You are on page 1of 2

SURABHI MONOLOGUES

CHARACTER: She is a small town girl who hails from Ujjain is now studying in Mumbai
away from her family. She is curious by nature, studious, ambitious, intelligent, mature
and spontaneous in taking decisions. She is also a fast thinker. She is fun loving and
always confident in her approach. She has a knack of accepting things/situations easily.
She knows her boundaries and she accepts the fact that in a city like Mumbai, she will be
judged for her small town attributes. She gets triggered when anybody calls her a
“Behenji”. She has a modern mindset that is always willing to explore new horizons in
life.

Note:- Please carry a Party Dress (NO BODY-HUGGING) along with the costumes
mentioned in the scripts below.

SURABHI – EMOTIONAL
Costume: Indian Plain/ Subtle Salwar-Kameez/ Chudidar-Kameez
Situation: (talking to the whole family confessing that she has been living a
different life)

Maine sirf yehi chaha hai mumma ki aap dono ko mujh par garv ho. Padhaai mein awwal
aayi thi, extra-curricular mein first aayi thi.. sirf isliye kyonki meri trophy ko apne haath
mein le kar aap mujhse zyada khush dikhaai deti thi. Par jab baahar padhne gayi to yeh
realize huaa ki wahaan Ujjain ki Surabhi Gupta survive nahi kar sakti. Badalna pada
khud ko! Aapne bol ke bheja tha ki akele kahin mat aana janaa. Par Mumbai mein akele
jaana padaa. Kahaan tak kisi ko dhoondhti saath le jaane ke liye. Par aapko bataati to aap
ghabra jaati. Isliye jhooth bol diya ki haan hai ek Saheli saath mein. Aap nishchint ho
gayi. Aur mujhe lagaa ki mere ek jhooth ne aapko pareshaan hone se bacha liya. Par guilt
bhi tha.. ki jhooth bola.. Apni mumma se… apne papa se… party mein jaane se manaa
kiya tha aapne… par seniors se milne ka, guidance lene ka wohi ek mauka tha… to gayi
party mein… phir jhooth bola aapse…par mumma… sach bataati to aap judge karte na
mujhe? Yahi sochte na ki aapki pyari bachchi bigad gayi hai? Aap ko dukh hota… aap
pareshaan hote… mujhe laga ki sirf teen saal ki baat hai, chhupaa leti hoon sach… andar
se to kuchh nahi badlaa tha naa maa… sanskaar wahi the… chhoton ki fikar, badon ka
aadar… doosron ka khayal… Bhagwan mein aastha… wo sab to nahi badlaa tha… phir
aisa kya badal gaya ki aapko ye lagne lage ki aapki beti aapki beti hi nahi rahi… ki aap ye
sochne lagein ki aapki parvarish galat ho gayi? Main wahin hoon mumma… aapki saru…
aapka pyara bachcha… aapki Surabhi…
SURABHI – ROMANTIC
Costume: (Short Kurti/Jeans)
Situation: (telling Rishabh that she likes him)

Bahut lambi list thi meri… ki jise main pasand karoon, us ladke mein kya-kya qualities
honi chahiye. Ye strictly hona chahiye… ye strictly nahi hona chahiye. College mein bahut
ladkon ne propose kiya, par maine unhein ghaas nahi daali, kyonki unmein wo qualities
thi nahi. List se match nahi ho rahi thi personality. Aur phir tum aa gaye life mein. Pahli
nazar mein itne bure lage the mujhe ki main Bhagwan se bolne lagi thi ki dobara tumse
saamna hi naa ho! Par wohi huaa!! Aur mujhe tum achchhe lagne lage. Main poochhti thi
khud se ki aisa kyon? Aakhir hai kya is mein jo ye mujhe itna achchha lagta hai? Koi
jawaab nahi milta tha. Aur pataa nahi kab tumse pyar ho gaya! Aur aise hua jaise kabhi
kisi se nahi hua tha. Sach kahti hoon… tum mein kuchh pasand nahi mujhe! Bahut
kharaab chai banaate ho… maggi mein paneer daal dete ho… gande pairon se bed per
chadh jaate ho… haath dho ke shirt mein pochhte ho… itti zor se chheenkte ho ki kamra
hil jaaye! Par phir bhi… bahut pyare lagte ho! Bahut fight kiya hai is emotion ko… ye soch
ke ki shayad ye jo bhi hai wo pyar nahi hai. Par main galat thi… bahut zyada galat thi…
kyonki tumhare liye jo main feel karti hoon, ye pyar ke alawa kuchh ho hi nahi saktaa.
Jaante ho kyon… kyonki tumse alag hone ke khayal se dil ghabraane lagtaa hai. Ab nahi
rahna tumse door! Ek din bhi nahi, ek second bhi nahi! So, Mr Rishabh Rathi… Surabhi
Gupta is in love with you!! Bolo! Zindagi bhar bardaasht kar sakoge mujhe? Agar
tumhari haan hai to meri bhi haan hai…

You might also like