You are on page 1of 45

A Complete story of

An incomplete Love
HAR PHONE PE AISA LAGTA
HAI

JAISE KE PHONE TUMHARA


HAI
Welcome to Adhuri chahat New Edition
2018

First Thank you so much for showing your interest in our


articles.

You can also follow me on


Instagram:- Razee007
Facebook:- Razee Sayyad
Twitter:- Razee_sayyed
FB/Page:- @meridiarysmrazi
Youtube:- We4You (ham apke liye hai)
Email:- coolboyrazi007@gmail.com
Contact number:- +91 9730201238

Thanking you
About Author
Razee sayed was born in small town of Ambedkar nagar
district in UP state of INDIA.
He Loves writing from childhood. He started writing as a
fun, No one can support him in his family for his desire or
goal etc. But he beleives on himself and desire to be a best
writer in future.
His Aim to write book based on Real Life.

About Writer In Hinglish:- Razee sayyad

Mai ek simple aur middle class ladka hu jo zindagi ko apne


hisab se jeena pasand karta hai. mujhe jine ke liye kisi ke
opinion ki zarurat nahi hai. mai wahi karta hu jo mujhe
accha lagta hai.
Writing ka shauk mujhe bachpan se hi hai.
Yeh ek GOD GIFT hai.
School me bhi mai aksar apne dosto ko dher sari kahaniya
sunaya karta tha.
To maine socha ke kyu na apne is shauk ko duniya ke
samne laya jaye.
aaj tak maine bahot si kahaniya aur ghazal likhi hai'n
magar wo kaha gayi pata nahi kuchh.
Bahot si aisi ghazale hai gane hai kahaniya hai jo abhi tak
thodi thodi yad reh gayi hai. jise mai apni aane wali kitab
me likhne wala hu.
Wo kitabe bhi jald hi publish hongi. abhi filhal ham iss
kitab ke bare me bat karte hai.
About Book
Ye mera pahla article hai jise mai aap ke saamne pesh kar
raha hu.
Adhuri chahat ek sacchi prem kahani hai!
jo ke meri khud ki aap biti hai. iske zariye mai duniya ki
kuchh sacchi tasveere pesh karna chahta hu jo ap ko pata
chalengi ise padhne ke bad. Duniya me aaj bhi aise log hai
jo pyar to karte hai magar use nibhana nahi jante.
kahani me maine kahi bhi kisi ke name ka istemal nahi kiya
hai...
ye kahani maine As a Third person likhi hai...
jis me kahi par bhi kisi ka name nahi liya hua hai. Ye ek nayi
soch hai. Apni kahani apni zabani to sabhi sunate hai mene
yaha bas kuch alag (something change) karne ki koshish ki
hai bas.
Iss kahani ko agar aap shuru karte hai to guzarish hai ke ise
aakhir tak zarur padhiye ga warna koi matlab nikalne wala
nahi hai.
Ise padhne ke bad aap Upar diye gaye hamare account pe
visit kar ke apna feedback bhi de sakte hai.
To Aiye shuru karte hain………..
ADHURI CHAHAT

Ye kahani!
Ek aise ladke ki hai! jiska mizaaj dusro se kuchh
alag tha.
woh auro ki tarah to bilkul nhi tha. use bas
apni duniya me khush rehne ki adat thi Aur uske
dost hi uski duniya the.
woh dosto ke liye jaan bhi hazir rakhta tha aur
dushmano ki jan lena bhi janta tha.
woh un sabhi kaamo ko karta tha jo use accha
lagta ho fir chahe vo sahi ho ya galat dosn't
matter sirf apni khvahish aur pasand ki kadr
karta tha.
Woh apne aap par bharosa karne walo me
se tha aur ye bhi sach hai! bahot kam hi bar aisa
hua hai ke jab woh kisi mamle me galat ho.
Wo ek samajhdar, shaukeen aur khushmizaj
ladka tha.

