You are on page 1of 4

Chapter 4 : How To Download Tallly ERP9 & Install Tally ERP9

Tally Ko Download Karna Aur Install Karna Bahut Hi Aasan hai. ham 2 step me video ko
complete kar lenge

Pehle Step Me Tally ERP9 Download karna Sikhenge.


Dusre Step Me Tally ERP9 Ko Install karna Sikhenge

To Shuru Karte Hai Step 1 Ke Sath

Step 1 - How To Download Tally ERP9


1. Google Me Type Karna hai Download Tally ERP9
2. First Website ko open karna hai jo kuch is tarah hogi

3. Website khulne ke baad thoda sa niche scroll karna hai jaha aapko download for later ka
option milega

Download Par Later Par Click Karne Ke Baad Download Folder me Tally ERP9
Download ho Jayega Aur Is Tarah Hamara Step 1 Complete Ho Jayega.
Step 2 : How To Install Tally ERP9
1. Double Click on Setup & Press Yes Command

2. Tally ERP9 ko C Drive me Install Nahi Karna Chahiye Kyunki C Drive Hamare System
Ka Operating Device Hota hai Agar Chalte Chalte Computer Band Ho Jaye Ya Kisi Bhi
Tarah Ki Problem Aa Jaye. Aur Computer Ko Format Karwane Ki Naubat Aa Jaye.
agar Aapne C Drivce me Tally ko install Kiya Hoga Aur Usme Hi kaam kiya huwa Data
Hoga to format ke sath aapka data bhi delete ho jayega Isliye Kabhi Bhi Tally ERP9 Ko
"C" Drive me Install Nahi Kare.

3. Tally ERP 9 ko C Drive Ke Alawa Kisi Bhi Drive Me Install Karle Agar Aapke
Computer me "D" Drive Hai To "D" Drive Me Aur "E" Drive Hai to "E" Drive Me tally
ko install Kare. Diye Gaye Photo Ke Anusar Path Change Kar Sakte Hai

4. iske Baad install Button Par Click Kar de Tally ERP9 Install Hona Shuru Ho Jayega

to ye 2 simple se step hai jis se aap khud tally erp 9 ko download karke install kar sakte hai.
Ummid karta hu aapko ache se samjh me aa gaya hoga jald hi milenge Naye Chapter ke Sath.

You might also like