You are on page 1of 8

Hindi/Mini-tutorial Lesson 1

Hindi/Mini-tutorial Lesson
CAN SOMEONE PLEASE HELP TRANSLATE THE FOLLOWING INTO THE DENGAVARI SCRIPT?
THANK YOU!

logon say milnA-julnA

vAkya abhyAs
• hAn.
• nahin.
• kripayA.
• dhanyavAd.
• Apkee kripA hai.
• mAf keejiyay.
• mujhe kshamA keejiyay.
• namastay.
• namastay.
• namastay.
• kyA Ap angrayzee boltee hein?
• kyA yahAn koi angrayzee bolta hai?
• mein bas thoDee see hindi boltee hoon.
• ApkA nAm kyA hai?
• mayrA nAm neena hai.
• Ap kaisee hein?
• mein Theek hoon, dhanyavAd.
• Ap say mil kar bahut khushee hui.
• mein samjhee nahin.
• Apnay kyA kahA?
• kyA Ap thoDa dheeray-dheeray bol saktee hein?
• meinay bilkul Theek samajh liyA.

logon say milnay-julnay kay liyay kucch sumvAd-vAkya


• shreemati rAjan: namastay. kyA Ap angrayzee bol saktay hein?
• dukAndAr: mAf keejiyay, mein angrayzee nahin bol saktA hoon.
• shreemati rAjan: mujhe khayd hai, mein bas thoDee see hee hindi boltee hoon.
• dukAndAr: koi bAt nahin.
• mein Apko samajh saktA hoon.
• rohan: namastay.
• seeta: namastay, kyA Ap mayray dost rakaysh say milayn hein?
• rohan: nahin, mujhe pehlay kabhi insay milnay kA avsar nahin milA hai.
• seeta: rakaysh, rohan sinhA say milo.
• rohan: Apsay milkar bahut khushee hui.
Hindi/Mini-tutorial Lesson 2

hoTal mayn

vAkya abhyAs
• mein gusalkhanay sahit Dabal kamrA chAhtA hoon.
• hamay alag-alag do palang chAhiyay.
• gusalkhAnA kahAn hai?
• meinay rizarvayshan kiyA hai.
• meinay rizarvayshan pichhlay haftay kiyA thA.
• kyA mayrA rizarvayshan Apkay pAs nahin hai?
• Apkay rayT kyA hein?
• ayk rAt kay liyay kitnay paisay lagayngay?
• kyA ismayn baksheesh shAmil hai?
• chayk-in kA samay kyA hai?
• kamrA kis samay tak chhoD daynA hogA?
• kyA mein iss kraydiT cArD kA prayog kar saktA hoon?
• mein Traivalars chayk say bil chukAnA chAhtA hoon.
• kyA mujhe mayri chAbi mil sakti hai?
• mayray kapDay aur mayray pati kay sooT ko istri ki zaroorat hai.
• kyA Ap mujhe kal subeh ATh bajay jagA saktay hein?

hoTal kay liyay kuchh samvAd-vAkya


• shreemati divyA: namastay, kyA Apkay yahAn koi singal kamrA khAli hai?
• lAbi daysk karmchAri: namastay. Ap kitnay din Thaharayngi?
• shreemati divyA: do haftay kay liyay.
• lAbi daysk karmchAri: hAn, hamAray pAs ayk bahut baDhiyA singal kamrA hai.
• shreemati divyA: aur kamray kA rayT kyA hai?
• lAbi daysk karmchAri: kamray kA pratidin rayT hai pAnch sau pachAs rupiyay.
• shreemati divyA: toh mein kamrA lay loongi.
• shri sahAya: namastay, mayrA nAm sahAya hai. mayray nAm say Apkay pAs ayk kamrA honA chAhiyay.
• lAbi daysk karmchAri: Apnay rizarvayshan kab kiyA thA?
• shri sahAya: meinay kal taylifon say rizarvayshan kiyA thA.
• lAbi daysk karmchAri: hAn, hAn, yeh hua na. gusalkhanay sahit ayk Dabal kamrA.
• shri sahAya: jee hAn. das din kay liyay.

baink jAnA

vAkya abhyAs
• kyA mein yahAn paisay badal sakti hoon?
• mein sirf ayk sau dAlar badlee karnA chAhti hoon.
• badlee kA rayT kyA hai?
• mein kuchh Traivalars chayks bhunAnA chAhti hoon.
• yeh hai merA pAsporT.
• mayray pAs antarrAshTriya drAiving laisayns hai.
• mayray sAray Traivalars chayks kay sAth mayrA baTua kho gayA.
• mein Traivalars chayks khareednA chAhti hoon.
• baink kis samay say kis samay tak khulA rehtA hai?
Hindi/Mini-tutorial Lesson 3

• Apki ay.Tee.aym masheen kahAn hai?


