You are on page 1of 1

Madhakhan Koyi Bhi Banjayai Ye Izzat Hai Hussain

Ishq Ki Had Hai Nahi Yehi To Doulat Hai Hussain


Isleeyai Aata Hai Har koyi Tere Dar Par Faqat
Saaari Duniya, Asl Mein Teri Nizamat Hai hussain
humd-O-Naat-O-Manqabat-Tilawat Salat-O-Khums Bhi
Chaahey Ye, Ya Wo Ye Sab, Teri Ibadat Hai Hussain
Jo Bhi Karta Hai Tere Dar Se Kabhi Inqaar Bas
Khandan Uska Faqat Ayn-e-Najasat Hai Hussain
Dil Mein Rehtay Hain Faqat Sarwar Ke Aur Zehra Ke
Ab Pata Abbas Ka Shehr-e-Imamat Hai Hussain
Tujhko Jaaney Ya Na Jaaney, Sun Ke Tera Naam Bas
Ankhoan Se Aatey Hain Aansu mujhko Hairat Hai Hussain
Jaisey Thi Haider Mein Ye,Tujh Mein Bhi Ye Hai Agayi
Murda Lashein Zinda Karna Teri Takhat Hai Hussain
laqab-e-Darban-e-Sarwar Isko Bhi Miljayaiga
Kuch Nasab, Kuch Badnasab Yehi to Qismat Hai Hussain
Karney Hai To Dil Se Kar, Ay Banda-e-Zarra Nawaaz
Tere Gham Ko Baichney Waaley pe Laanat Hai hussain
Madha Khani Se Hi Ahson Zindagi Ka Lutf Hai
Ishq Tera Qaid-e-Duniya Se Zamanat Hai Hussain

You might also like