You are on page 1of 1

"Bhla dekha tm ne us shaks ko jo jhutlata he Allah k deen ko?

Yani wo jo yatimon k sath


bad'suluki krta he, maskinon ko khana khilane ki tabligh nhin deta. TO halakat he AISE NMAZION
klie jo ghafil hn apni SALAT ki ruh se. Rayakar hn ese log & bhalai k zra se bhi kam nhin krte." ~
Surah Ma'oon

Salat sirf Musalle pe khre ho k kch kalmaat ada kr dene ka nam nhin blke ye ik muashi o
masharti nizam he jise dunya mn qaim krne ka hukm hmen Quran deta he.

Jb ap masjid mn Salat klie khre hote hn to wo ik assembly hoti he js mn Imam apko Allah k
ehkamat parh k sunata he. Ayat 29:45 & 73:20 mn Salat ko Quran ki Talawat se link kia gya he,
yani actually ap apne code of life ko revise kr rhe hote hn. Zabta-e-Hayat ki yad'dehani ho rhi
hoti he.

Example:

Salat assembly k doran Imam talawat krta he: "wala talmizoo anfusakum wala tanabazoo
bilalqabi". (Naa aeb lgao ik dusre pe & ik dusre ko bure naam se bhi na bulao). & ap is Ayat pe
Sajda krte hn to ye apka Allah se promise he k ap kisi insan ko defame nhin kren ge & foul
language bhi nhin use kren ge. Apko ik mannerism ka code remind krwa dia gya k ap ne kese
behave krna he, then ap Masjid se bahir apni us Salat ko Qaim krte hn. But ye tb hi possible he jb
hm Ayat 4:43 ko follow kren jis mn Allah ne farz kr dia k apko Salat ki assembly mn fully-
conscious condition mn hona chaiey k apko pta ho k ap keh kya rhe hn.

Next step 42:38 se clear. Allah says: "Jnhon ne Allah ka hukm maan lia & Salat qaim krte hn,
unke mamlat mutual-consultation se chlte hn & wo apna maal kharch krte hn (in Allah's way)."
Salat mn ap ne jn Ayaat pe Allah se commitment ki, then wo ehkamat society mn Shoora k nizam
k tehat nafiz bhi krne hn.

You might also like