Uska pura din hasi-mazak, khelne-koodne,


ladai-jhagde aur ghoomne-firne me nikal jata
tha.
is baat ki koi fikr nhi thi ke koi uske bare me
kya sochta hai
woh apni nazar me mr. perfect tha! lekin dusro
ke liye nahi. kuch log use bura samajhte the aur
kucch bahot bura. Lekin kucch to baat thi
usme!. jiski vaja se log uski taraf khiche chale
ate the vo kuch logo ko pasand bhi tha aur kuch
ko bahot pasand.

apne dosto ki jaan tha unka koi bhi kaam


uske bina nahi hota tha.
Roz sham ko dosto ke sath ghoomne niklata tha
jaha wo roz kayi ladkiyo ko chhedta or jab koi
propose kar de to mana kar deta.
usme na jane aisi konsi bat thi! jiski vaja se
school or hostel ke aas paas ki ladkiya use kaafi
psand karti thi. lekin use kabhi koi pasand hi
nahi aayi.
Friends aksar uski pasand k bare me pucha
karte the.

'woh kehta tha uski hai!ek dream girl


jo ek din uske sapno se bahar ayegi.'

Uska sapna ek aisi ladki ko pana tha! jo uski


zindagi ko or khoobsurat bana de.
jo uski kamiyo ko uske andar se nikaal phenke.
jise uski fikar usse zada ho.
jiske aane se zindagi badal jaye.
jisko dekhte hi hasrate machal jayen.
woh har cheez me usse aage ho or himmat esi
ke 100 logo ki ankho me ankhe daal kar bol sake
"Yes He Is My Love".
kehta tha itni badi duniya me koi na koi to zarur
aisi hogi or mujhe usi ke milne ka intezar hai!...
kabhi to ye khvab pura hoga!
kabhi to ye intezar khatm hoga!....

Akhir ek din uske


sapno ne hakikat ka
roop liya!
03-March 2014

SSC board ka pahla paper tha. exame hall


me ek ladki ko dekha. jo peele dress me bilkul
sapno ki us ladki jaisi lag rahi thi. use dekhte hi
nazre thaher gayi. kuch der tak to uski taraf se
nigahe hati hi nhi. fir paper shuru ho gaya or sab
likhne me lag gaye.
paper khatam hone ke bad wo class se nikli
or fir gayab si ho gayi. yaha vaha dhundha
magar woh kahi nahi thi afsos to hua… magar ek
khushi bhi thi
woh isliye kyu-ke zindagi me pahli bar kisi ko
dekh kar aisi feelings aayi thi.
magar vo kon hy kaha se aayi hai kaha kucch
pata nahi! bas dil ne thhan li ke
-ab jo bhi hai bas yahi hai-.
Aur phir

05 march ko jab dusra paper dene ke liye


woh school pahocha to pata chala ke seating
arrangement me kuch changes kiye gaye hai.
apna block dhundte hue jab apni class tak
pahocha to use pahli banch par vahi ladki nazar
aayi! aur teesri banch par usaka number tha

(class me total 25 students the jisme se 19 ladkiya or 6 ladke


the. jisme se 2 uske best friend or ek class friend tha baki
bahar ke log the.)

Aaj kismat uspar puri tarah se meharban


thi. uske pas us ladki ko dekhne or usse bat
karne ka ek behtreen mauka tha lekin uski
himmat sath nahi de rahi thi
iske pahle ke ye kuch bol pata woh khud peeche
mudi aur muskurate hue boli
“oye……. batayega na”?
Ye kyu mana karta bhala
isne fauran haa kar diya.
tab tak teacher paper batne lagi aur sab
khamoshi se apne kaam me lag gaye. magar
woh khamoshi se baith kar bas use hi dekh raha
tha kucch der bar woh palti aur ek perfect eye
contact hua. fir woh likhne lagi.
thodi der bad jab woh fir palti usne dekha!
ye usi halat me baith kar bas use hi dekh raha
hai fir halaat kucch is tarah ke ho gaye ke har 5
miniute me woh piche dekhti to ye usi halat me
milta.
aakhir kucch der bad usne khud ishare se ise
apna paper likhne ke liye kaha magar woh jese
kisi khayal me khoya hua tha. iske na sunne par
usne iske chehre ke samne hath kar ke hilaya fir
chutki bajai tab ye hosh me aya or dekha k woh
badi hasrat se iski taraf dekh kar boli “kaha
khoye ho mister, paper kon likhega?” tab
achanak! ye hosha me aya aur tezi se apna
paper likhne laga.

