You are on page 1of 2

Ghar me ghuste hi usne bag ko feka,or jute utarkar fridge ki or paw patakte huye pahucha,apni fevorate bottle nikal

kar use is tarah se muh me undela ki jaldbaji me zor ki khasi aa gayi or saara pani furse par gira kar zor zor se khasne laga,uski ankhe lal ho gayi,khasi ki aawaj sunkar andar se maa aayi, maa waha k halat dekhte hi samajh gayi ,usne pass aakar pith par hath sahalate huye pucha : itni jaldbaji kya thi,tujhe kitni baar kaha h ki bahar se aane k thodi der baad pani piya kar, Kuch der baad jab khasi thami, to maa ne pucha : kaisa raha paper Amit : paper to accha gaya par mujhe selection hone ki ummid nahi dikhti Maa : kyu Amit : are mujhe samjh me nahi aata ki jab un logo ko accountant ki bharti karni h to usme scince,arts, walo ko bhi kyu exam k liye yogya kyu rakha, kya koi scince ka student janta h ki accounts kya hota h,or fir paper ki quality bhi itni kamjor ki use 12th ka ladka bhi aasani se hal kar sake, agar aap kisi acchi post k bharti kar rahe h to kam se kam exam ka paper to us post k standard ka hona chahiye. Maa : par beta tera paper to accha hua h na Amit : accha hua h, par mujhse jyada marks us ladke k aayenge, jo police,patwari ya dusri kisi gk based exam ki tayari kar raha h, Maa : thik h beta koi baat nahi tu aaram kar

Bahar halki halki barish ho rahi thi,jise dekhkar maa balkani se kapade utarne chali gayi, Pani ki bottle wapas rakhke usne moze utare or mobile on dekha, kajal k 3 msg aaye huye the ,jinhe padhke usne use phone kiya Kajal : kaisa gaya paper Amit : thik tha Kajal : kya matlab thik tha Amit : accha to hua h yaar par lagta nahi electricity walo ko ek accha accountant chahiye ,pure paper me 30% bhi accounting k question nahi the,or jo the wo bhi bahut low leval k Kajal : iska matlab is baar bhi tumhara selection nahi hoga,tum jante ho na iska matlab Amit : haa pata h tumhara baap tumse meri shadi nahi karega, or kahi or kar dega jaha tumhara future secoure ho usne gusse me bolte huye phone kat diya or band kar diya Lete lete use apna beeta hua kal yaad aane laga,12th pass karte hi usne accountant ki nokarai suru kar di thi ek privet company me,ghar ki halat thik nahi thi ,par jaise taise kar k usne apni padhai jari rakhi taki aage chalke apne pariwar ko acche din dikha sake,dosto me sabse medhavi tha wo . char dosto ki gang thi unki jo hamesha sath rahte the unke naam the rajesh,mukesh, or rishi

Rajesh bahut amir tha,or bahut jyada badmash bhi usme bahut jyada buri adate thi jaise sharab peena,marpit ladkiyo ko chedna or wo padhai me bahut hi kamjor ,hum sub use bahut samjhate the par wo hamesha galat kaam karta tha , 12th bhi usne jaise taise karke pass ki ,uske baad bahut uche or mahange choching center me 4 mahine padhai kar k arakshan ki badolat aaj wo thanedar ban gaya, , or mukesh jo bachpan se hi medhawi tha jise bhi arakshan mila hua tha par wo bahut gareeb tha arakshan ka fayda nahi utha saka kyuki uske pass govt. exam ki tayari karne k paise bhi nahi the, aajkal pathar ki khan me kaam karta h. Sochte sochte kab ankh lag gayi pata hi nahi chala,agle din tayar hoke office pahucha, office pahuchte hi use boss ne apne cabin me bulaya Boss : amit yaar maine kal galti se online banking se 11000rs jyada tds pay kar diya ,tu ek application likh k income tax jaa k aa Application lekar wo income tax pahucha,babu ne applicaton padne k baad maine pucha kya ye paisa wapas ho sakta h usne kaha ha ho to sakta h par aap bade sahib se baat karo Bade sahib ne use jaise hi padha unhe English k kuch word samjh me nahi aaye ,usne kaha ye hamara kaam thodi na h,ye paisa to bank hi wapas kar sakta h Amit : par sir bank walo ne to paisa income tax k khate me jama kar diya Bade sahib : tu mujhe samjhayega ,le ja isko wapas Bahar akar chote sahib ko usne baat batayi to usne kaha Chote sahib : yaar ab kya kare hamare desh me badi badi posto par aise log baithe h jo pion banne k layak bhi nahi Office aakar usne computer on kiya ,kajal ka mail aaya tha,usne ek govt job ki vigyapti bheji thi Pad : kaniththa lekhakar Riktiya : 145 Yogyta : graduate minimum 50% arakshit varg ko 10% tak chut Syllabus : gk, resoning, computer, maths (10th k star ka)

You might also like