You are on page 1of 16

RESEARCHER: Theek hai, to aap sbse pehle mujhe apna naam aur apne bare me btao.

INTERVIEWEE: Naam aur?


RESEARCHER: Apne bare me
INTERVIEWEE: Kya btau apne bare me?
RESEARCHER: Kuch b jo apko lgta hai ap btana chahte ho apne bare me.
INTERVIEWEE: mujhe to pta ni kya btau mai.
RESEARCHER: Kuch b jo apko lgta hai ap merko btana chahoge apne bare me.
INTERVIEWEE: mujhe to aese smj me ata ni kya btau mai
RESEARCHER: Acha apna naam btado fir
INTERVIEWEE: Sanjog Devi.
RESEARCHER: theek hai, Aur apke kitne bache hai?
INTERVIEWEE: chheh bachhe
RESEARCHER: chheh bachhe, kya umar hai unki?
INTERVIEWEE: ek to 20 ka hogya hai, bade wala, dusra hai ek 22 saal, ek k 20 saal, ek 17
saal, ek 14 saal.
RESEARCHER: 14 saal! Acha aur ye to 5 hue, aur sbse chota?
INTERVIEWEE: acha ladki k b btana hai?
RESEARCHER: haan
INTERVIEWEE: usko b hogye 26 saal.
RESEARCHER: acha theek hai, to apke kitne bete aur betiya hai?
INTERVIEWEE: ek ladki
RESEARCHER: ek ladki jo sbse badi hai, acha aur baki pancho ladke hai.
INTERVIEWEE: yeah
RESEARCHER: inme se kitne shaadi shuda hai?
INTERVIEWEE: 2, ek ladka aur ek ladki.

RESEARCHER: theek hai aur inke age kya bache hai?


INTERVIEWEE: kiske?
RESEARCHER: aage ladka ladki ke.
INTERVIEWEE: ladki ko ek ladka hai.
RESEARCHER: Ok, very good theek hai. Apko sbse acha kya lagta hai khana khane me.
Sbse jyada kya pasand hai apko?
INTERVIEWEE: Chhole Bhature
RESEARCHER: acha chhole bhature pasand hai, acha aur?
INTERVIEWEE: aur
RESEARCHER: Aur kya pasand hai apko khane me?
INTERVIEWEE: Kadi Chawal.( smiles)
RESEARCHER: Kadi chawal! Acha kyu pasand hai kadi chawal aur chhole bhature?
INTERVIEWEE: kyuki sardi me hote hai thande hote hai.
RESEARCHER: Hahaha han, aur garmi me?
INTERVIEWEE: garmi mei job h ho chal jata hai(laughs)
RESEARCHER: Hahaha acha, aur apke din bhar ka routine kaisa hai, kya krte ho subha se
uthke aur raat ko jab sote ho? Pure din me kya kya krte ho ap? Sbse pehle uthke kya krte ho?
INTERVIEWEE: vahiyaha bh bartan safai, wahan bh bartan safai(slow tone) chai
banati hu.
RESEARCHER: theek hai chai bnate ho aur?
INTERVIEWEE: sabzi bnati hu subha uthke
RESEARCHER: acha sabke liye, 7 admi k liye?
INTERVIEWEE: han ek alag rehti hai.
RESEARCHER: acha unki family alag rehti hai apse.
INTERVIEWEE: haan

RESEARCHER: acha to insabke liye manpasand apke hisab se bnta hai ya unki hisab se
bnta hai?
INTERVIEWEE: kabhi man hoga to unki pasand se hojata hai. Kabhi mood ni hota to apni
pasand se bnati hu.
RESEARCHER: acha aur bakio ko khana bnana ata hai? Gar me koi hai h jise khana bnana
ata hai?
INTERVIEWEE: Sirf Sahib ko ata hai bnana.
RESEARCHER: hahaha han ni to apke zimme ata sara kaam, acha apko Delhi aye kitne saal
hogye
INTERVIEWEE: 2003 me ayi hu.
RESEARCHER: 2003 me acha, jb ap pehli bar aye th to kis liye aye th?
INTERVIEWEE: kaam k liye ayi th, koi b kaam kr saku, jo mujhe acha lage, mil jaye. Agar
na milta to kuch b kr leti.
RESEARCHER: acha to bihar me aesa kya hua ki Delhi ana pada?
INTERVIEWEE: Bihar me kheti ka kaam hota th, kabhi dhan ke paida hoti th baad ati th to
beh jati th. Kuch bh ni bachta th jisse kamaya jaaye. Khane ki kami nahi th par paise ni aate
th koi ache. Kafi halat kharab th.
RESEARCHER: To jab ap Delhi aye to apko kaisa mehsoos hua? Kya laga th apko yaha
ake?
INTERVIEWEE: acha ni lagta th. Mujhe lagta th baar baar bhagu. Fir saal do saal bitne k
baad man hi ni krta th wapis jau.
RESEARCHER: acha lekin Bihar me bhi to shehar kum gaon th?
INTERVIEWEE: Goan hi th dihat bilkul.
RESEARCHER: Acha to yaha apko sheher ki chaka chawn ne apko vo krliya.
INTERVIEWEE: kar kya liya, kha ri hu, kama ri hu, aur kya karna hai?
RESEARCHER: bache yaha khush hai yaw aha khush th?
INTERVIEWEE: khush hai yaha bh

