You are on page 1of 113

HUSSAIN(A.

S) HAQ KI TASWEER
Her tarah ki tareef ka sazawar wo wahid-o-yakta Parwardigar o Khailq-e-kul-e-Kainaat hai jisney apni raboobiat ke zahoor per waseeley muqarrar farmaey jinkey zareeay se wo pehchana jata hai ager wo wasail na khalq fermata tou Khuda ki maariffat namumkin thi jinhon ne apni janon ke nazraaney pesh kar k tauheed-e-Elahi ko zamaney main aam kiya durood-o-salam ho Muhammad-o-All-e-Muhammad(saw) per iss article ko likhney ki zaroorat achanak he uswat mehsoos hui jub utube per aik shetaan se badtar shakhs ki be-lagaam zubaan se Sarkar syed ul Shohada Imam Hussain(asws) ki azmat o buzurgi or shan-e-la mehdood main khabees kalimaat jaari hotey sunain jismey uss badkirdar o badnasl ne Imam Hussain(asws) ke mutalliq ye kalimaat kahey ke Hussain ka her iqdaam ghalat tha Hussain 72 janon ke qatl ke zimedaar, aur Hussain ne sahaba ki baton ko jhutlaya or jung k leay aag main jakar kood parhey or be gunnah logon ka qatl karwaya yaani unkey qatl k zimedaar Hussain hain(MaazAllah) yeh batain ahl-enajd ke bachey khuchey jaraseem ki taraf se aati hain koi Sunni,Brelwi aisa nahin jo aisa aqeedah rakhta ho sub k sub yazeed ko faasiq o fajir maantey hain or uss per lannat ko jaiz samajhtey pus hum saabit karaingey k Hussain(as) haq per thay aur izne-Elahi se jung karney ke leay rawana huey aur yazeed fasiq o fajir tha usska emaan main koi hissa nahin yazeed sunnat ka munkir tha aur iss amar ko saabit karaingey k Allah talla ne Khud Imam Hussain(asws) ka badla liya aisi riwayaat laayengey k Allah ne apne Nabi(saw) ko wahhi kar k bataya main Hussain(asws) ke badley itney logon ko qatl karoonga phir Hussain(asws) ke qatilon ka kya kya hashr hota raha Inshallah yeh bhi ahl-e-sunnat ki motaber kutub se saabit karaingey aur wo akhbaar naqal karaingey jin main ambiya(asws) ne Imam Hussain(asws) ke qaatilon per lannat ki saabit karaingey ke Hazrat(a.s) k qaatilon ka emaan main koi hissa nahin aur wo sub ke sub jahanumi hain sub se pehle hum Ahl-e-sunnat ki motaber tareen kutub se Imam Hussain(asws) ki fazail main aaney wali chund aik sahih ahadees ko pesh karaingey aur ussky baad un akhbaar ko naqal karaingey jin main Imam Hussain(asws) ki shahadat k mutalliq peshangoiaan ki gayeen phir issi tarah deegar umoor ka zikr karaingey aur Allah se maddad talab karaingeyaur aik martabah phir arz kartey chalain ke a hl-e-sunnat ki in motaber kutub se hawala jaat isleay deay jarahey hain kyunke khawarij(ahl-e-najd) bhi in kitabon ko hujjat maantey hain warna humain maloom hai brelwi hazraat Mola Hussain(asws) ke deewaney aur unkey haq honay k qayel or yazeed ke lanti honay k qayel hain

Mola Hussain(asws) k fazail-o-manaqib


Issmey main 2 fusool qayem karney ka irada rakhtahun pehli fasal main un ahadees ko naqal kiya jayega jo Mola Hussain(asws) ki fazeelat main ahl-e-sunnat ki motaber tareen kutub main sahih asnaad se waarid hueen or doosri fasal main un qurani ayaat

ka tazkira hoga jo Imam Hussain(asws) or deegar ahl-e-bait ke Haq main naazil hueen

