Professional Documents
Culture Documents
woh lamhey kitney dilkash they, woh garhyaan kitni piyari theen
woh sehrey kitney nazuk they, woh laryan kitni piyari theen
basti ki har ik shadaab gali, khuwabon ka jazeera thi goya
har moj-e nafas haz moj e saba, naghmon ka zakheera thi goya
Maghrib key muhazzib mulkon sey kuch khaki wardi posh aye
ithlatey huey maghroor aye, lehratey huey madhosh aye
sooraj key lahoo mein luthri hui woh shaam hai ab tak yaad mujhay
chahat key sunehrey khuwabon ka anjaam hai ab tak yaad mujhay
sooraj key lahoo mein luthdi hui woh shaam hai abtak yaad mujhay
chahat key sunehrey khuwabon ka anjaam hai ab tak yaad mujhay
Tum aaj hazaron meel yahaan sey door kaheen tanhai mein
ya bazm-e tarab aarai mein
mairey sapney bunti hogi, baithi aaghosh parayi mein
aur mein seeney mein gham ley kar din raat mushaqat karta hoon
jeeney ki khatir marta hoon
apney fun ko ruswa kar key aghyaar ka daaman bharta hoon
majboor hoon mein, majboor ho tum, majboor yeh dunya saari hai
tann ka dukh, mann par bhaari hai
Is dour mein jeeney ki qeemat ya daar o rasan, ya khuwari hai
mein daar o rasan tak ja saka, tum jehed ki had tak aa na sakeen
chaha to magar apna na sakeen
Hum tum dou aisee roohein hain jo manzil-e-taskeen paa na sakeen
Jeeney ko jiye jatey hain magar saanson mein chitayein jalti hain
khamosh wafayein jalti hain
sangeen haqayiq zaron mein khuwabon ki ridayein jalti hain
aur aaj jab in paidron key taley phir dou saaye lehraye hain
phir dou dil milney aaye hain
phir mout ki aandhi uthi hai, phir jang key baadal chaye hain