RESEARCHER: khush hai, wapis ni jana chahte?


INTERVIEWEE: naaah!!!
RESEARCHER: Aur ab ap wapis jana chahte ho Bihar?
INTERVIEWEE: Abhi mood ka nhi pta ki jaungi ya nahi jaungi, man hoga kabhi to jaungi,
vyawastha hai.
RESEARCHER: Vyawastha hai ? kaise?
INTERVIEWEE: jaise apna gar hai, yaha kiraye ka gar hai. Aur mere nah kamayi ho, kiraye
naa poori ho , to mai ja sakti hu.
RESEARCHER: To jb apko yaha acha lagta hai rehna, yah ape sabko acha lgta hai to gar
yaha ku ni banaya?
INTERVIEWEE: ab hai hi ni itna piase
RESEARCHER: acha gar bihar me hi bnaya hai apne. Gar to hona hi chahiye
INTERVIEWEE: waha to apni zameen hai, apni zameen hai to jhuggi bh daal k reh sakti hu.
Yaha to zameen nahi h.
RESEARCHER: to apko yaha kaisa lgta hai? Kaisa mehsoos hota hai?
INTERVIEWEE: ab acha lgta hai.
RESEARCHER: khush rehte ho yaha pe?
INTERVIEWEE: acha lgta hai road hai, roshni hai, acha lagta hai. Ab agar nahi humse
chalega, nahi humse hoga, sharir kaam nhi karega to jana to hai kyuki waha pe to koi kiraya
nahi hai. Koi nikal ni sakta.
RESEARCHER: acha to ap jab chuttiyo me waha jate ho, ab jane wale ho to apko kaisa lgta
hai?
INTERVIEWEE: man krta hai kal chodo aj hi chali jau. Mood hai jane ka , fir kuch din rahu
fir lagta hai wahi rehti to acha th. Fir ane k time lagta hai ki aye haye ku apna gar chod k ja ri
hu. Aese lagta hai.
RESEARCHER: jhoole me jhool rahe ho, yaha b waha b. dil yaha b atka hai waha b
INTERVIEWEE: haan, dono taraf hai

RESEARCHER: acha to jo apka bachpan th vo bihar me hi bita?


INTERVIEWEE: han sabka, sare bache humare bihar me hi janme.
RESEARCHER: acha to bihar me hi paidaishi hai apki? To apka bachpan kaisa th.
INTERVIEWEE: acha th
RESEARCHER: apke mata pita?
INTERVIEWEE: kheti karte th. (slow tone)
RESEARCHER: aur kitne bhai behen t hap log?
INTERVIEWEE: 4, 2 bhai 2 behen.
RESEARCHER: unke sath kaisa th apka rishta?
INTERVIEWEE: theek hai..merse acha h.
RESEARCHER: acha apko sab pyar kart eth, ap chote th sabse?
INTERVIEWEE: nahi ek bhai se badi hu.
RESEARCHER: acha to vo sab khush th apke dilli ane se?
INTERVIEWEE: kuch din tak khush nit h jab pehli baar a ri th? To unko lagra th ye delli ki
ja re hai. Delhi mard ja skte hai, aurate ni ja skti delhi. Maine socha chalo mera addmi wahi
hai mai bh jati hu Kuch din bhai merse chid raha th ki ku gayi, meri ku nahi suni. Maine kaha
theek hai bhai to kuch karlegi. Par bhai ke din jaungi to do din rahungi na zindagi to apne hi
ghar mei katani hai.
RESEARCHER: acha to vo aesa ku sochte th ki mard ja skte aurate ni ja skti?
INTERVIEWEE: unko lagta hai bihar me rehna hai to theek hai. Pata ni waha jake kya kar
skte hai. Humare kam tumse ache hai ya nahi hai. Isliye mera yaha kapde dhone ka kaam
unhe manzoor nahi hai. Gar me kaam krna.
RESEARCHER: acha to von ahi jante hai? To kya jante hai vo ki ap kya karte ho?
INTERVIEWEE: _unko lagta hai ki kisi school mei kaam karte hai. Koi factory hai kuki
bartan dhona koi pasand ni krta. Bartan dhona koi acha kaam nahi hai agar kaam krna hai to
ghar mei ni karna. Ye koi gar me kaam krna acha nahi h. andar k kaam krna. Unhe lagta hai
pta ni kis tarah ka kaam hota hai ghar mei.

