bad uhadi karega) aur ek bade muhalle me koi likhne
waala (yaani munshi ya muharrir wagaira) talaash kiya jayega to
nahi milega”. Ise Nisaayi ne riwayat kiya hai.

MASLA - 37: Tijarat is qadar aam hogi ke


auratein bhi mardon ke sath tijatrat me
muaavinat karenge:
Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.
ne farmaya: “Qayamat se pehle salaam sirf jaan pehchaan walon
se kiya jaayega, Tijarat is qadar aam hogi ke biwi apne showhar
ki muawan hogi aur qata rehmi aam hojayegi”. Ise Ahmed ne
riwayat kiya hai.
12 THE WAY OF SALAFIYYAH
Hazrat Taariq Bin Shahaab r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.
ne farmaya “Qayamat se pehle ye nishaniyaan zaahir hongi.

1. Jaan pehchaan ke logon ko salaam kehna.


2. Tijarat ka aam hona hatta ke biwi apne showhar ki tijarat
me madadgaar hogi..
3. Qata rehmi.
4. Jhooti shadat.
5. Sacchi qawaahi ko chupana.
6. Qalam ka zaahir hona.
Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

MASLA - 38: Jagah jagah tijarati marakiz


qaim honge:

13 THE WAY OF SALAFIYYAH


Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “ Qayamat qaim nahi hogi jabtak ke fitne zaahir na hon,
jhoot ki kasrat hojayegi, tijarati marakiz aam hojayenge, waqt
ghat jaayega, harj bahut zyaada badh jaayega”. Arz kiya “ Harj
kiya hai?” Aap s.a.w. ne farmaya “ Qatal karna” Ise Ahmed ne
riwayat kiya hai.

Maal-o-dawlath
ki kasrat

MASLA - 39: Kasrat-e-maal qayamat ki


nishaniyon me se hai:
Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “Qayamat qaim nahi hogi hatta ke maal ki kasrat hojaye,
Fitne zaahir hon aur harj bahut zyaada ho”. Sahaba ikraam r.a.
ne arz kiya “ Ya Rasoolallah s.a.w.! Harj kiya hai? Aap s.a.w. ne

14 THE WAY OF SALAFIYYAH


teen martaba farmaya “ Qatal, Qatal, Qatal” Ise Ibn Maaja ne
riwayat kiya hai.

MASLA - 40: Qayamat ke qareeb dawlath ki iss


qadar farawaani hogi ke bakriyaan charaane
waale bade bade mehlaat tameer karenge.

Wazahat: Hadees masla number 14 ke tehet mulahiza


farmayein.

MASLA - 41: Qayamat ke qareeb zameen sone


aur chaandi ke khazaane ugal degi lekin unhein
koi lene wala nahi hoga:

Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne


farmaya, “ Zameen apne jigar goshe sone aur chandi ke sutonon
ki shakal mein nikal bahar phenkegi chor aayega aur kahega
(haye afsoos) uske liye mera haat katagaya, qatil aayega aur
kahega (haye afsoos) iske liye main ne qatal kiya, qata rehem
aayega aur kahega (haye afsoos) uski katir main ne qata rehmi ki
aur tamam use yunahi chorhdenge un mein se koi bhi usse kuch
na lega.” ise Tirmizi ne riwayat kiya hai.
15 THE WAY OF SALAFIYYAH
MASLA - 42: Dawlatmand log sadqa khairat
dene ke liye logon ko bulaenge laikin sadqa lene
ke liye koi nahin aayega:

Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne


farmaya, “Qayamat se pehle maal is qadar badha jaega ke
dawlatmand sochega ke usska sadqa kaun qabool karega wo kisi
aadmi ko sadqa lene ke liye bulaega laikin wo kahega mujhe isski
zaroorath nahin.” Ise Muslim ne riwayat kiya hai.
Hazrath Abu Moosa r.a. se riwayat hai ke Nabi-e-Akram s.a.w ne
farmaya, “logon par ek zamana aisa aayega ke aadmi sone ka
sadqa lekar phirega laikin use qubool karne wala koi nahin hoga
aur ek ek mark ke saath chalees chalees auraten hongi jo iski
panah hasil karengi yeh mardon ki qillat aur auraton ki kasrat ke
sabab hoga.” Ise Muslim ne riwayat kiya hai.