paper khatam hone ke bad dono ek dusre


ko dekhte rahe, fir woh ghar chali gayi aur ise
bhi hostel jana pada.
hostel pahochne ke bad woh sara din bas usi ke
khayalo me dooba raha.
Ab ise kisi bhi chiz ka hosh nahi tha. na khane ki
fikar. na padhai ki parvah. na dosto se milna. na
hi kisi se bat karna. ise bas ab agle paper ka
intezar tha kab ye din guzre! aur woh fir mile
khair, agla paper maths ka tha aur ye bina kisi
taiyyari ke exame hall me pahoch gaya ab woh
ladki bhi ise acchi tarah notice kar chuki thi.

(shayad use kucch kucch samajh aane laga tha)


ise jab uska name jan ne ki khvahish hui to
sidhe us ladki ki taraf badha aur uske kandhe pe
se bag nikal kar andar se hall ticket nikala aur
name padhne ke bad vapas vahi rakh kar bag
dobara uske kandhe pe dal diya.
woh khamoshi se sab dekh rahi thi magar na
usne kucch kaha or na ye kucch bola. fir kucch
der bad us ladki ne iska name poocha magar iski
zaban se kuch bhi nahi nikla.
tab iske besty ne name bataya fir usne poochha
“konse school se ho”?
school ka name sunte hi woh shock ho gayi. fir
usne bataya woh bhi usi school se hai.
Yeh bat kafi hairani wli thi ke dono ek hi school
ke ek hi class me pichhle 6 saal se padh rahe the
magar kabhi ek dusre ko dekha hi nahi.
Who ek dusre ko jante tak nahi the. Fir bad
me isne jab apne dosto se uske bare me puchha
to ye aur bhi hairan ho gaya!
Who sab jante the us ladki ko acchi tarah.
Sivaay iske…..
Khair….

tab tak paper shuru ho chuka tha log likhne


me busy ho gaye or woh bas use hi dekhte hue
khayalo me khoya hua tha.

kuch der aisa hi chalta raha fir achanak woh


palti aur isse ek question ke bare me pucha k ye
vala likha hai ya nahi? isne impression banane
ke liye fauran haa bol diya fir usne pucha ki
answer kya aya? Ab ye chup! woh samajh gayi
thi. shayad usne puccha hi isi liye tha. fir usne
dusra sawal puchha ye dobara chup fir woh ek k
bad ek sawal puchhti gayi aur ye chup chap
nazre jhukaye baitha raha. uss ladki ki halat
dekhne layek thi woh ese pareshan ho rahi thi
jese uska hi paper chhut raha ho after all usne
apni answersheet di aur usme se dekh kar
likhne ke liye kaha. isne hanste hue uski
answersheet wapas ki aur kaha "worry not! mai
kar lunga yar, ata hai mujhe bhi"
Phirir ye likhne laga aur bell bajne ke bad sabne
paper submit kar diya. teacher ke class se bahar
jate hi vo ladki gusse se uth kar iske paas ayi or
paas rakhi hui scale utha kar ek ke bad ek teen
scale mar kar boli!
"pagal hai kya?, tujhe kucch fikar hai apni ya
nahi, are fail ho jayega yar samjha kar, or
padhta Q nahi hai"
tab tak iske best friend ne pichhe se kaha k ye
class me top three me ata tha. aur abhi bhi sab
ata hai ise lekin likhta nahi hai.
She:- jab mujhe dekhne se fursat milegi to
likhega na!.
He:- (sochte hue) tujhe kyu dekhunga mai?
She:- kya pata.

fir isne uska dono hath zor se pakda aur deewar


me sata kar use khudse chipka liya. woh uski
ankho me hi dekh rhai thi. dono ke face k bich
sirf 2 inch ka gap tha. dono badi badi ankhe kar
ke ek dusre ko ghoor rahe the ek mast romentic
moment ban chuka tha
mano jaise dono kahi khoye hue the
wo lagataar badi hasrat bhari nigaaho se ek
dusre ko dekh rahe the
fir woh boli:-

