You are on page 1of 6

Khitab : Dr.

Tareek Jameel Saheb

Humne Jinn aur Insano ko iske siva kisi kam ke liye


paida nahi farmaya ke woh Hamari Ibadat kare.
Wama Khalaktul jinna wal insa illa li ya'a budoon
Is Tarah Allah ne hamare wajood ke maqsad se hame aagah kiya hai.
Tumhe Humne apni bandagi ke liye banaya hai.

Aasmaon par, Mashrik Magrib mein, Shimalo junoob mein, Khalao fizao mein woh hoga jo
Allah chahta hai. Tahe Khaak, Tahe Samandar mein Bahro Bar mein,

woh hoga jo Allah chahta hai. Jo Allah chahega


Mashaa Allaho Qaan...
woh hoga
Min Gayri

Zyada

WaLa Nuksaan

Wala Taqaddum

Wala Ta'akh'khur

Na kami na zydati na Aage na Pichhe

Wama Lamyasha

Jo woh nahi chahega

Lam Yakun

Na hoga
YafAlullahum Ma Yashaa'a

Woh jo chahe kare

Yahdi Mayn Yashaa

Jise chahe hidayat de

Wa Yudillu Mannyashaa

Jise Chahe gumraah kare

Yakhtussu birahmatihi Maynyashaa

Jise Chahe Rehmat ke kareeb kare

Yu Ayyudu binasrihi maynyashaa

Jiski chahe madad kare

Yaghfiru limaynyashaa

Jisko chahe maaf kare

Wa yuazzibu maynyashaa

Jisko chahe azaab de

Yudkhilu maynyashaa fi rahmatik

Jisko chahe apni jannat mein daakhil kare

Wad'daalimina Addalahun Azaaban Aleema

Jisko chahe jahannum ka indhan (fuel) bana de


Wa tuizzu mantasha u wa tu zillu mantashaa

Jisko chahe izzat ata farmaye jise chahe zillat ata farmaye.

Tu'a'til mulka mantashaa

Jise mulk de koi chheen na sake

Wa tanziul mulka mimmantashaa...

Jisse le le usko koi de na sake

Yaffaturrizka limaynyashaa...

Jiske liye rizk ki raah khol de usko koi tang na kar sake.

Wa yakdir

ALLAH JO CHAHE KAR DE


YE IS KAYENAAT KA ALLAH HAI

Jiska Chahe Takht Palat de


Fakiro Ko Shah Aur Shaho ko Fakir bana de
Usi ki Shahenshayi hai...
Usi ki Badshahat hai..
Usi ki rehmo karam par ye sari kayenat hai
Usi ke rehmo karam par is kayenat ka zarra zarra hai
Hum apne wajood ke, apne jism ke, apni rooh ke, apne maal ke,
apni chizo ke maalik nahi, apni zindagi ke malik nahi bilkul nahi

Fir Ghar, zameen, jayedaad, dukane, factories ye to is dayre se bhi bahar hai.
Hum unke maalik kaise ho sakte hai ?

Allah hi hai jo kisi ko shohrat deta hai


to kisi ko gumnaam karta hai. kisi ko gani karta hai

Fa yandura kaifaa ta'almoon


Wo yeh dekhna chahta hai ki hum kaisa amal karte hai.
Yeh kayenaat kaee dafa bani hai
Kaee dafa ujdi hai
Iske uroojo zawaal ki dastane har pal mein
janam leti hai aur so bhi jati hai.
Yaha kai kaume uthi hai kai giri hai.
suraj chand sitare zamin falak sab gawah hai.
Kaee kaume takht par bhi baithi
aur takhte par bhi latkayi gai
kaee logo ki tajposhi huvi to
kai logo ko sare bazar rusva bhi kiya gaya.
Is kayenaat ke wahdalu la shareek
Allah ka ek kanoon hai
ek shariyat hai
ek dastoor hai

WOH KYA HAI ?


inni iza uti'a'tu radeet wa iza radee'a'tu
baa raktu walaysa li barakati nihaaya
Allah farmata hai E puri duniya ke insano Mera dastoor suno

Agar tum meri ita'at karoge to mein raazi ho jaunga.


