You are on page 1of 4

NUKKAD NATTAK

Everyone: Suno Suno, Suno Suno, Baat pateki suno suno…2


( Aditi) aye hain hum milke aaj, (vidooshi) suljhane kuch uljhe taar….
(parthvi) Zindagi ki keemat samjhe, (shranya) chalo sab hum milke aaj!!
Sunno sunoo..suno suno…baat pate ki suno suno…2

Parthvi: Chalo chalen hum milke aaj, dekhen kya hai aaj ke youth ka haal!!
Shranya: Nashe ke jaal main ulja naujawan, kuch sudh boodh na rahi, ban gaya haiwan!!
Aditi: Badhte hue substance use ya nasheele padarthon ka sewan, bana raha hai youth ko
behaal!!
Vidooshi + Everyone: Chalo chalen hum milke aaj, dekhen kya hai aaj ke youth ka haal…2

Scene 1
Priti (shranya)- Haa yaar, ye maths to ghus hi ni rhi hai dimag me, matlab, iski jitni ‘x’ ye
dhoondhwate rehte hain, itni ex to hamare class ke saare ladko ki milake bhi ni hai
Shreya (Aditi)- Sacchii! aur ye trigonometry to lagta hi ni ki maths chal hi nhi rhi hai, lagta
hai koi greek mythology padha rha hai- kya hai ye cos sec Athena...
Friend (parthvi)- (after laughing)- Pehli baat ye greek nahi latin ke shabd hai, aur doosra wo
Athena nhi theta hota hai.
Priti- see that’s exactly my point.
Friend- (hesitates) agar tujhe… nhi nhi chod
Priti- kyaa
Fri- are maine kaha n chod
Priti- bata nnn… suspense mat bana
Fri- achha batati hoo… mai to bas ye keh ri thi ki maybe you can consider some particular
drug... wo mujhe naam ni pata.. shubha hai n, usni liya tha pichle exam se pehle, aur dekh
usne top kiya tha. Uss drug se supposedly concentrate achha hota hai aur nind bhi nhi aati
padhte hue
Priti- aree nhi nhi pagal hai kya… mai yeh sab nhi karti
Shreya- haan haan, bro yeh sab toh mai bhi nhi karti
Fri- mujhe pata hai yaar, magar soch le, maine bola tha usse, toh wo mere liye kal thoda lane
wali haai, ussi me se tum sab hi try kar lena
(nxt day)
(friend has the drug, priti and shreya hesitate for one sec, and then take it, also feel a little
woozy)
Vidooshi- Ab galti hui ya milla khazana, ye to samay batayega
aree, ab kyu tension lete ho, jo bhi ho aapko maza hi aayega!!
(exam day)
Frie- Yaar maine to jam ke padhai kari, shubha sahi keh ri thi, uss dru.-, (idhar udhar dekh
ke) I mean- dawaii se, bohot ache se padhai hui
Priya- wo to hai… par… Shubha kahi dikhai nhi de rhi
shreya- final ppr to miss ni kar ri..?
vidooshi- tumhe pata nhi? Kal raat wo apne ghar ke bathroom me behosh ho gayi thi, Usne
last exam se pehle Concerta naam ke ek drug ka ha heavy dose le liya tha; exam ki tension
me… use hospital le kar gaye the.. pata nhi abhi bhi thik hai ya nhi
(priya, friend shocked and dumbstruck)
Nukkad (Shranya)- concerta jaisi drugs shuru-shuru mai lagta hai ki padhai me help karte
hai, lekin yeh addictive hoti hai jiss wajah se ye jald tumhe padhai se door kar deti hai
Nukkad (Parthvi)- Aur inn drugs se blood pressure or heart rate Bhi Badhne lagta hai jisse
heart attack, strock, coma ho sakta hai aur yaha tak ki jaan bhi jaa sakti hai.
vidooshi- Hoti toh hai saari dawaiyaa faydemand
Aditi- par bina prescription ke li jaye toh kar sakti hai dimaag aur shareer band
Shranya- kisi bhi substance se banaye rakhe doori
Parthvi- chahe ho koi bhi tanav, dabav ya majboori