RESEARCHER: to vo kya krte hai bihar me?


INTERVIEWEE: ek doctor hai, ek teacher hai.
RESEARCHER: acha to ap kaha tak pade ho?
INTERVIEWEE: mai to kuch ni padi hu.
RESEARCHER: padaaya ni gar walo ne?
INTERVIEWEE: Nah
RESEARCHER: apki behen choti?
INTERVIEWEE: vo b ni padi, dono bhai pade hai.( smiles)
RESEARCHER: to apko kaisa lgta hai ki unhe padne diya.
INTERVIEWEE: Lagta hai par kya karu, musibat ati hai to kya kar skte hai?
RESEARCHER: To apne apni beti ko padaya?
INTERVIEWEE: Nahi, usse bh ni padaya bht buri halat th.
RESEARCHER: Isliye ni padaya ya waise hi ni padaya?
INTERVIEWEE: Humare gaon mei aesa hota hai ki 6 mahine paani ata. 6 mahine koi
teacher ni askta. Naon se sara kaam hota th. 6 mahine ane jaane mei hi dikat hoti th.
Ladkiyon ko dusri jagah ni bhj sakte th kuki road nahi th. Dusre gaon me bhej ni skti kuki
zamana kharab hai.ladkiya kahi ja ni skti. Baki bade ladke ko apne 10th tak padaya, usne phir
chod di. Baki do nahi pade bilkul. And do jo hai vo yaha pad re hai.
RESEARCHER: to agar apke pas halaat hote to ap padate apni ladki ko?
INTERVIEWEE: haan zarur padati. Mere paas paise kuch nahi. Chote chote bache th upar
se ek admi kamane wale, sabki zaruratein poori karni hoti th. Roti karni kapde karne.to ussi
ke liye paise poore nhi hote th.
RESEARCHER: to jab vo chota th to kya krta th?
INTERVIEWEE: kuch khelta rehta th din bhar. Koi kaam ni.
RESEARCHER: aur baki jo bhai th? Baki bete?

INTERVIEWEE: Vo pad ra hai. Do ni padaye. Bada wala tenth tak pada th. Dusra wala aur
tisra wala ni pada. Chotha wala pada.
RESEARCHER: acha pad ra? Kaunsi class me?
INTERVIEWEE: ek tenth me, ek 9th.
RESEARCHER: to ap khush ho unhe padta dekh
INTERVIEWEE: han
RESEARCHER: ap chahte ho vo age padke apni kuch zindagi banaye?
INTERVIEWEE: socha to hai. Baki to upar wale k hath me.
RESEARCHER: apke hisab se padai ka kya nazariya hai?
INTERVIEWEE: acha lagta hai pad jayegi to badiya hai. Humse to acha hi rahegi. Pad
jayegi to apna b jake kuch b kha skti hai. Humse to acha hi roti khayegi. Ab dekho uski
kismet jane.
RESEARCHER: Ap apni taraf se pura kr re ho.
INTERVIEWEE: apni taraf se pura kar re hai. Tution lagai hai. Copy kitab ki kabh kami ni
rakhi hai. Ab humare pas pas paise ni hote to jaha hum kaam krte h waha se paise utha k pura
krte hai na. ab uski kismat jane.
RESEARCHER: ye to achi baat hai. To apki shaadi kis age me hui th. Ap kitne saal k th?
INTERVIEWEE: 12 saal ki
RESEARCHER: 12 saal ki, aur jab apki shaadi hui to apki zindagi me kya farak aya th?
INTERVIEWEE: farak aya th mujhe vo hi yaad ni hai 12 saal ki ladki ko kya hota hai,
khilona to hota hai. Hum to koi sansural ni jante th ka hota hai sansural kaunsa hai? Nahi
janti th mere sans sansur kaun hai?
RESEARCHER: Acha to kab pta chala ki ye dusre log.
INTERVIEWEE: bade bade admi sikhata th. Ye sans hai ye sansur hai. Ye tumhare pati hai.
To pata ni lgta th pati kisko kehna hai. Dheere dheere saal do saal beete to pata lag gya. Aese
hota hai. Samaj ni ati th phele to. Phir 15-16 saali ki hui to bada wala ladka hogya . phir 1.5