Pehli Hadees
Bokhari,Tirmazi nisaai or ahmed ne ibn-e-abu naam se biyan kiya hai ke aik iraaqi ne ibn-e-Umer se machar ke khoon ke mutalliq sawal kiya tou ibn-e-umer ne farmaya dekho ye mujh se machar ke khoon k mutalliq pooch raha hai halankey inhee logon ne RasoolAllah(saw) k farzand ko shaheed kiya hai jubkey mene Khud Nabi(saw) se suna hai key eh dono duniya main mere phool hain 1-Sahih Bokhari jild 2 kitab ul manaqib baab manaqib-e-Hassan o Hussain(asws) safa 433 hadis 941 matboa Lahore..(mutarjum ne farzand ki jagha nawasa tehreer kiya hai yeh tarjuma unhon ne ghallat kiya hai qarieen arbi ibarrat ko ghor se parhain jismey ibn-eRasoolAllah(saw) likha hua hai) 2-Jamia ul Tirmazi jild 2 abwab-ul-Manaqib safa 573,574 baab manaqibe-Hasanain(asws) hadis 3540 matboa Karachi(tirmazi ne isey asli alfaaz main biyaan kiya hai jismey Hasanain(asws) ke naam lainey ka zikr hai aur tirmazi ne kaha hai isski misl abuhuraira se bhi marwi hai aur yeh hadis sahih hai.. 3-Nisaai fi khasais-e-Ali(as) safa 135,136 matboa Faisalabad 4-Masnad Ahmed hanbal jild 3 safa 297 hadis 5675 matboa lahore Ab in hawala jaat ke scan pages dekheay

Doosri Hadees
Tirmazi, ibn-e-majah aur hakim ne yaala bin marra se riwayet ki hai jubkey tirmazi ne Hassan(achi hadis) aur hakim ne sahih kaha hai ke Nabi(saw) ne farmaya Hussain(as) mujh se hai aur main Hussain(as) se hun Allah bhi uss se muhabbat karta hai jo Hussain(as) se muhabbat karta hai Hussain(as) bhi nawason main se aik nawasa hai

1-Tirmazi,Al jamia jild 2 abwab ul manaqib safa 575 hadis 3545 matboa Karachi 2-Ibn-e-majah al sunan jild 1 safa 72 hadis 149 matboa islamabad 3-Hakim, Al Mustadrak ul sahihain jild 3 safa 211 rakam 4886 matboa makka

Zara emaan se bataeay jis Hasti ko Nabi(saw) apna juzw qarar dey rahey hon uss se bughz rakhna ain Nabi(saw) se bughz rakhna hai ke nahin aur jisey Khuda itna buland martaba dey ke jo koi uss se muhabbat karega Khuda bhi uss se muhabbat karega kya usskey baarey main aisi batain koi musalmaan keh sakta hai??tou jo Hussain(asws) se bughz rakhey Khuda usska kya hashr karega ussey yeh fikr kyun nahin hoti

Teesri Hadees
Tirmazi ne abusaeed khudri,Hakim ne abusaeed or abdullah ibn-e-umer jubkey Nisaai or ahmed ne Abu Saeed Khudri he se riwayet ki hai or tirmazi ne issey Hassan Sahih kaha hai k Nabi(saw) ne farmaya Hassan o Hussain(asws) jannat ke nojawanon ke sardar hainhakim ne ibn e umer se in alfaaz main biyaan kiya hai Hassan o Hussain janat k nojawanon k sardar hain aur inka baap inse afzal hai

1-Trimazi, Al jamia jild 2 safa 573 abwab ul manaqib hadis 3538 matboa Karachi 2-Nisaai,Al khasais-e-Ali(as) safa 133, 134 matboa Faisalabad.. 3-Ahmed ibn-e-Hambal,Al Musnad jild 5 safa 8 hadis 11012 matboa Lahore 4-Hakim, Al Mustadrak jild 3 safa 198 hadis 4883,4884,4885 matboa makka..

4-Chothi Hadees
Bokhari,tirmazi or nisaai usama bin zaid(r.a) se riwayet kartey hain k Nabi(saw) ne Imam Hassan o Hussain(asws) ko liya hua tha aur farma rahey thay aye Allah main insey Muhabbat rakhta hun too bhi inse muhabbat rakh(tirmazi ne issey Hassan,ghareeb kaha hai aur in alfaaz ke izaafey se riwayet kiya hai Nabi(saw) famatey dono mere or meri beti ke betey hain) 1-Sahi Bokhari jild 2 safa 432 hadis 935 matboa Lahore 2-Tirmazi,Al jamia jild 2 safa 573 hadis 3539 matboa Karachi 3-Nisai,khasais e Ali(as) safa 133 matboa Faisalabad

5-Paanchveen Hadis
Hakim suleman farsi(r.a) se riwayet kartey hain k RasoolAllah(saw) ne farmaya Hassan o Hussain(asws) mere betey hain jisney insey muhabbat ki usney mujh se muhabbat ki jisney mujh se muhabbat ki ussney khuda se muhabbat ki aur ussey khuda jannat main dalaiga jisney insey bughz rakha ussney mujh se bughz rakha jisney mujh se bughz rakha ussney khuda se bughz rakha aur ussey khuda jahanum main dalaiga(issey hakim ne bokhari o muslim ki sharayet per sahih qarar diya hai)

Al Mustadrak jild 3 safa 197 hadis 4841 matboa makka


Ab Hussain(asws) se bughz wohi rakhega jisey Khuda or qayamat per yaqeen he nahin ager kisi ko Allah or qayamat per yaqeen hai tou beshuk wo aisi behooda harkat se tauba karlega lekin apne aiteqaad per qayem wohi rahega jo kafir hoga mushrik hoga

6-Chatti Hadis
Ibn-e-majah,Hakim Abuhuraira se riwayet kartey hain ke Nabi(saw) ne farmaya jisney Hassan o Hussain(asws) se muhabbat ki ussney mujh se muhabbat ki jisney insey bughz rakha ussney mujh se bughz rakha(hakim ne issey sahih ul sannad qarar diya hai.

