You are on page 1of 2

25 December 09

Ashars on I. Husain (as) & Azadari


Posted by hasnain under Ahlul Bayt of Prophet (s), Shia, Shiate
Leave a Comment
1) Hum Azadarane Husain ibne Ali (as) hai shio,
Khauf kis baat ka ke lakh aaye darane wale,
Ghaib se aati hai ye sadaye Qaem (as),
Matame Sheh na ruke hum hai bachane wale

2) Deen-e-Nabi ko go’ad me pala Husein (as) ne,


Thokar agar lagi to Sambhala Husein (as) ne,
Islam tere Dilme jo Chubta tha baar,
Ka’ta tha ek Yazid (la) nikala Husein (as) ne

3) Tute Huwe Dil-o-ka Sahara Husein (as) hai,


Dube na jo Falak pe wuh tara Husein (as) hai,
Eman aur Kufr me nisbat nahi koi,
Duniya hai raat aur Sawera Husein (as) hai

4) Zikre Shabbir na pucho kya deta hai,


Haq ki Raaho’n pe chalna sikha deta hai,
Barkato’n ke liye kaafi hai fakat Naame Husein (as),
Wuh Fakiron ko Shahensha bana deta hai

5) Hai sare Kahan-e-Mabood, dar Husein (as) ka hai,


Makam Sajdao tazim, ghar Husein (as) ka hai,
Hazar sar hai Namaz-e-Jinhe bachati hai,
Namaz ko jo bachale wuh sar Husein (as) ka hai

You might also like