You are on page 1of 56

Busy Accounting Software Kya Hai?

Kya Aapne Busy Accounting Software Ka Nam Suna Hai Agar Ha, To Aapke
Mind Me Ye Jarur Aaya Hoga ki Ye Software Hota Kya Hai. Aaj Tak Hum
Accounts ko Manage Karne Ke Liye Only ( Tally ERP 9) Software Ka Use Hi
Kiya Karte The Jiski Cost Kafi Jada Hai Market Me, But Busy Accounting
Software Ki Help Se Hum Apne Account Ko Aur Bhi Achi Tarah Maintain
Kar Sakte Hai. Busy Ki Khas Quality Ye hai Ki Iska Interface Tally Ke
According Kafi Easy Hai Aur Busy Me Har Chije Aapko Samne Hi Dikh
Jaegi.

Busy Software Se Users Kafi Attractive Ho Rahe Hai, Islie Aaj Kal Small
Business Wale Businessman Busy Par Hi Apna Hisab Rakhte Hai. Aaj Ki Post
Me Mai Aapko Busy Accounting Software Kya Hai Iska Kya Use Hai In
Sabke Bare Me Batauga.

Busy Accounting Software Kya Hai?


Busy Ek Accounting Software Hai Jo Kisi Bhi Account Ko Maintain karne Ke
liye Use Kiya jata Hai.Accounts Ka Matlab Hota Hai ,Hisab Kitab Rakhna
Apne Business ka, Ki Kitna Maal(Goods) Aa Raha hai, Kitna Maal Ja raha
Hai, Kisko Kitna Paisa Dena Hai, Kisse Kitna Paisa Lena Hai. In Sabhi Chijo
Ko Hum Busy Software Ki Help Se Aasani Se Manage Kar Sakte Hai.
Busy Ko India Me 1994 Me Launched Kiya Gaya Tha.

Features Of Busy Accounting Software:-


1. Financial Accounting (Multi-Currency)
2. Multi-Location Inventory Managment
3. Production/ Bill Of Material
4. Sales/ purchase order Processing
5. Fully User Configuration Invoicing
6. User Configuration Document Letter
7. sales tax Report register
8. Manufacturing/ Trading Excise Register
9. TDS Management
10.Direct E-Mail Facility
11.MIS Report & Analysis
Busy Software Ko Kaha Se Download Kare?
Busy Software Ko Download Karne Ke Liye Busy Ki Official Website
www.busywin.com Par Jaye Aur Yaha Par Aapko Busy Product Ka Option
Milega, Aap Is par Click Krege, To Busy Software Ka Product Page Open Ho
Jaega. Yaha par Upar Hi Aapko Busy Ka Latest Version Dikhai Dega. Click
To Download Ke Option Par Click Karte Hi Busy Software Download Hona
Start Ho Jaega.

Download Busy Software Now

Types Of Busy Software?


Busy Software 3 Types Ka Hota Hai.

1. Basic: Basic Means Jisme Hum Normal Sale Purchase Sakte Hai Basic Busy
Software Ki Cost 8000 Rs Tak Hoti Hai.Busy Me Basic Software Me Bhi Kai
Type Ke Modes Hote Hai Jaise( Single User, Dual User And Multi-User).

2. Standard: Standard Me Hum sale Purchase, Order Processing POS Billing,


Bill Of Materials, Manufacturing And Trading Job Work Configure Of
Balance Sheet Etc features ko Use Kar Sakte Hai.Standard Mode Aapka
15000 rs Tak Aata Hai.Standard Me Bhi ( Single User, Dual User, And Multi-
User) Modes Hote Hai.
3.Enterprise: Enterprise Me Hum Payroll Voucher/ Master Approval, Web
Based Processing, Email/Sms Query, User Activity Log Etc Ko use Kar Sakte
Hai. Busy Ka Enterprise Mode Kafi Highly Hota Hai Aur Ye Market Me
Approximate 20000 Rs me, Milta Hai.

Enterprise Me Bhi ( Single User, Dual User And Multi-User) Modes Hote hai
Jiseko Hum Apni Suvidha Ke Anusar Purchase Kar Sakte Hai.

Busy Hum Kyu Seekhe? Aaiye Jante Hai?


Aapke Mind Me Ye Jarur Se Aaya Hoga Ki Busy Accounting Software Ko
Hum Kyu Seekhe. Suppose Aapka koi Business hai, Aap Usko Run Karte Hai
Aur Aap Apne Accounts Ko maintain Karna Chahte Hai, Ki Per Day
Transaction Kitni Hui, Stock Kitna Hai Business Me Etc Etc Un Sabhi
Transaction Ko maintain Rakhne Ke Liye Hum Busy Accounting Software
Ko Seekh Sakte Hai.

Jab Se GST India Me Aaya hai Busy Ki Importance Market Me Kuch Jada
Hi Badh Chuki Hai, Aaj Small Ho Ya Middle-Class business Man Sabhi Ko
Apne Accounts Maintain Aur GST Return Ko file Karne Ke Liye Ek
Accountant Ki jarurat Hai, To GST Ke Aa Jane Se Busy Softwares Ki Need
Badh Chuki Hai.

Busy Par Kaha Par Work Hota Hai?


Aapke Mind Me ye Aaya Hoga Ki Busy Seekh To le But Aakhir Busy Ka
Work Kaha Par Hota Hai, Firhall Mai Aapko Bata Du Busy Ka Work Mostly
Small Shop Wale Person karte Hai Market Me Baki Kahi-2 Kisi Private
Sector me Bhi Busy par work Hota Hai.

Hum Apne Business Ki Per Day Ki Transaction, Outstanding Bills, Stock


Statment, Salary payroll Create Karna Ya Phir Jo Manufacturing Ho Rahi
Hai Uski Report Ko Ready Karna, Bank Statment Etc Ko Maintain karne Ke
LiyeBusy Accounting Software Ka Use karte Hai.

GST Ke Aane Se Tally Par Work Kafi Jada Hota Hai, Har Business Karne
Wala Apni Per Day Ki Transaction Sale, Purchase, And Stock Etc Ka Work
Busy Accounting Software Ka Use Karte Hai.
Busy Ko Hum Kaha Se Seekhe?
Jab Hamko Busy Ke Bare Me Itna Pata Chal Chuka hai, Aur Hum Busy Ko
Seekhna Bhi Chahate hai, To Ab Mind Me Ye question Aaya Hoga Ki Busy
Hum Kaha Se Seekhe?

Busy Ko Seekhne Ke Liye Aap Ya To Kisi Coaching Institute Se Aasani Se


Seekh Sakte hai, Ya Phir Aap Online Youtube Ya Google Se Busy Ko Aasani
Se Seekh Sakte Hai.