Scene 2
(Anjali (shranya) is studying…when 2/ 3 friends of her come holding a few vapes and
cigarettes in hand.)
Parthvi- Hey! Anjali! Kya karti reheti hai!!
Aditi- Har samaye books main he uljhi reheti hai!!
Vidooshi- Zara books ke bahar nikal aur dekh!!
Parthvi- Kuch naya try kar ke to dekh!!
Aditi- Dekh cigarette ko ek baar try to kar ke dekh!!
Anjali: Nai nai… mereko ye sab acha nai lagta yaa…
parthvi- Acha chalo chalo…agar cigarette nai to ye try karle…ye le…vape!!...ise lene se to
kisi ko pata bhi nai chalta…no smoke comes out of it!! N kuch log to kehete hain, isko lene
se koi health ka nuksaan bhi nai hota!!...le ke to dekh…
vidooshi- Don’t be a spoilt sport!! Come on…
Anjali: Nahi… Maine bola n nahi… mujhe padhai pe focus karne do
aditi- aree kya tu bhi yr…(forcefully puts the cigarette in her mouth) (Anjali coughs
uncontrollably)
Ye hui na baat!!
Anjali- Ye kya kiya!!!
vidooshi- ab muh me le hi liya hai to try to kar le..
(Anjali puts it back in her mouth)
Song:
Parthvi- Vape se hui shuruvat, pohonchi alcohol consumption tak baat!!
Aditi- Ab rooz thora vape aur alcohol ban gaya Anjali ki dincharya ka part!!
Vidooshi- Us din se badli sab baat…Anjali main na rahi pehele wali baat!!
Parthvi-Jo reheti thi har pal khushhal, bekherti thi sab main kushi aur pyaar, na rahi use
sudh bhood apni kisi bhi cheez ki aaj!!
Aditi- Doston ke dabav main padke, banne ko cool sab ki nazar main, phas gai wo nashe
ki uljhan main!!
vidooshi- Jo sabse milke reheti thi, ab sabse ladti reheti hai…
Parthvi- Khud ka usko hosh nahi, jane kis dhun main reheti hai…
Aditi- Khel kood main jo thi awal, karti thi padhai bhi lag kar, wo ho gai ab nashe ki aadi,
kho gai har khoobi ab baki!!

scene 3
Aditi: Arrye!! Par vape to nuksan nai deti hai na!!
Phir kya hua jo Karli use?
Kya hai is ka nuksaan? (shranya) Chalo Jaane is baat cheet ke zariye aaj…
———————
Aditi- Arrey Parthvi!! Kya hua yaar… Shranya ko kuch din se dekha nahi..sab theek?
Parthvi: Nai yaar… aditi theek nahi hai…usko e-cigratte aur alchohol lene ki aadat ho gai hai
aur ab uski health suffer kar rahi hai. Kal to maine jab phone kiya use, to khaas khaas ke
bura haal tha….
Aditi- to kya ho gaya? Mera bada bhai bhi karta hai vape, pata nhi tujhe, use dhua ni hota,
wo nuksaam ni deti..
Parthvi- E-cigarette main maujood liquid, nicotine jalata nahi hai, isliye isse dhooan nahin
nikalta, lekin wo cigarette jitni he nuksan Dayak hoti hai…
Nukkad(shranya)- Research ke anusar,
Kisi bhi nashele padarth ka istamal, jaise, cigarrete, vape/ e-cigarete, alcohol, ityadi; yuva ke
badte hue brain aur dimag ke vikas ko prabhavit karta hai.
Nukkad(Parthvi)- yuva jo alcohol ya koi aur nashele padarth ko ek ya do baar istamal karte
hai, unmain se assi pratishat (80%) yuva nashi ke addi/ addict ho jate hain.
Un addicted youth main se lagbhag (50 %) pachas pratishat yuva ko koi health issue hota
hai; ya dimag ke vikas pe galat prabhav padta hai.
Nukkad(Aditi)- Vape kisi bhi aur nashele padarth ki tarha he addictive aur harmful huti hai.
Nashele padarth ya addictive substances sharab se leke cigarrete aur baki illegal drugs tak,
sabhi ka sevan, addiction ka shikar bana sakta hai.
vidooshi- Isliye, ek swasth aur khushal jeevan ke liye aao milke ye than le…
Parthvi: ho kuch bhi karan ab, doston ka ho dabav ya haalat na ho apne anusar, na lenge
sahara nashe ka, phir ho wo chahe kisi bhi roop ka.
Aditi: Swasth sharer hai khushal aur safal jeevan ka aadhar,
Shranya: Chalo, mil ke lelen pran ye aaj, doori nibhake nashe ki duniya se, rahenge kareeb
swasthya aur khushi se.
(everyone) Song: sadiyon purani, hai jo ye kahani, humen isse hai badalna…todo janjeeren,
badlo takdeeren, bhoolo majbooriyan… jaago zara, jago zara, sawera ho gaya….
——— end ———

You might also like