You are on page 1of 2

Teri mushkil or na barhaoonga, chala jaunga Ashq aankhoon main he chupaoonga, chala jaunga Apni dehleez pe kuch dair

para rehne do yun he hujko Jese he hosh main aaunga, chala jaunga . Tuj se kuch bhi nahien lena mujko Sirf tumko dekhne aaunga, chala jaunga Chand batain mujko bachon ki tarha piari hain . Unko seene se lagaoonga, chala jaunga.. Main ne ye jang nahien cheeri apne liye yahan Takht pe tumko bithaonga, chala jaunga . humein kho kar bohat pachtaao ge jab hum nahi honge bhari duniyaa ko weeraan paao ge jab hum nahi honge hazaaroon manzilein hongi hazaaoon kaarwaan honge nigaahein hum ko dhondeingi na-jaane hum kahaa honge humein apnaa nahi jana tamanna-e-gham tumharaa hai ke phir kis par sitam farmaao ge jab hum nahi honge bohat aasaan sahi, rahein wafaa ki manzilein lekin akele kahaan tak jaao ge jab hum nahi honge humein kho kar bohat pachtaao ge jab hum nahi honge bhari duniyaa ko weeraan paao ge jab hum nahi honge!

Kabhi jo hum nahi hongey Kaho kis ko batao gey ? Wo apni uljhanain sari Wo bechaini me doobey pal Wo aankhoon me chupey aansoo Kisse phir tum dikhao gey ? Kabhi jo hum nahi hongey Buhat bechain hogey tum

Buhat tanha hogey tum Abhi bhi tum nahi samjhe Hamari ankahi batain Mager jab yaad aain gi Buhat tum ko rulain gi Buhat chaho gey phir humko Hummey na dhoond pao gey Kabhi jo hum nahi hongey

Aa jaye ga woh waqat bhi jab hum nahi hon gay Phir hum kisi bhi baat per barham nahi hon gay So jayein gay is roz lehad mein sakoon k sath Dil mein tumhari yaad k jab gham nahi hon gay Zinda hain to kerte hein shab o roz sitam tum Turpao gay phir kis ko jo ger hum nahi hon gay Zinda hein to kerte hein her aik dard ka ilaaj Mur ker kisi bhi zakham ka merham nahi hon gay RoO gay mere baad mein tum saari zindagi Aansoo humari yaad k per kam nahi hon gay Pachhtao gay phir baad mein socho gay tum bohat Aawaaz do gay hum ko per hum nahi hon gay

You might also like