2 saal hogye kef arak mei aese aese 6 bache hogye. Umar to kachi th. Mummy papa ka th,
humara kya kassor hai? Humari zindagi me to hota th jaha bhejte th waha chali jati th.
RESEARCHER: To apne apni beti ki shaadi kaunse saal me kri.
INTERVIEWEE: 16 saal. Padte likhte to th ni. Maine socha jb padna ni hai to rakhna kya
hai.
RESEARCHER: Aur ladke ki?
INTERVIEWEE: 18 saal
RESEARCHER: Par vo to pad ra th?
INTERVIEWEE: han tabhi kari th, 10th k baad chod diya th. Usne paper diye to 1 % 2% se
fail krdiya th to dubara ni diye.
RESEARCHER: to vo kya kr re h aj?
INTERVIEWEE: Company me kaam kr ra hai. Jo plastic k dane bnte hai na . jo gadi me
sheeshe lagte hai uske dane bnati h vo. (A sense of proud on face)
RESEARCHER: aur ladki gar sambhalti h apna.
INTERVIEWEE: han
RESEARCHER: acha aur apki jo bahu h vo padi likhi hai?
INTERVIEWEE: naah
RESEARCHER: vo bihar ki hai ya?
INTERVIEWEE: vo bihar ki hai.
Reasearcher: yaha ake shadi kri ha ya..?
INTERVIEWEE: nahi, bihar me hi kri th. Yaha kabhi shaadi ni kr skti. Krungi to bihar me
jake. Koi b bacha ho. Waha meri family mere biradari. Hum yaha roka kar lenge yaha par
shadi wahi jake. Mera gar yaha h ni. Ek kamre me guzara ni hoga. Gaon se humare koi
rishtedaar ayenge. To koi gareeb b h koi paise wala b h. paise wala jo hai vo to ajayenge, jo
garib h vo ni a payenge. Isliye humne barabar krne k liye gaon jate h shaadi krne.
RESEARCHER: theek h to ap apne bachpan ko kaisa dekhte ho?
INTERVIEWEE: mujhe itna yaad ni h. mai kelti th

RESEARCHER: kya kelte th?


INTERVIEWEE: gudiya bnana khelte th, sara din mitti me khelte th.
RESEARCHER: kabhi aesa hua ki papa ne bola kit u kuch ni kr skti, bhai krega?
INTERVIEWEE: nahi aesa ni.
RESEARCHER: aesa kabhi ni kiya, farak ni mehsoos krwaya?
INTERVIEWEE: nahi, pyar to acha rehta th, par ye hai ki padaya nahi. Betiya hai to kaha ja
skti hai. Ladke ko to padaya h. kahi b bhej dete h. ab dera aur karke 50-60 rupayee karke
jana hota th to 2-4 ladke milke chale jayte th par ladkiyo ko kaha bheje. Agar pas me skul
hota to jyada kuch krte. Ab jaise waha sarkari school khul gae hai to ab sahi hai ladkiyaan
padleti hai. Bijli hai.
RESEARCHER: to apke gaon me shauchalaye wagerah th?
INTERVIEWEE: ab hogye h, pehle nhi th, ye log khet me jate th.
RESEARCHER: kbse, saal bhar se?
INTERVIEWEE: nahi hogaye 4-5 saal to hogye. Light bh h, road b h, shauchalaya b h
RESEARCHER:.Delhi jaisa hogya hai?
INTERVIEWEE: haan
RESEARCHER: fir b dilli se jane ka man ni krta?
INTERVIEWEE: Nahi kuki ab sare yaha hai meri family ke to lgta hai sare yahi ho. Ab
saare ek jagah hai to ek jagah bh rahe. Mai kheti kaam kaam ni kr skti, gao mei man nahi
lagta aur gaon me dhoop b lgti hai. Aur yaha ab paidal bh chalet hai to pankhe ki icchaa hoti
hau
RESEARCHER: to apko dilli k bare me kisne btaya?
INTERVIEWEE: mera brother aane ni dena th. Kehta th kin i jana mai yahi tumhare liye
kardunga. mera ek dost th gaon vo btate ki sb jaa rahe hai delhi mei tum ku ho yaha par. Phir
mei bhai se chupke ayi kuki bhai kehta sirf admi ja skte h. maine kaha theek hai, ki chalo yah
ape kya krna h. itne log ja re hai. Fir mai b chali ayi.
RESEARCHER: to ap dilli aye to kaha ake base?

INTERVIEWEE: pehle vikas puri rehti th jhuggiyo me.


