You are on page 1of 11

PART A

Feedback is required. Please comment to let me know your views about this novel.

Na tum mera phone utha rahe ho na hi mere messages ka reply? Aur tum yaha is tarah bethe
ho?
(Ghar ki chat k kinare per bethe Sahil ko usne qareeb aa kar kaha)

Tumhe kese pata chala main yaha hoon?
(Usne dheemi se muksrate usay jawab diya)

Very funny! Ab mujhe batao ge phir kis baat per tumhe ye attack hua ha?

Mujhe to koi heart attack nahi hua.

Shut up Sahil! Fuzool batein mat kiya karo tum ye Mazak aur jhuti smile se kam se kam mujhe
nahi bhela sakte.

Aray kia hogya ha? Mujhe kuch nahi hua motu.
(Sahil ne uska hath pakar kar usay tasali dene ki koshish ki, ye jante hue k uski koshish kisi kaam ki
nahi)
Sahil aur Shizreh ki dosti 12 saal purani thi, waqt k saath saath dost se best friends aur hum-raaz,
hum-dard ban chuke thay ek dusre ki life main aur shayad hi koi baat aisi thi jo inki apas main
chupi hui ho.

Sahil tum kab tak khud ko aise jalate raho ge? Khud ka haal dekho, tum kia thay aur kiya
hogae ho? Kab tak tum ek hi baat ko drag karte raho ge (Enough Is Enough Sahil!), Tum puri
dunya ko bewakuf bana sakte ho apne in jokes aur muskrahat se magar tum mujhse nahi
chupa sakte ho.

Motu jab tum sab janti ho to kyun baar baar ye sab kehti ho, tum khud kehti ho waqt sab theek
kar deta ha to phir.

(Shizreh ne Sahil ki baat adhe main hi kaat di.)

Haan kaha tha mene lekin waqt ho ya koi aur marham who tab hi apna asar dikhata ha jab
tak insan usko mauqa de aur khud koshish karna chahe magar tum ne khud ko aziat dene ko
jese maqsad e hayat bana liya ha, Kisi ne nahi unka socho jo tumse pyar karte hain, Tumhe
maloom ha tumhari ye halat mere lea kitni takleef deh ha?

Haan janta hoon k tumhe takleef hoti ha lekin tum bhi mera haal samjhne ki koshish karo motu,


tum sab se wakif ho tumhe sab pata ha phir tum kyun nahi samjhti? mene apne dil, is m chupi
khuwaisho ko khatm kar dia ha, mujhe kisi se koi wasta nahi h, dil ko mene muthi m daboch liya
h k ab ye chahe bhi to nahi jee skta, umeed, pyaar, saath, khushi, jeena ye sab mere lea ab be
matlab hain, main bas us insan ki tarah hoon jo salon se bistar per h sans lerha ha per kuch
karna uske bas main nahe, mera dil ab us parinde ki tarah h jo qaid hogya ha ek bina darwaze
k pinjre main. chordo sochna.

Main tumhe aise nahi dekh sakti sahil tumhe mera khyal bhi nahi hai? Please mujhe mera sahil
de do?
(Shizreh ne bheegi palkon se usay kaha)

Tumhara Sahil? Vaise tum aaj bauht khubsurat lag rahi ho, ye mere liye hai to I am so pleased
(Sahil ne muskra kar usay shararat bhari ankho se dekha)

Tum na Flirt karne se baaz aa jao verna tum jante ho Shizreh Ali kia kuch kar sakti ha, Tum
meri baat ka jawab kyun nahi de dete akhir, har baar tum thore din baad khud ko is tarah
takeef dete ho phir

Shizreh yaar choro ye sab
(Ek baar phir hamesha ki tarah usne baat badalne ki koshish ki thi)

Ok Fine, Now please thora khud ko bahar nikalo in sab se and chalo mere saath ab

Mujhe kidnap karne ka irada ha to pehle hi bata doon is se haseen kidnapping aaj tak nahi hui
hogi aur iske natije ki zimedar tum khud hogi, My Dear Friend. Kahi tum se pyaar hogaya to?

