You are on page 1of 11

‫ پرھیں اور شیئر کریں‬،‫حضرت علی علیہ السالم کے بہترین اقوال‬

October 11, 2013 at 4:27 PM


Acha Dost, HATH aur AANKH ki trha hota hai
jab Hath ko takleef hoti hai to Aankh roti hai.
Aur jab Aankh roti hai to Hath anso saaf
krne k liye agay berhata hai.
(Hazrat Ali A.S)

----------------------------------
Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
( Hazrat Ali )
----------------------------------
IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain
( Hazrat Ali)
----------------------------------
Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Jub meri DUA kabol ho tu mein khus hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Hazrat Ali ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi
roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k
eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU-WA TAALA ne muaf kar dia
----------------------------------
Hazrat Ali SAYS
TUMHARE 3 DOST HAIN
1 TUMHARA DOST
2 TUMHARAY DOST KA DOST
3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN
TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN
1 TUMHARA DUSHMAN
2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST
3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN
----------------------------------
Allah apko Hazrat Ali ki Himmat, Hazrat Umar ki Taqat, Hazrat Usman ki Doulat, Hazrat Abu
Bakkar ki Sadaqat, Hazrat Suleman ki Saltanat, Hazrat Yousaf ki Khubsurti, Hazrat Bilal ki
Awaz or Hazrat Muhammad (SAW) ki CHAHAT Naseeb Farmaye (Ameen)
----------------------------------
Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
( Hazrat Ali )

Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
Allah Ki
Enyat Hai.
(Imam Hussain)
----------------------------------
( Hazrat Ali ) Ka Frman Hy:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"
----------------------------------
Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Kisi ne Hazrat Ali se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke
heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
----------------------------------
"Woh gunah jis ka tumhain ranj ho, ALLAH ke nazdeek us nayki se behtar hay jis se tum mein
ghuroor peda ho jae"...( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Ksi ko tm chaho or wo tmhy thukra dy,Ye uski Bdnasebi hai,
Koi tmhy na chahy or tm usy Zbardasti Apna banana chaho,Ye tmhry nafs ki Zilat hai"( Hazrat
Ali )
----------------------------------
Hazrat Ali KARAM ULLAH WAJHU NE FARMAYA,
" IKHLAQ KI QEEMAT KUCH NHI DAINE PARTI MAGAR USS SE HR CHEZE KHARIDI
JA SAKTI HAI "
----------------------------------
"Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.." ( Hazrat Ali )
----------------------------------
Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Ye PANJATAN ki Ghulami
bara SILA degi
Gulab ki tarah
Chehra Khila degi
mat chorna kabhi Daman-e-
"AHL-E-BAIT"
Ye Bandagi Tumhain
MOULA se mila degi.
----------------------------------
Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge
Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat Ali )
----------------------------------
Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se
bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"( Hazrat Ali )
----------------------------------
Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat Ali )
----------------------------------
Aik Shakhs Ne Hazrat Ali Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
----------------------------------
4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda
ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Golden Words"
"Her INSAN ki izat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi
sift zror mojood hoti hai"
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Jab tumhary dil ma kisi k liye nafrat paida honey lagy to foran uski achaiyon ko yaad karny lago
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari
TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Bay shak dunya or akhrat ki misal
asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian
hon 1 ko razi karta ha to dosri roth
jati ha
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Agr kisi ka ban'na chahtay ho to pori hakeqat se ban jao... warna,apni zaat mn asi hakeqat peda
kr lo k koi hakeqat mn tumhara ban jaye...
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Insaan dukh nahi detay,insanon se wabasta umeedain dukh deti hein" ( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat
mai kia jAZAH degi"... ( Hazrat Ali )
----------------------------------
naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao
gai.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Bura Dost Aag Ki Tarah hota hai, Agr Jalta hai to Ap ko bhi Jala Dega Aur agr Bujha huwa
hoga to Aap k Hath Kaley kr dega.( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Ekhtiyaar, Taqat aur Dolat milnay per log badaltay nahi balkay BENAQAB hotay hain"
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA."
