You are on page 1of 3

“LONELINESS CAN BE BEAUTIFUL”

By Abhishek tripathi

Fade in :
They both walk up to Mountain ..They sit there
ONE SAYS TO ANOTHER :
Thak gya kya be?
OTHER ONE:
Hmm
ONE SAYS:
Pta hai kuch log kahte hain time is illusion
kuch kahte hain time is money, time is priceless
…Mujhe lagta hai sala ghadi banana wale ne time
bnaya ghadi bechne ko…
OTHER ONE LAUGHS.
ONE SAYS :
Tere ko pta hai kyu aata hu mai Itni door sehar
se door In pattathro ke beech...
Other one nod while staring at him.
ONE SAYS:
Pahaad patthar ye dur tak sirf zameen Shanti ye
sab apne se lagte hain sab purana. Mai bhee
purana jaise sadiyon se yahi hu. Yahi rah raha
hu daud rha hu. Bhag rha hu Mai. mai Bhi shuru
se yahi hu . Aadimanav se leke har raja maharaja
unki har ladayi har yug har centuary har samay
mai tha. Mai gavah hu in sabhi ke hone ka .
OTHER ONE STARE.
Ye Sehar ab khane ko daudta hai. Jaise khatam kr
rha hai.
Chala aata hu yha isi soch me koi to hai mujhse
bhi purana mujhese bhi bada. Sadiyo se tha aur
hai. Uske samne aake na sab chota lgta even apni
problems bhi.
Yha aakar baithkar mujhe apne aap ka ahsaas hota
hai.
Log bolte hain na akelapan kharab hota hai. Log
sad ho jate hain depress ho jate hain par akela
hona bhi jaruri hai. Akele hoke ke hi tum
appreciate kar pate ho . Use dekh pate ho jo
kabse whi hai . Phr bhi nh dekh paye. Dekh kar
bhi nh choo paye ahsaas hota hai har cheej ka
even halki behti hawa ka bhi . aur usi kisi
samay Dheemi awaj aati hai andar se apne bare me
sochti hui bolti hui poochti hui.
Akela hona kahi bhi ho. In pahado se milna ho.
Raat me taron se milna ho. Ya chaand ko niharnna
ho. Sukoon h isme. Mano sab kah rhe ho ki yum
aur mai the aur ese hi rhenge phir kis bat ki
soch kis bat ka dar. Sab yahi tha nahi tha aur
aayega. Sabar sabar sabar .
Other one stares with bright eyes .
One sees to mountain in hope.
Fade out.

The end !

You might also like