Professional Documents
Culture Documents
hansi mazak sab chalnay laga.pata nai kun wo mjy acha sa lagnay laga shyad ye meri zindgi ka pehla
experience tha shyad main tanha thi wo meri tanhai door karta tha wo meray dukh dard suntan tha?pata nai
kun wo mjy acha sa lagta tha.
Mujhe acha sa lagta hai,
Tumharay sang sang chalna,

Wafa ki aag mein
jalna,

Tumhein naraz ker dena,

Kabhi naraz ho jana,

Tumhari bey-rukhi per
b,

Tumhari aarzu krna,

Khud apnay dil ki dharkan say,

Tumhari guftagu
krna,

Mujhay acha sa lagta hai,

Tumhi ko dhekhtay rehna,

Tumhi ko sochtay
rehna,

Bohat gehray khyalon mein, Jawabon mein, Sawalon mein, Mohabbat k hawalon
mein,

Tumharay naam ka aana,
Mujhay acha sa lagta hai Mujhay acha sa lagta hai,
aissay hi 2sra semester aa gaya aur papers k dooran thori boot salam dua ho jati wo papers b zyda tar
meray paper walay din ussi session main rakhta jab main papers denay jati tu papers ki tension kam hoti uss
ka w8 zyda hota pata nai kaya honay laga tha muj ko mjy uss k bina aik pal b chain nai ata tha.mjy shyad
uss se payar ho gaya tha kuch tu tha dil main jo wo uss k bina bechain rehti thi meray din tanha guzar rahay
thay aur shamin udas rehti thi pata nai ye kaya tha.main nay uss k payar ka name day diya shyad mjy uss
se payar ho gaya thaw o kabi muj se naraz hota tu pata nai muj ko kaya ho jata zindgi veeran ho jati.
Koi tou guftgoo kero...........sham bahut udas hey Tum merey paas he raho.....sham bahut udas
hey

Kuch bhi tou boltey nahin, khoul yeh tourtey nahin
Mein nein kaha, suno
zara....sham bahut udas hey

Mujh sey nah tum milo mager , mujh sey nah kuch kaho
mager
Sham sey aa key kuch kaho..sham bahut udas hey

Deikhoo , Bahut hey ser
giraan umer e rawan ki dastaan
Iss mein nah aour ghum bhero sham bahut udas
hey

Itna hey iztraab kion, karb mein hein junab kion
Milna hey ger tou aa
milo.......sham bahut udas hey

Maana keh tum khafa nahin,kehney kou kuch bacha
nahin
Acha sa sheir he perho...........sham bahut udas hey

Koi nahin idher udher ,
sarey khamoush baam o darr
Kis sey kahein dua karo .........sham bahut udas
hey

