You are on page 1of 12

(Sham ka waqt , bachon ki khelne ki aawaz aur kitchen se

cooker ki seeti ki aawaz)


SUDHA: () Haay! Aaj phir se yeh chawal naa jal
Jaye.
(Sudha kitchen ki or jaati hai)
aie pari, pari? zara amrit ko aawaz laga, shaam ke 7 baj gye aur
abhi tak laapata hai.
PARI: Han maa, Bulati hun....
(Pari exit and Sudha entry)
SUDHA: Kitni baar samjhaya hai in naalayako ki jo saaman jahan
se uthate ho use wahin wapas bhi rakh dia karo. Par nahi?
Sunta kon hai meri! Aur ek ye Ladki, Doston ko ghar bula kar
moj masti karne mai sabse aage, par ye nahi ki apni maa ki
thodi madad kar dun khana banane mai ya kam se kam apna hi
saaman sameet dun.
(Pari and amrit entry)
SUDHA: Aa gaye aap? zara batane ka kasht karenge ki kahan
the aap ab tak?
PARI: Maa aaj ye park ke ek kone mai baitha, patanahi kin
khayalon mai khoya hua tha? agar aisa hi chalta raha na to ek
din ise koi utha kar le jayga. Aur hum isee bacha bhi nahi
paynge kyunki lee deeke hamare paas ek yahi ghar to hai. Kyun
maa mene sahi kaha na?
(giggles)
SUDHA:(Serious) haan mene bhi suna hai wese hamare maholle
mai bachon ki choriyaan bhaut badh gayi hai. Acha chalo ab
muh haath dho kar baitho, khana banne wala hai.
(Sudha kitchen ki taraf jaati hai aur ek Bhooda vyakti Room mai
aa jata hai or sab kuch dekh raha hai )
AMRIT:(ANNOYING) Tu maa ko har baat kyun bata deti hai
meri?Mai bhi bata dun ki kal tu mere saath tution jaane ke
bajay......
PARINIKA:Areey chup! dheere bol koi sun lega, aur wese, mai
bhi maa ko bhaut kuch bata sakti hun.
AMRIT:Jese?
PARINIKA:Jese maa ka pichla phone kisne kharab kia tha, SST
mai 0 kiske aaye the, Aur kon apne exam papers mai mujhse
maa ke sign karwata hai.
Aur bhi bhaut kuch hai batau?
AMRIT:Acha theek hai na……
(Sudha Kitchen se aati hai or bhoode vyakti ko dekh leti hai)
SUDHHA: Arrey bhaisahab aap? Aaiye aaiye, kese hai aap?
BOODHA VYAKTI: Ji Kripa hai bhagwaan ki filal.
SUDHA:Aur bhabhiji kese hai?
BOODHA VYAKTI: Bilkul dharti pe bojh jese hai
SUDHA: (Laughing)
Bhai sahab aapki ye mazaak karne ki aadat bhi na , achaa aap
baithiye mai aapke liye chai banake laate hun.
BOODHA VYAKTI: Ji bilkul Maa ki haath ke chai ka swaad hi kuch
or hota hai
SUDHA:Maa?
BOODHA VYAKTI:Han, aap Amrit or Pari ki Maa Nahi hai?
(Laughs)
aur han, adrak daalna na bhuliyga. Adrak bina chai
jese....jese....bina syaahi ki ye kalam, kisi kaam ki nahi.
SUDHA:(laughing)Acha Acha rukiye laati hun abhi
(sudha kitchen ki taraf jaati hai)
BOODHA VYAKTI:(Gusse mai) Mene sab kuch sun liya
(PARI AUR AMRIT DAAR BHARE SWAR SE KEHTE HAI): JESE?
BOODHA VYAKTI:Jese Tumhari mummy ka picha mobile kisne
kharab kia or
SST mai kiske 0 aaye the?
PARINITA:Or bhi kuch suna?
BOODHA VYAKTI: Han bilkul Tution jaane ke bajaay...
PARINITA:(Rone ka naatak karte hue) Sorry uncle hum aage se
aisa kuch nahi karenege, Sorry, or please aap ye mummy ko
matt batana please!
BOODHA VYAKTI:(LAUGHING)Arrey areey! Nahi bataunga
bhai,tum to roone lagi,Mujhe nahi pata tha bhai ki mai itni achi
acting kar leta hun,Tum fikar na karo mai kisi ko kuch bhi nahi
bolunga tum khul ke apni ye shararate karo.arrey bhai bache
sharat nahi karenge to kon karega? Tumhari
Mataji?(LAUGHING)
Bachpana, zindagi ka sabse anmol tohfa hai jisko jitna sammet
kar rakhoge na, utna hi pachtaoge, aur Pata hai mai bhi bilkul
aise hi, sharate kia karta tha apne bachpan mai par fir ek
Raakshas aaya aur, mere bachpane ko mujhi se cheen kar le
gaya or mai bass dekhta hi reh gaya aur apne bachpane ko jee
hi nahi paaya, to ab sochta hun ki is budhape mai hi na jii lun
apna bacpan khulke, der aaye durust aaye. hena Amrit?
Amrit: Hanji wese wo raakshas kon tha?
BOODHA VYAKTI:Wo raakshas or koi nahi bass soch thi mere
andar ki or Kuch Pal the jo us waqt saksham the mujhe todne
mai parr aaj mai unhe tode tumhare saamne kadha hun
.Pareshaani sabke jiwan mai aati hai, pari bass fark itna hai ki
tum unse kitne waqt mai ubharte ho, yaa kaahin tum haar to
nahi maan lete. Mujhe to itne saal lag gaye. Bass kushi iss baat
ki hai ki maine haar nahi manni.
(SUDHA ENTERS)
SUDHA:Bhai sahab ye aapki Adrak wali chai or zara samjhaiye
inhe padhai mai dhyaan diya kare thoda, Khas kar is pari ko,Din
bhar bass doston ke saath ghuma karti hai.
BOODHA VYAKTI:Pari beta? Dost zaroori hai ya tumhara
bhavishya(coughs) Bass Beta apni sangati achi rakha karo usse
na dosti pe asar padta hai,or na hi padhai pe.
PARI:Hanji uncle.
BOODHA VYAKTI: Amrit beta aapki padhai to achi hi chal rahi
hogi? hena?
AMRIT:Hanji uncle bass SST nahi padhi jaati. aap padha doge?
BOODHA VYAKTI:Beta mai khud SST mai 2 baar fail hua tha. Mai
tumse kuch zyada alag nahi hun.
(SUDHA Seeti ki aawaz sunke kitchen ki Taraf jaati hai)
SUDHA:Ek to is kharab cooker ne jeena haram kar rakha hai…..
BOODHA VYAKTI:Acha bachon, ek baat batao? kya tum
farishton mai yakeen karte ho?
AMRIT:faristen matlb?
BOODHA VYAKTI: Farishten tumhare sabse ache dost hote
hai,ye log kuch bhi galat hone se pehle aa kar tumhe chetaavni
deke chale jaate hai. Maan lo unki chetaavni ke baavajood bhi
kuch galat ho jata hai, To wo Fir se aa jate hai, Lekin iss baar,
Tumhe Mazboot karne kyunki wo tumhe toot ta hua nahi dekh
sakte
AMRIT:To unhe bhagwaan bejhte hai hamare pass?
BOODHA VYAKTI:nahi unhe kisi bhagwaan ki zaroorat nahi
hote, wo kudh ke liye hi ye sab karte hai.

