You are on page 1of 2

Chapter 15 :What is Accounts only & Accounts with

Inventory
Tally ERP9 me Accounting ke kaam ko karne ko 2 tarike hai.

1. Accounts only
2. Accounts with inventory

hame Bas Simply itna Samajhna hai ki accounts only kya hota hai aur Accounts with inventory
kya hota hai.

to shuru karte hai accounts only ke sath.

What is Accounts only in Tally


Main Simple sa Example dekar Baat puri kar deta hu.

Example - Rohan se 100 Rs. ka Maal Kharida.

Upar ke Example me ye to bataya gaya hai ki Rohan se maal Kharida aur Ye Bhi bataya gaya
hai ki 100 Rs. ka maal kharida.

Lekin ye nahi bataya gaya hai ki 100 Rs. ke maal me kya item kharida.

So Simple sa jawab hai Jis Accounting me Kharide ya beche gaye Item ki Detail rakhna Jaruri
nahi hai use Accounts only Kehte hai.
What is Accounts with inventory in Tally
Ab iska Ek Example lete hai.

Example - Rohan se 100 Rs. ka Maal Kharida Jisme -

Item Name Qty Rate Total


Black Pen 10 10 Rs 100 Rs

Upar ke Example me hamne Ye bhi likha ki Rohan se maal kharida aur ye bhi Likha ki 100 Rs.
ka maal kharida aur sath me us maal me kya items hai ye bhi likha.

So iska bhi bahut simple sa jawab hai ki jis Accounts me Stock ko maintain rakhna jaruri hai use
Accounts with Inventory kehte hai.

aur Inventory ka matlab hi Stock ki list se hota hai.

Ummid karta hu ki aapko ache se samajh me aa gaya hoga.

You might also like