Kuch tou ilaj e gham kero , Saber e khasta jaan sunoo
Aaj kissi kou khatt
likhoo......... sham bahut udas hey
Mjy shayd uss e payar ho gaya tha.lakin izahar se dar rahi thi aur dosri taraf gar walon ka sochti k agr pata
chal gaya lakin mera payar muj se kehta k payar hi tu kiya hai aur wo b sacha payar.mjy wapis janay nai deta
tha aur ja b kesay sakti thi akhir kabi payar karnay walay pichay mur kar b dekhtay hain?phr wo din b aa
gaya meri zindgi main jab uss nay muj se payar ka izahar kar diya.main bari khush b thi aur thora gahbara b
gai thi aur ghbara kar vc band kar di aur bye bye keh diya poori raat muj ko neend nai aai main kafi khush
thi aur lakiin dar b lag raha tha. kun k harmay gar main issi battaon ko ghlat samja jata tha.lakin mjy tu payar
ho gaya tha jab payar ho jata hai tu kuch nazar nai ata har cheez achi lagnay lagti hai jaisay khazan main
bahar ka sama ho.apnay dil ko samjya k koi nai wo rishta lay aye ga aur gar walay b maan jain gay itna acha
sa tu hai wo mera hamsafar uss ka rishta gar walay lazmi kabool kren
phr raat aissay hi uss ko sochtay sochtay guzar gai dosray din uss se baat hoi tu main nay b izhar muhabat
kar diya apnay gar ki parwa kiye baghir ye sochay baghir k ye konsay rastay hain kin rastoo par chal nikli
akhir manzil milay gai ya nai mera thkana kaya ho ga bas dil main uss k alawa koi khyal nai ata tha bas har
waqat uss ki soch uss ka nam ye kesa jadoo kar diya tha uss nay ye sab kun tha.bas ankhoon main us ski
soorat us ski battain rehti thi ratton ko yaad karti rehti uss k sath rehnay k khwab dekhanay lagi.phr wo mjy
dekhnay k liye campus bulatata abu mjy campus chor atay abu se kehti k ajj thora sa kam hai campus jana
hai group study karni hai phr uss k sath beth kar thori se study discussion b honay lagi aur wapsi par kabi
mjy abu lenay jatay aur kabi kabar late ho jatay tu main apni friends ya kisi larki k sath chali jati public
taransport par wo mjy kehta rehta main drop kar doon ga uss k pass aik boot hi achi car b thi rozna uss main
ata jab abu late ho jatay tu drop karnay ka keh deta main darti k agr kisi nay dekh liya tu phr aik din sab dar
ko door kar k uss k sath chali gai akhir main uss se payar karti thi uss par ehtbar kiya tha uss nay gar se
thora sa door uatar diya. bas phr kaya main nay abu ko mana kar diya k main friends k sath aa jaya karoo gi
prh rozna uss k sath anay lagi mai nay uss ko kaha k main tum se boot payar karti hoon apnay gar waloon
ko razi karoo rishta bejoo hamray gar ab main aur tuarma w8 nai kar sakti main tuamray bina aik pal nai reh
sakti tum se aik pal doori b azab lagnay lagi hai wo ajj kal ka aur ye keh kar taal deta k itni b kaya jaldi hai
pehlay study complete ho jay tum meri ho tum ko ko b nai lay kar ja sakta .bas main a bass us ski addi ho
gai thi mjy uss se janoon ki had tak ishaq ho gaya tha uss ki ghaltiyan b mjy achi lagti ghlatiyan b ghlatiyan
nai lagti thi mjy us ski awaz uss k andaz uss ki har aik cheez se payar ho gaya tha main uss k bina reh nai
sakti thi.
aik din campus main wapsi par mjy kuch khelnay k liye lay gaya bara mana kiya lakin lay gaya main bari dar
rahi thi lakin kuch nai howa aissay hi waqat katta gaya aur main week main 3 4 dafa lazmi campus janay lagi
study ka baahana kar k aur kar b kaya sakti thi uss ko dekhay bina aik pal b bari mshkal se guzarta phr aik
din meri zindgi main aissa b aaya..main uss din campus gai aur wapsi par mjy gar chornay ki bajaye aik aur
jaga par lay gaya main nay poocha kahan ja rahay ho uss nay jwab diya k aik dost k gar jar aha hoon kuch
kam hai dost se dost k gar k samnay ja kar gari rukhi wo mjy b andar lay gaya main nay kafi mana kiya k mjy
dar lag raha hai kehta hai kuch nai hota uss k friend k gar uss k friend k alwa koi nai tha mjy kafi dar lag raha
tha lakin uss nay hosla diya phr mjy akeela betha kar wo wo dono aik kamray main gye wahan thori dair