(sudha enters )
SUDHA:Pari zara bazaar se 2 namak ka packet le aao or han
Amrit ko bhi sath le jaana kyunki usko school ka kuch samaan
chaiye tha....
Pari:ji mummy
(pari and Amrit exits)
(silence)
BOODHA VYAKTI:bhabhiji mai aapse ek baat karna chahta tha?
SUDHA:boliye
BOODHA VYAKTI:Meri aaj raat ki train hai, gaon ki,To jaate jaate
mai aapse pari or amrit ke silsile mai baat karna chahata tha,
pichle 1 mahine mai mene dekha hai ki pari or amrit dono ek
dusre se bilkul Ult swabhav ke hai , Jahan amrit ko akele aur
shaant rehna pasand hai wahi pari ko apne dooston ke beech
rehna or moj masti karna, to ab yeh aapke liye ek chunoti ban
jaati hai ki kese Amrit ka ek bhaut achaa dost baanne ke saath
saath Pari ki ek kathoor maa bhi banna hai, isse dono ka bhala
hoga, par Azaadi aapko dono ko barabar hi deni hogi, Behanji
mai Pari par koi Sawal nahi utha raha hun, or na hi Amrit par,
Mujhe dikkat hai to bass is samaaj se
BOODHA VYAKTI:Or aapke paas ek jimmedaari or bhi hai, aap
apne bachoon ki maa ke saath saath unke pita bhi hai, to apna
poora khayal rakhe karen kyunki, aapke jaane ke baad in dono
ka koi bhi nahi hai, to aap bhi samajh sakti hai inhe kitni
dikkaton ka saamna karna padega....
(pari and amrit enters and are behind the door)
SUDHA:Ji bilkul mai in saari baton ka khasa khayal rakhungi…..
PARI:haay margai! kahin uncle ne maa ko sab sharaton ke baare
mai to
nahi bata dia?
SUDHA:ye sab kuch teri wajah se ho raha hai, or chilla ke bol?
PARI:chup hoja(chilla kar)

