You are on page 1of 1

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai - 2 Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai Khench le na voh mera parde ka kona daffatan - 2 Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan-2 Woh kalai main tera kangan ghumana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai Waqte ruksat alvida ka lafz kehne ke liye-3 Woh tere sookhe labon ka thar tharana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai aagaya kal wasl kee shab bhee kahi zikr-e-firaaq-2 Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - 2 Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai ba hazaran istirabo sad hazaraan ishteyaque - 2 tujhse vo pehle pehel dil ka lagana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad ha *jaan kar hota tujhe wo kasad-e-pabosi mera aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai tujhko jab tanha kabhi pana to aj rahe lihaz hale dil baton hi baton me jatana yaad hai jab siwa mere tumhara koi diwana na tha sach kaho kya tumko bhi wo karkhana yaad hai*

You might also like