1-Ibn-e-majah al sunan jild 1 safa 72 hadis 78 matboa Islamabad 2-Hakim,Al Mustadrak jild 3 safa 197 rakam 4842 matboa makka

7-Saatveen Hadis
Ibn-e-hijr bahawala tabrani Bibi Fatima(s.a0 se riwayet kartey hain ke Nabi(saw) ne farmaya Hassan(as) meri haibat or sardari aur Hussain(a.s0 meri jurrat or sakhawat ka nishan hai

Sawaiq-ul-Muharikka safa 636 matboa Lahore by ibn-e-hijr haithmi al shaafi


Swaiq-ul-Muharikka shion ke rad main likhi jaaney waali ahl-e-sunnat ki bari ehem or motaber kitab hai bawajood isskey ke ibn-e-hijr shion se itni nafrat kartey thay aisi riwayaat ko likh bethey jo Hussain(asws) ki waazey azmat o jalallat per shahid hain aur ibn-e-hijr ka aqeedah Imam Hussain(asws) k mutalliq waazey hojata hai shion se unhain bhalley jitni bhi nafrat ho magar Ahl-e-bait ki muhabbat ka andaza unki naqal karda riwayaat se lagaya jasakta hai.hum bhi tou yai kehtey hain k Hussain(asws) kisi aik firqey ke nahin Hussain(as) ki muhabbat tou Khuda ne quran main wajib ki hai anqareeb qurani fazail main isska zikr honay wala hai

8-Aathveen Hadis
Ibn-e-maghazli ibn-e-Abbas(r.a) ki aik taveel riwayet ke wast main Nabi(saw) ka yeh farman naqal kartey hain ke Ap(saw) ne farmaya Ali(as) ke beton se muhabbat karnay wala jannati aur insey bughz rakhney wala jahanummi hai yeh dono (yaani Hassan o Hussain(asws) tum main Allah talla ka karam aur toraat main inkey naam shabbar o shabbir hain

Manaqib-e-Ali(as) Abul Hassan ibn-e-maghazli baab 76 safa 202 hadis 188 matboa makka..
Ahl-e-najd ki mubaligha araai dekho Allah talla ke karam se munarrif bhi hain aur kabhi ussky karam ka mutalibba bhi kartey hain aye ehl-e-emaan ager tum main ratti bhar emaan bhi hai tou batao ke kya Allah talla ke karam se bughz rakhney waley aur ussper taan o tashnee karney walon ka emaan main koi hissa hai pus khuda lannat karey ahle-najd ke in jaraseemon per.Shabbar o shabbir toraat main Hasnain(asws) ke naam hain yeh isleay k Haroon(asws) ke beton k naam shabbar or shabbir thay chunaanchey Hakim ne Mola-e-Kainaat(asws) se riwayet ki hai k mene Hassan ka naam harb(marde-shujaa) rakha tha magar Nabi(saw) ne farmaya nahin Hassan rakho aur Hussain(as) ka naam bhi harb rakha tha magar Nabi(saw) ne Hussain(as) rakhney ka hukm diya aur teesrey farzand ka naam mohsin rakhney ki talqeen farmai aur farmaya yeh isleay kyunke Haroon(as) k beton ke naam Shabbar,Shabbir or Mushabbar thay Al mustadrak jild 3 safa 196 hadis 4838 matboa makka

9-Noveen Hadees
Ibn-e-majah ne zaid bin arkam(r.a) aur hakim ne abuhuraira se riwayet ki hai ke Nabi(saw) ne Hazrat Ali(as),Fatima(s.a),Hassan(as) or Hussain(as) se farmaya jo tumse jung karega main uss se jung karoonga aur jo tumse sulah rakhega main uss se sulah rakhoonga 1-Ibn-e-Majah al sunan jild 1 safa 73 hadis 151 2-Mustadrak al hakim jild 3 safa 174 hadis 4776 Hakim ne Hassan kaha hai aur zaid bin arkam ki riwayet ko issper shahid kiya hailannat ho ussper jo Ahl-e-bait(asws) se larey kyunke wo dar haqeeqat RasoolAllah(saw) se larta hai.

