You are on page 1of 2

Mausi bag utha kar deti hai aur chhoti maa tiffine nikal kar dekhti hai.

Jo bhara hua rahta hai. Wo tiffine mausi ko dikhane lagti hai. Tabhi unki najar
mere bag me rakhe box aur do lifafo par padti hai.

Chhoti maa un dono chijon ko bahar nikalti hai. Sabse pahle wo box ko kholti hai to, usme chudiyan dekh kar dono chauk jati hai.

Mausi puchti hai “ye kiski chudiyan hai bahurani aur ye baba ke bag me kyo hai.”

Chhoti maa kahti hai “lagta hai ye punnu ne kisi ke liye kharidi hai. In lifafon me shayad koi greetings ho.”

Ye kahkar chhoti maa pahle sorry wala lifafa kholti hai aur usme naam padti hai. Fir wo dusra wala bhi lifafa kholti hai to usme bhi unka hi naam hota
hai. Jise dekh kar fir se unki aankho me aansu aa jate hai.

Mausi puchti hai “kya hua bahurani. Isme aisa kya likha hai. Jisko padkar aap rone lagi aur ye sab kiske liye hai.”

Chhoti maa boli “mausi ye sab mere liye hai. Is greeting me likha hai ki, chhoti maa ko punnu ki taraf se kal ki galti ke liye sorry, aisa fir nahi hoga aur is
dusri greeting me likha hai ki, chhoti maa ko punnu ki taraf se janamdin ki bahut bahut badhai.”

Chhoti maa ki bat sunkar, mausi ki aankhon me bhi aansu aa jate hai aur wo chhoti maa se kahti hai “bahurani punnu baba to kal ke liye aapko sorry
bolne aur janamdin ki badhai dene aa raha tha. Lekin us bechare ko is sab ke bad mila kya, janvaro ki tarah pitayi.”

Ye bol kar mausi apne aansu bahne se nahi rok saki aur fafak kar ro padi. Lekin chhoti maa apne aansu pochte huye boli “aap chinta mat kijiye mausi.
Aaj is ghar me jo kuch bhi hua hai. Wo ab dobara nahi hoga.”

Tab mausi boli “bahurani dawa na laga kar, us bin maa ke bacche ko dukh to aap bhi de rahi hai.”

Mausi ki bat sunkar, chhoti maa ne unki taraf dekha aur fir mausi se boli “mausi wo bin maa ka nahi hai. Mai uski maa hu aur ab koi use dukh nahi de
sakega. Aap dawa aur ye sara saman lekar punnu ke kamre me aa jaiye.”

Ye kah kar chhoti maa mere kamre ki taraf bad chali aur chanda mausi wo sara saman mere kamre me lane ke liye sametne lagi.
Update-8

Mere kamre me aakar, chhoti maa mere pas aakar baith gayi. Chhoti maa ko aaya dekh kar mai bhi uthkar baith gaya. Mai khush bhi tha aur man hi
man dar bhi raha tha. Tabhi chanda mausi bhi mera bag aur baki ka saman lekar mere kamre me aa gayi.

Chhoti maa ne tiffine mujhe dikhate huye kaha “ye kya hai.? tumne khana nahi khaya aur chanda mausi se kahte ho khana kha liya.”

Mai bola “mai mehul ke yaha se khana kha kar aaya hu chhoti maa.”

Chhoti maa gusse me boli “kya hum log tumhe khana nahi dete, jo tum apne dosto ke ghar khana khane jate ho. Aaj se tumhara khana pina sab band.
Mausi aaj se ise koi khana nahi dega.”

Chhoti maa ki bat sunkar mai dar gaya aur mera chehra ruaansa ho gaya. Meri aisi halat dekh kar mausi hansne lagi. Mujhe kuch samajh me nahi
aaya par mausi ki hansi dekhkar chhoti maa boli “kya mausi aap jara der chup nahi rah sakti thi.”

Fir chhoti maa ne mujhe apne gale se laga liya. Chhoti maa ke seene se lagkar, mujhe bahut sukun mila. Mai bahut der unke gale se laga raha. Fir
chhoti maa mujhe greeting aur chudiyan dikhakar boli “ye sab tujhe lane ko kisne kaha tha aur tere pas itne paise kaha se aaye.”