RESEARCHER: vikas puri kaise laye apko?
INTERVIEWEE: koi mere gaon se ata th na, uske saath ayi th. Char din yaha raha th. Uske
baad maine Chandra vihar me kiraya leliya 400 me. Ek kamre me sare guzara krte th. Do
mahine rahe th uske baad maine do kamra leliya .
RESEARCHER: to yaha ake kaam kaise mila?
INTERVIEWEE: yaha jo laya th na usne pucha ek kothi me kaam kr legi. Maine kaha han
ab krna to hai. 400 rs ka kaam kiya. Dheere dheere ek gar do gar. Aese hi 4-5 gar krne lagi
me. Dheere dheere paise b badane lagi fir 400 500 -600 . ek merko ye hai ki maine itna
paisa ikatha krliya h ki apna gar le sku.
RESEARCHER: Aur uncle ne ake kaise kaam dhunda hai?
INTERVIEWEE: Uncle ki pta th pehle se yaha par. VoLabour me kaam krte th. Phir
rickshaw chalana start kia unhone. Unhe aur koi kaam nahi pasand ata.
RESEARCHER: Unko theek lgta hai kaam?
INTERVIEWEE: ab vo krta hai theek hai.
RESEARCHER: agar apko mauka diya jaye to ap kya change krna chahoge apni zindagi
me?
INTERVIEWEE: acha lagega ki haan zyada paise aye.
RESEARCHER: to paisa apko khushi dedega?
INTERVIEWEE: han, ye to hai ki paise saari khushi dega..ab humare paas jyada paise
aayenge to acha hojaega .(laughs)
RESEARCHER: acha apki zindagi me koi khwahish h jo apne kis ko boli nah ho kisi ko,
aesa kuch.
INTERVIEWEE: zarurat hoti h to bol b deti hu
RESEARCHER: Jo apke dil me hi ho. aesi khwahish jo puri na hui ho
INTERVIEWEE: mere andar dekho koi chhall, kapat nhi hai. Agar koi humari baat bikher
dega to use nhi bta skti.

RESEARCHER: to agar mujhe batani ho koi khwahish apni. To mujhe bata doge.
INTERVIEWEE: tumhare hisab se btane layak hogi to bta dungi. Aese apne barbar ko hi bta
skti hu na.
RESEARCHER: to mujhe b bta skte ho
INTERVIEWEE: nahi bta skti
RESEARCHER: apki zindagi me hum kya mayine rakhte hai. Mtlb hum kitne zaruri h apki
zindagi me. Apko yaha ana kitna acha lgta h? humse baat krna kitna acha lgta?
INTERVIEWEE: bht acha lgta hai. Maine to kehti hu humare bache bht hai dono. Bhaiyya
bhabhi bh dono bht ache hai. Mai to itne din se hu yaha par. Mai kabhi keh ni skti yaha acha
ni lgta. Mai apna gar smj k ati hu.
RESEARCHER: aur baki gar me?
INTERVIEWEE: baki b theek lgta hai. Koi samjhta hai koi nahi. Koi kaam wali bh samjhta
hai. Sochta hai ki ye to kaam karne ayi bus wahi hai aur kya pyaar rakhe issey. To waha thda
ajeeb lagta hai par yaha to bht acha lagta hai
RESEARCHER: aur humare jo gar ate unse milke kaisa lgta h?
INTERVIEWEE: acha lgta hai apke tauji and saare jab aate hai bht acha lagta hai.
RESEARCHER: to aesa kabhi hua ki kisi ne apka dil dukhaya ho.?
INTERVIEWEE: nahi
RESEARCHER: yaha k ilawa kisi aur gar me?
INTERVIEWEE: haan nahi aesa to aur kahi nhi. Jo hai theek hai. Sochti hu theek h koi baat
ni mai to bhagwan me bharosa krti hu. Yaha sbse jyada acha lgta h.
RESEARCHER: aur apke shauk kya kya h?
INTERVIEWEE: apne man me rakhte hai. ?
RESEARCHER: kya pta hum usme help krde, apke shauk me pure krne me.
INTERVIEWEE: ab humare liye kya kr skte ho.
RESEARCHER: btao to, hum apko janenge na us shauk se. hume pta lagega anita aunty k
kya kya shauk h?