10-Dasveen hadis
Tirmzai Anas se riwayet kartey hain ke poocha gaya Ya RasoolAllah(saw) apko apki ahl-e-bait(asws) main sub se ziyada muhabbat kiss se hai farmaya Hassan o Hussain(asws) se yahan tak ke Nabi(saw) in dono k mutalliq farmatey mere beton ko bulao phir unhain soonghatey aur kalaijey se lagatey

Tirmazi,al jamia jild 2 safa 574 rakam 3542 matboa Karachi

Ab mukhtasar qurani ayaat ka zikr kartey hain jo in hastion k mutalliq naazil hueen choonkey mere pas sirf 3 din ka waqt hai issleay mene sirf 10 ahadees per iktiffa kiya Ahl-e-sunnat ki motaber tareen kutub main Hasnain(asws) ke jo fazail mojood hain ager main un tamam ko naqal karoon tou kum az kum iss amal main mujhey aik maheena guzar jayega magar choonkey waqt bohot kum hai aur deegar umoor per bhi roshni daalni hai issleay mene ikhtisaar ko apnayaqurani ayaat mulahizza hon

1-Pehli ayat
Allah ka irada hai k Ahl-e-bait se her qism ke rijs ko door kardey aur itna pak karey jitney k yeh mutahiq hain [Surah-e-Ehzaab ayat no 33] Muslim Ayesha se biyaan kartey hain Nabi(saw) ne Imam Hassan(as) Imam Hussain(as) Bibi Fatima(sa) or Hazrat Ali(as) per chadar daali or phir iss ayat ki tilawat farmai(1) Tirmazi umm-e-salma(r.a) se riwayet kartey hain key eh ayat mere ghar main nazil hui tou Huzoor(saw) ne Hassan,Hussain,Fatima or Ali(salawatullah alaihim ajmaeem) per chadar daali or farmaya aye Allah yeh hain mere ahl-e-bait too insey her qism ki napaki ko door kardey or inhain achi tarah pak kardey umm-e-salma(r.a0 ne arz kiya kya main bhi ahl-e-bait se hun farmaya tum haq per he ho(2)(yani ahl-e-bait se nahin ho or inki muwaddat per qayem ho jo ke haq hai)

1-Sahi Muslim jild 3 kitab fazail us sahaba safa 315 hadis 6211 2-Tirmazi jild 2 safa 578 hadis 3556
Tirmazi ne issey iss baab main mutaddad tareek se riwayet kiya haiyeh riwayet bohot se ulama ne mutaddad tareek se riwayet ki hai magar humari zikr karda baat ke waqt ki qillat humain ijazat nahin deti ke hum un tamam riwayaat ko yahan per naqal karain pus Allah lannat karey ussper jo itney tayyib o tahir gharaaney per shak karey jinse khuda ne her qism ki gandagi ko door kardiya ho wo ghallat kese hosaktey hainlannat ho ahl-e-najd per or banu umayya ke paltoo kuton per

2-Doosri ayat
Jub yeh tumse (Esaa(as) ke mutalliq hujjat karain tou keh dou insey aao bulayen hum apne betey aur tum apne betey hum apni oratain aur tum apni oratain hum apne nafs or tum apne nafs phir mubahilla karain aur jhooton per Allah ki lannat Muslim saad se riwayet kartey hain k ye ayat naazil hui tou Nabi(saw0 ne Ali,Fatima,Hassan,Hussain(asws) ko bulaya or kaha aye Allah yeh mere ahl-e-bait hain

1-Sahi Muslim jild 3 safa 302 hadis 6171


Hakim saad se yahi riwayet kartey hain

2-Al mustadrak jild 3 safa 176 rakam 4782


Abu naeem Dalayel-un-Nabuwat main shobi se riwayet kartey hain ke Hazrat jabir ibne-abdullah ansari(r.a) farmatey hain k yeh ayat inhee ke mutalliq naazil hui nafoos se murad Khud RasoolAllah(saw) aur Hazrat Ali(as) beton se muraad Hassan o Hussain(asws) aur oraton se muraad Hazrat Fatima(s.a) hain

1-Dalayel-un-Nabuwat safa 330 hadis 234 matboa zia ul quran publications 2-Tafseer ibn-e-Kaseer jild 3 safa 494 matboa Lahore 3-Sayyuti Dur-e-Mansoor jild 2 safa 109 zia ul quran publications

