You are on page 1of 2

Chhoti maa kahti hai “chalo ab bahut laad ho gaya. Jaldi se fresh ho jao, nahi to school ko der ho jayegi.

Mai khushi khushi fresh hone chala jata hu. Fresh hone ke bad chhoti maa mujhe nasta karati hai aur fir mai school chala jata hu.

School me mai sari bat mehul ko batata hu. Wo bhi meri bat sunkar khush ho jata hai. Is tarah meri jindgi ek naya mod le leti hai aur ab mai apni chhoti
maa ke sath khushi khushi rahne lagta hu. Magar kahi na kahi mere dil me papa ke liye kadwahat bhi bhari huyi thi.

Yun hi din bitte bitte, ek saal beet gaya aur fir meri chhoti bahan amita ka janam hua. Amita ke aane se mujhe ek jeeta jagta khilauna mil gaya. Mai
saare samay uske aas pas hi madrata rahta.

Lekin wo abhi bahut chhoti thi, isliye koi mujhe usko apni god me lene nahi deta tha. Fir bhi school se aane ke bad mai sare samay amita ke pas hi
rahta aur bahane bahane se use chhuta rahta. Chhoti maa meri is harkat ko dekh muskura deti aur kuch der ke liye amita ko meri god me deti.

Kabhi kabhi chhoti maa amita ko dudh pila rahi hoti to, mai bhi dudh peene ki jid karne lagta. Tab wo mujhse kahti “punnu beta, tum jaise bhukh lagne
par khana khate ho, aise hi ye amita ka khana hai. Ab yadi tum ise kha loge to, amita bhukhi rah jayegi.”

Kabhi kabhi to mai unki bat ko samajh jata aur jab kabhi nahi samajhta to, wo apne ek stan se amita ko aur dusre se stan se mujhe lagakar sath sath
dudh pilati. Shayad unhe bhi mera aisa karna acha lagta tha aur wo bas mujhe dekh kar muskurati rahti thi.

Aise hi bahut se pal aaye, jin ne mere man se is bat ko hamesha hamesha ke liye nikaal diya ki, chhoti maa meri sauteli maa hai. Un ne bhi mujhe is
bat ka kabhi aehsas nahi hone diya.

Din beette ja rahe the. Meri duniya school me mehul aur ghar me meri chhoti maa aur meri chhoti bahan amita ke bich hi simat kar rah gayi thi. Magar
mai isi sab me bahut khush tha.

Yun hi 3 saal beet gaye aur fir meri dusri chhoti bahan namita ka janam bhi ho gaya. Ab meri khushi dugni ho chuki thi. Namita ke janam hone tak mai
jyada to nahi magar thoda bahut samajhdar jarur ho chuka tha aur apni dono bahno ka bahut khayal rakhta tha.

Namita to abhi chhoti thi. Wo sare samay ya to jhule me ya fir chhoti maa ki god me hi rahti thi. Magar amita ab thodi bahut chalne lagi thi. Isliye mai
uski ungli pakad kar use sare ghar me ghumaya karta tha. Jise dekh kar chhoti maa muskurati rahti thi.

Ek din maine chhoti maa se kaha “chhoti maa hamare ghar me bahut samay se koi party nahi huyi. Mai chahta hu ki namita ke pahle birthday par hum
party kare aur apne sare rishtedaro ko bulaye.”

Chhoti maa boli “party tujhe pasand nahi hai, isliye to maine amita ke birthday tak ki koi party nahi ki thi. Aaj achanak tujhe ye party karne ka khayal
kaise aa gaya.”

Mai bola “aap thik kahti ho chhoti maa, magar kal jab ye badi hogi aur inhe pata chalega ki inke janamdin me kabhi party sirf isliye nahi di gayi, kyoki ye
mujhe pasand nahi tha. Tab kya mai ya aap inhe koi jabab de payege.”

Chhoti maa boli “bat to tumhari thik hai par kya tum party me shamil hona pasand karoge.”

Mai bola “kyo nahi chhoti maa. Mai apni bahno ki khushi ke liye kuch bhi kar sakta hu. Fir to ye sirf ek party me shamil hone ki bat hai. Mai party me
jarur shamil houga.”

Chhoti maa boli “tab hum namita ke janamdin par jarur party dege. Namita ke hi nahi balki ab hum amita ke janamdin ki bhi party dege. Ab to khush.”

Mai bola “ji chhoti maa.”

Fir mai apni chhoti bahno ke sath khelne laga aur chhoti maa namita ke janamdin ki party dene ki taiyari me lag gayi.
Update-10
Chhoti maa boli “party tujhe pasand nahi hai, isliye to maine amita ke birthday tak ki koi party nahi ki thi. Aaj achanak tujhe ye party karne ka khayal
kaise aa gaya.”

Mai bola “aap thik kahti ho chhoti maa, magar kal jab ye badi hogi aur inhe pata chalega ki inke janamdin me kabhi party sirf isliye nahi di gayi, kyoki ye
mujhe pasand nahi tha. Tab kya mai ya aap inhe koi jabab de payege.”

Chhoti maa boli “bat to tumhari thik hai par kya tum party me shamil hona pasand karoge.”

Mai bola “kyo nahi chhoti maa. Mai apni bahno ki khushi ke liye kuch bhi kar sakta hu. Fir to ye sirf ek party me shamil hone ki bat hai. Mai party me
jarur shamil houga.”