“kya hua? Ruk kyu gaya aage


badh”.
ye sunte hi use chhod kar peeche hat gaya
aur bola:- “janti kya hy mere bare me”?

she said:- 'EVERYTHING' bhool mat! mai bhi


teri class-mate hu. puri school me tera aur tere
group ka name kharab hai. teachers apne adhe
ghante ke lecture me 20 mnt. tak to bas
tumhari burai karti hai. kese nhi janungi?
He:- mai itna bhi kamina nahi hu yar.
She:- bas! ab ek word nhi.

Class khali ho chuki thi. sab chale gaye the


aur inhe bhi jana pada.
hostel pahochne ke bad fir se iska din vese
hi guzarne laga usi ki yado aur usi ke khayalo me
dopaher ke 3:00 baj chuke the aur hamesha ki
tarah tution teacher apne nirdharit samay pe
hostel pahoch gayi.
waha unhone use apne hi khayalo me khoya
hua dekha magar kuch boli nhi.
Tuition start ho chuka tha magar ye class tak
nahi pahocha
teacher ne ek ladke ko bhej kar bulvaya jab
ye class me pahocha to miss ka pahla saval 'kya
ho gaya hy beta tujhe?, aaj kal bada akela sa
rehta hy,
ikdam badal gya hy tu apni hi duniya me khush
rehta hy, kisi se matlab vasta nahi, baat kya hai
wo bata ye khamosh tha tab tak iska dost jiska
name ali tha woh khada hua aur bola 'mai batau
miss' mam boli nhi ye khud batayega! bol beta,

He:- class me ek ladki hy


teacher:- Door reh usse!
He:- miss vo bahot acchi hy
Teacher:- iss liye to bol rahi hu acchi hy to
acchi hi rehne de bigadne ki koshish mat kar
He:- mam I love her
Teacher:- Kya!. sachme
He :- yes mam i really love her and i thought
she is also in love with me
Teacher:- Accha! tujhe aisa ktu lagta hy ke woh
bhi pyar karti hy tujhse? mujhe sab kuch detail
me batayega tu.

Fir isne shuru se akhir tak ek ek bat btayi miss


ko.
Phir unhone kaha ‘dekh beta mai teri
feelings ki respect karti hu magar ye board
exams hai yaha ek galti ya laparwahi ki waja se
pure 10 sal ki mehnat barbad hojayegi isliye
abhi tu bas padhai pe dhyan de’.
Aur jaha tak bat us ladki ki hai. tu kal ja kar use
purpose kar de aur bata de use teri feeling ke
bare me. aur haa! uske javab ke liye puri tarah
se taiyyar rehna answer kucch bhi ho sakta hai!
zaruri nahi hy k woh bhi tujhse pyar hi karti ho
ye bhi ho sakta hai jise tu pyar samajh rha hy ye
uska nature ho, woh sabse isi tarah bat karti ho,
kya pata woh sabke sath isi tarah ka behave
karti ho, jo bhi hai tu kal ja kar use sab kuch
bata dega bas mai kucch nahi janti aur haa!
ghabrana mat best of luck.