INTERVIEWEE: kardoge to theek hai . samajhaungi. kapde ache lgte hai. Aadmi ka man ni
lgta h mai hoop me nikalti hu. Gar ni bhaith skti. Kya kr skte h. krna to zarurui h. jitna b
kamaya theek h. kapde ache lagte hai. Humare 6 bache hai sb jaante hai aur samajhte hai.
kisiko kum b h to usme mast h. humare pas jitna h hum usme mast h. mujhe ni h ki kisi ko
dekh k hum taraste rahe. Apne me mast h kuch b ho. Barabari krne ka to kabhi socha ni.
RESEARCHER: Apko kta lgta h agr ap mard hote to apki zindagi kaisi hoti?
INTERVIEWEE: koi jaruri ni hai. Aurat bh sab khush hai mard bh sb khush hai.mard b sab
sahi, aurat b sab sahi h. agr mard b hoti to admi se achi hoti . agr mard hai to aurat se achi
hoti hai. Ek aurat h jo mard se kum b ni h. na kamane me kami h. agr koi mard b h to ye koi
zaruri ni h ki admi aurat se jyada kamate h. ya aurat se jyada gar chalate h. apna apna
knowledge ki baat h. aurat kamzor ni h. ye ni ki admi ache hote hai, aurat kharab hote. Ye ni
h. mtlb apne apne me sab acyha h. ye ni ki mard hota to acha rehta. Ye ni ki zindagi katani
mushkil hojaegi bina admi ke.
RESEARCHER: aurat hona pasand h apko
INTERVIEWEE: aurat hona pasand h. h pasand ni. Agr bhagwan diya h to kya krna h.
bhagwaan diya h na aurat. Agar h to mast h. agr auarat h to theek h. mard h to theek h. ye ni
ki pasand h. na aurat pasand h na admi pasand h.
RESEARCHER: lekin apko ni lgta agr ap mard hote to apka bachpan farak hota.
INTERVIEWEE: rehta to na. ni ho to? Aese to bhagwaan kismet me b deta h. aurat k alag
admi k alag. Hum log kartab chota krte h. aurat mei janam hua admi ache kartab kre to usme.
Unke alag krtab h aurat k alag krtab h.
RESEARCHER: acha aesa hota h ki aesa koi kahe to use milta h?
INTERVIEWEE: aur use jyada krtab krte h to ardmard janam hota h. hum us se kum krtab
kre. Tbhi humare aurat mei janam hua hai. Sab tarah sekiabhi chota ho to ma baap ki
taraf se idhar udhar hill ni skte. Agr bade hogye ho to apne admi k haq me rehna padta h. agr
admi se b hatke k chalet h to admi use neecha bna dete h. to isliye humara kartab chota h.
ladke h kahi b ja skta h. kuch b ni kehenge, agr ek javab dega to bus hojate h. ladkiyo se bus
ni hote. Ladkiyo ko kehte h zabaan band kro. Kuki ladka khula hote h, ladki band hote h. aese
ldka ladki me koi farak ni h. bus ladki k liye vo hote hladki achi b chali jaye to galat kadam
kehte h ki kaha gaya. Galat kadam to ni utha ri h. agr ldka galat kadam b uthayega to use

kuch ni kahenga koi. Ladka kahi b so skta h use kuch kehta koi. Ladki ni so skti. Ye farak
hota h.
RESEARCHER: Aur agr ap ek mard hote to apko padai di jati?
INTERVIEWEE: Kya pata, sare dipanshi apne kismet kartab se hota h. agr har cheez ,,,
padai b kamaye b. sab likha hota h. jitna b dhuk krma h, such karma h sab likha hota h. ye ni
pta ki han mard hoti to ache naukri krti, pad leti. Koi pada b h na to nikamma b ho jata h. koi
na b pada ho, company me kaam kr ra h ache paise kama ra h. ye ni ki aurat h to bank me
kaam krti h vo b 10000 kamati h. koi company me kaam kre to vo 10-12000 kamati h. agr
purine bande hogye. Do char saal se naukri kr ri h to ache paise kamati h. to ye ni h ki admi h
to ache paise kamati. Aurat kam kaha h. apna dimag hona chahiye. Ab kisi ko kahe hum 4
paisa kamati h, itne din baad humare pas itne paise hogye. Humare yaha itna to koi kamata ni.
To koi zaruri nahi admi jyada kamata h.
RESEARCHER: apko kya lgta h aurato ki sthiti itne saalo me badly h kya? Log kaise
dekhna shuru hue h aurato ko. Mtlb sthiti badly h jo pehle th?
INTERVIEWEE: apna apna mukadar hai par han badal gyi h. bht sare pad likh gyi, ache
paise b kama ri h. vidhyarthi hogyi. Gaon me b. yaha b. pehle se bht acha h. ab humari bhatiji
h vo b pad ri h. bhatija hua vo b pad ra h. humare bhatija ne third division se pas kri h 12th.
To ache padai kri. Ab dekhlo bhr jake pad ra h humara bhatija. Dekhlo kaha jate th pehle
ranchi padne. Acha h pehle se acha h. Humare bhai bh kaha gae bahar padne. Lekin ab pehle
se bht acha hai
RESEARCHER: to apko gaon aur sheher me kya farak lgta h, ki kaise farak h?
INTERVIEWEE: bus yehi h sheher me ki ab jaise bahar niklungi to rikshaw pakad skti hu.
Gaon me h ki door jake road pakdungi. Aur waha se jake yaha me pe hum karib se sabziya
la skte h. gaon me h ki sabziya 12bj ya 1bj lake rakho. Yaha h ki jb marzi bnao , le ao. To
isme farak h town me. Waha h ki jb bazar lagega tbhi la skti hu. Yaha h ki jate hue raste me
kahi se b lelu.
RESEARCHER: to apko gaon ki ek achai kya lagti h?
INTERVIEWEE: theek h, gaon me b achi h. pehle ni th par ab lagta hai ache h. ab kaunse
gaon me na route h. kaunsa gaon h jaha sab kuch na bechne ate h. to pehle se gaon acha h.
RESEARCHER: aur sheher me?

