You are on page 1of 1

Benamaazi Hadees E Rasool (sallallaahu Alaihe Wasallam) Ki Roshni Mein:

Rasool Allah (sallallaahu Alaihe Wasallam) ne Farmaya, Kufr Aur Shirk Aur (Musalman) Bande Ke
Beech Fark Namaz Ka Chorh Dena Hai.
(Sahih Muslim 82, Sunan Tirmizi 2619)
Rasool Allah (sallallaahu Alaihe Wasallam) ne Farmaya, Hamaare Aur Kafiro Ke Beech Iqraar Namaz
Hai Jisne Ise Chorh Diya Usne Kufr Kiya.
(Sunan Tirmizi 2621, Sunan Nasai 464, Sunan Ibn Majah 1079)
Rasool Allah (sallallaahu Alaihe Wasallam) ne Farmaya Benamazi Qiyamat Ke Din Qarun, Firaon,
Hamaan Aur Ubay Ibn Khalf Ke Saath Azaab Me Giraftaar Hoga.
(Musnad Ahmad: 6540, Sahih Ibn Hibban: 1467)
Rasool Allah (sallallaahu Alaihe
Wasallam) Farmate Hain: Jo Shaqs Farz Namaz Jaan Bujh Kar Chodhde Toh Yaqeenan Is Ki Hifaazat
Ka Zimma Allah Ki Taraf Se Khatam Hogaya.
(Sunan Ibn Majah: 4034)
Rasool Allah (sallallaahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya Paanch Namaze Hai Jo Allah Ne Apne Bando
Par Farz Ki Hai To Jo Shaks Unhe Iss Tarah Lekar Haazir Hua Ke Imke Haq Ko Hair Aham Samajhkar
Unme Kami Naa Ki Ho To Allah Taala Qiyamat Ke Din Usse Waada Farmaayega Ke Use Jannat Me
Daakhil Kar Dega Aur Jo Unhe Iss Tarah Lekar Aaya Ke Inke Haq Ko Ahmiyat Na Dete Huye Inme Kami
Ki (Poori Namaze Ada Na Ki) To Usse Allah Ke Yaha Koi Ahad Haasil Nahi Hoga (Allah Ki Marzi Hai)
Jaahe Use Azaab De Chahe Baksh De.
(Sunan Ibn Majah: 1401)

Benamaazi Aur Sahaba Ka Fatwa:


Abdullah Bin Shaqeeq Riwayat Karte Hain: Sahaaba Ikraam Aamaal Me Se Kisi Cheez Ke
Chodhne Ko Kufr Nahi Samajhte The Siwae Namaaz Ke.
(Sunan Tirmizi: 2622)
Hazarat Umar Farooq (Razi Allahu 'Anhu) Farmate Hai Ki Namaz Chodhne Wale Ka Islam Me Koi Hissa
Nahi.
(Muwatta Imam Maalik: 80)

You might also like