3-Teesri ayat.
(Habib) in se keh dou main iss kaar-e-risalat per koi ujrat talab nahi karta magar yeh ke mere aqariba se muwaddat karo [Surah-e-Shora ayat 23] Sayyuti ne ibn-e-Jurair ke hawaley se naqal kiya hai ke Jub Imam Zain-ulAbideen(asws) ko qaid kar ke laya gaya tou aik shakhs ne ap se gustaakhi ki tou Ap(as) ne farmaya kya too ne Quran nahin parha?phir Ap(as) ne iss ayat ki tilawat ki tou uss shakhs ne poocha kya wo tum ho?Farmaya haan

1-Dur-E-Mansoor jild 5 safa 1041


Ibn-e-hijr ne fakhruddin razi se naqal kiya hai ke ye ayat bhi Nabi(saw) ki ahl-ebait(asws) k mutalliq naazil hui

1-Sawaiq ul Muharikka safa 503 Chothi ayat


Zara inko thehrao ke abhi insey aik sawal kiya jayega[Surah-e-safaat ayat 24] Ibn-e-hijr ne delmi ke tareek se abusaeed khudri(r.a) se biyan kiya hai ke Nabi(saw) ne farmaya yaani isney Ali(as) ki wilayet ke baarey main poocha jayega,,,phir ibn e hijr likhtey hain ke goya ye al wahdi ki muraad hai kyunke iss se wa qufuhum anahum masaloon ke mutalliq marwi hai ke insey Ali(as) or ahl-e-bait ki wilayet ke mutalliq sawal kiya jayega kyunke Allah ne apne Nabi(saw) ko hukm diya ke wo logon ko bata dain wo tableegh-e-Risalat(saw) per aqariba ki muhabbat ke siwa koi ajar talab nahin karaingey..aur poochey jaaney ka mafhoom yeh hai ke kya unhon ne Nabi(saw) ke hukm per haq-e-muwalaat ada kiya ya issey zaya kardiya(yaani wila-e-All-eMuhammad(saw) per emaan laya ya iss se munkir hogaey)

1-Sawaiq ul Muharikka safa 503

Yeh chund aik muntakhib ayaat thieen jinka hum ne zikr kiya sirf or sirf waqt ki qillat ki wajha se haey haey kitna badnaseeb or kitna bad amal hoga wo shakhs jo un logon se bughz rakhta hoga jinki muhabbat quran main wajib kardi gai hai aur jinki muhabbat ko Ajr-e-Risalat(saw) qarar dey diya gaya ho Ab hum chund aik akhbar naqal kartey hain jo Mola Imam Hussain(asws) ki shahadat ke silsila main waarid hueen 1-Anas bin maalik riwayet kartey hain ke barish barsaaney waley farishtey ne Allah se ijazat chahi ke Nabi(saw0 ki khidmat main hazir ho chunaanchey ussey ijazat mil gai Nabi(saw) ne umm-e-salma(sa) se farmaya zara darwazey ka dhiyaan rakhna koi aa na jaye itney main Hussain ibn-e-Ali(asws) aaey aur kood kar ander daakhil hogaey aur Nabi(saw) ke kandhey per charhney lagey tou farishtey ne arz kiya kya Ap9saw0 iss se muhabbat rakhtey hain farmaya haanissney kaha Ap(saw) ka koi ummati he issey qatl karega ager Ap(saw) chahain tou main apko isski qatl gah ki matti dikhaoun yeh keh kar ussney haath jhukaya aur Ap(saw) ko surkh matti dikhaai jo baad main umm-esalma ne sambhaal li abu naeem kehtey hain ke suleman bin ahmed ki riwayet main hai ke jub issey Nabi(saw) ne soongha tou farmaya karb or bala ki boo hai chunaanchey hum kaha kartey thay ke Hussain(saw0 karbala main shaheed hongey..(1) 2-Anas bin haris riwayet kartey hain ke Nabi(saw) farma rahey thay mera yeh beta sarzameen e Iraq main shaheed hoga tou jo koi bhi uss dor ko paaey tou isski maddad kareyabu naeem kehtey hain chunaanchey ye Anas9r.a0 Imam Hussain(asws) ke humraah shaheed huey thay(wah rey najdi tujhey tou Mustafa(saw) ki baat per bhi shak hai ager Imam Hussain(asws0 ghallat hotey tou Kyun Nabi(saw) apne sahaba ko hukm daitey ke Hussain(asws) ki maddad karna kya Nabi(saw) sahaba ko haraam jung karney ka hukm dey rahey thay??? 1-Abu naeem dalail ul Nabuwat safa 511 hadis 480 2- Abu naeem dalail ul Nabuwat safa 511 hadis 481 Hakim umul Fazl se biyan kartey hain or main issey mukhtasar naqal kar rahah un ke jub Hussain(saw) Fatima(sa) ke batn-e-Mubarik se peda huey tou Nabi(saw) ranjeeda hallat main hujra main dakhil huey mene arz ki Ya Nabi Allah mere maa baa pap per qurbaan ap kyun udas hain?farmaya Jibrael(as0 ne mujhko khabar di hai ke mere ummati mere iss betey ko qatl karaingey mene poocha yeh?jibrael(as0 ne kaha haan or mujhey isski qabr ki matti dikhaai(1)

Al mustadrak jild 3 safa 210 hadis 4884

Iss barey main Ameer-ul-Momineen(asws) ki peshan goi..