Interface Of Busy Accounting Software:-


Busy Accounting Software ka Interface Kafi Jada Attractive And User-
Friendly Hai Jiski Wajah Se Market Me Small Business Ho Ya Other
Businessman, Wo Busy Par Hi Apne Account Ko Maintain Karte Hai.

Overview Of Busy Accounting Software:-


Busy Accounting Software Me Kya Kya Modules Hai Un Sabhi Ka Ek
Overview Mai Aapko Batauga.
1. Company:- Isme Hum Company Creation, Open Company, Backup Data,
Restore Data, Split Financial Year Aur License management Se Related Sare
Option Mileage.

2.Administration: Ismo Aapko Masters, Configuration, Users, Utilities, Bulk


Updations, Data Export Import And change Financial Year Se Related Sare
Options Milte Hai.

3.Transactions: Isme Humko Sale, Purchase, Sale Return, Purchase Return,


Payment, Receipt Journal, Contra, Debit Note, Credit Note, Stock Transfer,
Production, Stock journal, physical Stock etc Se Relates sare Options Mil
Jaege Means Hum Voucher Entry Sale Purchase Payment Sabhi Entry Kar
Sakte Hai.

4.Display: Display option Me Humko Final Results, Trial balance, Accounts


Books, Account Summary, Outstanding analysis, Depreciation Chart, Stock
Statu, Inventory Books, Inventory Summary, GST Reports, MIS Reports Etc
sari Reports Wagara Ko Manage Kar Sakte Hai.
5.House Keeping: Isme Hum Update master Balance, Update Voucher Gst
Summary, Check Incomplete Vouchers Etc Ko Manage Kar Sakte Hai.

6.Help: Help Option Me shortcut Keys Aur Jo Bhi Types Ki Busy users Guide
Hai Usko Jakar Padh Sakte Hai.
Toh Aaj Ke Is Post Me Maine Busy Accounting Software Ka Ek overview
Diya ki Akhir Busy Hai Kya? Market Me Busy Ko Kyu Small business Wale
log Jada Like Karte Hai. Agar Aap Bhi Small Business Ko Chalate Hai Aur
GST Bill Banana Chahta Hai, Toh Busy Accounting Software Aapke Liye
Best Hai.

Busy Me Company Kaise Banaye?


Busy Accounting Software Aaj Bahut Hi Popular Accounting Software Me Se
Ek Hai, Jise Har Chota Shop Keeper Ya Ko Company Ka Honour Bahut Se
Aasani Se Apne GST Bill, Aur Accounts Ko Manage karne Ke Liye Use karta
Hai.

Aaj Market Me Busy Ko Log Bahut Pasand karte Hai, Kyuki Isko operate
Karna Tally Ke According Kafi Easy Hai. Aaj mai Aapko Busy Me Company
Kaise Banaye Iske Bare Me Puri jankari Duga.Toh Aaiye Jante Hai.

Busy Me Company Create Karne Ke Liye Kuch Simple Steps


ko Follow Kare.
FIRST STEP-: Busy Accounting Software Me Company Banane Ke Liye
Busy Software Ko Open Karege, Yaha Aapko Upar Ki Taraf Title Bar Me
Company Ka Option Dikhai Dega, Us Par Click Karege. Ab Yaha Aapko
Create Company Ke Option Par Aapko Click Karna Hoga.
NEXT STEP-: Jaise Hi Create Company Ke Option Par Click Karege, Aapke
Samne Ek Create Company Ka Form Aa Jaega, Isko Hamko Fill Karna Hai.
Isme Kai Sari Field Hai Jisko Hume Fill Karna Hoga, Aaiye In Field Ko
Details Me Discuss Karte Hai.

Company Creation In Busy


Sabse Pahle Company Information Me Company Ki Details
Ko Fillup Karege.
 Name: Name Me Hum Jis Company Ko Create Karna Hai Uska Nam
Likhege.
 Print Name: print Name Me Wo Nam Likege Jisko Aapko Print
Karwana Hai Apni Invoice Mai.
 Short Name: Short Nam Me Hum Koi Short Name Likhege Jaise DK
Pvt Ltd Company Etc.
 Country: Country Me India Select Karege.
 State: State Me Wo State Select Karege Jaha Aap Rahte Ho.
 F.Y Beginning From: Means Ki Apka Financial Year Kab Se Suru Hota
Hai iski Details Ko Aapko Fill karna Hai.Financial Year (1 April) Se
Start Hota Hai Aur (31 March) Ko End Hota Hai
 Books Commencing From: Iska Matlab Ye Hota Hai Ki Aapko Entry
Kab Se Karni Hai.Isme Hum Wohi Financial Year wali Hi Date Ko
Rahne Dege
 Address: Hame Apni Company Ka Pura Address Yaha par Fill karna
Hoga.To Jo Bhi Address Hai Aapka Usko Aapko Yaha Fill Karna Hai.
 CIN:CIN Means ( Coperative Identification Number) Ye 21 Digit Ka
Hota Hai.Agar Aapke Pas CIN No Hai To Fill Kar Sakte Hai Warna
Skip Karke Aage Ki Details Ko Fill Karege.
 IT PAN: IT PAN Means (Income Tax Personal Account Number) IT
PAN Card No Se Company ka TDS Deduct Hota Hai.IT PAN Se
Company Ki Ek Pahchan Hoti Hai.Agar Aapko pas IT PAN Crad No
Hai To Yaha Par Fill Karege.
 Ward: Jo Aapka Area Hota Hai Uska Ward No Hota Hai usko yaha Fill
Karna Hai.
 Tel No: Yaha Aapko Apna Number Fill Karna Hai.
 Fax: Agar Koi Fax No Hai To Uska No Yaha Fill karna Hai.
 E Mail: Yaha Par Company Ka Email Fill karna Hai.
 Currency Symbol: Currency Symbol DEfult Aapki Country Se Related
Hota Hai Jaise Hi Hum India Ko Select Karte Hai, To Automatic Rs Ka
Symbol Aa Jata Hai.
 Enable VAT/GST: Is Option Ko Abhi Hum No Rakhege Kyuki Ab VAT
To Kahatam HO Gaya Hai Aur GST Ki Sari Details Main Aapko Aane
Wale Post Me Batauga.
Copy Master, Configuration And User From Ending Company
Option:
Copy Master, Configuration And User From Ending Company Options Kya
Hai, Aaiye Discuss Karte hai Puri Details.

 Not Required: Isma Matlab Hai Ki Hame Dusari Kisi Bhi Company Ka
Data Apne Andar Save Nahi karna Hai.
 Copy, Master And Config: Is Option Ki Help Tab Hum Lete Hai Jab
Kisi Aur Company Ka Data, Party Ledgers Aur Setting Ko Hamko
Apni Company Me Lena Hota Hai.
 Copy, Master Config, And Master: Is Option Mai Bhi Hum Apne
Company Ke Data Ko Kisi Aur Company Me Import Kar Sakte Hai.

