You are on page 1of 3

Friday 29 jan 2021

Test
Q1: Mudarjazail surtoon mai se kisi ek ka tarjama likhain...
1. Surah Al Qariah
2. Surah Humazah
3. Surah al Kafirun
Ans: Surah kafirun
Tarjama:
1. Keh di jiye kafiruon se
2. Mai nahi pojta jisko tum pojtay ho
3. Orr Naa tum poojo jisko mai pojta hoon
4. Or mai kabhi nahi poojoon ka usko jis ko tum poojtay hoo
5. Orr naa tum kabhi poojna jis ko mai poojta hoon
6. Tum ko tumhara Deen Mujhko mera Deen

Q2: Mudarjazail Surtoon mai se kisi ek ka Shan-e-Nazool


likhain...
1. Surah Lahab
2. Surah Feal
3. Surah Alaq
Ans: Surah Lahab
Shan-e-Nazool:
Ek din Ap (SAW) Safa ki pahari py char gy sab ko ikhata kr liya or sab logoon se pucha k agr mai
kahoon k koi lashkar hamla krne wala hai tou mano gy?
Sab ne Ap(SAW) ki tasdeeq kri
Par un se ek Abu Lahab jo Abu Mutalib ki nasal mai se thai unho ne kaha kiya ye baat batane
k liya humai yahan ikhta kra hai tou unho ne Ap(SAW) ko marne k liye pathar ikhtay kray or jab
marne lagay tou ye Surah Nazil hui ..
Toot gy hath abu lahab k or toot gya wo khud b
Jaisay k Abu lahab ko apnay maal or family py bht garoor tha
Tou is surah mai farmaya
Kaam na ay ga usko uska maal or na jo usne kamaya...
Abu lahab ki biwi bakhil theen wo jungle se kantay daar lakriyan la k jama krti thi ...
Farmaya
K ye Aurat dozakh mai apne khawand k liye lakriyan jama kray gi ..
Abu lahab ko Taoon ki bemari ho gae galay py gotli ban gae or bemari b aisi jo ek dosray ko lag
jae
Daar k maray Abu lahab k ghr waloon ne abu lahab ko ghr se nikl diya jab wo fout ho gy tou unko
kachray k dair mai phaink diya or kuch logoon se kaha in ko dafna do ..
Tou logoon ne lambi lakriyoon k saharay unko dafna diya ...
Q3: Mudarjazail sawaloon ka jawab dain..
Note : koi se 7 sawal hal krain ..
1. Zameen ki khabrain kiya hain ?
Ans: Zameen ki khabrain ye hain k
Zameen roz e hashar Allah jee ko khud batae gi k kis k kiya amal hai
Achay kaam
Buray kaam
Or jo jo jis jis ne kiya ho ga jis b zameen k hissay mai Zameen khud batae gi...

2. Sabr ki Qismay likhain ?


Ans : Sabr ki theen qismay hain :
1. Sabr Aataat
2. Sabr Al ma asi
3. Sabr Al ma se ib
1. Sabr Aataat : Nafs py sabr krna Allah jee ka huqm manana...
2. Sabr Al Ma asi : Gunahoon par sbr krna Allah jee k kauf se darna or rook jana
3. Sabr Al Ma sa ib: Apni jan o maal par nuksan honay par sabr krna... Ropay paisay
Jan par nuksaan matlb marz ka hona .

3. Surah Maaon mai kin 6 baray gunahoon ka zikr kra hai ?


Ans :Mudarjazail ye hain:
1. Qayamat k din se inkaar krna
2. Yateem ka haq marna
3. Maskeen ko khana khilane se mana krna. Khud b na khilana
4. Namazoon se gafil hona
5. Dikhawa krna
6. Maoon se rokna
Yani zakaat or amm samaan

4. Haviya or Hathma kiya hain ?


Ans: Haviya dozakh ka ek hissa hai. Kali saya agg hai ..dakhti hui barakhti hui
Hathma dozakh k namo mai se ek naam hai ..

5. 5 Sawaloon ka jawab diye bina hashar ki zameen pao nae choray


gi ?
Ans: Mudarjazail ye hain :
1. Apna umr kin kamoo mai kharch kra ?
2. Apna jawani kahan kharch kra?
3. Joo maal hasil kra wo kis tarikay se hasil kra ?
4. Joo maal kamaya wo kahan kharch kra ?
5. Joo Ilm Allah jee ne diya us par kina amal kra ?

6. Surah Iklaas ki Fazilat?


Ans: surah Iklaas ki fazilaat ye hai k is surah ko 3 baar parne se puray Quran parne ka sawab
milta hai ..ye surah 4 asmani kitab mai hain.
Is surah mai Allah jee ne khud keh diya hai k Allah ek hai uska koi jour nae wi benayaz hai .

7. Kausar ka kiya matlb hai?


Ans: Kausar Jannat mai behti hui nehar ka naam hai .
Orr kausar un tamam naymatoon ko bhi kehtai hain jo Ap (SAW) ko mili.

You might also like