You are on page 1of 1

Shabe baraat magfirat ki raat hai

Rasoolullah ‫ ﷺ‬ne irshaad farmaaya : Allah Ta’ala pandrahween Sha’baan ki raat ko


aasmaane dunya par nuzool farmaata hai aur qabeela-e-kalb ki bakriyon ke baalon se
ziyaada taadaad mein logon ki magfirat farmaata hai. [Tirmizi : 739, Aaisha �]
Note : Arab mein qabeela-e-kalb ke paas bahut saari bakriyaan thi, us ki misaal di gayi hai.

Rasoolullah ‫ ﷺ‬ne irshaad farmaaya : Allah Ta’ala pandrahween Sha’baan ki raat ko


aasmaane dunya par utarte hain aur waalidain ke naa-farmaan aur keena rakhne waale ke
alaawa har momin ki magfirat farmaate hain. [Kanzul Ummaal : 7461, Abubakr �]

Shabe Baraat ki badi fazeelat hai, Magrib baad hi sab apni apni ibaadat mein lag jaayein,
nafl namaazein padhein, Qur’aan ki tilaawat aur zikr wa tasbeeh ka ehtimaam karein,
duaayein maangein, apne gunaahon se tauba karein. Baaz log baraaye naam ibaadat kar ke
baaqi raat baazaaron, sadkon, hotelon ka chakkar kaatne aur fuzool kaamon mein zaaye’
kar dete hain aur kuch log sirf jaag kar yeh raat guzaar dete hain, Hadees mein aata hai ke
bahot se raat mein jaag kar ibaadat karne waalon ko raat mein jaagne ki takleef aur
pareshaani ke alaawa kuch bhi haasil nahi hota. [Ibne Maaja : 1690, Abu Hurairah

Allah Ta’ala humein is raat ki qadar karne aur ibaadat karne ki taufeeq ata farmaaye. Aameen
Salaatut Tasbeeh : Fazeelat : Rasoolullah ‫ ﷺ‬ne apne chacha Hazrat Abbas Rz ko salaatut
tasbeeh padhne se muta’lliq farmaaya: Agar aap ke gunaah aalij maidaan ki ret ke
baraabar honge, to bhi Allah unhein bakhsh dega.[Tirmizi : 482, Abu Raafe Rz]
Note : “Aalij” arab mein ek ilaaqa hai, jahaan meelon tak ret phaili huwi hoti hai.

Tarteeb : Salaatut tasbeeh ki 4 rakaat nafl namaaz padhein, jis mein yeh dua :
Sub-haanallaahi wal hamdu lillaahi َ ‫أﮐ‬walaa
ّ َ ّ
‫ ﻻ ِ ِ ﻻ‬ilaaha
َٰ َ ّ ُ ْ َ َ ّ
‫ﻟ‬
َ ْ
illallaahu wallaahu akbar
kab aur kitni martaba padhna hai? us ki tarteeb neeche di gayi hai.
Kab Padhna Hai? Kitni Martaba
Padhna Hai
Pehli Rakaat me Sana Ke Baad aur 2,3 and 4 rakaat Me Sura-e-Faatiha Se Pehle 15
Sura-e-Faatiha Aur Suray ke Baad 10
Ruku Me Ruku Ki Tasbeeh Ke Baad 10
Ruku Se Khade Hone Ke Baad 10
Sajde Me Sajde Ki Tasbeeh Ke Baad 10
Doosre Sajde Se Pahle Jalse Mein 10
Doosre Sajde Me Sajde Ke tasbeeh Ke Baad 10
Ek Rakaat Me Total 75
4 Rakaat Mein Total 300
Note : Salaatut tasbheeh ka padhna Shab-e-baraat ya kisi din aur waqt ke saath khaas
nahi hai, zindagi mein kabhi bhi padh sakte hain.

Ayyaame beez aur 15 Sha’baan ka roza: Rasoolullah ‫ ﷺ‬islaami maheene ki har 13, 14 aur 15
taareekh ko nafli roza rakha karte the aur Sahaaba Rz ko bhi is ki targeeb dete the. Chunaanche
H. Qataada bin Milhaan Rz kehte hain ke Rasoolullah ‫ ﷺ‬humein Ayyaame Beez yaani 13, 14
aur 15 tareeko mein roze rakhne ka hukm dete huwe farmaate ke yeh poore saal roze
rakhne ke baraabar hai. [Abu Daawood:2449] Is liye agar koyi Shaabaan ki 13, 14 aur 15
taareekh (17, 18, 19 March 2022) ko roza rakhta hai, to us ko is sunnat par amal karne ke
saath 15 Shaabaan ke roze ka sawaab bhi mil jaayega. Aur agar koyi 3 roze nahi rakh sakta,
to sirf 15 Shaabaan (19 March 2022) ka roza rakhe, yeh roza rakhna mustahab hai. Chunaanche
ek hadees mein Rasoolullah ‫ ﷺ‬ne farmaaya:15 Shaabaan ki raat ko qayaam (ibaadat) karo
aur pandraween ke din mein roza rakho. (Ibne Maaja : 1388, Ali �]

Agar koyi shakhs sehat ki kamzori ya deeni wa dunyawi mashgooliyon ki wajah se yeh
roze nahi rakh paata, to koyi gunaah ki baat nahi.

You might also like