In Sari Details Ko Fill Karne Ke Baad Save Ke Option Par Click Karege,
Then Hamari Company Create Hona Start Ho Jaegi. Uske Baad Screen par
Aapko Ek Option Dikhai Dega. Wo Yeh Ki Abhi Aap Busy Ka Demo Mode
Me Open Kar Sakte Ho, Demo Mode Me One Month Tak Hi Hum Sale,
Purchase Ki Entry Ko Kar Sakte Hai. Full Busy Software Ko Long Term Ke
Liye Use Karne Ke Liye Hamko Purchase Karna Hoga.

Demo Mode In Busy

Demo Mode Par Jaise Hi Click Karege Waise Hi Ek Message Aaega


Congratulations Company Has Been Created. Ab Busy Me Aapki Company
Create Ho Chuki Hai.Ab Aapko Ok Ke Button par Click karna Hai.
Password Created By Busy.
Ab Aapko Busy Me Apni Company Ke Liye Super User Name Aur Password
Select Karna Hai. Aap Apni Marji Ke According Koi Bhi User Name Aur
Password Fillup Karke Save Ke Button par Click Kare. Aapki Company Me
Password Successfully Set ho Gaya Hai.

Busy Me Company Humne Create Kar Li Hai, I Hope Ki Ab Aap Busy


Accounting Software Me Company Create Karna Aasani Se Seekh Gaye
Hoge.

Busy Me Company Ko Modify Karna:


Busy Accounting Software Me Company Ko Modify Karne Ke Liye Company
Me Information Me Jakr Jo Bhi Details Ko Hame Modification karna Hai,
Hum Kar Sakte Hai. Modify karne Ke Baad Details Ko Save kar Dege.
Busy Me Company Ko Delete Karna:
STEP:1 Busy Me Kisi Bhi Company Ko Delete Karne Ke Liye sabse Pahle

Company Me Delete Company/ single F.Y jaege.

STEP:-2 Delete Company/ single F.Y Me Click Karne ke Baad, Hamko


Company Jitni Bhi Humne Create Ki Hui Hai Wo Sabhi Dikhai Degi.Inme Se
Hamko Jis Bhi Company Ko Delete karna Hai Usko Select Karege.
STEP:3-Ab Hamko Apna Username Aur Password Ko Enter Karna Hoga
Aur Ok Ke Botton Par Click Karna Hoga, Hamari Company Delete Ho Jaegi.

Busy Accounting Software Se Exit(Bahar) Kaise


Aaye?
Busy Accounting Software Se Exit Aane Ke Liye Company Me Jake Niche
Aapko Exit Ka Option Milega, Waha Click Karke Aap Exit Ho Sakte Ha Phir
Keyboard Se E Button Press Kare Then Enter Kare Aap Busy Se Bahar Aa
jaege.

Busy Me Stock Items Kaise Banaye?


Busy Accounting Software Me Items Create Karne Ke Liye Kuch Simple
Steps Ko Follow kare.

STEP:1- Sabse Pahle Busy Me Company Ko Open Kare.

STEP:2- Ab Aap Administration Menu Me Jaye Aur Masters Par Simply


Click kare

STEP:3- Masters Me Aapko Kafi Sare Options Show Hoge, Aap Items Ke
option Me Jaye Aur Stock Item Ko Create Karne Ke Liye Add Par Click
Kare.
STEP:4- Aapke Screen Par Items Add Karne Ke Menu Open Ho jaegi, New
Item Create Karne Ke Liye Steps Ko Follow kare.

 Name- Jo Bhi Items Create Karna Hai, Uska Naam Likhe.


 Print Name:- Print Name Me Aap Jo Naam Print Karvana Chahate
Hai, Wo Naam Fillup Kare.
 Group:- Group Me Aap General Group Ko Select kare.
 Units:- Units Me Us Item ki Unit Ko Select kare, Yaha Aapko Kafi
Units Mil jaegi.
 Tax Category:- Tax Category Me Aapka Item Kitne % Percent Tax
Rate ka Hai, Item Ka GST Tax Rate Select kare.
 HSN/SAC Code in GST:- Item ka HSN Code Fillup Kare. Mai Batana
Chauga Ki Agar Goods hai To Aap HSN Code Fill karege, Aur Agar
Aap Service Provide karte hai To SAC Code Fillup karna Hoga.
 Sale Price(Pcs):- Item ka Sale Price Fillup kare.
 Purc Price(Pcs):- Item ka Purchase Price Ko Fillup Kare.
 M.R.P (Pcs):- Item ka M.R.P Kya Hai Wo Fill kare.
 Item Description:- Item ka Description Agar Fill karna Chahe toh Aap
Fillup kar Sakte Hai.

Sabhi Details Ko Fillup karne Ke Baad Save Par Click karke Item ko Save
Kar le. Aapka Item Successfully Create Ho Chuka Hai.
Busy Me Items ko Modify Kaise kare?
Busy Accounting Software Me Stock Items Ki Details Ko Modify Kaise Kare,
Item Ki Details ko Modify Karne ke Liye Steps Ko Follow Kare.

STEP:1- Aap Masters Me Jaye Aue Item Ko Modify Karne Ke Liye Modify
Ke Option Par Click Kare

STEP:2- Yaha Aapke Samne Select Items To Modify Ki List Open Ho Jaegi,
Aapko Jo Bhi Item Ko Modify Karna Hai, Usko Select kare Aur Details Ko
Aasani Se Modify(Edit) kar Sakte Hai.
Busy Me Items Ki List Kaise Check Kare?
Busy Accounting Software Me Stock Items Ki Lists Ko Kaise Check Kare,
Item Ki List ko Dakhne Ke Liye Steps Ko Follow Kare.

STEP:1- Aap Masters Me Jaye Aue Item Ki List Ko Check Karne Ke Liye
List Ke Option Par Click Kare
.

STEP:2- Ab Aap Screen Par Diye Option Ko Select kare, Aapke Samne Items
Ki List Open Ho Jaegi, Yaha Aapne Jitne Bhi Stock Items Ko Create Kiya
Hoga Un Sabhi Ki List Aapko Show Ho Jaegi.

Busy Me Items Ko Delete kaise Kare.


Busy Accounting Software Me Item Ko Delete Karne Ke Liye Kuch Simple
Steps Ko Follow kare.

 Sabse Pahle Aap Item Ko Open kare, Aur Aapko Upar Ki Side Me
Delete-F8 Ka Option Show Hoga, Aap Delete Ke Option Par Click kare.
 Jaise Hi Aap Delete ke Option Par Click karege, Aapke Screen par
Delete The Masters Ka Option Show Hoga Aap Simply Yes Par click
kar De, Aapka Item Delete Ho Jaega.

