You are on page 1of 1

ZINA KA AZAB

Zina ek mard ek aisi aurat se sohbat/ humbistari kare jiska uske saath nikah na huwa ho.
Aaqa sallallaho alayhi wasallam ne farmaya :
shirk k baad Allah ke najdik is gunah (zina) se bada koi gunah nahi .
Ke ek shaks kisi aurat se sohbat kare jo uski biwi nahi aur jab koi mard aur aurat zina karta hai to
Imaan unke sine se nikal kar sar par saye ki tarah thahar jata hai.

Reference:
(Mukashefatul kuloob :page-168)

Hazrat Abu Huraira wa Ibne Abbas radiallahu anhu se rivayat hai ki Sakar-e-Do Aalam sallallahu
alayhi wasallam ne farmaya mo'meen hote huve toh,koi zina kar hi nahi sakta.

Reference:
(Bukhari Sharif : jild-3,page-614 ,hadees-1714)

Hazrat Musa alayhis salam ne Rabb ta'ala ki bargah me jab zina ki saaza puchi to Allah ne
farmaya :Usey aag ki jarrah(lohe ka libas jo aag se bana hoga) pehnaya jayega. woh aisa wajani hai ki
agar bahut bade pahad par rakh diya jaye toh wo bhi reja reja ho jaye.

Reference:
(Mukashefatul Kuloob : page-168)

Allah ta'ala farmata hai jo shaks zina karta hai use asaam me dala jayega. asaam k bare mein ulma-e-
deen ne kaha hai ki wo jahannam ka 1 gaar hai jab uska munh khola jayega to uski badbu se tamam
jahannami chikh uthenge.

Reference:
(Mukashefatul Kuloob : page-167)

7 aasman aur 7 zamino aur pahad zinakar par lanat bhejte hai aur qayamat k din zinakar mard wa
aurat ki sharmgah se is qadar badbu aati hogi ke jahannam mein jalne wale ko bhi is badbu se taklif
hogi.

Reference:
(Bahare Shariat : page-43)

zina karnewale shadi shuda ho toh khule maidan me pattharo se mar dala jaye aur gair shadi shuda
(kuwara) ho toh 100 kode maare jaye.

Reference:
(Bukhari Sharif : page-615, hadees-1715)

You might also like