Aur jab mein razi ho jaunga to barkato ke dar khol
dunga. Phir meri barkat ki had koi nahi hai.
Jang-e-khandak ka mauka hai, Allah ke nabi sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya Hazart
Jabir Bin Abdullah R. ne khana pakaya hai.

Khana 10 logo ka pakaya hai aur 1000 log hai. Aaap tashrif laye aur khane ki handi mein
apna lua'ab dala. Phir kahan taksim hone laga. Log uth kar aa rahe hai. Kha rahe hain, ja
rahe, 10 nahi 20 nahi 1000 aadmin pet bhar kha kar chale gaye handi mein se shorba
kam nahi huva. Aur aata kam na huva.

walaysa li barakati nihaaya

Allah farmata hai tum meri ita'at karo mein


barkato ke dar khol dunga.
Phir Allah farmata hai
Jab meri nafarmani karoge to mein naraz ho jaunga.
Aur jab mein naraz ho jaunga to mein lanat barsaunga.
Phir meri laanat sat sat pushto tak chalegi.
Yeh Allah ka kanoon hai ise atomic power nahi badal sakta. ise scientist aur warfare nahi
badal sakte. Arshe bari par Allah ta'ala hayyun qayyum kayam dayam zinda hai aur
rahega. Rabbul Mashrik wal magrib. Woh har har shay ka rab hai, patte patte ka, har simt
ka bute bute ka, hawao ka aur tufaano ka fizao ka khalao ka insano ka jinno ka ret ke
zarre zarre ka dariyao ka uski lehro ka aasmaan aur chand taro ka rab hai, pahado ka
khazano ka, aag aur dhup aur suraj uski tapish ka pani aur uski thandak ka woh rab hai,
chand aur uski shuaao ka wohi rab hai. Koi uska sharik nahi, wazeer nahi, musheer nahi,
Insan agar Allah ko bhul jaye aur na'shukra ho jae to uski shahenshi mein kami nahi aati.
Sare'aam kufr hai isse uski azmat mein koi khalall nahi aati, woh bada hai hai aur hai. woh
khalik, woh baari, woh musavvir, to muta'aal, hamare Allahu Akbar kehne se bada nahi
hota, woh paak hai bada hai Lafze paak bhi uski paakizgi ko batane ke liye na'kafi hai.
Lafze Akbar uski kibriyaayi ko batane ke liye na'kaafi hai.

is zamin par wo hoga jo Allah chahega. Nooh Alaihissalam ki kaum aayi aur kaha "Le aao
azab kaha hai jisse tum hame dara rahe ho ?" 950 saal apne mehboob tareen bande ko
nooh Alaihissalam ko galiyo me phira diya tableeg karne ke liye Allah ne. Phir Nooh
Alaihissalam ne aakhirkaar hath uthaye ki ye log to imaan late hi nahi. Yeh meri baat sun
kar aur door ho gaye. Allah Tu apna faisla farma de. Allah ne faisla farma diya "Kashti
bana" "Tu inhe apni aakho ke samne gark hota dekhega. Doobta dekhega."
Nooh Alaihissalam ke bete ko jab Nooh A.s ne pukara ki ab iman le aa aur Allah ki panah
mein aaja to bach jayega..to beta bola nahi nahi..mein pahaad par chad jaunga....bach
jaunga..... isir tarah aaj ke kafir aur nafarman log yeh samajte hai ki muje mere lohe ke
ghar meri z plus security mere bullet proof glasses, mere weapons, mere security guards,
mere atomic powers, missiles, dollars, pounds panah de denge ! Kyo nahi.. Zarur edi choti
ka zor laga lo naadano... "Mauj aayi aur Nooh ne apne bachhe ko apni aankho ke samne
gark hota dekha"

Yeh misaale hai, yeh dalaail hai : Jaise ke Nooh Alaihissalam ne duaa ki thi

La tadar Allal arde minal Kaafirina dayyara

Ya Allah ek ko bhi zinda na chhodna

yahi Mafhoom hai

FARMABARDARI PAR KAMIYABI NAFARMANI PAR

HALAAKAT

(Plz rectify the Arabic Transliteration if errors found and if possible plz place original Arabic Text and fwd. me)

You might also like