Toh Is Tarah Se Hum Busy Me Items Ko Modify, List And Delete Aasani ke
Sath kar Sakte Hai. Bus Aap in Steps Ko Follow kare.

Busy Me Purchase Entry Kaise Kare?


Busy Accounting Software Me Jab Bhi Hum Kis Party Ya Company Se Kuch
Goods Ko Purchase Karte Hai, Toh Jo Bill Hamko Un Party, Company Se
Received Hota hai, Un Bills Ki Entry Busy Me Kaise Karte Hai, Aaj Mai
Aapko ye Hi Batauga.

Busy Accounting Software Me Purchase Entry Karne Ke Liye Aapko Kuch


Steps ko Follow Karne Padege.
STEP-1: Sabse Pahle Busy Software Me Company Ko Open Kare. Open
Karne Ke Liye Open Company Par Simply Click Kare

STEP:-2 Company Ko Select Karke Open Kare.


STEP:-3 Ab Apni Company Ka User Name And Password Fillup Karke Ok
Ke Button Par Simply Click Kare.Aapki Company Open Ho Jaegi.

STEP-4: Uske Baad Aap Transactions Ke Option Me Jakar Purchase Ke


Option Par Click Karege.

STEP-5: Purchase Option Me Click Karne Par Aapko 3 Menu Show


Hogi.( Add, Modify And List) Aapko Simply New Purchase Ki Entry Karne
Ke Liye Add Ke Option Par Aapko Simply Click Karna Hai.
Busy Me Purchase Entry Karne Ke Liye Hum Purchase Voucher Ka Use
Karte Hai, Jo Ki Kuch Is Tarah Se Hai.

Aaiye Jante Hai Ki Add, Modify And List Options Kya Hai??

 Add:- Jab Bhi Hamko New Bill Create karna Ho Ya New Bill Ki Entry
Karni Ho, To Hum Add Option Ka Use Karte Hai.

 Modify:- Jo Bhi Bill Hum Create Kar Chuke Hai Agar Usme Koi Bhi
Modification Karna Ho, Changes Karna Ho Toh Hum Modify Option
ka Use karege.
 List:- Sabhi Bill's ko Check Karne Ke Liye Hum List Option Ka Use
Karte Hai Is Se Hamare Sare Bill Ek List Ke form Me Show Ho Jata
Hai.
STEP-6: Ab Aapko Purchase Ki Entry Karne Ke Liye Kuch Fields Ko Fillup
Karna Hoga. Jo Ki Kuch Is Tarah Se Hai Screenshot Me Dakhe.

(1)-Series:- Series Ka Matlab Hota Hai Ki Aapko Apna Data Kaha Par
Rakhna Hai. Series Wo Hoti Hai Jaha Hum Apne Work ko Save Karke
Rakhte Hai, Yaha Par Hum Apna Data Main Series Me Rakhege

(2)- Date:- Jis Bhi Date Ko Goods Purchase Kiya Hai, Us Din Ki Date Ko fill
Karege.

(3)-Vch No:- Aapke Aur Supplier Ke Beech Me Jo Bhi Transaction Hoti Hai,
Uska Proof Hi Voucher No Kahlata Hai.

(4)-Purc Type:- Purc Type Me Aapko Kai Types Ki Tax Category Milegi,
Jaise Ki Aap Apne State Me Purchase Kar Rahe Hai Ya Phir Interstate Me.
Busy Me Automatic Tax Category Ke Sath Aapko Local Aur Interstate
Purchase Ka Bhi Options Milega, Aaiye Jante Hai.

Local GST Tax Rates:-


 L/GST-12% :- L Means Local GST 12% Items
 L/GST-18% :- L Means Local GST 18% Items
 L/GST-28% :- L Means Local GST 28% Items
 L/GST-5% :- L Means Local GST 5% Items
 L/GST- Exempt:- Local Gst With Nill Rate
 L/GST- Itemwise:- Local Gst With Tax Calculated In Item Wise
 L/GST- Multirate:- Local Gst With Tax Calculated In Multirate

Interstate GST Tax Rates:-

 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items


 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items
 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items
 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items
 I/GST- Exempt:- Interstate GST With Nill Rate
 I/GST- Itemwise:- Interstate Gst With Tax Calculated In Item Wise
 I/GST- Multirate:- Interstate Gst With Tax Calculated In Multirate
Means Ek Hi Invoice Me Kai Type Ke Tax Calculate Kar Sakte Hai

(5)-Party:- Goods Jisse Bhi Purchase Kar Rahe Hai Kisi Party Ya Phir
Company Se, Use Aapko Create Karna Hoga. Busy Me New Party Create
Karne Ke Liye Apne Keyboard Se (F3), KeyPress Kare.

Aaiye Ek Party Create Karte Hai, Keyboard Se F3 Botton Press Kare, Aur
Kuch Required Fields ko Fillup Kare, Jaise Ki Screenshot Me Show Kiya
Gaya Hai.

 Name:- Aapko Us Party Ka Pura Name Fill karna Hoga.


 Print Name:- Bill Me Aap Kya Print Karana Chahate Hai, Wo Name
Fill Kare.
 Group:- Party Jo Create Kar Rahe Hai, Usko Ek Particular Group Me
Rakhna Hoga, Jaise Ki Purchase Ki Entry Kar Rahe Hai Aap To Party
Ko Sundry Creditor Ke Group Me Rakhege.
 Address:- Aapko Us Party Ka Pura Address Fillup karna Hoga.
 Country:- Aapko Country Select Karni Hogi Ki Aapki Party Kis
Country Se Hai.
 State:- Aapko us Party Ka State Select karna Hoga Ki Aapki Party Kis
State Se Hai.
 Type Of Dealer:- Aapko Ye Select Karna Hoga Ki Wo party Registered
Hai Ya Unregistered.
 GSTIN/UIN:- Aapko Us Party Ka GSTIN No Fill Up Karna Padega
Agar Party Registered Hai To, Agar Party Unregistered Hai To GSTIN
No Fill Up Karne Ki Jarurat Nahi Hai.
 Aadhar Card:- Agar Party Ka Aadhar Card Ho To Aadahar No Bhi
Fill Up kar Sakte Hai.
 IT PAN:- Party Ka IT Pan Card No Fillup karna Hoga Agar Party Ke
Pas IT PAN No Ho To Warna Koi Jaruri Nahi hai.
 Email Address:- Party Ka Email Address Fillup kare.
 Mobile:- Party ka Mobile No Fill Up Kare.
 Pin Code:- Party ka Pin Code Fill Kare.

Sari Details fill Karne Ke Baad Save Ke Option Par Click Kare Aapki Party
Create Ho Chuki Hai.