Ohh God, Tumhara main kuch nahi kar sakti, now please get ready I am waiting for you
downstairs.
(Shizreh ne stairs se neeche jate hue usay kaha)
=============================================================================
===============

PART B

Kahi apko hospital main kisi ward boy ya Dr se muhabbat to nahi hogai na?
(Hospital k kamre main andar aate hue Sahil ne Shizreh se kaha)

Agae aap, chalein aise hi sahi kam se kam jinaab ne apni vacation to khatamkardi, verna
irade to mujhe kuch theek nahi lag rahe thay.
(usne jawaban tanziya lehje k saath muskrate hue Sahil se kaha)

Aunty, main to apke lea aaya hoon verna is churail k lea kon itni khubsuratjagah se wapis
aata.
(usne Shizreh ki ami ki taraf mukhatib hote hue kaha)

Sahil aaj 15 din baad murree se wapis Karachi aya tha, Pichli raat shizreh khospital main admit
hone ki khabar usay mili thi aur woh foran Karachi agaya.

Haan to aap se kaha bhi kisne k aap ajao apna qeemti tour chor kar, jaha apkadil nahi bhar
raha tha na hi itne dino main koi theek se baat karne ki taufiqhui apko



Uff!! Aunty lagta ha aaj mausam kafi khrab hain toofan aane ka khatra lag rahaha behtar hai
hum saaya le lein
(usne haste hue Shizreh ki baat ka jawab diya)

Main aaya aur tum hospital se discharge hogai, How lucky I am for youdarling.

Darling my foot you just go from here, main tumse koi baat nahi karna chahti.

Aunty main saman le kar jarha hoon neeche main apka wait kar raha hoon, menehospital kay
mamlaat sab clear kar diye hain aap bas ajain I have her documentswith me.

Raasta khamoshi se guzra tha, dono jante thay k woh ek dusre se ami k samne koibaat theek se
nahi kar pae ge islea dono chup thay.

Beta tum hi kuch samjhao isay main bauht pareshan hogai hoon ab is umar main najaane
kitne din reh gae hain mere paas main isko aise dekh k mazid ghabra jatihoon, mere baad iska
kia hoga kuch samjh nahi aata tumhe to pata haina.
Ghar kay darwaze per puhanch kar shizreh foran apne kamremain chali gayi aur uski pareshani
main ab sahil se baat kar rahi thin. Ma akadil bhi ALLAH ne pata nahi kis mitti se banaya ha khud
per chahe kitne hi musibateinaye pareshani ho per bachon ko is haal main dekh kar woh tarap
si jati hainjese kisi ne machli ko pani se nikal dia ho

Jee mama, mujhe sab pata ha dont you worry main dekhta hoon isay aap fikar nakarein, aur
abhi to apki jawani ha abhi kaha jaane ki batein kar rahi hain aap

Sahil apni walida ko ami aur Shizreh ki walida ko mama kehta tha, unho ne kabhiusay apne
bete se kam na samjha tha aur ghar ki ek fard ki tarah hi tha.

Ye lo coffee Senorita, aur ab sukoon se mujhe batao kia hogaya ha kyun tumaisa karti ho har
baar haan?
Sahil jis waqt kamre main aya us waqt Shizreh khirki k paasbethe doobte hue suraj ko dekh rahi
thi aur Sahil uske samne aakar kursi lekeqareeb hi beth gaya.

Sahil, please tum jao mujhe kisi se koi baat nahi karni main theek ho pleasego now ab aur kuch
nahi suna chahti main na kuch kehna ha

Tumne kaha aur mene sun liya haan? Please na yaar batao kia baat ha kyun itnatang karti ho
tum?
(Isne Shizreh ka haath ka pakar k usay dheemi awaz se kaha)
Sahil tum mujhe batao kiya beti hona itna bura ha? Kiyalarki hona itna bara gunah ha? Kiya ye
ALLAH ka faisla nahi k main is dunyamain aao?

Oh to main theek tha phir us insan ne kuch kiya ha? Shizreh I swear I am goingto kill him now
enough is enough us insan ka masla kia ha akhir?

Jo ansu woh kafi der se roke hue thi ab uski ankho se beh rahe thay aur wohsisakte hue Sahil se
keh rahi thi, Dunya main agar kuch na-pasand chezein thito Sahil k lea Shizreh k ansu un main se
ek thy.
Aray baba tum kyun aisa sochti ho? Agar tum na aati isdunya main to mera kia hota? Meri
stupid si batein kon suntan mere songs konsunta kon mujhe raat k 4 baje bore ho kar bulata?


