You are on page 1of 1

Maa Bharati ki Swarnim,Maati Humein hain Chandan,

Maati Hamari Pooja, Maati Humein hain Vandan


Mere Avadh ki sarayu, Shri Ram ko bulaati..
Mathura mein maatu Yamuna, Kanha ke geet gaati
Rudrabhishek karati Kashi mein Ganga paavan
Maati hamari pooja...Maati humein hain vandan
Rajendra,Shaalivahan, Nrupa Digjayi hue the..
Govind Pratap Shivba, Dharmarth hi lade the
kabhi jhoojhi lakshmi bai, kabhi tope kranti nandan
Maati Hamari pooja....Maati humein hain Vandan
Garaji thi Ved Vaani, Rishi var daya se mukharit
Goonji Vivek Vaani, Shri Rama Krishna Prerit
Faili Disha Disha mein, Adhyatma mantra chintan
Maati hamari pooja....Maati humein hain vandan
Keshav ne swapna dekha, Madhu ne use sanvaara,
Hindutva mantra prakata, Sab ne use badhaya
Faili yeh Sangh Sarita, Dish dish kiya hai sinchan
Maati hamari pooja...Maati humein hain vandan
Maa Bharati ke sut hai, Saare Samaj Bandhu,
Har varg bindu bindu, Hindu Samaaj Sindhu
Ekatmata ke bal par, Samaras yahan hai jeevan
Maati Hamari Pooja...Maati Humein hain vandan

You might also like