You are on page 1of 6

Chand ke liye sitare anek han, lekin sitaron ke liye chand ek hai.

Aapke liye to hazaron honge,


lekin hamare liye aap hi ek hain........Haale dil tumko sunate jo tum pass hote, Ashk tumhare
saath bahate jo hum tum pass hote, Chandni raat ki un haseen yaadon ko ek baar phir doharate jo
tum pass hote....Log kehte hai hamein adat hai muskurane ki, magar woh kya jaane yeh ada hai
gam chupane ki.phool kushboo se pooche hum aapke hai kaun, dil dhadkan se pooche hum
aapke hai kaun, hum to hai nadaan...aap hi bataye hum aapke hai kaun

Zindagi aisi ho jo jine ko majboor kare;


Rahein aisi ho jo chalne ko majboor kare;
Khushboo kabhi dosti ki kam na ho;
Dosti aisi ho jo milne ko majboor kare.

dosti main dost dost ka khuda hota hai,


mehsoosh tab hota hai jab dost dost se juda hota hai,

tum milo na milo koi gum nahin ,


bas baat karo yeh kam nahi,
dosti main dhokha de vo hum nahin,
apni dosti rang de basnti se kam nahi.

Dil Ki Aawaj Ko Izhar Kahate Hai,


Jhuki Nigaho Ko Ekrar Kahte Hai,
Sirf ”Jatane” Ka Nam Ishq Nahi,
Kisi Ki Yaado Me Jeene Ko Bhi Pyar
Kahate Hai.

Mann hi sab kuch hai


Tann kuch bhi nahin
Mann hi sab kuch hai
Tann kuch bhi nahin
Aasmano mein so jayega
Dastano mein kho jayega
Tann kisi roz ban kar dhua
In havavo ka ho jayega

mohabbat se nahi to nafrat se hi sahi..


kabhi to lijiye aap mera naam hi sahi

har pehloo-e-khushi- o-ranj dekh liya..


duniya mein chaar roz kayaam hi sahi

de de saaqiya kuch dil behlaane ko..


bharaa nahin to khaali jaam hi sahi

jo zubaani aapki hai sar aankhon pe hai..


agar nahi lafz-e-inaayat dushnaam hi sahi

maana aapne rakeeb ke naam zindagi kar di…


mere hisse mein bhi kuch ho, ek shaam hi sahi

aaye hai to kuch batlaake jaaiye saahib..


apna pata nahi to apna naam hi sahi

bas ek teri mohabbat ke liye banaa hai woh..


tera “Muztar” izzatwala nahi badnaam hi sahi

Wo to majborioon main lipti hain


Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,


Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega


Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai

kal ka kya pata, waqt kahan le jayega

Dosti achchi ho toh rang laati hai,


Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho�.
�. Toh itihaas banaati hai !

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,


Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,

Ab tumse kya chhupaana,


Tum hi toh ho jaan hamaari !

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,


Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

Zindagi nahin humein doston se pyaari,


Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,


Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,


Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !

Ishq mein hum tumhe kya bataaye

kiss qadar chhot khaaye huwe hai

maut ne humko maara hai aur hum

zindagi ke sataaye huwe hain

Usne shaadi ka joda pehen kar

sirf chooma tha mere kafan ko


bas usi din se jannat ki hoorein

mujhko dulha banaye huwe hai

Surq aankho mein kaajal laga hai

rukh pe ghaza sajaye huwe hai

aise aaye hai mayyat pe meri

jaise shaadi mein aaye huwe hai

Ahle hadd apni matti se kehde

daag lagne na paaye kafan ko

aaj hi humne badle hai kapde

aaj hi hum nahaaye huwe hain

Bikhri zulfein pareshaan chehra

ashq aankho mein aaye huwe hai

aye ajal theher jaa chand lamhe

woh ayaadat ko aaye huwe hai

Daffan ke waqt sab dosto ne

yeh chukaya mohabbat ka badla

daal di khaak mere badan par

yeh na soncha nahaaye huwe hai

Unki taareef kya poochte ho

umr saari gunaaho mein guzri

aise maasomiyat se hai baithe

jaise ganga nahaaye huwe hai

Zindagi mein na raas aayi raahat


chain se ab sone do kafan mein

aye farishto na chhedo na chhedo

hum jahaan ke sataaye huwe hai

Khoyi khoyi si bechain aankhe

beqaraari hai chehre pe chaayi

chhod do dena jhooti tasalli

ishq ki chhot khaaye huwe hai

kabhi kabhi teri palko pe jhilmilau mai, 


tu intezaar kare aur naa aau mai. 
Samandaro me le jaaker fareb naa dena, 
tu kahen to kinaare par hi doob jau mai......... 
Roshni ke phool sajayen hai humne tumhari mohbaat mein 
Aapke chehre ko chand samajh ke dekha hai raat mein 
Tanhayee se hum apni zindagi mein bahot lade hain 
Par ab zindagi guzarna hai mushkil ho na tu agar saath mein 
 