Aur tum na hoti to tumhariami ka kia hota?
(usne shizreh ki bheegi palko ko saaf karte hue kaha)
Tumhe pata ha Sahil, ye ghar jo dada ne hamare naam karatha na is per Mr Ali Khan ne case
kar diya ha aur humse property wapis dene kakaha ha, aur ami ko bauht kuch kaha ha, phir se
meri paidaish k taane phir semere hone se unki barbadi ka qisa dohraya ha, Main q paida hui
Sahil? Main naaati to Ami ki divorce bhi na hoti.

[Shizreh ki ami Ms Samrah ki shadi unki phupho k bete Ali se hui thi, Shadi kforan baad Ms
Samrah ko pata lag gaya tha k unke shohar ko drink karne ki aadathai aur Is wajah se unka
business bhi buri tarah mutasir hua ha, yahi un dono kbech hone wali doori ki pehli wajah thi, aur
Shizreh ki paidaish per Mr Ali neunhe divorce ye keh kar de di k unhe beti nahi chaiye thi aur
woh ye bojh nahiuthana chahte, Divorce k foran baad Ali Khan k maa baap ne usay ghar se
nikaldiya aur woh dubai chala gaya, Shizreh k dada daadi ki ab death ho chuki thiaur ghar is
waqt Shizreh k naam per tha. ]
Shizreh yaar tum kyun aisa sochti ho? Tumhe kia lagta haagar beta hota to un dono k beech
rishta chal paata? Aunty namazi hain aur wohek sharaab peene wala ayaash insan, 2 shadia
unho ne baad main bhi ki lekin huakia bete hone k bawajud unhe bhi divorce de hi di na? Ami
batati hain k tumharepaida hone se pehle bhi un dono k beech main bauht jhagre hote thay
islea tumaisa na socho, you know na you are the most precious gift Allah has ever givento me?
[Shizreh aur Sahil neighbor bhi thay aur dono ki mothers dostthin, yahi wajah thi bachpan se hi
woh ek dusre se wakif thay lekin unki dosti10 saal ki umar main hui jab woh school main class
mate bane tab se le kar aajcollege tak dono saath parhte rahe hain, ek hi school aur college
main rahe]
Sahil ye betia kyun itna bojh hoti hain? College Khatamhone main abhi 1 saal ha verna main
job kar k ami ko har qaid se azad kar detimain nahi chahti woh kisi k sahare pe rahein, Sahil
betia itni buri hoti hain?Kyun itni haqarat se dekha jaata ha hamein? Hum kia sach main bojh
hain?

Shizreh dont be stupid us insan ki baton ko tum q leti ho dil per? Betia toALLAH ki rehmat hoti
hain aur is rehmat ka andaza wahi insan kar sakta ha jisayALLAH se muhabbat ho, Hazrat
Muhammad SAWW ki bhi to sirf betiyan thi na aurtumhe to pata ha k Bibi Fatima se unhe kitni
muhabbat thi, aur Bibi Zainab bhito ek beti thin na unka rutba bhi tumhe maloom hai, aur agar
betia na hoti todunya ma maa kese hoti aur maa nahi hoti to dunya main log muhabbat
kesesekhte?
Aur tum dekho zara bas ab main wakeel uncle k through is insaan ka haal kiakarta hoon, isko
ghar to kia main tmhara ek ansu na du ab, what he think ofhimself? Aur hamara F.SC khatm
hojae phir hum dono papa k office main job karege meri salary bhi tum rakh lena main bas
tumhara sar khata rahu ga theek ha?
(Itni der main pehli baar Shizreh k chehre per muskrahat ayi thi)
Excuse me, Job k lea uncle ne mujhse promise kiya ha unkeoffice main tumhare jese duffer ki
jagah nahi so please haan
Haan kiya karu tum ne mera sar jo khaa lia ha pichle 8saalon main, kese jaldi itna arsa guzar
gaya na? Ye to acha hua tum aur mainbachpan ma hi dost na ban gae verna ab tak to pagal
hojata main.

Kiya tumhe bhi shizreh bojh lagti ha?

Nahi Shizreh mere lea sabse important ha meri jaan se bhi ziada qeemti, youidiot.
Ab chalo tum bas ready hojao, main abhi ghar se ho kar aata hon unhe nahi patak main wapis
agaya hoon, phir hum chalte hain dinner aur ice cream khanetumhari favorite jagah per, mujhe
tumhe ek baat batani ha.