Mai bola “kisi ne nahi chhoti maa. Mujhe chudiyon ki dukan dikhi to, laga ki ye chhudiyan aap par achi lagegi, isiliye maine le li aur jab bahar nikla to
greeting ki dukan bhi dikhayi di. Maine kal aapko birthday wish bhi nahi kiya tha aur party me na aakar aapko dukh bhi pahuchaya tha, isliye ye card
bhi le liye. Ye sab maine apne jeb kharch ke paise se kharide hai.”

Ye bol kar maine mausi se dawa ka box liya aur usme se detol nikal kar chhoti maa ke sar me lage jakhm me lagane ke bad usme dawa lagayi aur fir
chhoti maa ko dekhne laga. Unne hanste huye mujhe apne sine se laga liya. Ab hum sab khush the.

Rat ko papa ghar aaye to mai khana khakar apne kamre me padai kar raha tha. Chhoti maa ne unhe din me huyi sari bate batayi. Isse papa ko apni
galti ka aehsas hua aur wo mere kamre me aaye. Unne mujhse bade pyar se bat ki aur mujhe sorry bhi bola, magar na jane kyo ab papa mujhe ache
nahi lag rahe the.

Maine unki har bat ka jabab han ya na me diya. Kyoki mai unse koi bat karna nahi chahta tha aur chahta tha ki, wo jald se jald mere pas se chale jaye.
Kuch der mere pas rukne ke bad papa chale gaye aur mai fir se padne laga.

Kuch der bad chhoti maa mere kamre me aayi aur mere pas baithte huye kahne lagi.

Chhoti maa boli “tumne apne papa se ache se bat kyo nahi ki. Kya tum un se din ki bat ko lekar abhi tak naraj ho.”

Mai bola “mai un se naraj nahi hu chhoti maa.”

Chhoti maa boli “to fir unse ache se bat kyo nahi ki.”

Mai bola “mera man hi nahi kiya bat karne ka.”

Chhoti maa boli “un ne din me tumhari pitai ki thi. Kya isliye tumhara man nahi kiya.”

Mai bola “wo bat to mai kab ki bhul chuka hu. Mujhe iske liye unse koi sikayat nahi hai.”

Chhoti maa boli “kya apni chhoti maa ko bhi nahi bataoge, ki tumhara papa se bat karne ko man kyo nahi kiya.”

Mai thodi der sar jhukaye baitha raha fir bola “papa bahut gande hai, isliye mera man nahi kiya unse bat karne ka.”

Chhoti maa boli “aisa nahi kahte. Wo tumhare papa hai. Unhe tumhari bhalai ki chinta hai aur isliye unhe gussa aa gaya aur un ne tumhe mara tha.”

Mai bola “maine kab kaha ki un ne mujhe galat mara. Mai to unke marne wali bat ko din ko hi bhula chuka hu.”

Chhoti maa boli “to fir tum kyo kahte ho ki, tumhare papa gande hai.”

Mai kuch nahi bola sar jhukaye chupchap baitha raha.

Tab chhoti maa boli “sach sach batao, tumko meri kasam hai.”

Mai thodi der chup raha fir bola “kyoki unne aapko itni buri tarah se dhakela ki aapko khoon nikal aaya aur wo ise dekhte huye bhi office chale gaye.
Unko aapki jara bhi chinta nahi huyi. Kahi aapka sara khoon bah jata to, meri mummy ki tarah aap bhi mar jati na.”

Ye kahkar mai rone laga aur chhoti maa ne mujhe apne sine se chipka liya.
Maine thodi der bad chhoti maa ki taraf dekha to, unki aankho me bhi aansu the. Mai turant utha aur unki aankho se aanu ko pochne laga to, un ne
mujhe fir apne sine se laga liya. Unke gale lagne se mujhe itna sukun mila ki mai unse gale lage lage hi so gaya.
Update-9

Subah jab meri nind khuli to meri khushi ka koi thikana nahi raha. Kyoki chhoti maa mere pas hi so rahi thi. Mai fir unke sine se chipak gaya. Magar fir
meri najar unke jakhm par padi to, mera man fir papa ko lekar kadwahat se bhar gaya. Lekin chhoti maa ka chehra dekhkar sab kuch bhul gaya aur
chhoti maa se lipat kar aankh band kar ke let gaya.

Thodi der bad chhoti maa ki nind khulti hai. Wo mere manthe ko chumti hai aur mujhe nind se jagati hai. Mai aankh kholta hu aur fir chhoti maa ke gale
lag jata hu.

You might also like