• madad kay liyay bahut dhanyavAd.
• hAn, ab sab kuchh Theek ho gayA.

baink kay liyay kuchh samvAd vAkya


• shri chopDa: namastay. mein kucch amreeki dAlars ko bhAratiya rupiyay mayn badalnA chAhtA hoon.
• baink karmchAri: ji hAn, kyon nahin, Ap kitnay paisay badalnA chAhtay hein?
• shri chopDa: mayray pAs dayDh sau amreeki dAlars hein. Aj badlee kA rayT kyA hai?
• baink karmchAri: ayk dAlar kay liyay Apko bayAlis rupiyay milayngay.
• shreemati banarji: namastay, kyA Ap mayri madad kar sakti hein?
• baink karmchAri: jee hAn, kyA bAt hai?
• shreemati banarji: jee, meinay apnay Traivalars chayks kho diyay.
• baink karmchAri: kyA yeh chori ho gayay?
• shreemati banarji: nahin, mujhe lagtA hai ki Aj subeh jab mein bAzAr kar rahi thi tab meinay hee inhay kho
diyay.

TikaT khareedna

vAkya abhyAs
• mein udAn sankhyA chAr sau bayAnvay par apni seeT kanfarm karnA chAhtA hoon.
• mein apnay TikaT kay bAray mayn kuchh poochhnA chAhtA hoon.
• udAn sankhyA chAr sau bayAnvay kay liyay mayray TikaT kyA Apkay pAs hein?
• kyA Apkay pAs mayrA seeT nambar hai?
• mein dehli kay liyay ayk TikaT khareednA chAhtA hoon.
• TikaT kA kyA dAm hai?
• dehli kay liyay agli raylgADi kab chalaygi?
• gADi kiss samay Ayaygi?
• gayT nambar teen kahAn hai?
• mayray pAs aisA kuchh nahin hai jissay dikhAnay ki zaroorat hai.
• dikhAnay kay liyay mayray pAs bas yahi cheezayn hein.
• kyA yeh uDAn binA kahin rukay jAyaygi?
• kyA hum Theek samay say chal rahay hein?
• vimAn kab utaraygA?
• kyA hum dayr say pahunch rahay hein?

TikaT khareednay kay liyay kuchh samvAd vAkya


• shreemati rAju: dehli ki agli uDAn kay liyay mein TikaT khareednA chAhti hoon.
• TikaT ayjanT: ikAnomi yA pratham shrayni?
• shreemati rAju: ikAnomi, kripayA. kyA mujhe khiDki vAli seeT mil sakti hai?
• TikaT ayjanT: mAf keejiyay, khiDki kay bagal vAli sAri seeTayn khatam hain, magar mein Apko ayle vAli seeT
day saktA hoon.
• shreemati rAju: bahut bahut dhanyavAd.
• shreemati singh: mujhe amritsar kay liyay do TikaT chAhiyay.
• TikaT baychnay vAlA: kursi yA sonay kA barth?
• shreemati singh: kripayA, sonay kA barth.
• TikaT baychnay vAlA: iss stayshan say gADi Theek pAnch bajay ravAnA hogi.
Hindi/Mini-tutorial Lesson 4

rAstA, samay poochhnA

vAkya abhyAs
• seedhay chaltay rahayn.
• issee rAstay par chaltay rahayn.
• sheher kay beechobeech seedhay chaltay rahayn.
• beech sheher jAyayn.
• bAyayn muDayn.
• dAhinay muDayn.
• baink kay sAmnay.
• baink kay bagal mayn.
• doosri or.
• door nahin.
• ayk gali Agay.
• konay par muD kar.
• bas Ap pahunch hee gayay.
• sankayton ko paDhtay rahayn.
• yeh ayk-tarafA rAstA hai.
• kitnA bajA hai?
• din kay bArah bajay hein.
• rAt kay bArah bajay hein.
• subeh kay do bajay hein.
• dopeher kay teen bajay hein.
• DhAi bajay hein.
• paunay nau bajay hein.

