You are on page 1of 12

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa kar

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte


shaam ke vaqt safar kyaa karte
terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte
(masruufiyateN : engagements)
jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte
(shams-o-qamar : Sun and the Moon)
vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte
(shajar : tree)
Khaak hii avval-o-aaKhir thahriikar (?)
ke zarre ko gauhar kyaa karte
(Khaak : dust; avval-o-aaKhir : in the beginning and the end;
zarre : particles; gauhar : jewels)
raaye pehle se hii banaa lii tuune
dil meN ab ham tere ghar kyaa karte

ishq ne saare saliiqe bakhshehusn se


kasb-e-hunar kyaa karte
(saliiqe : etiquettes; kasb-e-hunar : ?)

Parveen Shakir

Jaun Elia Holds Forth:

maskan-e-maah-o-saal chhoR gayaa


maskan-e-maah-o-saal chhoR gayaa
dil ko us kaa Khayaal chhoR gayaa
(maskan : abode; maah-o-saal : months and years)
taazah-dam jism-o-jaaN the furqat meN
vasl us kaa nidhaal chhoR gayaa
(taazah-dam : fresh; jism-o-jaaN : body and soul; furqat :
separation; vasl : meeting; nidhaal : exhausted)
ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal
aik viiraan haal chhoR gayaa
(ahd-e-maazii : time of past; purhaal : eventful)
zaala-baarii ke marhaloN kaa safar
qaafile, paayemaal chhoR gayaa
(zaala-baarii : hailstorm; marhale : stages; paayemaal :
devastated)
dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho
kaun thaa , kyaa malaal chhoR gayaa
maiN bhii ab Khud se huuN javaab-talab
vo mujhe be-savaal chhoR gayaa

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN


ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN
(hunar : skill)
kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN
(zabt : control)
kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN
ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN
(darpesh : to confront)
voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN
(naaz-o-adaa : playfulness; Ghamze : amorous glances; sarba-sar : from top to bottom)

ajab ilzaam huuN zamaane kaake


yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN
kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaaj
ab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

tum se jaanaaN milaa huuN jis din sebe-tarah,


Khud se dar gayaa huuN maiN
kuuejaanaaN meN sog barpaa haike
achaanak, sudhar gayaa huuN maiN
(kuuejaanaaN : house of the beloved)

zaKhm-e-ummiid bhar gayaa kab kaa


zaKhm-e-ummiid bhar gayaa kab kaa
Qais to apne ghar gayaa kab kaa
(zaKhm-e-ummiid : the wound of hope)
aap ik aur niind le liijiye
qaafilaa kuuch kar gayaa kab kaa
dukh ka lamhaa azal abad lamhaa
vaqt ke paar utar gayaa kab kaa
(azal : beginning of time; abad : end of time)
apna muuNh ab to mat dikhaoa mujhe
naasiho, maiN sudhar gayaa kab kaa

nasshaa hone kaa be-tarah thaa kabhi


par vo zaalim utar gayaa kab kaa
aap ab puuchney ko aaye haiN?
dil merii jaan, mar gayaa kab kaa
Jaun Elia

aik hii muzhdah subh laatii hai


aik hii muzhdah subh laatii hai
sehn meN dhuup phail jaatii hai
(muzhdah : glad tidings; sehn : courtyard)
kyaa sitam hai ke ab terii suurat
Ghaur karne pe yaad aatii hai
sochtaa huuN ke us kii yaad aaKhir
ab kise raat bhar jagaatii hai

us vafaa-aashnaa kii furqat meN


Khvaahish-e-Ghair kyuuN sataatii hai
(vafaa-aashnaa : one who knows fidelity; Khvaahish-e-Ghair :
desire for somebody else)
kaun is ghar kii dekh-bhaal kare
roz ek chiiz TuuT jaatii hai
Jaun Elia

haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal


hii gayii
haalat-e-haal ke sabab,
haalat-e-haal hii gayii
shauq meN kuch nahiiN gayaa,
shauq kii zindagii gayii
ek hii haadisaa to hai
aur vo ye ke aaj tak
baat nahiiN kahii gayii,
baat nahiiN sunii gayii
baad bhii tere jaan-e-jaaN
dil meN rahaa ajab samaaN
yaad rahii terii yahaaN,
phir terii yaad bhii gayii

uske badan ko dii namuud


hamne suKhan meN
aur phiruske badan ke vaaste
ek qabaa bhii sii gayii
(namuud : appearance; qabaa : gown)
uskii ummiid-e-naaz kaa
hamse ye maan thaa ke aap
umr guzaar deejiye,

umr guzaar dii gayii


uske visaal ke liye,
apne kamaal ke liye
haalat-e-dil ke thii Kharaab,
aur Kharaab kii gayii
teraa firaaq jaan-e-jaaN
aish thaa kyaa mere liye
yaanii tere firaaq meN
Khuub sharaab pii gayii
uskii galii se uTh ke maiN
aan paRaa thaa apne ghar
ek galii kii baat thii
aur galii galii gayii