dusre din ye puri taiyyari ke sath use


purpose karne ke liye college pahoch gaya aur
jab woh samne ayi to iski himmat nhi hui. us
waqt to ye kuch nahi bol paya. paper ke bad
woh iske pas ayi aur fir se use padhai ke liye
dantne lagi.
Tab tak yeh bola
‘tujhe meri itni fikar kyu’?
ye sunke woh ikdam khamosh si ho gayi.
shayad uske pas iska koi javab nahi tha.
use propose karne ka ye ek accha mauka
tha. magar uski himmat nahi ho paayi ke use
kucch bol paye.
fir usne apne besty se apna proposal bheja
woh direct uske pas gaya aur sab kuch bata
diya.
ye door khada sab kuch dekh raha tha. us ladki
ne uske friend se kaha ke jake apne dost ko bol
k wo khud aake mujhe personally bole.
usne ake bataya bhai woh tere moo se sunna
chahti hai. jake bol de bhai ghabra mat! naa
nahi hoga woh haa hi bolne wali hai. tu ja to
sahi.
isne vaisa hi kiya aur jakar personally propse
kiya. ye sab sun kar thoda hairan zaroor thi
magar gussa to bilkul nahi hui.
usne apne javab ke liye isse next paper tak ka
time manga isne time to de diya magar ab har
waqt bas uske javab ke bare me hi sochta
raha…..
kabhi vo haa bolegi soch ke khushi se uchhal
padta to kabhi mana kardegi soch kar ro padta
isi tarah do din nikal gaye…
Agle paper ki tarikh aa gayi. uske javab ki ek
umeed liye hue college pahocha. vaha woh isse
pahle aa kar khadi thi. isne jate hi pahle uske
javab ke bare me puchha. usne batati hu bol kar
taal diya.
paper start ho gaya. ye teen ghante 3 saal
ke barabar lag rahe the
jese tese waqt guzra aur paper khatam hua. aur
isne fir puchha ab woh bato ko ghuma ghuma
kar bolne lagi. iski kuch samajh me nahi aa raha
tha k woh kya bolna chahti hai ye gusse se bola
"saf saf bol kahna kya chahti hy?. haa ya naa
sidhe sidhe bol na yar. agar mana bhi karna hai
to sidhe bol de yar koi bat nahi magar ese
ghuma mat please mai pahle hi bahot pareshan
hu ab aur mat kar yar "

fir woh boli:- are pagal itna bhi nahi samajhta


kya! agar mana karna hota to usi din kar deti
na
he:- Matlab! tu pyar to karti hai na?
she:- nahi! time pass karne aayi hu tere saath
he:- Kya!
She:- “pata hy! agar tu propose nahi karta na
to aaj mai khud tujhe propse karne vali thi. I
really love you yar, mujhe nahi pata kyu!
magar jo feelings tujhe le kar hai na mere dil
me wo isse pahle kabhi kisi aur ke liye hui hi
nahi. mai tujhse pyar karti hu aur sirf tujhse hi
karti rahungi.
mene to socha bhi nahi tha ke tu kabhi mujhe
accept karega, Because i know everything
about you and your personality and behaviour.
tujhe pata hai hamare beech koi bhi similarity
nahi hai. ham dono ek dusre se bahot alag hai
dono ki soch me kaafi difference hai. magar fir
bhi pata nahi kyu tujhse itna lagao ho gaya
mujhe”

Uski ye sari bate sunkar ikdam khamosh sa


ho gaya tha esa laga raha tha jese iska dimag
kahi aur hi hai ye puri tarah confuse tha ke fir
woh boli.

"dekh zada soch mat or agar zindagi bhar


ke liye mera sath chahiye na to tujhe in sari
adato aur harkato se door jana hoga jo tu karta
hai, sari bad habbits ko chhodna padega, kab
tak in andhero me jiye ga? yaha se bahar nikal
kar dekh yar ye duniya bahot khoobsurat hai.
yaha jeene ke liye roz ek nayi vaja mil jati hai
pahle tu yaha se nikal to sahi aur ek nayi
zindagi ki shuruat kar.
mai har ghadi har mod pe tera sath dene ke
liye taiyyar hu aur tu bhi taiyyar hoja insan
banne ke liye"
He:- dekh mai apne dosto ko nahi chhod sakta.
she:- dosto ko chhodne ke liye kisne kaha?
unhe mat chhod magar unki harkato to chhod
sakta hai na.
galat kaamo me kisi ka sath mat de bas itna
kafi hai.

uski kahi hui ek ek bate iske dimag me acchi


tarah baith gayi thi. isne ek nayi zindagi jine ka
irada banaya. Ab ye puri tarah badal chuka tha.
isne sab kucch chhod kar bas use hi apni
zindagia ka maqsad bana liya.