(6)-Mat Center:- Aapko Apna Maal/ Goods Kaha Par Rakhna Hai Kis
Location Par. Uske Liye Aap Apne Goods Ko Mai Store Me Rakh Sakte Hai.

(7)-ITC Elegible:- Isme Agar Aapko Apne Goods Ki ITC :Leni Hai Toh Aap
Input Goods/Service Ko Select karege.

(8)-Narration:- Aap Agar Bill Me Koi Important Details Ko Add up Karna


Chahe To Aap Apni Marji Ke According Koi Narration Fillup Kar Sakte Hai.

(9)-Items:- Aapko Ab Kis Items Ko Purchase karna Hai, Us Item Ko Create


Karna Hoga, Yaha Maine Honda Bike Naam ka Item Create Kiya Hai. Item
Ko Create karne Ke Liye Apne Keyboard Se (F3) Botton Press karege.

 Name:- Aapko Jo Bhi Item Create karna Ho, Uska Name Fillup karege.

 Print Name:- Bill Me Aap Kya Print Karana Chahate Hai, Wo Name
Fill Kare.
 Group:- Group Me Aap Isko Kis Group Me Rakhna Chahate Hai Wo
Select Kare Firhal To General Group Me Items Ko Rakhege.
 Unit:- Unit Me Aapko Us item Ko Kis unit Me Rakhna Chahate Hai.
 Tax Category:- Item Par Kaun Sa Tax Lagega Wo Tax Category Ko
Select Karege.
 HSN/SAC:- Us Item Ka HSN Code Kya Hai Use Fillup Kare.
 Sale Price:- Us Items Ka Sale price Kya Hai, Us Price Ko Fillup Kare
Jis price Me Aap item Ko Sale Karna Chahte Hai.
 Pur Price:- Us Item Ka Purchase Price Kya Hai Use Fillup Kare.
 MRP:- Item Ka MRP Rate Fillup Kare.
Sari Details Fillup Karne Ke Baad Save Ke Option Par Click Kare. Aapka
Item Successfully Create Ho Chuka Hai.

(10)- Items Ko Create Kar Lene Ke Baad Uski Entry Karege, Jaise Ki Us Item
Ki Quantity Kya Hai, Price Kya Hai Etc Yaha Humne Honda Bike Naam Ka
Item Create Kiya Hai, Items Ki Sari Details Ko Fillup Karne Ke Baad Niche
Aapko Apply Tax Ka Option Show Hoga, Aapko Simply Us Par Click Karna
Hai, Jaise Hi Aap Apply Tax Ke Option Par Click Karege To Items Par Tax
Automatic Calculate Ho Jaega Aur Niche Bill Me Aapko Taxable Amount
Show Hoga.

(11)- Bill Me Sari Details ko Fillup Karne Ke Baad Aap Simply Bill Ko
Save Kar Lege.Ab Aapne Successfully Purchase Ki Entry Ko Karna Seekh
Liya Hai.

Purchase Bill Ko Print Kaise Kare??


Busy Me Bill Ko Create karne Ke Baad Aap Usko Direct Bhi Print Kar Sakte
Hai Ya Phir Jab Aap Bill Ko Save karte Hai To Busy Aapse Bill Ko Print
Karna Chahte Hai, Puchta Hai. Aap Us Option Se Bhi Apne Bill Ko Print Kar
Sakte Hai.
Bill Ko Print Karne Ke Liye Aapko Screen Par Aisa option Show Hoga Bus
Apko Kuch Fields Ko Fillup Karna Hoga.

 Format Of Invoice Printing:- Yaha Aapko Standard Ko Select Karna


Hoga.
 No Of Copies:- Aapko Bill Ki Kitni Copies Chahiye Wo Select kare.

Details Fill Karne Ke Baad Simply Print Ke Option Par Click Kare.

Print Ke Options Par Click Karne Ke Baad Aapka Bill Print Ho Jaega.

Some Shortcut Keys In Busy:-


 (F2) Bill Ko Save Karne Ke Liye
 (F3) Party Create Karne Ke Liye
 (F3) Items Create Karne Ke Liye
 (F9) Party/Item Ko Hatane Ke Liye
 (Alt+M) Data Ko Modify Karne Ke Liye
 (Alt+P) Bill Ko Print Karne Ke Liye
 (Alt+R) Refresh Karne Ke Liye
 (Alt+E) Data Ko Export Karne Ke Liye
 (Alt+D) Voucher Ko Delete Karne Ke Liye
 (Alt+L) Ledger Create Karne Ke Liye
 (Ctrl+Alt+A) Administration Menu Par Jane Ke Liye
 (Ctrl+Alt+T) Transactions Menu Par Jane Ke Liye
 (Ctrl+Alt+D) Display Menu Par Jane Ke Liye
 (Ctrl+Alt+P) Print Email Menu Par Jane Ke Liye

Busy Me GST Bill Kaise Banaye?


Busy Accounting Software Me GST Bill Kaise Banaye? Ye Sawal Aapke Man
Me Jarur Aata Haga. Apne Business Ko Proper dang Se manage Karne Ke
Liye Customers Ko GST ka Bill Dena Necessary Ho Gaya Hai.

Aise Me Busy Me GST BIll Kaise Banaye, Kis Tarah Se Goods Sale Karne
par Tax Calculate Kare, Kis Goods Par Kitne Percent Tax Lagega, Bill Ko
Kaise Print kare? Aaj mai Aapko GST Bill Se Related In Sabhi Sawale Ke
Jawab Duga, To Aaiye jante Hai.

Busy Accounting Software Me GST Bill Banane Ke Liye Aapko Kuch Steps
ko Follow Karne Padege
STEP-1: Sabse Pahle Busy Software Me Company Ko Open Kare. Open
Karne Ke Liye Open Company Par Simply Click Kare

STEP:-2 Company Ko Select Karke Open Kare.


STEP:-3 Ab Apni Company Ka User Name And Password Fillup Karke Ok
Ke Button Par Simply Click Kare.Aapki Company Open Ho Jaegi.

STEP-4: Uske Baad Aap Transactions Ke Option Me Jakar Sale Ke Option


Par Click Karege.

STEP-5: Sale Option Me Click Karne Par Aapko 3 Menu Show Hogi.( Add,
Modify And List) Aapko Simply New Bill Banane Ke Liye Add Ke Option Par
Click Karna Hai.
Aaiye Jante Hai Ki Add, Modify And List Options
Kya Hai??
 Add:- Jab Bhi Hamko New Bill Create karna Ho Ya New Bill Ki Entry
Karni Ho, To Hum Add Option Ka Use Karte Hai.