====================================================================


PART C

Shaam k akhri kuch pal thay aur woh dono aksar in lamhaatmain suraj ki uraan ko dhalte hue
dekhne yaheen samandar k kinare aate, aurghanto yaha beth kar is manzar ko dekh kar ek
dusre ko behlate, sardiyon kishaam thi aur lehrein tez thi yun jese koi toofan aana ho.

Shizreh tumhe pata ha ye waqt na suraj ki tarah hota hai, hamari zindagi mainye hamein
oonchi uraan per le jaata ha itna oncha k hamein pata tak nahi chaltak kuch waqt main sab
kuch dhal jae ga aur hum phir ek dum se mu k bal aakerzameen per gire ge, aur phir waqt
aajata ha jab andhera hojata ha har tarafkhamoshi hoti ha aur phir chaand hamein methi
thandi si roshni deta ha tumhepata ha meri zindagi main na woh chamakta chaand tum ho.

Kiya baat hai mera dost aaj philosopher hogya hai? Aur merizindagi main tum ho woh roshan
chaand jisne hamesha meri zindagi k andhero komunawar kiya ha.

Hmmm haan lekin ye chaand hamesha nahi hota na motu ye hum se door bhi hojataha hota
ha per dikhta nahi ha iski roshni hum tak nahi aati.

Sahil main shayad har waqt tumhare paas na rahu lekin mera saath hamesha hogamain kabhi
tumhe akela nahi choru gi tum ye mat sochna k main.

[Sahil ab uski ankho main dekh raha tha jin main halki sinami thi]

Shizreh I know tum kabhi nahi choro gi mera saath dunyamain ek tum ho jiske paas mere har
ansu meri har khushi k lea waqt aur saharahota ha, main to bas aise hi bas kuch nahi.

Tum kab tak khud ko aise aziyat doge han? Yaar jo hua sohogya ab us baat ko tum beth kar
kyun aise khud ko jala rahe ho? Sahil pasttumhe kuch nahi dega bas tumhe torta rahe ga tum
apni halat dekho siwae meretum kisi se nahi milte, tum ne job chordi, parhna chor dia, kaam tak
tum dihanse nahi kar rahe. Main hoon tumhare paas tumhare saath magar dunya main ekinsan
k sahare nahi jiya jaskta aaj ma hoon tumhare paas tumhe cheer up karne klea kal meri life
mujhe kaha le jae kisi ko kia pata?

To tum bhi mujhse bezar agai ho jana chahti ho? Jao phir,main akela theek hoon jab 1 saal
main nahi mara to ainda bhi kam se kam saanslena aata ha mujhe.

[Sahil ki ankhein bheegi hui bhi thi aur chehra surkh bhitha kuch aise jese koi khoof aake guzra
ho chehre se, Insan kitna be-bas hakhud ko bauht kuch samjh leta ha per haqiqat main woh
shyad kuch bhi nahi, kabhi rone k lea tanhai ka sahara kabhi hasne k lea kisi roshni ka
intezar,kabhi dil k hatho to kabhi waqt aur rishto k hatho majbur insan, muhabbat ho tolachargi
na ho to intezar aur ho k guzar jae to uske chale jane ka ghum]

Sahil tum stupid ho mene kab kaha main tumse bezaar hoonaur tum ab mujhse bhi yehi
kahoge? Main khud se apni zindagi se bezaar hojao giper tumse nahi, tumhe andaza hi nahi k
tum mere lea tareekh raat ma chaand kilawa aur kia kuch ho. Dekho main tmhari best friend
tumhari hum-raaz hoon permain larki bhi hoon mujhe ek din jana hi ha, tab saath hoga mere
per maintmhare paas shyad na hu.


Sahil zindagi ruk nahi jati kuch khone k baad, kuch milta ha kuch nahi miltaisi ko zindagi kehte
hain, jab daddy ne mera saath chora to mujhe ALLAH netumhara saath diya, to kia main
tumhare milne main khush rehti ya apne dad k nahone k ghum main tumhare jesa haal bana
leti?

To kia main ye sab deserve karta tha? Mujhe kyun woh sabmila jisne mujhe aisa bana diya?

To kia main ye deserve karti thi haan? Phr mujhe kyun yesab mila?

I know tum ye sab deserve nahi karti per.