Ab padhai me bhi iska dil lagne laga tha. Sab


kucch kafi acche se chal raha tha.
har taraf bas khushiya hi khushiya. uske
aane se ab zindagi khoobsurat lagne lagi thi. jesi
ke iski khvahish thi k koi aisa iski zindagi me aye
or iski sari kamiyo ko iske andar se nikal phenke,
jise iski fikar isse zada ho, jiske ane se sab kucch
badal sa jaye, bilkul vesa hi ho raha tha. matlab
woh ladki bilkul As it is vesi thi jesa k iska sapna
tha. ab dekhna bas ye tha k ye khushiya kab tak
yuhi rehti hai, dekhte hi dekhte woh din bhi aya
jisne puri ke puri kahani hi badal kar rakh di.
27-March-2014
Last paper tha marathi ka.
ye college pahocha exame dene ke liye. paper
ke bad isne us ladki ko roka or kaha kucch baat
karni hai,
'ye ab tak hostel me reh kar apni padhai kar
rha tha aur sirf padhai ke liye hi yaha aya tha'
isne use bataya ke woh dusre shaher me rehta
hai jaha wo aaj raat hi jane vala hai hamesha
hamesha ke liye.
ye sunkar woh hairan si ho gayi. uski mayusi
uske chehre se saf jhalak rahi thi. fir isne yaqeen
dilaya ke dekh mai is shaher se door ja raha hu!
tujhse nahi. tu sirf ek bar yad kar ke dekhna
hamesha tere dil me rahunga. tu jab jab
bulayegi mai aa jaunga bas tu bhoolna mat ok.
uski ankhe bhar ayi thi aur hichki bhari avaz me
boli "tu ab bata raha hai mujhe ye sab!"
mene kya kya soch rakha tha! exams ke bad
ham milenge saath goomenge dher sari masti
karenge, apne rishte ko aur mazboot
banayenge, ek dusre se kabhi door nahi honge.
ek college me ek sath admission lenge sath me
college sath me bunk tune to sab bigaad diya
yar sab khatam"
fir isne vada kiya ke ye ghar jake vaha apni
family se yaha rehne ke liye bol kar 3-4 din me
vapas aa jayega aur fir yahi rahega.
iss vade pe woh raazi ho gayi aur fir usne
contact number manga isne ek paper pe apna
number likh kar diya or sath hi uska number
manga to usne bataya k uske pass mobile nahi
hy magar woh kahi se bhi usse contact kar legi is
bat ki guarantee di usne k aaj raat hi 11.00 pm.
ko woh call karegi fir dono ne ek dusre ko gale
lag kar bye kaha fir woh apne ghar chali gayi aur
ye hostel gaya aur packing kar ke apne ghar ke
liye nikal gaya.
raste bhar usi ke khayalo me khoya raha.
uske wo ansu iske dil ko ghayal kiye ja rahe the.
rat tak ye apne ghar pahoch gaya aur be sabri se
uske call ka intezar karne laga. intezar karte
karte 12:00 baj gaye fir 01:00 fir 02:00 fir 03:00.
sari rat mobile hath me liye baitha raha suba ho
gayi magar uska call nahi aya. isne socha k
shayad koi problem hogi ya aur koi issue.
shayad aaj phone aye isi tarah usne ek aur din
phone hath me liye uske call ka intezar kiya
magar dusre din bhi phone nahi aya teesra din
bhi yuhi guzar gaya fir chautha fir panchva ek
hafte tak jab uski koi khabar nahi mili.
isne apne dosto se contact karna shuru kiya
aur sab se keh diya k kisi bhi tarah bas ek bar
contact karva do usse.
kisi ko uska ghar to maloom nahi tha woh sara
din idhar udhar use dhoondhte firte the 15 se
20 din ho gaye the magar uska koi pata nahi
chala.
ye ikdam bechain sa ho gaya aur khud vaha ja
pahocha. dosto ke sath isne bhi kaafi koshish ki
use dhundhne ke liye jo ho saka sab kuch kar ke
dekh liya magar uska koi pata nahi chala.
uske bina ab ek ek din jina mushkil hota ja raha
tha. din hafto me badle hafte mahino me aur
mahine saal me. magar uski koi kahabar nahi
mili