INTERVIEWEE: sheher to h hi jaisa h. har ek market h. koi b market me ja skte h. waha ki


ek dukan h. ye h ki sheher sheher hi h.
RESEARCHER: to gaon ki ek burai btao mujhko? Bachpan bita puri zindagi beeti h gaon
me. Kya cheez lgti h apko jo gaon me achi ni h.
INTERVIEWEE: kya burayi btau. Aese acha lgta th. Kaunse gaon me ni acha lgta. Acha
lgta h.
RESEARCHER: aur sheher ki koi burayi. ?
INTERVIEWEE: sheher ki kya burayi btau. Sheher b ache h.
RESEARCHER: par kuch yaha k log, kuch mahaul..
INTERVIEWEE: aese to sab jagah h. gaon me b h. najayaz jayaz. Gaon me b h. admi h
najayaz. Ladkiya b h najayaz. Bade admi b h chugli chagli krne wale. Yaha b h. sheher me b
h. ye ni kin i hai. Aspados to thk hai. Ek adha banda to hota hi hai.
RESEARCHER: to yaha kabhi apko dar ni lga rehne se.
INTERVIEWEE: Family k sath rehti hu dar kaisa.
RESEARCHER: Aesa ni lgta ki kuch hojayega. Koi dar ki bat to ni h sheher me. Ki gaon
me rehna jyada behtar h..
INTERVIEWEE: Sab h to ni lag ra h dar. Agr koi yaha rehti koi waha rehti to dar lgta.
Mere bache waha kaisi h. mera beta kaisa h.ab sare h yaha to koi dikkat ni.
RESEARCHER: Kabhi aesa laga h ki kaam ap krte ho puri mehnat se pura mahina. Kabhi
aesa lga h ki bht bura lga ho apko kisi ki wajah se aur man kiya ho ki chod chad k ab chali
jau.
INTERVIEWEE: Ab aesa h ki meri ladki waha padi h. aur meri damaad ki tbyat kharab h.
to ek mahina se ayi hu to mujhe lg to raha h kab chali jau. Kb dekh lu. Agr sukh sampati se
rehti h to mujhe ni lgta kbhi. Kbhi maine socha ni ki meri ldki kaha h. ache h. apna ache rehte
h, ache kamate h. acha gar b h. maine kabhi socha ni ki meri ladki kaha h. bichara tbyat khrb
hogyi to lg ra h ki mai kb chali jau. Mai yah ahu, tabyat kaisi h, dawai khai h. to aesa lag ra h
ki mai kb chali jau aur dekhlu. Mai din jodti rehti hu.
RESEARCHER: lekin yaha kaam krte hue kisine kabhi kuch aesa kaha apse ki apko laga ki
bus ye to bht hogya, ab merko wapis jana h?

