You are on page 1of 1

Zuban Hi Sirf Ek Zaria Nahi,

JoAaap Shabdon Ko Samajh Paayenge.


kabhi Aankhon Mein Jhaank Kar Dekhiye,
Hazaro Alfaz Khud B Khud Bikhar Jayenge.

Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai


Chot Khane Ki,
Bhigi Palko Ke Sang Muskrane Ki,
Kash Anjam Hum Pehle Se Jaan Jate,
To Kosish Bhi Nahi Karte Dil Lagane Ki.

Khamosh Raat Ke Pehalu Mein Sitare Nahi Hote,


In Rukhi Aankho Me Rangin Nazare Na Hote...
Ham Bhi Na Karte Parwah Aap Ki
Agar Aap Itne Pyare Na Hote..
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage,
Koi Achha B Is Kadar Na Lage,
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se,
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lage...
Jub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai
Dil Gumsum, zubaan Khamosh
Ye Aankhein Aaj Yu Nam Kyu Hai
Jise Kabhi Paya Hi Na Tha ,
Unhe Aaj Khone Ka Gum Kyu Hai
Chand Lamho Ki Zindgani Hai,
Nafrato Se Jiya Nahi Karte,
Lagta Hai Ab Dushmano Se Gujarish Karni Padegi...
Kyun Ki Dost To Yaad Kiya Nahi Karte...

You might also like