[Shizreh ka chehra ab surkh ho chuka tha chehre per pareshani aur khafgi ktasur wazeh thay, ab
usne uski baat adhe main kaat di thi, kuch lamhe khamoshihui, Sahil doobte hue suraj ko dekh
raha tha aur Shizreh ki ankhein Sahil kiankho main nami ki maujoodgi ma khushi ki kisi kiran ko
dundh rahi thin.]

Sahil per, agar, magar ye tum bauht kar chuke, tumhe apnanahi ha na khayal unka karo jo
tumhare lea pareshan hain, jab tumne mera saathdiya tha tab tumne kaha tha k kisi ka saath
itna haseen hota ha k insan hardukh bhul jata ha aur main apna har dukh bhul gai, ya phir mera
saath hi isqabil nahi k tumhe khushi de sake? Tumhe agar kuch nahi mila to usko na dekho
perusko dekho jo tumhe mila ha.

[Sahil ko ehsas tha k Shizreh pareshan ha aur kuch khafa bhihorai hai, usne uska haath thama
magar shizreh ki ankhein ab bhi samandar kilehro ki oonch neech ko dekh rahi thin]

Yaar tum to mujhe samjho na tumhara saath ha tabi maindunya k samne khush hoon kam se
kam unse chupa hua hoon aur tumhare saath kikoi ghalti nahi ha bas mera dil jeena bhul gya
ha, ab tum mujhe foran pakarleti ho is main meri kia ghalti ha, Please na I am sorry yaar baat to
sun lo.
Motu baat to suno tum bhi naraz hojao gi, aur tum bhi sab bhul nahi gai ho menebhi tumhe
kuch khone per ab bhi rote dekha ha islea mujh per mat ho gussa tum.

Dil jeena bhul gya ha to jeena sikhana parta ha aisa nahihota k khud ko devdas bana kar aise
haal bana do apna insan kuch khayal kar lekam se kam apna nahi mera to khair tumhe koi nahi
khayal per mama ka socho wohmaa ha tmhari unhe pata ha tumhara haal, haan mere dil k kisi
kone main ab bhiha malal kuch khone ka, sochti hoon k kal meri shadi hogi aur mere sar
perhaath rkhne wala woh shafqat bhara haath na hoga lekin ye sab mene dil k kisiek kone main
chupa diya ha jo tab hi nikalta ha jab koi isay khurede verna meradil jeeta ha aur ye baat tum
ache se jante ho, Sahil jo hamare lea acha ha wohhamein milta ha thori si azmaish hoti ha kuch
khona bhi parta ha per jo hamaraha woh kisi aur ka nahi ho pata kabhi bhi ye baat tum samjho
ge to hi tum jeenasekho ge, Zindagi pehle hi asaan nahi tum isay aur mushkil na banao apne
lea,main tum se waada kar rahi hoon na jeena sekho dil khud kahe ga tumse mujheroshni
chaiye, aur tumhare hise ki har khushi tumhe khud mile gi.

Koshish karu ga lekin I know main nakaam hojata hoon harbaar lekin tum to naraz mat ho?
Acha chalo to hum tumhare favorite restaurantchalte hain and waada, main koshish karu ga is
baar sache dil se lekin tum hito kehti ho waqt khud sab theek karta ha waqt se acha koi
marham nahi...haanjanta hoon uske lea bhi us marham ko mauka dena chaiye tab kuch hota
ha sabsamjha ab please pyari si dimple wali smile de do?

Main koi moti nahi jo tum mujhe ab tak motu kehte ho us dintum ne us Sana k samne bhi yehi
motu kaha tha tumhe pata bhi ha kay k meri usse kabhi nahi banti aur tumhe mere saath dekh


kar woh jal jaati ha bachpan sehi jali hui to ha mujhse aur tum ne mujhe uske samne kaha?
Main bachpan mainthi moti ab I am much smarter than any of the girls you know is that clear?

[Sahil ab khoob has raha tha aur Shizreh k is jhute gusse neapna maqsad paa liya tha, Woh
muskrahat jo usay chaiye thi ab mil gai thi, Sahil uska hath thaam kar usay parking tak la kar
gaari (Car) ka darwara kholraha tha]

I know you are smarter than any of the girl I know per mainto pyaar se kehta hoon na tumhe
motu konsa tum sach main moti ho, tumse haseento shyad hi koi upar se utra ho is sadi main

Uff! Tum aur tumhara flirt dono ka koi ilaaj nahi ha,la-ilaaj bemari ha, ab please kia hum chal
sakte hain yaha se? Mujhe bhook lagrahi ha tumhari wajah se mene lunch tak nahi kiya, aunty is
qadar pareshan thikay main unhe intezar nahi karwa saki.