kuch battain ki aur phr uss ka friend gar se bahir chala gaya phr wo meray pass aa gaya aur muj se battain
karnay laga phr mj se poochnay laga muj se kitna payar karti ho bas iss tarah ki battain start ho gai phr wo
kafi romantic ho gaya main kafi dar gai aur kaha koi dekh lay ga lakin us nay kaha gar par koi nai hai kuch
nai hota aissay mjy b kuch pata nai chala aur na hi uss nay meri jaan chori aur kab muj se wo gunah sarzad
ho gaya kuch pata nai chala main boot preshan ho gai k akhir ye kaya ho gaya mery wehmoo guman main
nai tha k ye kuch b ho ga phr main nay uss kaha main nay gar jana hai jaldi se gar chor doo uss nay phr mjy
gar chor diya aur thora hosla diya k relex ho jaoo sab theak ho jay ga main apnay gar waloon ko jaldi razi kar
k tuamray gar rishta lenay beejoo ga uss nay kafi tasli di aur kaha jo ho gaya so ho gaya.
Phr main gar gai aur thora relex kiya apnay app ko gar waloo k samnay theak rakha thora sa hosla kiya aur
raat ko kafi roi k ye kaya ho gaya agr kisi ko pata chal gaya tu kaya ho ga agr pata chalay ya na chalay meri
akhrat tu gai main nay apni akhrat aik lamhay main zaya kar di ye main nay kaya kar diya main aissi tu nai
thi main nay kabi apnay czn tak se free ho kar gup nai ki thi czn k samnay b parda karti thi ye kaya ho
gaya..lakin jab us ski tasliyoo ka sochti tu thora sa hosla ho jata apnay app ko hosla diya k wo shadi kar lay
ga wada kiya hai aur gar walay b maan jain gay kafi acha larka hai aur muj se payar karta hai payar main
ham dono ko kuch pata nai chala hai.bas apnay app ko hosla diya aur aik week campus nai gai bas uss se
net par baat hoti rahi gar walay b poochnay lag paray k kun nai gai campus pehlay tu jati thi main nay mama
papa se kaha k meri friends main se aik k ralitives ki shadi hai wo chutiyoo par hai iss liye sab nai jati hain
jab uss ka function khtam ho jay ga tab se phr janay lag paroo gi.meri baat hoti rahi wo mjy hosla deta raha
wo mj se kehnay laga k mjy milnay aoo main nay kaha k dar lagta hai ab wo mjy majboor karnay laga
kehnay laga k main tuamra bina nai reh sakta muj se miloo.uss nay muj se rabta rak toornay ki baat start kar
di phr majbooran main jana para campus aur wapisi par phr wo mjy apnay dost k gar lay gaya main nay kafi
mana kiya lakin phr b wo lay gaya aur mjy car main se utar kar bazoo pakar kar andar lay gaya main nay
thori boot mazahmat ki lakin log dekh rahay thay phr majbooran jana para keh raha tha kuch nai hota wo
ghlati doabra nai ho gi.phr thori dair bethnay k baad jab uss ka dost wahan se gaya main ronay lagi main nay
uss ko kaha mjy gar choroo khuda ka wasta plz mjy gar choor do mjy dar lag raha hai uss nay meri aik na
sunii aur phr meray sath zbardasti karnay laga aur phr wohi kuch kiya meray sath aur phr gar chor diya.
ab tu meri tabiyat kafi khrab ho gai thi gar ja kar thora sa aram kiya ammi nay poocha betha kaya howa hai
mainnay kaha bas sar dard kar raha hai ja kar soo gai lakin neend kahan anay wali thi aa b kahan sakti thi
ajj uss nay dhoka day diya meray kehnay k bwajood muj se wo sb doabra kiya.
Laahaq hai yahan marz mohabat ka sabhi ko.
Iss shehar k logo main waba amm boot hai
Har darja shrafat ka libada hai aoora
Aur dil main hakarat ki bala amm boot hai.
aa gye aur ammi nay mjy tanay day day kar aur meri kafi patai ki ab main kisi ko munh dekhnay k kabil nai
rahi main nay khud kushi ka soch liya ab meray pass iss k alwa koi chara nai raha aur main nay aik achay
hanstay bastay khandan ki kaashiyoon ko ghamoo ka gar bana diya apnay abu ammi ki taleem ka main nay
kaya sila diya?ammi nay mjy kaya sikhaya tha main kaya se kaya ban gai meri study b complete honay ko thi
but ab study tu door ki baat ho gai ab tu apni zindgi ka socha ja raha hai k kesay khtam karoon.meray jeenay
na jeenay se ab kisi ko koi farak nai parta hai parna b kun hai akhir main nay gar waloo kodiya hi kaya hai.