 Modify:- Jo Bhi Bill Hum Create Kar Chuke Hai Agar Usme Koi Bhi
Modification Karna Ho, Changes Karna Ho Toh Hum Modify Option
ka Use karege.
 List:- Sabhi Bill's ko Check Karne Ke Liye Hum List Option Ka Use
Karte Hai Is Se Hamare Sare Bill Ek List Ke form Me Show Ho Jate
Hai

STEP-6: Ab Aapko Bill Create Karne Ke Liye Kuch Fields Ko Fillup Karna
Hoga. Jo Ki Kuch Is Tarah Se Hai Screenshot Me Dakhe.
(1)-Series:- Series Ka Matlab Hota Hai Ki Aapko Apna Data Kaha Par
Rakhna Hai. Series Wo Hoti Hai Jaha Hum Apne Work ko Save Karke
Rakhte Hai, Yaha Par Hum Apna Data Main Series Me Store Karke
Rakhege.

(2)- Date:- Jis Bhi Date Ko Goods(Maal) Sale Kiya Hai, Us Din Ki Date Ko fill
Karege.

(3)-Vch No:- Aapke Aur Supplier Ke Beech Me Jo Bhi Transaction Hoti Hai,
Uska Proof Hi Voucher No Kahlata Hai.Voucher No Bill Me dalana Bahut Hi
Important Hota Hai.

(4)-Sale Type:- Sale Type Me Aapko Kai Types Ki Tax Category Milegi, Jaise
Ki Aap Apne State Me Sale Kar Rahe Hai, Ya Phir Interstate Matlab State
Ke Bahar Sale Kar Rahe Hai. Busy Me Automatic Tax Category Ke Sath
Aapko Local Aur Interstate Sale Ka Options Bhi Milega, Jis Se Hamko Busy
Me Entry Post Karne Me kafi Aasani Hogi Toh, Aaiye Jante Hai.
Local GST Tax Rates:-

 L/GST-12% :- L Means Local GST 12% Items


 L/GST-18% :- L Means Local GST 18% Items
 L/GST-28% :- L Means Local GST 28% Items
 L/GST-5% :- L Means Local GST 5% Items
 L/GST- Exempt:- Local Gst With Nill Rate
 L/GST- Itemwise:- Local Gst With Tax Calculated In Item Wise
 L/GST- Multirate:- Local Gst With Tax Calculated In Multirate

Interstate(State Ke Bahar) GST Tax Rates:-

 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items


 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items
 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items
 I/GST-12% :- I Means Interstate GST 12% Items
 I/GST- Exempt:- Interstate GST With Nill Rate
 I/GST- Itemwise:- Interstate Gst With Tax Calculated In Item Wise
 I/GST- Multirate:- Interstate Gst With Tax Calculated In Multirate
Means Ek Hi Invoice Me Kai Type Ke Tax Ko Aasani Se Calculate Kar
Sakte Hai

(5)-Party:- Goods Jisko Bhi Sale Kar Rahe Hai Kisi party Ya Phir Kisi
Customers Ko Uska Ledger Aapko Create Karna Hoga. Busy Me New Party
Create Karne Ke Liye Apne Keyboard Se (F3), KeyPress Kare.

Aaiye Ek Party Create Karte Hai. Keyboard Se F3 Botton Press Kare. Aur
Kuch Required Fields ko Fillup Kare, Jaise Ki Screenshot Me Show Kiya
Gaya Hai.

 Name:- Aapko Us Party Ka Pura Name Fillup karna Hoga.


 Print Name:- Bill Me Aap Kya Print Karvana Chahate Hai, Wo Name
Fill Kare.
 Group:- Party Jo Create Kar Rahe Hai, Usko Ek Particular Group Me
Rakhna Hoga, Jaise Ki Sale Bill Create Kar Rahe Hai Toh Aap To
Party Ko Sundry Debtors Ke Group Me Rakhege.Kyuki Har Ek Group
Ka Alag Nature Define Kiya Gaya Hai, Busy Accounting Software Me.
 Address:- Aapko Us Party Ka Pura Address Fillup karna Hoga.
 Country:- Aapko Country Select Karni Hogi Ki Aapki Party Kis
Country Se Belong Karti Hai.
 State:- Aapko us Party Ka State Select karna Hoga Ki Aapki Party Kis
State Ki Hai.
 Type Of Dealer:- Aapko Ye Select Karna Hoga Ki Wo party Registered
Hai Ya Unregistered.Agar Party Registered Hogi, Toh Uska GSTIN No
Hoga, Aur Agar Unregistered Hogi Toh Uska GSTIN No Nahi Hoga.
 GSTIN/UIN:- Aapko Us Party Ka GSTIN No Fill Up Karna Padega
Agar Party Registered Hai To, Agar Party Unregistered Hai To GSTIN
No Fill Up Karne Ki Jarurat Nahi Hai.
 Aadhar Card:- Agar Party Ka Aadhar Card Ho To Aadahar No Bhi
Fill Up Kar Sakte Hai.
 IT PAN:- Party Ka IT Pan Card No Fillup Karna Hoga, Agar Party Ke
Pas IT PAN No Ho To Warna Koi Jaruri Nahi Hai.Aapki jaisi
Requirement Ho Aap Waisa kar Sakte Hai.
 Email Address:- Party Ka Email Address Fillup kare.
 Mobile:- Party ka Mobile No Fill Up Kare.
 Pin Code:- Party ka Area Ka Pin Code Fill Kare.

Sari Details fill Karne Ke Baad Save Ke Option Par Click Kare Aapki Party
Successfully Create Ho Chuki Hai.

(6)-Mat Center:- Aapko Apna (Maal/ Goods) Kaha Par Rakhna Hai Means Ki
Kis Location Par Aap Apne Maal Ko Rakhna Chahte Hai. Aap Apne Goods
Ko Mat Store Me Rakh Sakte Hai Busy Ke According.

(7)-Narration:- Aap Agar Bill Me Koi Important Details Ko Addup karna


Chahe To Aap Apni Marji Ke According Koi Narration Fillup Kar Sakte Hai.
Narration Ko Fill Karne Se Aapko Ye Yaad rahega Future Me Ki ,Is Bill Me
,ye Amount ,Is Date Ko, Is party Ko Sale Kiya Tha.Future Me Chijo Ko Yaad
Rakhne Ke Liye Hum Narration Likhte Hai.

(8)-Items:- Aapko Ab Kis Items Ko Sale karna Hai, Us Item Ko Create Karna
Hoga, Yaha Maine Computer Aur Mobile (2 Items) Create Kiye Hai.
Busy Me Item Ko Create karne Ke Liye Apne Keyboard Se (F3) Botton Press
karege.

 Name:- Aapko Jo Bhi Item Create karna Ho, Uska Pura Name Fillup
kare.