Chal raha hoon boss wahi chalraha hoon, mama to bas pareshan aise ho hojati hain, mujhe
kia hua ha.





PART D

Hum kahan jarahe hain?

[Woh dono gaari (Car) main thay, Shizreh dopahar main hi hospital se 4 din baad discharge hui
thi aur Sahil usay bahar le aaya tha]
Tumhe kidnap kar raha hoon motu
Mujhe kidnap kar k tumhe sirf musibatein mile gi, ab batao ge hum kaha jarahe hain? Jabse
tum Murree k tour pe gaye ho kuch badle badle se ho kia baat ha? Phone per bhi tumhara
andaaz kuch alag tha, wajah kia ha akhir is muskrahat ki
Tum itna jo muskra rahe ho kia ghum ha jisko chupa rahe ho.

[Sahil ab dheemi si muskaan k saath usay dekhte hue gun guna raha tha]
Uff Sahil agar tum ne nahi na bataya to mene handbrake kheench lena ha
Aray yaar kaha to tha ek baat batani ha to ek surprise haina bas
Chalo dekh hi lete hain surprise tumhara, Kia aisa surprise ha akhir
[Shizreh ne cherhne wale andaaz main usay muskrate hue jawab diya]
[Woh dono is waqt Sahil-e-Samandar se guzar rahe thay, Kuch lamhe khamoshi hui, Khamoshi
kahi to toofan le aati hai aur kahi bahaar, yun na-jane kia baat hogi aisi kia wajah hogai k Sahil


achanak se itna badla badla lag raha ha. Shizreh inhi uljhano ko suljhane ki nakaam koshish ya
kamyab koshish ko nakam kar rahi thi, Insan kabhi kabhi sab kuch jan kar bhi anjan reh kar dil
behlata ha]
Kaha gum ho?
Hunhh??
Mene kaha kia hua kaha gum ho?
Main main bas kuch nahi aise hi soch rahi thi kuch, Kuch khaas nahi bas aise hi, Bas choro.
Aray kia baat hai? Batao na.
Kuch nahi bas tumhe kuch batane ka soch rahi thi per tumhare surprise ka bas wait kar rahi
hoon, aur kitni der lagni ha?
Bas agaye ye samne hi parking ha
[Woh dono ab Samandar k kinaare maujood ek restaurant main thay, Shaam ab ahista se dhal
rahi thi aur raat andhera lekar bas kuch hi pal main aane wali thi, Woh andhera jiske aane se
kahin to roshni hojati ha kahi andhera, kahi suraj nikalta ha kahi raat hojati ha Khuda k nizaam
bhi kia khoob hain la-jawab aur be-misaal.]
Kia hua? Kisi ko dundh rahe ho?
[Woh dono restaurant k reception per thay aur Sahil jese kisi ko talash kar raha tha]
Oh there she is, Shizreh ao tumhe kisi se milwana ha.
Hmmm to ye baat thi yahi wajah thi muskrahat ki haan.
[Shizreh ne dil main maujood toofan aur be-chaini ko ek awaz lagai, dil k kone main maujood
kisi weham ne ab yakeen ka darja hasil kar liya tha.]
Asalam O Alaikum
[Khubsurat chehra, sunheri reshmi se khule baal, dheemi muskaan, bari aur gehri kajal lagi
ankhein, darmiyana qad, halka sa make up, lambi kurti, jeans aur.Shizreh is waqt samne
maujood larki ka dil hi dil main gehra tajzia kar rahi thi]
Walikum As Salam, Shizreh ye hai woh surprise Kinza meri friend, aur Kinza ye hain meri sab se
achi yun kaho k meri hum-raaz meri best friend, jo mujhe khud se bhi ziada janti ha shyad dunya
main sab se ziada qareeb koi ha mere to woh ye ha Shizreh.
Asalam o Alaikum Kinza
[Woh dono is waqt halki si muskrahat k saath ek dusre se gale lag kar mil rahi thin]
Walaikum Salam Shizreh kesi hain aap? Apke bare main mene itna suna hai k aap ka mene
chehra sa apne dimagh main bana liya tha, jab bhi Sahil se baat hui apka zikar kese na kese
hamari guftugu ma shamil tha.