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Hazrat Ali said
Buray Insaan ki Sohbat se Perhaiz karo kyun kay woh Talwar ki Tarha hey Jo Dekhney mein
Khobsorat aur Asar mein Katarnak hey.
----------------------------------
Achi zindagi guzar ny k 2 tareeky hain.
¤ Jo pasand hain usay hasil kr lo
ya Phr
¤ Jo hasil hain usay pasand kr lo.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
1.Ghusay wala Durust faisly se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kamyabi se.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe
ye tumaray haq main behtar he
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
(( Hazrat Ali , Nuzhat ul Majalis, page 510)
----------------------------------
"Words r under your control until you speak them but you come under their control once you
have spoken them"
( Hazrat Ali )
----------------------------------
GHULAB KA PHOL BNO!KYUNK YEH PHOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR
DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI."( Hazrat Ali )"
----------------------------------
Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari
TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
khush mizaji hamesha khoubsorti ki kami ko pora kar deti hy,
lekin khoubsorti khush mizaji ki kami ko pura nahi kar sakti.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Koshish kro k tm Dunya me raho Dunya tm mein na rahay Q k kashti jb tk pani me rhti hy khub
terti hy leikin jb pani kashti me aa jata hy to doob jati hy.( Hazrat Ali )
----------------------------------
Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hy
QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hy.( Hazrat Ali )
----------------------------------
Ikhtiaar, Taaqat Aur Doolat milnay par Log badaltay nahin... bal k BENAQAB hotay hain.. (
Hazrat Ali )
----------------------------------
Qaber 4 Awaz Deti Hai...
1 Yahan Andhera Hai Roshni Lana.
2 Me Khaak Hoon Bistar Lana.
3 Tanhai He Dost Lana.
4 Sanp Bichoo Hain Dawa Lana.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Dolat Mandi Pardes Ko B " Watan " Jesa Bana Deti Hy
Or Muflis Apny Hi " Watan " Mein Pardesi Hota Hay
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Mujhy Ibadat me 2 chezein bohat pasand hain
1: Sard Mosam me Fajar ki Namaz
2: Garm Mosam me Ramazan k Rozay. ( Hazrat Ali )
----------------------------------
Apni Qismat pr wohi shakhs rota hai jisey "Sajdon" main ronay ki aadat nahi hoti...
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Jis darakht ki lakrri naram hogi Uski shakhein ziyada hongi..
Bus naram tabiyat aur naram guftar ban jaao, ta'k tumharay dost ziyaadaa hon...
( Hazrat Ali )
----------------------------------
4 Batein Ilam Ka Nichor Hen,
1 Allah Ki Itni Maqdar Men Ibadat Karo Jitni Miqdar Mein Tuje Khuda Ki Zarorat Hy
2 Us Ki Nafrmani Utni Karo Jitna To Aag Par Sabar Kr Sakay
3 Dunia K liye Utna Aml Kro Jitna Tuje Dunia men rehna hy
4 aakhrat k liye utna aml kro jitna tuje wahan thehrna hy
( Hazrat Ali )
----------------------------------
1 Khalis Dosti aik acha rishta hai
2 ager tum badshah ho tb bahi apne valid or ustad ke tazeem k lye kharay hojao.
3 na umeedi say rooh mar jati hau
4 zuban esa darinda hai jise ageer khula chor dia jaye to phar khaye
5 neki ka iradah hashar ki aag ko bhujata hai
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Jis ka rabita Allah se ho Wo nakam nahi hota,
Nakam Wo hota hai jis ki umidain dunia se wabasta hon
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Logon k dilon mein apna maqam is tarah bana lo k mar jao to tumhare liye royen or zinda ho to
tumhen milna pasand karein.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
KHAMOSH Raho ya Aesi Bat kaho jo KHAMOSHi Sy Behtar ho
Ay Jawano: Adab k Zariye Apni izat>Or
ILM K Zariye Apny Deen ki Hifazat kro
( Hazrat Ali )'.