rAstA, samay poochhnay kay liyay kuchh samvAd vAkya


• shri goyal: mAf keejiyay, mein kho gayA hoon.
• aurat: Apko kahAn jAnA hai?
• shri goyal: mein lAl quilA jAnA chAhtA hoon.
• aurat: aglay chaurAhay par dAhinay muD jAyayn.
• jyotsanA: kitnA bajA hai?
• rAni: abhi din kay bArah bajay hein.
• jyotsanA: achhA? mujhe lagA ki abhi toh sADhay gyArah hee bajay hein.
• rAni: tumhAri ghaDi dheeray chal rahi hai.
• kArtik: film kitnay bajay shuru hogi?
• rAhul: kareeb sADhay ATh bajay.
• kArtik: kahin hamay dayr na ho jAyay. hamay yahAn say paunay ATh bajay tak nikal jAna chAhiyay.
• rAhul: mayray khyAl say sADhay sAt bajay nikalnA bayhtar hogA.
Hindi/Mini-tutorial Lesson 5

ResTarAn

vAkya abhyAs
• kyA mujhe maynu mil saktA hai?
• Aj khAs khAnA kyA banA hai?
• Ap kis cheez ki sifArish karayngay?
• mujhe yeh pasand nahin hai.
• Yeh kuchh zyAdA hee ThanDA hai.
• Yeh kuchh zyAdA hee garam hai.
• mayri rassay vAli murgi teekhi honi chAhiyay.
• mayri rassay vAli murgi kam teekhi honi chAhiyay.
• meinay yeh nahin mangAyA thA.
• vayTar! bairA!
• mujhe peenay kay liyay kyA mil saktA hai?
• mujhe ayk gilAs neebu-pAni chAhiyay.
• mujhe ayk gilAs lassi chAhiyay.
• mujhe yahAn kA tAj-Mahal biyar mil saktA hai?
• mujhe ayk viski aur soDA chAhiyay.
• kyA hamayn bil mil saktA hai?
• kyA bil mein baksheesh shAmil hai?
• mein apnay kraydiT kArD say bil chukAnA chAhtA hoon.

resTarAn kay liyay kuchh samvAd vAkya


• vayTar: kyA mein Apki madad kar saktA hoon?
• shri avinAsh: mein tandoori murgi daykh rahA hoon. yeh kyA hai?
• vayTar: iss murgi ko miTTi kay choolhay mayn pakAyA gayA hai.
• shri avinAsh: bahut khoob. mein yahi loongA.
• vayTar: kyA issay pehlay Ap kuchh peenA chAhayngay?
• shri avinAsh: jee hAn, bAdAm kA sharbat.
• shri rAo: Apki kyA sifArish hai?
• vayTar: Aj kA khAs pakvAn mughalai kormA hai.
• shri rAo: bahut achchhay. issay kaisay banAyA jAtA hai?
• vayTar: gosht dahi kay sAth yA malAi kay sAth bhunA jAtA hai.
• shri rAo: mujhe toh malAi pasand hai.
• shreemati rAo: mAf keejiyay.
• Admi: jee hAn?
• shreemati rAo: kyA iss ilAkay mayn khAnay ki koi achchhi jagah mujhe batA saktay hein?
• Admi: hAn... Ap "moti mahal" jA sakti hein.
• shreemati rAo: yeh kahAn hai?
• Admi: Iss saDak par Agay jAyayn. Trayfik lAit par dAhinay muD jAyayn aur phir kuchh Agay baDhayn, hoTal
bAyin taraf hogA.
Hindi/Mini-tutorial Lesson 6

sankhyA
• shoonya
• ayk
• do
• teen
• chAr
• pAnch
• chheh
• sAt
• ATh
• nau
• das
• gyArah
• bArah
• tayrah
• chaudah
• pandrah
• solah
• satrah
• aThArah
• unnees
• bees
• ikkees
• bAayis
• tees
• chAlis
• pachAs
• sATh
• sattar
• assi
• nabbeh
• sau

maheenay
• janvari
• farvari
• mArch
• aprail
• mai
• joon
• julAi
• agast
• sitambar
• aktoobar
• navambar
• disambar
Hindi/Mini-tutorial Lesson 7

saptAh kay din


• somvAr
• mangalvAr
• budhvAr
• guruvAr
• shukravAr
• shanivAr
• ravivAr

mausam
• vasant
• garmi
• barsAt
• jADa
Article Sources and Contributors 8

Article Sources and Contributors


Hindi/Mini-tutorial Lesson  Source: http://en.wikibooks.org/w/index.php?oldid=1350525  Contributors: Dallas1278, Taxman, 4 anonymous edits

License
Creative Commons Attribution-Share Alike 3.0 Unported
http:/ / creativecommons. org/ licenses/ by-sa/ 3. 0/

You might also like