16 THE WAY OF SALAFIYYAH


Jhoot ki kasrat

MASLA - 43: Qayamat se pehle jhoot kasrat se


bola jaega
Hazrat Abu Hurairah r.a. kehte hain, Rasoolallah s.a.w ne
farmaya, “Qayamat qayem nahin hogi jab tak fitne zaher na hon
jhoot ki kasrat hojaegi, tijarati marakiz aam hojaenge, Waqt ghat
jaega, harj bahut zyadah badh jaega”. Arz kiya gaya “Harj kya
hai?” Aap s.a.w ne irshad farmaya “Qatal karna” Ise Ahmad ne
riwayat kiya hai.

MASLA - 44: Qayamat se pehle jhoot ki itni


kasrat hogi ke padhe likhe log jhoot ghad ke
Rasool-e-Akram s.a.w ke naam se mansoob
karenge.
Hazrat Abu Hurairah r.a. kehte hain, Rasool-e-Akram s.a.w ne
farmaya, “Aakiri zamane mein aise makkar aur jhoote log paida
17 THE WAY OF SALAFIYYAH
honge jo aisi hadeesen bayan karenge jo na tum ne suni hongi
an tumhare aaba-o-ajdaad ne suni hongi (kabardar!) aise logon
se bachke rehna kahen tum ko gumrah na karden aur fitnon mein
mubtila na kareden.” Ise Muslim ne riwayat kiya hai.

Kasrat – e - fareb

MASLA - 45: Qayamat ke qareeb dhoka aur


fareb aam hoga.

MASLA - 46: Jhote logon ko sachcha aur


sachchon ko jhoota kaha jaega.

MASLA - 47: Kaen logon ko amanatdar aur


amanatdar logon ko kaen samjha jaega.
Hazrat Abu Hurairah r.a. kehte hain, Rasool-e-Akram s.a.w ne
farmaya, “Anqareeb logon par aisa waqt aayega jis mein har

18 THE WAY OF SALAFIYYAH


taraf dhoka hi dhoka hoga. Jhoote ko sacha samjha jaega aur
sache ko jhoota samjha jaega. Kaen ko amanatdar aur
amanatdar ko kaen samjha jaega aur royabza khoob bolega. “Arz
kiya gaya” Ya Rasoolallah s.a.w! Royabza kaun hai? “Aap s.a.w ne
irshad farmaya” Amatunnaas ke muamilat par iktiyar rakhne
wala kamina aadmi” Ise Ibn-e-Maja ne riwayat kiya hai.

Wazahat: Dhooka wahi ke bare mein Rasool-e-Akram s.a.w ka


irshad mubarak hai “Jisne hamein dhooka diya wo hum se nahin,
fareb aur dhoka donon aag mein hain” (Tibrani)

Gaanon aur
Aalaat mausiqi
ki kasrat

MASLA - 48: Qayamat se pehle gaane bajane ki


kasrat hogi
Hazrat Sahal Bin Sa’ad r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w ne
farmaya “Aakri zamane mein kasaf, qazaf aur masak hoga.” Arz

19 THE WAY OF SALAFIYYAH


kiya gaya “Ya Rasoolallah s.a.w! yeh kab hoga?” Aap s.a.w ne
irshad farmaya, “Jab gaane bajane ke aalaat aur gaane bajane
wali auraten zahir hongi neez sharab ko halal samajh liya jaega”,
Ise Tibrani ne riwayat kiya hai.