Chhoti maa boli “tab hum namita ke janamdin par jarur party dege. Namita ke hi nahi balki ab hum amita ke janamdin ki bhi party dege. Ab to khush.”
Mai bola “ji chhoti maa.”

Fir mai apni chhoti bahno ke sath khelne laga aur chhoti maa namita ke janamdin ki party dene ki taiyari me lag gayi.

Kuch din bad namita ke janamdin ki party huyi. Party me humare sabhi rishtedar aaye the. Chhoti maa ke mayke se unki badi bahan anuradha aur
unke pati dinesh ke sath unka beta kamal aur beti keerti party me aaye the. Richa aunty, mehul ke papa aur mehul bhi party me aaye the.

Mai bhi apni dono bahno ke sath party me shamil hua aur cack kata gaya. Cack kate jane ke bad chhoti maa ne mujhe mausi aur mausa ji se milvaya.
Magar mausi ji mujhse milkar kuch khas khush najar nahi aayi.

Lekin maine is bat par koi vishesh dhyan nahi diya aur amita ki ungli pakad kar use sare mehmano ke bich ghumata raha. Jise dekh kar chhoti maa aur
richa aunty dono muskurati rahi.

Richa aunty ne dekha ki anuradha mausi mujhse milkar khush najar nahi aa rahi thi. Isliye aunty,mausi ke pas gayi aur pucha “kya bat hai anu. Tujhe
punnu se milkar khushi nahi huyi kya.?”

Mausi boli “nahi aisi koi bat nahi.”

Aunty boli “to fir kya bat hai. Aisa muh kyo bana kar rakha hai.”

Mausi boli “mai soch rahi thi ki, sunita ki dono hi ladkiyan hi hai. Koi ladka nahi hai. Ladkiyon ki ek na ek din shadi ho jayegi. Yadi koi ladka hota to, wo
kam se kam budape me uska khayal to rakhta.”

Aunty boli “tu aisa kyo sochti. Punnu to hai na. Tune dekha nahi, wo apni chhoti maa aur bahno ko kitna pyar karta hai.”

Mausi boli “lekin punnu hai to, uska sautela beta hi na. Abhi wo chhota hai aur is sage sautele ki bat ko nahi samajhta. Magar ek na ek din to use bada
hona hi hai aur tab wo is sage sautele ke bhed ko bhi achi tarah se samajh jayega. Kya tab wo apni sauteli maa aur bahno se is tarah pyar kar payega
jaise aaj karta hai.”

Abhi aunty kuch bolne wali thi ki, tabhi mausa ji bole “anu tum thik kahti ho ki, punnu abhi bacha hai. Magar tum is bat ko kyo bhulti ho ki, ek bacha
waisa hi banta hai, jaise uske mata pita use sanskar dete hai. Isliye behtar yahi hoga ki, hum is sage sautele ki bat ko jyada tool na de aur na hi in
bacchon me is bat ko lekar koi bhed aane de.”

Mausi boli “mai to bas wo hi bol rahi hu, jo aage chalkar hona hai.”

Tabhi chhoti maa waha aa jati hai. Un ne shayad anuradha mausi ki baton ko sun liya tha. Wo mausi ki bat ke jabab me bolti hai.

Chhoti maa boli “dekho didi. Mujhe malum hai ki, mai uski sagi maa nahi hun aur punnu bhi is bat ko janta hai. Lekina ab hum sab ek parivar hai aur
hamare bich sage sautele ki koi bat nahi hai.”

Mausi boli “mai aaj ki bat nahi kar rahi. Mai to us aane vale kal ki bat kar rahi hu, jab tumhara ye punnu bada ho jayega aur shadi kar ke apni dulhan
layega. Tab ise yahi maa bahan sauteli najar aayegi.”

Chhoti maa boli "didi shadi ke bad to apna saga beta bhi badal jata hai. Kamal to aapka saga beta hai. Kya aap ye kah sakti hai ki, shadi ke bad wo
nahi badlega.”

Chhoti maa ke muh se apne bete ke bare me aisi bat sunkar mausi ko acha nahi laga.

Mausi boli “tum ko aaj bhale hi meri bat buri lage. Magar ek din meri bat jarur sach hogi. Tab tujhe meri kahi bat ka aehsas hoga.”

Chhoti maa boli “didi aisa kabhi nahi hoga. Punnu mujhe aur apni bahno ko bahut pyar karta hai aur mujhe visvas hai ki aapki kahi bat kabhi sach nahi
hogi. Wo dekhiye punnu ko kaise apni bahan ko saari party me ghuma raha. Jabki wo khud party aur bhid bhad se dur rahta hai. Ye party bhi usne
apni bahno ki khushi ke liye rakhwai hai. Nahi to hum logon ke man me to, party rakhne ka koi khayal hi nahi tha.”

Chhoti maa ki bat sunkar, unke sath sath mausi aur aunty bhi meri taraf dekhne lage. Mai amita ko puri party me ghuma raha tha aur tarah tarah ke
natak kar use hansa raha tha.

Fir party khatam hone ke aur mehmano ke jane ke bad sabhi log ghar me baithe the. Tabhi aunty mere pas aakar boli “punnu teri chhoti maa amita aur
namita ko lekar tumhari mausi ke sath kuch dino ke liye unke ghar ja rahi hai.”

Mai bola “mai bhi chhoti maa ke sath jauga.”

Mausi boli “lekin punnu mai tumhe nahi le ja sakti. Kyoki tumhare papa ne tumhe le jane se mana kiya hai.”

You might also like