INTERVIEWEE: nahi aesa to ni lga. Kaam kru to acha lgta h. 2-4 paise hath me ate h. kha
lete h. bache pada leti hu. 2 paise jud jate h. ye ni lgta ki waha chali jau, waha jake baith jau.
Theek lgta h. mujhe yaha pasand h. gaon ni pasand
RESEARCHER: aur ap kisi aur ko b laye ho waha se.
INTERVIEWEE: nahi main i layi kisiko, mujhe apne rishtedaar pasand ni h. mai jaha hu
waha mast hu. Apne rishtedaro ko rakhna mujhe pasand ni h. ki mai ye kaam kar ri hu to vo
bh yahi kaam kare. Mai yaha rahu to tum waha rahu.
RESEARCHER: aur apke sansural wale.
INTERVIEWEE: sansural me sab jante h, sansural se mai akeli hu. Na koi devrani na
jethani.
RESEARCHER: to mummy papa.
INTERVIEWEE: mummy papa sab guzar gaye. Unke guzarne k baad ayi hu. Mummy papa
k guzrne k baad ladki ki shaadi krke. Warna mummy papa kahe ki mujhe chod k chali gayi h.
unka sabka kriya karam krke, ladki ki shaadi krke, gar basa k, mai yaha ish se hu. Naah unke
mummy papa kahe ki humei chdke aaye. Mai kar kara ke sb yaha aish se rehti hu. Ye ni ki
koi kahe ki tumhari sans ko humne pani pilaye. Kiske paas chodke aaungi. To mai tension
free se rehti hu.
RESEARCHER: to ap khush ho apni zindagi se.
INTERVIEWEE: han jitna mai hu usme khsuh hu. Ye to kabhi socha ni kabhi ki mai khush
nahi hu. Mai kisi ko dekhti hu to aesa ni ki vo aese jeeta h to hum b aesi jiye. Vo aesi sari
pehnta h to hum b aesi saari pehne. Koi itna gehna pehna to mai b pehnu. Mai sirf itna dekhti
hu ki mai kamati hu. Mai mast hu.
RESEARCHER: aur apke bache?.
INTERVIEWEE: theek h ab mere bache ko lagta hoga ki hum behtar hoye. Aese uske man
hoga to hoga, mere man me to ni h. par hoga to ab kya kar skate hai. Uske man ke baaren mei
mai kya kar skti hu.
RESEARCHER: badiya, apko kaisa alga merse baat krke?
INTERVIEWEE: bht acha. Mai to sab din khush rehti hu yah ape. Mai sabko bati hu ki
mere is gar me do bache h, kabhi bolte ni kuch. Ache h. bhaiya Bhabhi b ache h. humesha

puchte h kaisi ho. Acha lgta h. tbhi to itne saal se kaam kr ri hu. Ab baki to chale jate h kabhi
uske gar kabhi uske gar. Maine kabhi ye ni socha ki Bhabhi kum paise de ri h to mai waha
chali jau kaam chod kr. Mujhe ye lgta h ki mujhe pyar to mil ra h na. paise ki baat ni h mujhe
izat ki baat h. izat hona chahiye. Ye ni koi 2000 deta h to aur h inka ki abhi ayi ho, dekho
ghadi kitna tym hogya. Boli itna tym hogya mujhe kaam ni krwana.
RESEARCHER: Achi baat h humei bhi bahut pasand ho ap. Hume bmaza ata h apse baat
krne me.
INTERVIEWEE; merko acha ni lgta ki koi izat na kre. Koi ache tarah se na bole. Koi ache
tarah se baithne ko na de. Koi chai ko puche. Theek h mai itna lalchi b ni hu ki ku merko
khana ni diya . Ku chai k liye ni pucha. Theek h mast rehti hu agr khau na khau , koi de chai
na de chai, mujhe koi lalach ni h. koi mang ni h. han mangungi kab. Ye holi, diwali mujhe
isme lalach h. Shaadi , kuki mera haq banta h mai kaam krti hu na. mangungi haq se. aese
roz ki mujhe ni h ki mai ye mang ri hu vo mang ri hu. Mast rehti hu. Poonam Bhabhi k gar b
acha lgta h. waha Tanya b achi h. tushar to bade majak krte rehte h.Vvo kahenge Bhabhi, achi
ho? Theek ho na? Muma ko dekhlo kahi bukhar to ni ho ra h. vo to maze lete rehte h. unke
acha lgta h. apni marzi se waha b kaam krti hu. Acha lgta h. chick chick mujhe pasand ni ati .
upar wale theek h. uncle aunty theek h kabhi b jau. Ye b ni kehte ki kis tym ayi h. To acha
lgta h. To agar chick chick wala gar hota h to mai b theek kr deti hu. Itti seedhi b na hu. Agr
ek din late hogyi . to kahe aunty ye koi tym h ane ka. Dusre din b. aunty ye koi tym. Mujhe
acha ni lgta is tym pe kaam krwana . Maine kaha suno . Ek aur bar puch lo ki is tym ku ayi
hu. Agr humare gar me hum late se uthe h. late khana bnayi hu. Ye to ni ki humare gar me
sardi kisi ko hogyi h. bache k humare admi k. ki humare gar koi agya h. to use chai pani to
pilaungi na. khana nashta to puchungi na. To ye ek bar puch ni skti.mujhe acha ni lgta. Kabhi
ni bolti warna. Bolna pasand hi ni h. boldu to fir mudke mai kaam ni krungi. Darwaja
patkungi aur chalti bnungi. Mujhe paise ka lalach ni h. ki tum bolte raho mai kaam krti
rahungi. Bekar sunna pasand ni h. ek din sun lungi do din sun lungi. To bus yahi hai. Baki
zingadi hai chal ri hai. Theek h. baki acha laga tumse baat karte hue maza aya.( smiles)
RESEARCHER: Thank you. Acha laga baat karke apse.

You might also like