Hazrat Abu Malik Ash’ari r.a. kete hain Rasoolallah s.a.w ne


farmaya, “Meri ummat ke log sharab piyenge laikin uska naam
kuch aur rakhdenge unki sarparasti mein baaje bajenge, gaane
waliyan gaayengi Allah Ta’ala unhin zameen mein dhasadega aur
(baaz ko) bandar aur kinzeer banadega.” Ise Ibn-e-Maja ne
riwayat kiya hai.

Be-hayayi aur
fahash goyi ki
kasrat

MASLA - 49: Qayamat se pehle fahashi, be-


hayayi aur fahash goyi aam hojayegi.

20 THE WAY OF SALAFIYYAH


Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w ne
farmaya, “Be-shak Allah Ta’ala be hayayi aur fahash goyi ko
pasand nahin farmata ya Aap s.a.w ne yun farmaya ke Allah
Ta’ala be haya aur fahash goyi se bagaz rakhta hai. Qayamat
qaem nahin hogi yahan tak ke be-hayayi aur fahash goyi aam ho.
Qata’ rehmi ki jaye, hamsaye se bura sulook kiya jaye, kaen ko
amanatdaar kaha jae aur amanatdaar ko kaen kaha jae.” Ise
Ahamad ne riwayat kiya hai.

Kasrat-e-zina
aur sharab

MASLA - 50: Qayamat se pehle sharab aur zina


aam hojaega.
Hazrat Anas r.a. kehte hain main ne Rasoolallah s.a.w ko farmate
hue suna ke, “Qayamat ki nishaniyon mein se yeh hain:

1. Ilm uth jaega


2. Jihalat chajaegi

21 THE WAY OF SALAFIYYAH


3. Zina aam hoga
4. Sharab noshi aam hogi
5. Mardon ki kami aur auraton ki kasrat hogi.

Hatta ke pachaas pachaas auraton ki liye ek mard nigran hoga.”


Ise Bukari ne riwayat kiya hai.

Hazrath Anas Bin Malik r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w ne


farmaya, “Ilm-e-Deen uth jaega, Jihalat ka phel jana, Sharab piya
jana aur khullam khulla zina hona qayamat ki nishaniyon mein se
hai.” Ise Muslim ne riwayat kiya hai.

MASLA - 51: Qayamat se pehle sharab, zina,


resham aur mausiqi ko “sharyee dalael” ke saath
halaal aur jaez qaraar dediya jaega.
Hazrath Abu Amir Ash’ari r.a. se riwayat hai ke unhone Nabi-e-
Akram s.a.w ko farmate hue sona ke “Meri ummat ke kuch log
zina, resham, sharab aur mausiqi ko halaal karlenge.” Ise Bukari
ne riwayat kiya hai.

MASLA - 52: Log sharab ka naam badal badal


kar sharab piyenge.
22 THE WAY OF SALAFIYYAH
Hazrath Abu Malik Ash’ari r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w ne
farmaya “Meri ummat ke log sharab piyenge laikin uska naam
kuch aur rakhdenge unki sarparasti mein baje bajaenge, gaane
waliyan gaengi Allah unhin zameen mein dhasa dega aur (baaz
ko) bandar aur kinzeer banadeta.” Ise Ibn-e-Maja ne riwayat kiya
hai.

Wazahat: Mausiqi ko shar’an jaez qaraar dene wale “Ulama-e-


ikram tu ab inte kaseer tedaad mein hain ke unka shumaar karna
mumkin nahin. Misal ke taurpar mulahiza ho kitab halaal-o-
haraam az-ata Allah paalwi, zina ko bhi baaz ulama-e-ikram ne
halala ki shakal mein jaez qaraar derakha hai aur uske liye
sharyee dalael bhi diye jate hain. Tasweer ko jaez qaraar dene
wale aur khud apni dadhiyon banwane wale ulama-e-ikram to
beshumar hain, alcohol ko bator dawa istimal karne ki ijazat
dene walon ki bhi kami nahin, Yeh sab qayamat ke fitne hain.

23 THE WAY OF SALAFIYYAH


24 THE WAY OF SALAFIYYAH

You might also like