----------------------------------
Hazrat Ali se poocha gaya
'Dunia ka sab se ameer (rich) shakhs kaun ha?
Jawab mila,
'Dunia ka ameer shakhs woh ha jis ke dost mukhlis hain...'
----------------------------------
Tumhary nafs ki kimat janat hy apny nafs ko kabi is sy kam kimat me na baichna. ( Hazrat Ali ).
----------------------------------
"Agar tumhain yaqeen ho jaey k tumhara rizq ALLAH k pas hai to phir rizq ki nahi ALLAH ki
talash kero jis k pas tumhara rizq hai"( Hazrat Ali )
----------------------------------
Golden Words
Jab Insan ki AQAL mukammal ho jati hai to us ki GUFTAGU mukhtasar ho jati hai.( Hazrat
Ali )
----------------------------------
FARMAAN-E-HAZRAT ALI
"Laakhon ko Dost banana koi bari baat nahi, Bari Baat ye hai ke Aisa Dost banaey jo tumhara
SATH us waqt dey jab Laakhon tumharey Mukhalif hon"
----------------------------------
"Har wo din eid ka hai Jis din insaan koi gunah na kare.."
( Hazrat Ali )
----------------------------------
HAZRAT'ALI'
Kabi Apne
'Dost'
ki sachaai
ka imtihaan
mat Lo
kia pata
wo waqt
ke Hathoo
majboor ho
or tum aik
Achhay Dost
se mehroom
ho jaow
----------------------------------
Hazrat Ali se kisi ne pocha,agr kisi k ghar ka drwaza bnd kr dia jae or usy tanha chor dia jae to
uska rizq kaha se aega?Ap ne frmaya k"jaha se uski mout aegi
----------------------------------
Agar tum Mout ki Raftar ko Daikh Laity to tum Zaroor Ummeedo"n Or Umango"n Sy Nafrat
krty Or hrgiz in Me Maghroor Na hoty
"
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Allah ta'ala ko hr wqt apny saath samajna afzal tareen imaan hy
Ta'ajub hy us per jo mout ko haq janta hy aur phir bi hansta hai.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
¤Kis tarhan pata lagaya jae k Insan pr aane wali Musibat SAZA hy ya AZMAISH
To jo Musibat ALLAH sy dur krde wo SAZA or jo QARIB kry wo 'AZMAISH hy
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Logon ko us tarah maaf kero jese tum khuda se umeed rakhte ho k wo tumhain maaf kare ga"(
Hazrat Ali )
----------------------------------
Pait Bhar Kr Khana Na Khao
Kiun K Ye
¤~^DIL KO^~¤
Sakht Aur
¤~^NAMAZ^~¤
Se Sust Aur
¤~^JISM^~¤
Ko Fassad Bana Deta Hai.
* ¤^( Hazrat Ali )^¤ *
----------------------------------
'Agar Rizq..
Aqal-o-Danish Se Milta..!!
To Janwar or Be -Waqoof Zinda Hi Na Rehte..
(HAZRAT ALI )
----------------------------------
Adaalat Karni Hai To " Mohammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) " Sy Seekh
Sakhaawat Kerni Hai To " Mola Ali Shar-e-Khud Mushkil Kusha " Sy Seekh
Ghar Chalana "Fatima" Sy Seekh
Dushman ko jhukana Hai to " Hassan " Sy Seekh
Ager Ser Katana Hai To " Hussain " Sy Seekh
----------------------------------
Khush mizaaji hamesha khubsoorti ki kami ko poora kr deti ha..
Lekin khubsoorti khush mizaaji ki kami ko poora nahi kr sakti..."
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Aisa bohat Kam hota hai k JALDBAAZ Nuqsaan na Uthayay.