 Print Name:- Aap Apne Bill Me Aap Kya Print Karana Chahate Hai,
Wo Name Ko Fillup Kare.
 Group:- Group Me Aap Isko Kis Group Me Rakhna Chahate Hai Wo
Select Kare Firhal Busy Me Hum General Group Me Items Ko
Rakhege.
 Unit:- Aapka Item Kis Unit Me Hai Us unit Me Us Item Ko Rakhege
Yaha Par Item Ki Unit PCS Me Hai To Hum Pcs Ko Select kar Lege.
 Tax Category:- Item Par Kaun Sa Tax Lagega Wo Tax Category Ko
Select Karege.Har Item par Tax Rate Different Hota hai, To Aapka
Item Kis Tax Rate Se Belong karta Hai Usko Select kare.
 HSN/SAC:- Us Item Ka HSN Code Kya Hai Use Fillup Kare. Har Ek
Item Ka HSN Code Hota Hai, Aur Agar Aap Service Provide Kar Rahe
Hai To SAC Code Fill karte Hai.
 Sale Price:- Us Items Ka Sale price Kya Hai, Us Price Ko Fillup Kare,
Jis price Me Aap Us item Ko Sale Karna Chahte Hai.
 Pur Price:- Us Item Ka Purchase Price Kya Hai, Means Jaha Se Humne
Woh Item Purchase Kiya Tha Kisi Company Ya Firm Se Wo Price ko
Yaha Par Fillup Kare.
 MRP:- Item Ka MRP Rate Kya Hai Usko Fillup Kare.

Sari Details Fillup Karne Ke Baad Save Ke Option Par Click Kare. Aapka
Item Successfully Create Ho Chuka Hai.

(9)- Items Ko Create Kar Lene Ke Baad Uski Entry Karege, Ki Us Item Ki
Quantity Kya Hai, Price Kya Hai Etc Etc.Yaha Humne 2 Items Ko Create
Kiya Hai, Ek Computer Aur Dusara Mobile.

Items Ki Sari Details Ko Fillup Karne Ke Baad Niche Aapko Apply Tax Ka
Option Show Hoga, Aapko Simply Us Par Click Karna Hai, Jaise Hi Aap
Apply Tax Ke Option Par Click Karege To Items Par Tax Automatic
Calculate Ho Jaega Aur Niche Bill Me Aapko Taxable Amount Show Hoga.

(10)- Bill Me Sari Details ko Fillup Karne Ke Baad Aap Simply Bill Ko
Save Kar Lege.Ab Aapne Successfully GST Bill Create Karna Seekh Liya
Hai.

Busy Me Bill Ko Print Kaise Kare??


Busy Me Bill Ko Create karne Ke Baad Aap Usko Direct Bhi Print Kar Sakte
Hai Ya Phir Jab Aap Bill Ko Save karte Hai To Busy Aapse Bill Ko Print
Karna Chahte Hai, Puchta Hai.Aap Us Option Se Bhi Apne Bill Ko Print Kar
Sakte Hai.
Bill Ko Print Karne Ke Liye Aapko Aapki Screen Par Aisa Option Show
Hoga Bus Apko Kuch Fields Ko Fillup Karna Hoga.

 Format Of Invoice Printing:- Yaha Aapko Standard Option Ko Select


Karna Hoga.
 No Of Copies:- Aapko Bill Ki Kitni Copies Chahiye, Wo Select Kare,
Firhall To GST me 3 Copies Bill Allow Hai Nekalna.

Ab Sari Details Fill Karne Ke Baad Simply Print Ke Option Par Click
Kare.Aapko Bill Print Ho Jaega.Print Karne Ke Liye Aap Keyboard Se
Shortcut Key Bhi Use Kar Apne Bill Ko Aasani Se Print kar Sakte Hai.

Print Ke Options Par Click Karne Ke Baad Aapka Bill Print Ho Jaega.
Is Tarah Busy Me Aap Apne Bill Ko Aasani Se Create Kar Sakte Hai.

Some Shortcut Keys In Busy:-


 (F2) Bill Ko Save Karne Ke Liye
 (F3) Party Create Karne Ke Liye
 (F3) Items Create Karne Ke Liye
 (F9) Party/Item Ko Hatane Ke Liye
 (Alt+M) Data Ko Modify Karne Ke Liye
 (Alt+P) Bill Ko Print Karne Ke Liye
 (Alt+R) Refresh Karne Ke Liye
 (Alt+E) Data Ko Export Karne Ke Liye
 (Alt+D) Voucher Ko Delete Karne Ke Liye
 (Alt+L) Ledger Create Karne Ke Liye
 (Ctrl+Alt+A) Administration Menu Par Jane Ke Liye
 (Ctrl+Alt+T) Transactions Menu Par Jane Ke Liye
 (Ctrl+Alt+D) Display Menu Par Jane Ke Liye
 (Ctrl+Alt+P) Print Email Menu Par Jane Ke Liye

Contra Voucher Kya Hai?


Contra Voucher Ka Use Hum Tab karte Hai Jaha Par Bank Se Related Entry
ki Baat Aati Hai. Contra Voucher Me Hum Ya Phir Bank Se Paise Nekalte
hai, Ya Phir Bank Me Paisa jama Karte Hai,Ya To Transfer Karte Hai, Ek
Bank Se Dusare Bank Me To Hum Contra Voucher Ka Use Karte Hai.
Contra Voucher Me Hum Only ( Cash Aur Bank Account) Hi Debit/Credit
Kar Sakte Hai, Jaha Par Bank Ka Jikar Ho Waha Turant Sari Entry Ko
Hum Contra Voucher Me Post Karege.

Some Important Point Of Contra Vouchers:-


1:- Agar Kisi Bank Me Paise Jama Kiye Jaege To Bank Account Debit Karega
Aur Cash Account Means Jama Karne Wala Account Credit Karega
2:-Agar Bank Se Paise Nekal Rahe Hai, To Bank Account Credit Karega Aur
Cash Account Debit Karega
3:- Agar Ek Bank ka Cheque, Dusare Bank Me Ja Raha hai To First Bank
Credit Karega Aur Dusara Bank Jisme cheque Diya Gaya hai Wo Debit
Hoga.

Note:-
Aksar Hamko Ye Confusion Create Hota Hai Ki Kis Voucher Me Entry
Kare?? To Aaiye Kuch Points Aapse Discuss Karte Hai Ki, Aapko Kaun Se
Voucher Me Entry Post Karni Hai?

 Jab Bhi Paisa Aayega Toh Simply Aapko Receipt Voucher Me Entry
Karni Hai.
 Jab Bhi Paisa jaege, Means Aap Kisi Ko Payment Karege Toh Uski
Entry Payment Voucher Me Karege.
 Jaha Par (Cash/Bank) Aa Jaye Toh Uski Entry Hum Contra Voucher
Me Karege.
Busy Me Contra Entry Kaise Kare?
Busy Me Contra Voucher Me Entry Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko
Follow Kare.