 
raasto se kankar hata nahi sakte
apni pahechan unko bata nahi sakte
zindagi ki raah me bane the hum safar
kyu wo ye pyaar nibha nahi sakte

IS MEHFIL MAIN SABHI GAM SE GHIRE BHAITHE HAIN,


WO JO KONE MAIN BHAITHE HAIN, HUM UN PAR MARE BHAITHE HAIN,
YE TO DIL HI THA JO UN PAR AA GAYA,
VARNA IS MEHFIL MAIN UN SE BHI HASIN BHAITHE HAIN.

Roothe jo zindagi to mana lenge hum,


Mile jo gum to nibha lenge hum...
Bas tum rehna saath hamare,
Pighalte aansuon me bhi muskura lenge hum....

Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai


Asma lakh uncha ho magar jhuk jata hai
Dosti me duniya lakh bane rukawat,
Agar dost sacha ho to khuda bi jhuk jata hai.

HAR DHADKAN MAY EK RAAZ HOTA HAI,


BAAT KO BATANE KA EK ANDAAZ HOTA HAI,
JAB TAK THOKAR NA LAGE BEWAFAI KI,
HAR KISI KO APANE PYAR PER NAAZ HOTA HAI.
Mehfil na sahi tanhai to milti hai..
Milan na sahi judai to milti hai...
Kaun kehta hai mohabbat mein kuch nahi milta...
Wafa na sahi bewafai to milti hai

Raat kya dhali sitare chale gaye,


Gairo se kya gila jab apne chale gaye,
Jeet to sakte the ishq ki bazi hum bhi,
Par aapko jitane ke liye hum harte chale gaye

________________________________________
Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain

badi aasani se dil lagaye jate hai,


par badi muskil se vaade nibhaye jaate hai,
le jaati hai mahobbat un raho par....
jaha diye nahi dil jalaye jaate hai.....

Chupke se chand ki roshani aapki ho jaye,


dheere se hawa aap ko kuch kah jaye,
dil se jinhe chahte ho unhe mang lo khuda se,
Hum dua karenge ki aap ka chand aap ko mil jaye.....

Nikalte hain aansoo jab mulaqaat nahi hoti,


Toot jaata hai dil jab baat nahi hoti...
Teri jaan ki kasam jab tu na yaad aaye,
Aisi koi raat nahi hoti...

Milna ittfaak tha bichadna naseeb tha,


Woh itna door hua jitna kareeb tha...
Use dekhne ko tarasti reh gayi aankhein,
Jis shakhs ki hatheli par mera naseeb tha

Chale aao hum tumhe yaad karte hai,


ye woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hai,
jala ke dil me hasraton ke chiraag,
aapke aane ka intezaar karte hai.

I HOPE KI AAP SAB KO PASAND AAYE!!


Phir se dil dukhane ye raat aaye,teri yaad ye saath aaye,ashq banke ye aakhon mein chaye,aakhein
subah tak so na paaye,yaad mujhe ab naa aa, dil tadpane naa aa,jaa too mujhe, na kabhi yaad aa tu
mere jaane ke baad
ehsaas sa hota hai ki vo b hume yaad karte honge 
duur hu me fir b paas mehsus karte honge 
lekin ankhon se ashkon ka dariya behne lagta hai 
jab sochta hu ki yaad karte honge to ussi yaad me rootey b honge... 
ham aapne dil ko ye samjaya kar te hai ki hum taume yaad nahi kiya karte hai par kya kare jab be
aankhe band karte hai tumara chera band aanhkon se dehk kar aansoo nikal he aaja kar te hai
Mere Marne Ke Baad Mere Sene Se
Dil Nikal Lena
Kahi Woh Na Jal Jaaye
Jo Mere Dil Me Rehte Hai

You might also like