Umeed hai apne acha suna hoga aur main apki imagination jesi hi hoon, Mujhe to apke bare
main la-ilm rakha gaya jiski khabar main baad ma le hi lugi, per badle badle se andaaz kuch
bayan to kar hi rahe thay.
[Woh teeno ab has rahe thay aur restaurant k kone per rakhi table per beth chuke thay, Suraj
ab mukamal dhal chuka tha aur raat ka andhera dastak de chuka tha]
Vaise ye ap dono doston kay apas ka mamla ha aap jo saza dena chahe Sahil ko manzoor hi
hogi, vaise ziada to kuch nahi tha batane k qabil phir bhi batana zaroori tha Sahil
Aap na bhi kaho Kinza, inho ne mujhse ab hisaab zaror lena ha, Shizreh main sirf tumhe surprise
dena chah raha tha main tumhe batane hi wala tha bas k aunty ne mujhe phone per tumhari
tabiyet ka bata diya main pareshan ho kar foran bhaag aya.
Ohh I am so sorry main puchna bhul gayi, Aap ab kesi hain? Mujhe pata laga k aap hospital
main admit hogai thi, Sahil bata rahe thay k aap ka BP low hogaya tha is everything Ok now?
Jee I am perfectly alright kafi din araam kiya ha aur bas abhi hi hospital se discharge ho kar
yahi aarahi hoon in sahib ka surprise dekhne jo behad khubsurat ha, aur Sahil Sahab aap se to
khabar baad main hi li jae gi mere upar ilzam laga kar aap bhaag nahi sakte aise.
[Ek baar phir teeno muskra rahe thay, Samandar ki lehrein tezi se kinare se takra kar wapis horai
thi, bauht kam hi log aas paas maujood thay]
Ohoo Sahil aisi bhi kia jaldi thi k aap direct inhe hospital se hi le aaye? Main 2 3 din baad wapis
jarahi thi, aap ne khama kha zehmat di Shizreh ko, aur main kam se kam aap jitni khubsurat
nahi, bauht kam logo ko natural beauty milti hai aap un khush naseebo main se ho.
Aray nahi its Ok, Sahil Sahab aisi zehmatein roz hi dete hain zahir ha itne salon ki dosti ne itna
haq to diya hi ha, I am glad to meet you dear.
[Kinza, Sahil ki khala ki beti aleena ki in-laws relative thi, dono ki mulaqat kuch mahine pehle ek
family function main hui, Kinza kyun k dubai main rehti thi islea dono ki uske baad mulaqat to
nahi hui albata social site per batein kia karte thay, Kinza in dino Pakistan main maujood thi aur
Murree main apni khala k haan theri hui thi aur Sahil k Muree jaane ki wajah Kinza se mulaqat hi
thi, dono ki dosti ab qurbat main tabdeel ho chuki thi, aur Muree main saath guzara waqt dono
ko mazeed qareeb le aya tha, Shizreh k achanak beemar hone ki wajah se Sahil ko wapis aana
para aur Kinza usi k saath Karachi agayi thi jisay ab 3 dino main yahen se wapis Dubai jana tha,
inhi baton ka zikar karte hue agle kuch lamhe guzar gaye thay]
To ye raaz tha us muskrahat ka jo sara rasta maujood thi? Mujhe wajah bauht achi lagi, I am so
happy for you Sahil
[Shizreh ab muskrate hue Sahil se mukhatib thi jo dheemi si muskan aur ankho main intezar liye
usay dekh raha tha]
Chalo thats good kam se kam choti madam ki to approval mil hi gai, mere lea zindagi shizreh
ki har baat value karti ha Kinza, yahi wajah hai k main foran bhaag kar Karachi agaya.