STEP:-1 Sabse Pahle Busy Software Me Company Ko Open Kare. Open


Karne Ke Liye Open Company Par Simply Click Kare
STEP:-2 Company Ko Select Karke Open Kare.

STEP:-3 Ab Apni Company Ka User Name And Password Fillup Karke Ok


Ke Button Par Simply Click Kare.Aapki Company Open Ho jaegi.

STEP:-4 Contra Ki Entry Karne Ke Liye Ab Aap Transactions Me jakar


Contra Par Click kare.
STEP:-5 Contra Ke Option Me Click Karne Par Aapko 3 Menu Show
Hogi.( Add, Modify And List) Aapko Simply New Contra Ki Entry Post
Karna Hai To New Entry Ko Post Karne Ke Liye Add Ke Option Par Simply
Click Kare.
Bank Ki Sabhi Entries Ko Hum Contra Voucher Me Post Karege. Contra
Voucher Kuch Is Tarah Se Dikhai Dega Busy Me Screenshot Me Dakhe.

Aaiye Jante Hai Ki Add, Modify And List Options Kya Hai??

 Add:- Jab Bhi Hamko New Bill Create karna Ho Ya New Bill Ki Entry
Karni Ho, To Hum Add Option Ka Use Karte Hai.

 Modify:- Jo Bhi Bill Hum Create Kar Chuke Hai Agar Usme Koi Bhi
Modification Karna Ho, Changes Karna Ho Toh Hum Modify Option
ka Use karege.
 List:- Sabhi Bill's ko Check Karne Ke Liye Hum List Option Ka Use
Karte Hai Is Se Hamare Sare Bill Ek List Ke form Me Show Ho Jata
Hai.
STEP:-6 Ab Aapke Samne Contra Voucher Open Ho Jaega. Contra Me Entry
Post Karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow Kare.

 Voucher Series:- Yaha Par Aapko Main Series Ko Select karna Hai.
 Date:- Jis Bhi Date Me Entry kar Rahe Hai, Us Date ko Fillup kare.
 Debit(D):- Yaha Par D Ka Matlab Hai Debit. Aapko Debit Me Apne
Bank Account Ko Select karna hai, But Hamare Pas Bank Account ka
Ledger Toh hai Nahi Isliye Hum Bank ka Ledger Create karege. Aur
Bank A/c Ko Debit karege Aur Jitna Amount Bank Me Jama Kar Rahe
Hai Wo Fill karege.
 Credit(C):- Ab yaha Par Cash Credit Ho Raha Hai To Cash Me Jo
Amount Hai Usko Fill karege
 Long Narration:- Yaha Par Humne Cash Deposit in Bank Ki Entry Post
Ki To narration Me Hum Likh Dege, Narration Likhne Se hamko Ye
Yaad rahta Hai, Ki Is Entry Me Humne Kya Kiya Tha. Accounts Ko
Proper Dang Se Manage Karne Ke Liye Hamko Narration Bhi dalana
jaruri Hota Hai, Warna future Me Hamko Shayad Yaad na rahe Ki
Humne Ye Entry Me Kya Kiya Tha, But Narration Fill Rahega To
Hamko Entry Me Aasani Se Yad Rahega Ki Humne Us Entry Me Kya
Post Kiya Tha.
Sari Details Ko Fillup Karne Ke Baad Contra Entry Ko Save Kar Lege, Ab
Humne Successfully Contra Entry Post Karni Seekh Li hai Busy Me.

Busy Me Bank Ka Ledger Kaise Create Kare?

Bank Ka Ledger Create Karne Ke Liye Keyboard Se F3 Button Press kare,


Aaiye Bank Ka Ledger Banate Hai.

Bank Ka Ledger Kuch Is Tarah Se Create kare.

 Name:- Name Me Apne Bank Ka Naam Likhe


 Print Name:- Yaha Par Bhi Apne bank ka Naam Likhe, Aur Print
Name Me Aapko Koi Aur Name Print karwana Hai Toh Aap Woh
Naam Bhi Likh Sakte Hai.
 Group:- Group Me Aap Bank Account Group Ko Select Karege.
 Country:- Country Me India Select kare.
 State :- Aap Jis State Me Rahte hai, Us State ko Select kare.
 Bank Accouny No:- Aapko yaha Par Apne Bank A/c No Ko Fill karna
Hai.
Sari Details Ko Fillup karne ke Baad Simply Save ke Button par Click karke
Save kar Le.Ab Aapka Bank ka Ledger Create Ho Chuka Hai.

Busy Me Contra Entry Ko Modify Kaise Kare?


Kabhi-2 Kya Hota Hai Ki Entry To Humne Post karke Save kar Li But
Amount Galat Fill Ho Gaya Ya Phir Debit karna Tha To Credit Ho gaya, Aisi
Condition Me Hamko Agar Us Entry Ko Modify karna Hai To Woh kaise
Karege, Modify karne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow kare.Aaiye
janate Hai.

Step:1 Sabse pahle Aapko Transaction Me Aakar Contra Ke Option Me


Jakar Modify Par Click Karna Hoga.

Step:2 Modify par Click Karte Hi, Aapne Jo Contra Vouchers Me Entry Post
Ki Hui Hogi, Us Entry ko Ok Ke Option Par Jakar Click karege To Entry
Open Ho jaegi, Ab Aap Aasani Se Contra Ki Entry Ko Modify kar Sakte Hai
Aur Modify karne Ke Baad Simply Aap Again Entry Ko Save kar De.

Busy Me Contra Entry Ki List Kaise Dakhe?


Humne Jitni Bhi Contra Entry Post Ki Hui Hai, Agar Un Sari Entries Ko
Humko Ek Sath dakhna Hai, Toh Wo Hum kaise Dakh Sakte Hai, Aaiye jante
Hai.

Busy Me Contra Entry List Ko Dakhne Ke Liye Kuch Simple Steps Ko Follow
Kare.

Step:1- Sabse Pahle Aapko Transaction Me Aakar Contra Ke Option Me


Jakar List Par Simply Click Karna Hoga
.

Step:2 List par Click Karte Hi Aapke Samne Contra Ki List Ke Liye options
Show Hoge Ki Aapko Kis Date Se Kis Date Tak Ki Entry Ko Dakhna Hai,
Apni Marji Ke According Aap date Ko Select karke Simply Ok Ke Button par
Click kare.
Step:3 Ab Aapke Samne Contra Entry Ki Sabhi List Show Ho jaegi, Yaha
Aapne Jitni Bhi entry Ki Hui hai, Unko Aap Aasani Se Dakh Sakte Hai.

Toh Is Tarah Se Aapne Busy Me Contra Entry Ko Post karna Seekha.I Hope
Ki Ab Aap Bust Me Contra Entry Kar Lege.

Thanks You For Visiting Technical Cube

You might also like