Or
Aisa ho hee nahi sakta k SABAR karnay wala NAAKAAM ho." SubhanAllah.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Her kisi ko itni ahemiyat do jitni wo tum ko daita hai. Ager kum do gay to maghror kehlao gay.
Ager zaiyada do gay to khud gir jao gay"
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Hamesha DUA mangte raho
QK
Mumkin or Na Mumkin to Sirf Hamari "SOCH" me ha
ALLAH k lie to kuch bhi Na Mumkin nahi hai
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Hazrat Ali Said
"Zarurat K Liye ALLAH Ko Pukarne Wala 2nu Halton Men ALLAH Ko Chor Deta Ha
Zarurat Puri Ho Jaye Tab B
Aur
Zrurat Puri Na Ho Tab B."
----------------------------------
Jiski nigahain azad ho us ka dil ranjeda hota hy
Jo baar baar azadana nigah karta hy wo hmesha hasrato main mubtla rehta hy
( Hazrat Ali ).!
----------------------------------
Farman-e-Ali
Jab Aankhain Nafs Ki Passandeeda Chezain Daikhny Lag Jain To Dil Anjaam Sy Andha Ho Jata
Hai.
----------------------------------
Apni sochon ko pani k qatron se zyada shafaf rkho
Q. k
jis tarha qatron se darya banta hy ussi tarha sochon se "EMAAN" banta hy
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Zindgi ki Asal khoobsurti
ye nahin k ap kitne khush hain
balke zindgi ki asal khoobsurti
to ye h k doosre aap se kitna khush hain
( Hazrat Ali )
----------------------------------
''Do Tarah say Cheezen Daikh-nay may Chotti Nazar aathi Hain"
Ek dooor Say..,
aur
Doosra Gharoor say..."
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Apni sochon ko pani k qatron sy ziyada shafaf rakho,
Q k jistrah qatron sy darya banta hy is tarhan sochon sy emaan banta hy...
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Insan Ka Kirdar Us Ki Zuban K Niche Poshida Hay
Agar Kisi Shakhs Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho To Usko Sakht Ghuse Ki Halat Main Dekho
( Hazrat Ali )
----------------------------------
" Jahan sadaaqat (sachai)aur khuloos nazar aaye wahaan dosti ka hath barhao warna tumhari
TANHAEE tumhari behtreen saathi hai."
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Insan dunia ma es qadar mashghol hota ha k usay pata bhi nai chalta k,
jis kapray se us ka kafan banna ha wo bazar ma aa chuka ha.
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Ansu Us Waqt Muqaddas Hotay Hain,
Jab Wo kisi Or k Dukh Or TakleeF Ko Mehsus Kr k Niklain...( Hazrat Ali ).
----------------------------------
Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar
ALLAH say Tijarat karo. :( Hazrat Ali )
----------------------------------
"Agr kisi ky hona chatay ho to pori hakiqat se ho jao;
warna,apni zaat me aisi hakiqat peda kro,ky koi hakeqat me tumara ho jye"
( Hazrat Ali )
----------------------------------
Hazrat Ali
"Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai"
----------------------------------
Wo gunah jo tumhare dil mein ranj paida kare, us naiki se behtar hai jo tumhare dil mein ghuroor
paida kar de.( Hazrat Ali )
----------------------------------
Hazrat Ali
Koi GUNAH Lazzat k lye mat karna
q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega ,
Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k
taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege!
----------------------------------
Hazrat Ali
"Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao
Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo
K koi haqeqat main tumhara ban jaye
----------------------------------
Hazrat Ali
Ibn-e-adam!
Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k
tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai
----------------------------------
Hazrat Ali
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
----------------------------------
Hazrat Ali ( ) Ny Farmaya :
Jisnay Kisi Ko Akele Mai Nasihat Ki
Usne Ussay Sanwar Diya Or Jsnay Kisi Ko
Sab K Samnay Nasihat Ki
Usne Usko Mazeed Bigaar Diya.

You might also like