You are on page 1of 8

6te marg ke ant me central park ka artists gate hai jahan San Martin aur Simon

Bolivar ki murtiyan lageen hain jo dakshin America ke veer netaon me the. Bolivar,
ek kavi deshbhakt the jinhone 1898 me Cuba ki kranti me Spain ke khilaf netritwa
kiya tha aur Jose Martin ne Argentina ko azadi dilayi thi. Argentina ke logon ne San
Martin ki murtiyan uphar swarup deen.

Apko apni bayin taraf MacDonalds ka bhojnalaya(restaurant) dekh sakte hain. New
York me MacDonalds se zyada Starbucks hain jo New York ko America me ek anokhi
jagah banata hai. Kuch logon ka kehna hai ki iska karan ye bhi ho sakta hai ki pure
seher me sarvajanik sauchalaya ya toilets nhi hain.

Humare dayin taraf jo imarat hai use pehle Episcopal church kehte the, magar iski
sohrat aur badnami ke bad ise Limelight Club ki tarah jana jane laga. Jab yeh club
1983 me khula tha tab ye kafi lokpriya(popular) hua karta tha magar 1996 me ise
awaidh drugs aur ek drug dealer ke murder se jude kand me government dwara
band kar diya gya.
Ab yahan Limelight Marketplace mall hai.

Age kuch duri pe apko Bank of America ki building dikhegi aur uske upar lage spike
ka colour kuch seconds me badalta rehta hai.
Kuch hi der me apko 27 wi aur 30 wi sadak ke beech Flower District dikhega. Din me
sadak ke kinare footpath par gamle me lage paudhe aur fool, bonsai ped aur videshi
fool, kharidar ko apni dukan ki aur akarshit karte hain. Flower Distric ke mukhya
grahakon ki suchi me wo companies ati hain jo seher bhar ke hotels, restaurants aur
office me fool aur paudhe pahochane ka kam karti hain.
Ab hum Greeley Square ki taraf badh rahe hain jo ki Horace Greeley ke nam par
rakha gaya hai. Horace Greeley, New York Tribune, ke ek prasiddh sampadak the.
Wo New York Tribune ke san 1840 se san 1870 ke madhya sampadak the, jo ki
Herald akhbar ka mukhya pratidwandi hai. Unhone apne karyakal me Karl Marx ko
samwadata ke pad par nikuyt kiya tha aur 1865 me ek prasiddh kathan kaha tha
Go West Young Man.

1872 me Greeley, Ulysees S Grant ke khilaf US rashtrapati ke chunav me khade


huye the, magar unhe har ka samna karna pada. Unhe Grant se kam vote mile aur
chunav ke kuch hi din bad unki patni ki maut ho gyi jiski wajah se wo pagal ho gye.

Jab wo chunav me vyast the tab New York tribune ne unke paper ko apne adhikar
me le liya jisse unko ek aur jhatka laga.

Unki mrityu chunav ke voton ki ginti se pehle hi ho gyi jiski wajah se wo ek matra
aise rashtrapati umeedwar hai jinko ye vishishtta hasil hai.
Age 35we marg pe apko Macys ka super market dikhega jo ki 2009 tak duniya ka
sabse bada supermarker tha. Macys ne New York ke bahot sare paramparagat
awsaron pe ayojak ki tarah ki bhumika nibhayi hai. Isme Spring Flower Show, 4 thi
July ke din atishbazi pradarhsan aur suprasidh Macys Thanksgiving Day parade, jo
ki 1924 me pehli bar store ke kuch prawasi karmchariyon dwara nikali gayi thi, samil
hain.

Rownland Hussey Macy apne bal awastha me whale machli ka shikar karne wale
hahaz pe kam karte the aur 1858 me Macy ki sthapna ki. Macy ke upar unke purine
dino se ek tare ka tattoo tha jo ki abhi bhi macy ke Pratik chinnh me use hota hai.
Massachussetss se shuruat karke wo New York tak pahoche.

1902 me pehli subway line jo ki City Hall Park se Harlem ki 110 vi marg tak ban rhi
thi us samay Macys 14 ve marg se uthkar yahan aa gyi. Iske pehle 34vi marg ek
kharidari karne ki jagah ke hisab se kafi door hua karti thi.
Miracle on 34th Street jo ki ek evergreen movie hai yahin pe shoot hui thi.

Ek bar phir, hum Bryant park ke pass se guzrenge jo ki apne sardiyon me skating
ring ke liye aur garmiyon me Films ke liye jana jata hai. Dayin taraf aur park ke ant
me Chrysler building ka alag drisya dikhega.

Apki dayin taraf, 5ve aur 6the marg ke beech, 47va marg hai jo ki America ke
diamond industry ka mukhya Kendra hai jahan desh ke thokk hire ka 80 % vyapar isi
ek chetra mein hota hai. Rozzana yahan 40 crore ke ratno ka vyapar hota hai.

