You are on page 1of 3

Independence day Patrioatic song

kandhon se milte hain kandhe,


qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise to
dil dushman ke hilte hain

ab to hamein aage baRhte hai rehna


ab to hamein saathi hai bas itna hi kehna
ab jo bhi ho,
shola banke patthar hai pighlaana
ab jo bhi ho,
baadal banke parbat par hai chhaana

nikle hain maidaan mein,


hum jaan hatheli par lekar
ab dekho dum lenge,
hum jaake apni manzil par

khatron se hans ke khelna,


itni to hum mein himmat hai
moRein kalayee maut ki,
itni to hum mein taaqat hai

hum sarhadon ke vaaste,


lohe ki ik deewaar hain
hum dushmanon ke vaaste,
hoshiyaar hain taiyaar hain

ab jo bhi ho, shola banke patthar hai pighlaana


ab jo bhi ho, baadal banke parbat par hai chhaana

kandhon se milte hain kandhe,


qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise to
dil dushman ke hilte hain

josh dil mein jagaate chalo,


jeet ke geet gaate chalo
jeet ki jo tasveer banane hum nikle hain
apne lahoo se humko usmein rang bharna hai
saathi maine apne dil mein ab ye Thaan liya hai
yaa to ab karna hai, yaa to ab marna hai

chaahe angaare barsein ke bijli gire


tu akelaa nahin hoga yaara mere
koi mushkil ho ya ho koi morcha
saath har moR par honge saathi tere

ab jo bhi ho, shola banke patthar hai pighlaana


ab jo bhi ho, baadal banke parbat par hai chhaana

kandhon se milte hain kandhe,


qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise to
dil dushman ke hilte hain

ek chehra aksar mujhe yaad aataa hai


is dil ko chupke chupke wo taRpata hai
jab ghar se koi bhi khat aaya hai
kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai

palkon pe yaadon ke
kuchh deep jaise jalte hain
kuchh sapne aise hain,
jo saath saath chalte hain

koi sapna na chhooTe,


koi vaada na TooTe
tum chaaho jise dil se,
wo tumse na rooThe

ab jo bhi ho, shola banke patthar hai pighlaana


ab jo bhi ho, baadal banke parbat par hai chhaana

kandhon se milte hain kandhe,


qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise to
dil dushman ke hilte hain
chalta hai jo ye caravan,
goonji si hain ye vaadiyan
hai ye zameen, goonji goonji
ye aasman, goonja goonja
hai ye hawa, goonji goonji
hai ye samaa, goonja goonja
har raste ne, har vaadi ne, har parbat ne sadaa di
ham jeetenge, hum jeetenge, hum jeetenge har baazi

kandhon se milte hain kandhe,


qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise to
dil dushman ke hilte hain

You might also like