You are on page 1of 2

kis musarrat se pahunche the ham bazm mein

kis musarrat se pahunche the ham bazm mein


rooh ki tishnagi ko chchupaye hue

hasrat e deed thi aur ye ummeed thi aaj armaan dil ka nikal jaaye
ye khabar hi na thi naqaab uthte hi barq gir jaayegi toor jal jaayega

aaj milse bhi unse na koi baat ki


haaye majbooriyan mere haalaat ki

ham bade naaz se aaye the tere mehfil mein


kya khabar thi lab e izhaar pe taale honge

gaye the ham bhi jigar jalwagaah e jaana mein


woh poochte hi rahe baat ho na saki

saakiya daur aaya chala bhi gaya


aur ham reh gaye jaam uthaaye hue

kyun nazar pher li mujhse mere sanam


mera dil tod kar mujhse muhn mod kar
jaane waale ik nazar dekh le

ankh se door sahi dil se kahaan jaayega


bhoolne waale tu hamein yaad bahut aayega

nigahein mila karke aye jaane waale


munasib nahi ye sitam chalte chalte

ohn dil tod ke jaane waale dil ki baat batata ja


ab main dil ko kya samjhaun dil ko bhi samjhaata ja

kyun nazar pher li mujhse mere sanam


chchupke baithe ho kyun dil churaye hue

ek muddat hui tumko dekha nahi


ik zamaana hua muskuraaye hue

maut bimaar e gham ko ab aane ko hai


chchoro ab is nadaamat se kya faayda

aakhiri waqt hai hasn ke rukhsat karo


dekho baitho na yun sar jhukaye hue

phool ki zindagi ik tabassum sahi


ye tabassum bhi har ik ko milta nahi

ham ko dekho ke ham hain chaman mein magar


ik zamaana hua muskuraaye hue

shamma bujhne ko hai chaand chchupne ko hai


raat dhalne ko hai dil nikalne ko hai

ab to aaja sanam kabse baithe hain ham


apni palkon pe taare sajaaye hue
dekha nahin hai humne bahut din guzar gaye
ab to aaja sanam

nigahein dar pe lagin hai udaas baithe hain


tumhare aane ki aas hai baithe hain

wo dil ke jisko neend na aayi tamaam raat


deta raha tumhari duhayi tamaam raat

baithe hain rahguzar pe dil ka diya jalaaye


shayad ye raat beete shayad tu aaye

kis kis ko batayenge judayi ka sabab ham


tu mujhse khafa hai to zamaane ke liye aa

You might also like