Ab hum Rockefeller Center pahuchne wale hain.

Ab hum Rockefeller Centre ki sabse unchi imarat ke bagal se guzar rhe hain, jiska
nam the General Electric building hai.

Abhi jo jagah Rockefeller centre hai wo pehle Elgin Botanic Garden hota tha. Dr.
David Hosack, jinhone Alexander Hamilton aur Aaron Burr ki ghatak ladai ke bad
Alexander Hamilton ka ilaz kiya tha, yahan par 20 acre ki zameen kharidi. 1805 tak,
wo garden 1500 ped paudho ka ghar ban gyi jisme adhiktar American the. 1810 me
us garden ko government ko bech diya gaya magar kuch hi dino me rakhrahav ke
bina barbad ho gya. 1928 me Columbia University ne zameen ko John D Rockefeller
ko lease pe de di, jisne 1939 me apna behtareen vastu karya samapt kiya.

Radio City Music Hall


Ab humare samne Radio City Music Hall hai jo ki America ka sabse bada theatre hai
jisme 6200 seats hai. Aur ye apne rockettes ke liye prasiddh hai.

Ab hum apne tour ke akhri padav Times Square pe hai. Mujhe asha hai ki apne
Grayline/ City Sights New York ke sath New York ke rat ke safar ka anand liya hoga.

Kripya bus se utarte waqt apne saman ka dhyan rakhe.

Sirf SoHoSouthofHoustonaurNoHoNorthofHoustonhiaisekhestrenahihaijinkoNewYorkne
isprakarkenaamdiyehain.Kuchanyanaamhaijaise,NoLiTa:NorthofLittleItaly(NorthItalykeuttar)
TrBeCa:canalstreetkenichekatrikodaurshayadsabsepuranaDumbo:Brooklynkawokhestrajo
Manhattanbridgekenichehai.

7ve marg ke asspass ki sari sadke kapdon ke designers aur karkhano se bhari hai.

14ve aur 4the marge ke kone pe jo azeeb sa counter ap dekh rhe hain wo asliyat
me ek ghadi hai. Wo puri imarat ke kala ka ek hissa hai. Ghadi me bayin taraf ke
numbers, bayen se dayen padhne pe second ke kayi bhag tak sahi time batate hain.
Dayin taraf, dayen se bayen padhne pe Madhya ratri hone ka samay batate hain.

Apke dayin taraf Union Square hai jisko kai bar Peoples Square bhi kaha jata hai.

Union square me lagi murtiyon me se teen mukhya murtiyan George Washington,


Abe Lincoln aur Marquis de Lafayette ki hain.

Union square se thodi dur dakshin pashchim disha me ek chota sa trikodiyan udyan
hai jisme Mahatma Gandhi apni vishesh chhadi(Stick) ke sath uttar disha me badh
rhe hain. Is murti ki sthapna 1986 me hui thi.

Humari bayin taraf University Place ki shuruat ho rhi hai jo Washington Square Park
ki taraf badhti hai. Ye New York University ke chattron ke liye Union Square ane ka
mukhya marg hai jahan wo gana baja sakte hai, politics pe charcha kar sakte hai ya
padhai bhi kar sakte hai.

40 ve marg pe hum Bryant Park dekh sakte hain jisko William Colin Bryant ke nam
pe rakha gaya hai, jinko aksar Father of central park bhi kehte hai. 1853 se teen sal
tak ye park New York Crystal Palace banana ke liye nazar me tha. 1884 me isko iska
vartanman roop diya gaya aur Bryant ke nam pe rakh gaya. Is park me garmiyon
me film karyakram aur fashion show ayojit hote hain aur thandi ki chuttiyon me ice
skating ring ban jata hai.

42vi marg ke us par bayin ore Bank Of America tower hai jise Cook and Fox ke
vastukaron ne banaya hai. Yeh paryavaran ko nuksan na pohchane wali
gaganchumbi imarat hai, jiski uchai 1200 feet ya 336 metre hai.

Humari dayin taraf Bryant Park building hai jisme abhi HBO ka New York mukhyalaya
hai.

Yahan, 43vi marg pe humari bayin taraf kabhi Hanover House hostel hota tha, jahan
Woody Guthry ne this land is your land gana February 23 1940 ko likha tha.
Vartaman samay me yahan International Centre of Photography hai.

Humari dayin taraf Hippodrome, 1905 se 1939 ke beech tha jisme 5700 logon ke
baithne ki jagah thi. Ye wahi jagah hai jahan 1940 me Cary Grant ne apne pehle
American rangmanch ki shuruat ki.