ramz
tum jab aaogii to khoyaa huaa paaogii mujhe
merii duniyaa meN KhvaaboN ke sivaa kuch bhii nahiiN
mere kamre ko sajaane kii tamannaa hai tumheN
mere kamre meN kitaaboN ke sivaa kuch bhii nahiiN !
In kitaaboN ne bahut zulm kiyaa hai mujh par
in meN ek ramz hai jis ramz ka maara huaa zehn

muzhdah-e-ishrat-e-anjaam nahiiN paa saktaa


zindagii meN kabhii aaraam nahiiN paa sakta !!
(zulm : injustice; ramz : innuendo, insinuation; zehn :
intellect; muzhdah : glad tidings; ishrat : pleasure; anjaam :
completion; aaraam : rest)

dil ne vahshat galii galii kar lii


dil ne vahshat galii galii kar lii
ab gilaa kyaa, bahut Khushii kar lii
(vahshat : solitude; galii : lane; gilaa : complaint)
yaar, dil to balaa kaa thaa ayyaash
us ne kis tarah Khud-kushii kar lii ?
(balaa : affliction; ayyaash : pleasure seeker; Khud-kushii :
suicide)
nahiiN aayeNge apne bas meN ham
ham ne koshish rahii sahii kar lii
ab to mujhko pasand aa jaaomaiN ne
Khud meN bohot kamii kar lii !
ye jo haalat hai apnii haalat-e-zaar
ham ne Khud apne aap hii kar lii
(haalat : condition; zaar : groan)
ab kareN kis kii baat ham aaKhir?

ham ne to apnii baat bhii kar lii


qaafilaa kab chale ga KhvaaboN kaa ?
ham ne ek aur niind bhii bhar lii
(qaafilaa : caravan)
usko yaksar bhulaa diyaa phir se
yaanii baat kii huii kar lii
(yaksar : completely)
aaj bhii raat bhar kii be-Khvaabii
dil-e-bedaar ne kharii kar lii
(be-Khvaabii : sleepless; bedaar : restless; kharii : balanced)
kyaa Khudaa us se dillagii kartaa !
ham ne to us se baat bhii kar lii
(dillagii : attachment)

aaKhrii baar aah kar lii hai


aaKhrii baar aah kar lii hai
maiN ne Khud se nibaah kar lii hai
(aah : sigh; nibaah : manage)
apne sar ek balaa to lenii thii
maiN ne vo zulf apne sar lii hai
(balaa : problem; zulf : tresses; sar : on oneself)

din bhalaa kis tarah guzaaro ge?


vasl kii shab bhii ab guzar lii hai !
(vasl : meeting; guzar : over)
jaaN-nisaaroN pe vaar kyaa karnaa !
maiN ne bas haath meiN sipar lii hai !
(jaaN-nisaar : close friends; vaar : attack; sipar : shield)
jo bhii maango udhaar duuNgaa maiN
us galii meN dukaan kar lii hai
mera kash-kol kab se Khaalii tha
maiN ne us meN sharaab bhar lii hai
(kash-kol : begging bowl)
aur to kuch naheeN kiyaa maiN ne
apnii haalat tabaah kar lii hai
sheiKh aaya to mohtasib ko liye
maiN ne bhii unkii vo Khabar lii hai !!
(skeiKh : priest; mohtasib : reckoner)

meri aql-o-hosh ki sab haalatein


meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanchein mein junoon mein dhaal deein
kar lia tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal deein

yun to apne qaasidaan-e-dil ke paas


jaane kis kis ke liye paighaam hain
per likhe hain maine jo auron ke naam
mere wo khat bhi tumhare naam hain
ye tere khat, tiree khushboo, ye tere khawab-o-khyaal
mataa-e-jaan hain tere qaul-o-qasam ki tarah
guzishtaa saal maine inhein gin ke rakha tha
kisi ghareeb ki jori hui raqam ki tarah
kitne zaalim hain jo ye kehte hain
tod lo phool, phool choro mat
baagbaaN ! ham to is khyaal ke hain
dekh lo phool, phool toro mat
hai muhabbat, hayaat ki lazzat
warna kuch lazzat-e-hayaat nahin
kya ijazat hai, ek baat kahuuN
wo.magar khair koii baat nahin
sharm, dehshat, jhijhak, parishaani
naaz se kaam kyuN nahin letiiN
aap, wo, jee, magar, ye sab kya hai
tum miraa naam kyuN nahin letiiN
saalhaa saal aur ek lamhaa
koi bhi to na inmein bal aaya
khud hi ek dar pe maine dastak dee
khud hi ladkaa sa main nikal aaya

You might also like