Asbagh ibn-e-nabata ne riwayet ki hai ke hum Ameer-ul-Momineen(asws0 ke sath safar kartey huey Imam Hussain(as) ki qabr ki jagha se guzrey tou Ap(as) ne farmaya yahan inki sawariyaan thehrengi yahan inkey kajaawey utraingey aur yahan inka khoon bahey gay eh All-e-Muhammad(as) ke kuch log hongey jo iss maidaan main qatl hongey inper asmaan bhi roeyga aur zameen bhi(or ibn-e-hijr ne issey ibn-e-saad ke hawaley se shobi se riwayet kiya hai(sawaiq ul muharikka safa 641)

1-Dalail ul Nabuwat safa 532 hadis 518

Aisi peshangoiaan bohot ziyada warid hui hain hum ne chund aik bator-e-saboot pesh kardi hain jin se Imam Hussain(asws) ki mazloomiat ka andaza hota hai ap dekh rahey hongey ke sawaiq ul muharikka main umm-e-salma (ra0 ki yeh riwayet bhi hai ke mene hataf-e-ghaibi ko kehtey huey suna aye Hussain(as) ko jahallat o zulm se shaheed karney walon tum per Suleman,Moosa or Esaa(asws0 lannat bhej chukkey hain iss se saabit hota hai ke Imam Hussain(as) haq per thay aur apky mukhallif jahallat o batil per thay neez Imam Pak(saw) ke qatilon per lannat karna tareeqat o sunnat-eambiya(asws) haiaur wo ghallat kese hosakta hai jisper zameen o asman giriya karain kehney ko tou bohot kuch jee chahta hai magar waqt ki qillat mujhey ijazat nahin deti issleay main bagher lambey chorey istidlaal ke baat agey barha raha hun

Imam Hussain(asws) ne sahaba ki baat kyun na maani??


Mashoor riwayet hai ke akabireen-e-sahaba main se ibn-e-Abbas or ibn-e-umer ne Imam Hussain(asws) ko roka magar ap ne unki baat maan,ney se inkar kardiya Najdi maloon ne issi baat se hujjat pakartey huey apni zubaan ko Imam Hussain(as) ke khilaaf be lagaam kiya ke Hussain ne tamam sahaba ko musalamano ki baat ko rad kiya aur Hussain ghalti per thay maazAllahAli bin usman hajweri al maroof hazrat Data ganj bakhsh Kashaf ul Mahjoob main farmatey hain ke bilitteffaq Imam Hussain(saw) apne zamaney main sub se ziyada afzal thay aur ilm main bhi sab se afzal thay lekin najdi ke leay beshuk data sahab ki baat ki koi hesiyyat nahin yun tou ahl-e-najd ke leay Nabi(saw) ki hadis ki bhi koi ehmiyyat nahin magar apni zuban se wo yai kehtey hain ke humain yaqeen hai anqareeb aisi riwayet pesh karney waley hain jiss se saabit hojaega ke Sahaba(r.a) ke leay jaiz he nahin ke wo Ahl-e-Bait(as) ko koi mashwara dain kyunke ahl-e-bait(as) sahaba se ziyada deen ki samajh booj rakhtey hain aur unhain Allah ne mukhazin-e-ilm o madan-e-ilm banaya hai Jesa ke Nabi(saw) ne Hazrat Ali(as) ke leay irshad farmaya Jo koi Adam ke ilm ko Nuh ki itaat guzari ko Ibrahim ki khillat ko Moosa ki haibat ko aur Essa ki aajzi ko aik saath dekhna chahta hai tou wo tanha Ali ki taraf daikh ley Tafseer-e-Kabeer jild 8 safa 90 Phir tabrani ki aik sahih riwayet main hai ke tum log meri ahl-e-bait se agey mat barhna aur na he inkey barey main kotahi karna inko sikhaaney ki koshish mat karna wo tumse ziyada jaantey hain Sawaiq ul Muharikka 506