Humari dayin taraf 44va marg hai jiske ant me Algonquin Hotel hai jo prasidhh
writers ke milne ki jagah hui karti thi jisme ron Sherwood, Dorothy parker and
Robert Benchley shamil hai. In mulakaton ko New Yorker patrika ke nirman me aham
yogdan diya jata hai.

46ve marg pe humari dayin taraf Jaqueline Kennedy Onassis School hai. Isko
lokpriya tv show Fame ke set ki tarah istemal kiya gaya tha. Is school ke prasiddh
chattron me se kuch Al Pacino, Liza Minnelli aur Robert DeNiro shamil hain.

Apka Grayline Port Authority me swagat hai. Downtown tour is bus station se shuru
hokar 42vi marg se hote huye 3rd avenue ki taraf jayega, phir hum 49 vi marg aur
Lexington avenue hote huye Waldorf Astoria hotel pe rukenge aur niyamit
downtown raste pe shamil ho jayenge. Bus ke chalne pe kripya apni seat pe baithe
rhe.

8Th avenue ko paar karne ke bad hum apni dayin taraf AMC empire multiplex dekh
sakte hain jo pehle Empire theatre hua karta tha. Yahan par Jackie Gleeson ne apne
career (jivan yatra) ki shuruat kit hi.

Apni dayin taraf apko New Amsterdam ka neon chinnh dikhega jo kabhi Lion King ka
ghar hua karta tha. Aj ye Mary Poppins ka ghar hai.

Ab hum 7th avenue cross kar rhe hain aur humare bayin taraf Times Square aur Ny
Times imarat ke neon signs hai. Ye wo bhavan hai jisne, 1907 me sal ke akhiri
minute me gend ko chodne ki parampara shuru ki. Is imarat me news dikhane ke
liye electronic ticker laga hai.

Dayin taraf, broadway aur 42vi marg ke kone pe 1906 me bani Knickerbocker imarat
dekh rhe hai. Kabhi ye ek vilas hotel hua karta tha jiska khud ka subway pravesh
dwar tha Times square station me. Agar ap station ke platform one pe S shuttle ke
liye jayenge toh apko aj bhi Knickerbocker ka sign dikhega magar ab wo bas ek
bhandar grih me jata hai.

Apki bayin taraf ek safed glass ki 1200 feet ki imarat dikhegi, jo Manhattan dweep ki
dusri sabse badi gaganchumbi imarat hai. Bank of America Tower ko ye uplabdhi
2009 me Chrysler Building ko 166 feet ya 51 metre se hara ke mili.

Hum jaise jaise 6th Avenue se guzar rhe hai, apni dayin taraf apko Bryant park
dikhega jisko Father of the Central Park ke nam pe rakha gaya hai. Unki pratima
jisme wo kursi me baithe huye hain, aap pustakalaya(library) ke piche, vrit ke niche
dikhegi. . Is park me garmiyon me film karyakram aur fashion show ayojit hote hain
aur thandi ki chuttiyon me isme ice skating ring ban jata hai. Yadi aap apne skates
leke ate hain toh ice skating free hai.

Park ke turant bad dayin taraf apko NY sarvajanik pustakalaya dikhega, jo ki US me


teesra sabse bada pustakalaya hai. Andar ka bhag Ghostbusters film me dekha ja
sakta hai.

5th avenue par karte waqt apko 1930 ki Chrysler building ka chitratmak drisya
dikhega jisko vastukar William van Allan ne banaya tha. Dhyan se dekhne pe imarat
ke spike ke niche apko eagles dikhenge jo ki 1929 ki Chrysler gadiyon se prabhavit
hokar banaya gaya hai.

Kripya dhyan de, aur apni seat pe baithe rahen, hum abhi pul ke niche se guzarne
wale hain. Is pul ke karan hi Grand central terminal se park avenue pe yatayat aa
jaa pata hai.

Ab hum apni bayin taraf vihalkaya Grand Central terminal dekh sakte hai. Iska
nirman 1903 aur 1913 ke beech hua tha. Yah station rozana 3 lakh yatriyon ko
sambhalta hai. Cleeveland, Ohio ki jansankhya ke barabar.

3rd avenue ki taraf mudte hi dayin taraf apko laal neon chinnh dikhenge jo Tudor city
ki sucha deta hai. Spiderman movie me Green Goblin ka ghar isi ko dikhaya gaya
hai.

3rd avenue ki chaudaee ka karan ek uthi hui train hai jo 1955 tak thi. Upri purviya
disha me Sarvajanik parivahan me bheed bhaad kam karne ke liye iska upyog kiya
jata tha. 50 saal ke antar ko bharne ke liye aj seher me 2 nd avenue pe subway
banaya ja rha hai.