Sahil sahab ab kuch jagah balke kaafi jagah aap ek aur lady k lea bhi nikal lein, inki value bhi
kam se kam mujhse ziada hai
[Shizreh, Kinza ki taraf ankhein kiye keh rahi thi]
Nahi Shizreh main kabhi ap ki jagah nahi le sakti meri value jitni bhi hojae and I am sure I
cannot take your place and I even dont want to take your place, har insan ki alag value hoti
hai, mujhe Sahil ki life main aye kuch mahine hue hoge per aap hamesha se saath ho.
Haan ye to hai, Shizreh ki value to hamesha se alag hi ha aur koi bhi iski jagah mere dil main
nahi le sakta, meri mama ki vaise to 2 betiyan hain per Shizreh unki ladli ha shyad unka apna
beta unhe itna pyara nahi jitna ye hain, isi lea main kuch adhura sa feel kar raha tha itne dino se
ab I am so much in relief, batein to chalti rahe gi kuch order karein? Shizreh ki to pasand ka
mujhe maloom ha aap batain kia khae gi?
Kuch bhi jo aap logo ko pasand ho wohi main khao gi yaha aaker to mujhe bhook hi nahi lag
rahi ab, ek taraf samandar ka kinara ha aur ek taraf aap log maujood ha, I am loving this place
itna sukoon hai yaha, main bauht kam Karachi aati hoon last time bhi aleena baji ki shadi main
ayi thi.
[Kinza apni cousin ki shadi ka zikar kar rahi thi jaha Sahil ki us se mulaqat hui thi]
Ye meri favorite jagah ha hum aksar yaha aatein hain restaurant to kuch kam hi aate hain bas
yah aka manzar dekhne aate hain, Ok so lets order something now
Sahil mere lea club sandwich mangwana bas please
Aray magar maine to hamari pasand ka mangwana tha kiya hogaya ab?
Kuch nahi hua pasand badal nahi sakti kia? Sahil kuch ulajh sa gaya
Mazak kar rahi hoon ab aise na dekho, abhi hospital se discharge ho kar ayi hoon I can't take
heavy meal tum logo k sath taste kar lugi thora dont worry.
Ohh han ye bhi ha, Ok waiter please ek club sandwich add kar dena and make it quick
please.
[Agle ek ghanta yunhi dinner karte hue guzar gaye, Sahil aur Kinza, Murre tour ki batein bata
rahe thay, Sahil ne jitney din guzare takriban har din un dono ki mulaqat hui aur Sahil uski khala k
haan bhi aata jaata raha tha]
Sahil main aati hoon washroom se, ab thori to privacy doo na verna kaho ge private batein
nahi kar paya.
[Shizreh ne uth kar muskrate hue kaha, jis ko sun kar woh dono bhi muskra rahe thay. Aur ab
Shizreh jaa chuki thi.]
Sahil mujhe nahi lagta Shizreh mujhe dekh kar khush ha? Woh khamosh si ha ha uljhi hui jesa
tumne bataya tha vaise nahi


Aray nahi bas kuch problems hain family issue bas isi lea thora disturb hai I know she is happy
aisa kuch nahi hai, tum pareshan na ho, ye batao tumhe khana pasand aya?
Hmmm acha shayad per mujhe laga aisa islea kaha, Han khana behad laziz tha aur ye jagah
to bauht khubsurat ha, Dubai main to aisi jagah ha hi nahi.
Bas ab to is jagah se bauht jald rishta bandh jae ga.
[Kinza muskrate hue Sahil ko dekh rahi thi, Kuch lamhe yunhi batein karte guzar gae jab Shizreh
wapis aayi to Sahil bill pay kar chuka tha aur dono chalne ki tyari main thay]
Sahil main ek kaam karti hoon taxi se ghar chali jati hoon tum Kinza ko company do, 2 3 din
main wapis chali jae gi so time spend karo ek dusre k saath.
Pagal mat bano hum bas ghar jarahe hain we are already very late, ab wapis chalna chaiye,
Kinza ko aleena baji k ghar drop karna ha aur Kinza wahi stay kare gi, phir ghar chale ge
Ohh chalo theek ha lekin Kinza apne jaane se pehle zaroor milna ha balke aap ghar aye ga
mama apse mil kar bauht khush hogi.
Jee zaroor, main puri koshish karo gi baaqi Sahil per ha who lejana chahe k nahi.
Kyun nahi akhir woh mera bhi ghar hai, meri do maaein hain aur mama ka to main favorite
hoon main zaroor milwao ga, and aap Shizreh k hath ki worlds best coffee peena
Haan kyun nahi bas phir to aap se mulaqat zaroor hogi, ab humein chalna chaiye shayad.
Haan chalo akhir do ladies ki zimedari hai mujh per
=============================================================================
=========

You might also like