Hazrat(saw) ki yeh hadees ke Ahl-e-bait(saw) tum yani sahaba se ziyada ilm rakhtey hain iss baat ki waazey hujjat hai ke karbala ki jung main chuppa hua jo raaz Imam Hussain(as) per unki ilm ki wajha se ayaan tha sahaba ussey dekhney se ajiz thayKyunke Sahaba ko wo manzil-e-ilm nahin mili jo Ahl-e-bait(asws) ko mili hai karbala ki jung tou phir bhi itni wazahat rakhti hai lekin ager shubahat rakhti hai tou Hazrat Abubakar ki manaeen-e-zakaat ke saath jung jubkey Hazrat umer ne bhi kaha tha ke kya Ap un logon se jung kartey hain jo La illah.. parhney waley hain jubkey Nabi(saw) ne farmaya tha ke kalmia goh se jung karna haram hai lekin Hazrat Abubakar ne kaha ke khuda ki qasam main phir bhi zakat ke munkiron se jung karoonga(iss riwayet ke scan pages dekhney ke leay mere articleKhulufa1 on scribd ki taraf ruju karain) halankey yeh iqdaam abubakar ka shariyyat ke khilaaf tha magar hazraat-e-ahl-e-sunnat kehtey hain ke iss se saabit hota hai ke abubakar ilm main sahaba se sub se afzal thay kamala hai unki baari aai tou ilm Nabi(saw) ke jigger ke turkey ki baari aai tou ghalti subanAllah iss se kisi qism ka shak nahin rehta ke inki dushmani sirf Hussain(as) se hai Imam Hussain(as) ko sahaba ki taraf se rokney ki jitni bhi riwayaat ayeen un main kaheen bhi yeh baat nahin aai ke kisi sahabi ne unki iss jung ko ghalat kaha ho balkey wo sirf issleay Hussain(asws) ko rokna chahtey thay ke Hussain(as) ashaab-e-kissa ke akhri fard thay jiski wajha se log ap se be hudd muhabbat kartey thayAb hum tareekhi riwayaat ko naqal kartey hain jinki wajha se karbala bapa hui hum apne se kuch bhi likhney ke bajaey Ahl-e-sunnat ki motaber tareen tareekhi kutub ki ibaraton ko naqal kartey hain

Yazeed ki takht nasheeni aur talb-e-bait


Ahl-e-sunnat ke jaleel ul qadr moarikh o mufassir tabari biyan kartey hain ke yazeed ke baadshah banney k baad ussney waleed bin utba ko khat likha ke Abdullah ibn e umer Hussain Ibn-e-Ali(asws) aur Abdullah ibn-e-zubair se yazeed ki bait li jaey bait lainey main insey tashaddud karo jub tak bait na karain inhain zara bhi mohlat na dou

Tareekh-e-tabari jild 4 safa 139 hissa awal

Her koi janta hai ke Imam Hussain(asws) ne bila jhijhak khulum khula yazeed lanti ki bait se inkar kardiya tha

Imam Hussain(as) ne yazeed ki bait kyun na ki


Sayyuti ne tareekh-ul-Khulufa main riwayet biyan ki hai ke Nabi(saw) ne farmaya meri sunnat ko sub se pehle yazeed naami banu umayya ka shakhs badley ga(1) Sayyuti bahawala waqidi Abdullah bin hanzala al ghaseel se riwayet kartey hain ke wallah hum ne uswaqt tak yazeed per baghawat nahin ki jub tak humain yeh yaqeen nahin hoa ke asman se hum per pather bars jayengey kyunke fasq o fajoor ka yeh alam tha k log maaoun,behnon,betion se nikah kartey thay khulum khula sharab peetey aur namaz ko chortey thay(2)

1,2 Tareekh-ul-Khulufa az jalal-uddin sayyuti safa 300,301

Main kehta hun ke kash Abdullah bin hanzala ko usswaqt aqal ajati jub Hussain ibn-eAli(as) aisey fasiq o fajir k khilaaf challey bhalley lashkar-e-Hussaini ki tadaad kum thi magar her insane ko sochna chaheeay ke itne fazail ka haamil shakhs najaiz jung karney kyun jayega haqeeqat tou yeh thi ke Hussain(asws) shariyyat bachaaney gaey thay islam bachaney gaey thay jesa ke tareekh ne saabit kiya ke behn,beti or maa main koi farq na tha sharab sar-e-aam chalti thi log tarik-us-salaat hogaey thay aisey main kisi aisey khoon ki zaroorat thi jiski azmat se sab he waaqif hon chunaanchey Imam Hussain(asws) ne apna khoon baha ker duniya ko hidayet ki haq ki taraf kyunke batil tha aur batil parast tha tou maqsad e Hussain(as) yeh tha ke logon per yazeed ka badtareen chehra ayaan hojaey aur yeh kaam mazloom ne apna lahoo pesh kar ke kiya jiskey logon ko maloom hogaya ke yazeed kitna zalim hai jisney farzand-e-Rasool(saw) ke sath yeh salook kiya ager Hussain(asws) sar na kataatey tou aj bhi maa,behn or beti main koi fark na rehta.