46th street ko paar karte huye dayin taraf hum Sparks steakhouse ka chinnh dekh
sakte hai. Yahan par 1986 me do logon ki hatya hui thi jiska adesh John Gotti ne
diya tha par iske wajah se mafia boss samapt ho gye.

Bayin taraf 49th street ki taraf mudne pe dayin taraf 52nd aur 3rd avenue pe apko ek
brown skyscraper dikhega jiska aakar lipstick ki tarah hai. Yahin par jaalsaaz Bernie
Madoff ke karyalaya the.

Lexington par traffic light ki ore badhne pe bayin taraf apko East Midtown Marriott
dikhega. Isko Shelton Hotel ke naam se bhi jana jata tha jahan Houdini ne apna
prasidhh pani ke tank se nikalne ka pradarshan kiya tha.

Ab hum apne Waldorf Astoria bus stop pe pahoch rhe hain. Agar aap bus se utarne
wale hain toh kripya apne saman aur apni hop on hop off ticket ko surakshit rakhen.
Downtown ki busen yahan niyamit roop se rukti din bhar rukti hai.

Bryant park se dayin ore 42nd street pe mudne pe, kuch doori pe apko ek unchi
imarat dikhegi. Ye adbhut imarat Chrysler building hai.

Ye imarat 1930 me bani thi, aur 123 foot uncha shikar akhri ke lamho me lagaya
gaya tha taki isko duniya ki sabse unchi imarat banaya ja sake. Magar aisa sirf kuch

mahino ke liye hi ho saka jab tak Empire state building ka karya pura nhi hua tha.
Lekin bahot sare New York ke wasiyon ka kehna hai ki ye unki pasandeeda iamrat
hai. Raat ko yeh imarat khaas tarike se jalti hai aur din me iska upri bhaag suraj ki
roshni aisa chamakta hai jaise stainless steel se bana ho.

Sadak ke ant me apko ek mehraab dikhega. Yeh Washington Square Park ke uttari
chor ko ankit karta hai. Iski rachna Standford white ne George Washington ke
president banne ki 100 vi salgirah ke uplakshya me ki thi. Uski banawat Paris ke
Arch De Triomphe pe aadharit thi. Uske piche Washington square hai, jo ki New York
ka sarvadhik jana jane wala park hai.
Park ke Charon ore adhiktar imaraten New York University ki sampatti hain. New
York university park ko apne campus ka hissa manti hai par asliyat me wo ek public
park hai. Iska ateet iske vartaman shant sundarta se bilkul alag hai. Yeh kabhi ek
kabristan hua karta tha, jisme karib 20,000 shav dafan hai.

Humari bayin taraf ke kheshtre ko Vinegar Hill kehte hain. Jaisa ki apko humare
Downtown aur Uptown tour ke bad pata chal gaya hoga ki New York sheher ko roop
dene me zameen aur sampatti ka bahot bada haath hai. Iska ilake ka naam Vinegar
Hill hone se pehle, do zamin malik Comfort aur Joshua Sands ne iska naam Olympia
rakha tha, is vishwas pe ki Mount Olympus aur iske beech samantayen dekh ke log
akarshit honge. Magar, 1780 me naam aur log dono hi nhi tike.

John Jackson ne 1798 me iska naam wapas se Vinegar hill kar diya is asha me ki
Irish refugees jo ki New York pahoch rhe the kaam aur rehne ke liye, akarshit honge.
Iska naam Ireland me 1798 ki Angrezo ke khilaf Vinegar Hill ki ladai ke upar rakha
gya. Yah vidroh Irish logon dwara Angrezo ke khilaf akhri vidroh tha. Kuch samay
bad irish log is khestre me bas gaye.

New York Transit museum, Court street subway station me sthit hai jo ki ab seva me
nhi hai, New York ke bus, rail, pul, surang aur subway ke aytihasik kalakrityan ko
pradarshit karta hai. Museum/sangrahalaya ke upri tal pe pradarshaniyan lagi rehti
hain jo ki aksar badalti rehti hain, toilets hai aur ek screening room hai. Nichle tal pe
do patriyan hain jo new York city ke subway aur sadak se uthi hui train ke upkaran
sthayi roop se pradarshan ke liye lage huye hain.

1976 me Court street station ko museum banane se pehle usko kai bar movie ke set
ki tarah use kiya gaya hai, jisme the taking of Pelham 1-2-3 bhi shamil hai. Aj bhi,
station aur use judi surangon ko movie ki shooting ke liye istemal kiya jata hai.

Museum Tuesday/Mangalvar se Friday/Shukravar tak subah 10 bje se sham 4 bje tak


khula rehta hai aur weekend/saptah ke ant me subah 11 bje se sham 5 bje tak. Har

Monday/Somvar aur holiday/sarvajanik awkash ke din band rehta hai. Har


wedensday/budhwar ko Varistha logon ke liye nishulk pravesh.

You might also like