ya ye diya hai k acha khndan jis ki log izzat kartay thay ab ussi khand k fard bahir niklnay k kabil nai rahay
akhir ye meray sath hi kun howa shyad meri kismat buri thi ya muj se pehlay koi bara gunah sarzad howa tha
jo main uss kuttay ki batton main aa gai ab khtam ho gaya sab ab in batton ka kaya faida lakin aik lafaz reh
jata hai zindgi main kash kehnay ko tu ye chota sa lafaz hail akin bara hi manhoos hai jis ki zindgi main ata
hai wo sirf pachtata hai bas wohi jaan sakta hai jis par beeti hoti hai.
Kash main tum par ehtbar na karti.
Teri yadoo ko apnay ooper sawar na karti.
jee leti teri yadoo k baghir main yoonhi
apni achi bali zindgi yooun barbad na karti.
Wo konsa din tha jab tum pay aya tha yaqeen.
Kash wo pal lot aye main kabi ye dua na karti.
Ye mubahat tu aik sacha jazba hai jo tu jaan na saka.
Kash dunia main kisi se umeed jafa na karti.
Kiya hai katal meri khusiyoo ka iss payar nay,
Kash main iss payar par kabi ehtbar na karti.
Ye kis moor par la khara kiya aye kismat tu nay.
Kash main apni achi kismat par kabi naz na karti.
Ye waqat zalim hai jo wapis nai jata aye dostoo,
Kash main iss hakeekat ko jaan leti aur payar na karti,
Kash main tum par ehtbar na karti.
Teri yadoo ko apnay ooper sawar na karti.
ab main marnay ja rahi ho lakin main nay socha k meri zindgi tu khrab hoi hai kun na kisi na kisi ko faida
day kar jaoon ta k kisi aur ki zindgi barbad na ho agr meri zindgi k iss azeem experience se koi aur bach
jay tu shyad ALLAH mjy maaf kar day meri haram mout aur dunia main iss kiye howay karnamay ko b
ALLAH maaf kar day ye sab tu ALLAH par hai na main apnay khuda ki gunah gar hoon ya phr apnay maan
baap ki jin ki mainnay hasrtoo par pani pheera un k yaqeen ko khak main mila diya aur sath un ki izzat ko b
jo mjy har waqat yehi kehnay par mjboor ho gye hian k konsa manhoos din tha jab tum paida hoi thi.meri tu
phr b ALLAH par hia lakin uss banday ka tu sochoo na jis nay aik khandan ki zindgi barbad ki jis ki waja se
main khud kushi kar rahi hoon jis ki waja se meri itni achi life koi ye din dekhna parta uss ko kabi sakoon
milay ga ya uss ko ALLAH maaf kar day ga???kabi nai uss ko jab tak main maaf nai karoon gi tab tak
ALLAH b maaf nai karay ga wo iss dunia main tu shyad ghoom phr lay mazay kar lay kuch aur larkiyoo ki
zindgi barbad kar day lakin akhrat us ki nai hai whan tu aik aik baat ka hisab hona hai kesay day ga wo hisab
wo tu na khtam honay wali zindgi hai.
Ye university buri nai main abi b iss university ko itna like karti hoon jis nay study ko har ameer ghreeb k liye
aik jasiay kar diya ta k har koi higher education hasil kar saktay.shyad iss se achi koi university nai boot acha
place hai na hi google groups buray hain lakin kuch log buray hain jo dosray ko iss haq se emhroom kar
detay hain dosrroo ki majboooriyoo ka ghlat faida uthatay hain .
App sab larky aur larkiyoo se guzarish hai k ye story nai hai ye kisi ki zindgi k ka experience hai kuch pal ya
kuch ghalt faislay hain jo aik ghlat zindgi ghlat rastay par lay gye aur mera maksad b yehi tha k meri zindgi ki
iss boot bari ghalti jo anjanay mai ho gai kisi k kam aa jay larkay kisi k sath aisay flirt kartay howay soch lain
aur larkiyan b kisi ki batton main anay se pehlay soch lain k kaya ho raha hai payar main tu kuch pata nai
chalta hai na hi pata chalta hai kab payar howa hai tu plz apni zindgi ko barbad honay se bachain aur kisi ki
zindgi barbad karnay se bacha lo kabi kisi k sath aiss mat karoo do pal ka maza kisi ki mout b ban sakta
hai.jaisay meri ban gaya main nay kabi socha b nai tha k ye din b dekhoo gi aur meray liye dua kar dena k
ALLAH muj ko maaf karay aur meray gar waloon ko sakoon day aur uss kuttay ko yahan par kabi sakoon na
milay akhrat main tu milna b nai hai yahan par b zalil ho.Ameen
ALLAH HAFIZ
Sab ki gunah gar m.