Imam Hussain(as) ke gustaakh ke bura anjaam


Doraan e jung kisi shakhs ne Imam Hussain(asws) se kuch gustaakhi ki jasper Allah talla ne asman se ussper sitara gira diya aur usski ankhain dafa hogayeen

Tareekh ul khulufa safa 299


BESHUMAR HAWALEY HAIN ISS RIWAYET KE MAGAR AJ CHOONKEY ARTICLE MUKAMMIL KARNEY KA AKHRI DIN HAI ISSLEAY MAIN MUKHTASAR ZIKR KARTA JARAHA HUN

Shahadat-e-Mazloom(a.s) per Rehmatulilalimeen(saw) ki halat


Tirmazi ne Salma(r.a) se biyan kiya hai ke main umul Momineen umm-e-salma(r.a0 ke pas gai tou dekha a pro rahi thieen mene poocha ap kyun ro rahi hain tou farmaya mene abhi RasoolAllah(saw) ko khuwab main dekha ke apka sar-e-mubarik or resh-emubarik khaak alood hai mene poocha tou Ap(saw) ne farmaya abhi abhi Hussain(as) ka qatl dekh kar araha hun Tirmazi,Al jamia jild 2 abwab ul manaqib safa 574 hadis 3541 Ibn-e-Abbas(r.a) ka khuwab. Sayyuti hahawala behaqi ibn-e-Abbas(r.a) se riwayet kartey hain mene dopeher ke waqt RasoolAllah(saw) ko khuwab main dekha apky ball khaak alood aur muntashir hain aur aik sheeshi haath main hai jismey khoon bhara hua hai mene arz kiya yeh kya hai?Ap(saw) ne farmaya wo khoon hai jisey aj ikatha karta raha hun ibn-e-Abbas(r,a) farmatey hain mene wo din yad rakha aur baad main maloom hua yeh wo din tha jis din Imam Hussain(asws0 shaheed huey thay

Tareekh-ul-Khulufa safa 299


Yeh riwayet ahmed ne bhi biyan ki hai zikr ki gunjaish nahi masnad ahmed hanbal main masnad ibn e abbas main dekh lejeay iss riwayet ko

Umm-e-salma(r.a) gham-e-Hussain(as) main ro ro ker behosh hogayeen


Umm-e-salma ne jinaat ko Imam Hussain(asws) per noha kartey suna aur iss qadr royeen ke unper ghashi taari hogai

Sawaiq ul Muharikka safa 651


Saabit hua ke Imam Hussain(as0 ke gham main noha sun ker rona jaiz hai aur yeh kaam sub se pehle umhaa tul Momineen(ra) ne kiya lehaza yeh umul momineen umm e salma(r.a) ki sunnat hai.

Mazloom(a.s) k gham main jinaat ka noha

Allah ka elaan main Hussain(as) ka intiqaam lainay wala hun


Hakim ibn-e-Abbas(r.a) se bityaan kartey hain ke Allah ne Muhammad(saw) per wahhi naazil ki aur farmaya mene yahya bin zakariya(asws) ke badley 70,000 sattar hazaar logon ko qatl kiya aur tumhaarey iss betey ke badley bhi 70,000 ko qatl karney wala hun,,, Hakim ne isey sahih qarar diya hai or zahbi ne isski takhreej ki hai aur isskey tehet zikr kiya hai key eh hadees muslim ki sharayet per hai

Al mustadrak jild 3 safa 212 rakam 4888


Iss riwayet se saabit hogaya ke najdi maloon Allah talla ko bhi ghallat samajhtey hain kyunke yeh log Imam Hussain(asws) ke amal ko ghallat tasawur kartey hain phir Allah talla ka amal Imam Hussain(asws) ka badla laina bhi najdi maloono ke nazdeek ghallat hona chaheeay iss se saabit hua najdi Allah ke bhi munkir hain aur bila shubba mushrik or kafir hainbohot kuch hai kehney ko bohot kuch hai dikhaaney ko magar afsos waqt mujhey isski ijazat nahin deta InshAllah kissi article main iss per mufassil behes karoongameri her sunni shia wahabi deobandi se guzarish hai ke khudaara zara in dalail ko wusat e qalbi se dekheay aur apne emaan se faisla kejeay ke haq kya hai or batil kya aur kya imam Hussain(asws) per aitraaz karney waley ke leay emaan main koi hissa hosakta hai

You might also like