(sudha Aur BOODHA VYAKTI dekh lete hai)


SUDHA : kya hua PARI? Le aaye namak?
PARI:han mummy, yahan sab theek hai?
SUDHA: han han yahan kya kaharab hoga?
PARI: nahi nahi kuch nahi
SUDHA: baitho mai khana lagati hun
BOODHA VYAKTI:chaliye bhabhiji mai bhi chalta hun(goes
toward gate) ye pichla ek mahina kese kat gya pata hi nahi
chala,mai to bass yahan ilaaj karane aaya tha ab itni saari
yaaden saath le jaa raha hun....parri ke yaaden, amrit ki yaaden
Acha amrit tum mere baare mai apni diary mai to likhoge na?
AMRIT: bilkul uncle, mene pehle ka bhi kuch likha hai
sunaau?(Diary lene bhagta hai)
BOODHA VYAKTI:nahi nahi baad mai kabhi or mai abhi late ho
raha hun, to mai chalta hun
SUDHA: acha bhai sahab aate rahiyega
*FADE OUT*
SCENE 3:
Intense and sad music
Younger Amrit standing on the left side of the stage and older
Amrit standing on the right side.
Spot on Smiling photo of Parnika with a garland is hung in the
middle of the stage. Faded Spot on Sudha
who is mentally disturbed and lying in the middle perpendicular
to the photo.
Cross lights in the first wing. Red.
Both Amrits are crying simultaneously.
Y A: kyu khud se na ladh saka main, himmat juta kr kyu na uth
ska, kyu kadam uthane se khud ko roka,
kyu apni hi paero main bandhi bediyo ko todd na ska main?
O A: socha tha badal dunga main sab, jaise kabhi kuch hua hi na
ho, koi unhoni koi haadsa, sab ek mann
ka veham ho. Badi ummeed se ghar aaya tha main, sochkr jo na
hona kabhi, hoga who, tasweer teri
tangi deewaar par, uss tasweer par haar na ho.
Y A: Kal raat maine usko bola bhi tha, samjhaya bhi tha ki dost
hain toh samjhenge, nhi mil paayi unse ek
din, ek din party na kri toh samjhenge, dost honge toh
samjhenge. Mujhe ehsaas hua bhi nhi ki kab tu
chali gyi, khoya jo hua tha main, khayalo main apne. Sahi kaha
tha maa ne ki ghum rhe hain chor iss
mauhalle main, suna nhi maine, le hi gye na tujhe mujhse dur
ek hi jhatke main.
: maalum tha mujhe ye dardanaak ghadi aane ko hai, wakif tha
main use ki tu mujhse dur jaane ko
hai,
SCENE-4
(boodha vyakti study table par baitha diary likhta hai)
Old man:
Tumhare jiwan ki sadak ab tumahare hi haath mai hai or mai iss
baat se bhi waakif hun ki ye safar aasan nahi rehega, Tumne ab
tak ke jiwan kaal mai निम्नतम स्तर ों का अिुभव नकया है , par ab
aisa or nahi hoga, yakeen karo tum aasman ki alag ucchaiyon ko
chuoge.
Tumhari maa ne bhi bhaut takleefen uthai hai tumhare liye to
iss halat mai apni maa ko akele maat chodhna, unke liye ab tum
hi bass ek maatra sahara ho
aasha karta hun ki tum meri tarah haar maan kar nahi baithoge
or apni ye ladai kudh ladoge.
or shayad iss baar bhi mujhe tumhare patra ka intjaar rahega
aur iss baar jawaab ke saath apna phone number bhi
bejhna(laughs).
tumhara uncle
OLDMAN: RAMAN?
(raman, a servent enters)
RAMAN:Yes sir?
OLD MAN: POST THIS LETTER TO MY PAST
RAMAN: Sure Sir
(Raman exits)
(Old man off stage ki or jaata hai, or uske diary se ek patra girta
hai)
OLD MAN: Farishtey(smile)
__________________________________________

You might also like