fir dedh saal bad achanak uske besty ka


phone aya! usne bataya "k bhai aaj vo ladki se
mila tha mai mujhe dekh k chehra khil gaya tha
uska aur mere aas pas ese dekh rahi thi jese
kucch dhundh rahi ho mene pucha kya dekh
rahi hy to tera name leke pucchi k vo kaha hai
mene kaha wo nahi hai yaha tujhse bat karna
chahta hai aur aaj tak tune phone kyu nahi kiya
use? keh rahi thi tera no. miss ho gaya tha usse
is liye call nahi kar payi fir mene use tera no.
diya to nahi li vo mai call laga raha tha tujhe
bola ke bat karle usse bas ek bar to uske liye bhi
mana kar di. aur fir bina koi reason bataye gussa
ho ke chali gayi."

Ab woh sach bol raha tha


ya jhoot ye to pata nahi

chaar saal ho gaye. uss ladki ka pata nahi chala k


ab vo kaha hai aur kaisi hai.
aaj tak ye use bhula nahi paya. uski ek ek
bat ko yad karta hai. har waqt apne dosto se
uski tareefe karta firta hai.
jo insan hamesha duniya ki rangraliyo me
khoya rehta tha aaj use duniya se koi matlab
vasta nahi hy. tanhai me rehte rehte akelepan
ko hi usne dost bana liya hai. tanhaiyo me aksar
khud se bate karta rehta hai. woh ladki to chali
gayi magar sath hi iski saari khushiya iske Labo
ki hansi cheen kar bas tanhai aur khamoshi de
gayi hai.

usne apne ap ko bilkul vaisa bana liya


hai jaisa woh chahti thi. magar kahi na
kahi iski feelings us ladki se is tarah jud
gayi thi ke uski kami ne iski zindagi ko
viraan bana diya hai.

Dosto pe jaan dene wala insan aaj unhi dosto se


door bhag raha hai.
Ek zid si bana li use dhundhne ki.

kehta hai bas ek bar milkar usse phone na


karne ki vajah poocchna hai. agar number miss
ho gaya tha to us din jab uska friend number de
raha tha to mana kyu ki?
is baat ka javab chahiye bas. yahi sab bate uske
dimag me hamesha khatakti rehti hai’n.
use agar jana hi tha aayi hi kyu thi! bulaya kisne
tha. aur agar jana hi tha to kam se kam ek bar
bol to deti. ek bar kam se kam bat to kar hi sakti
thi na!
uske jaane ki koi vaja iske pass nahi hai.
kehta hai vo door nahi gayi mujhse! mujhe uski
yad aati hy aaj tak, to kahi na kahi use bhi meri
yad ati hi hogi.
dekhna! ham fir milenge.
Dekhna
Ek baar fir mera
Sapna haqikat
Me badle
Ga!......
ye nahi ke uske baad koi mili nahi!. mili to bahot
magar fir ye dil kabhi kisi pe aya hi nahi... pyar
mohabbat ki bato pe se bharosa hi uth gaya.

Kehte hai "kisi cheez ko shiddat se chaho to


sari duniya use hamse milane ki koshish me lag
jati hai." To fir iss kahani me aisa kyu nahi hua?

Kehte hai LOVE IS NEVER END. is kahani ka


bhi anth nahi hua.

Pyaar to hamesha zinda rehne wali chiz ka


name hai.
chahat agar ek tarfa hoti to shayad bhool
bhi jata magar Afsos is baat ka hai ke mohabbat
use bhi thi.

Gham is bat ka nahi hai ke woh mili nahi

vese bhi kehte hai ke 'saccha pyar kismat


walo ko hi naseeb hota hai' dukh bas itna hai ke
usne ek bar bhi milna nahi chaha.
Ye kahani hamesha aur hamesha ke liye ek
adhuri chahat ban ke reh gayi..........
Sach me bahot dukh hota hai jab aap
kisi ke liye apna sab kuch chhod de
Aur poori tarah se khud ko badal de
aur fir woh achanak apke sath jine
ka irada hi badal de....
HAR PHONE PE AISA LAGTA
HAI
JAISE KE PHONE TUMHARA
HAI

HAM KO HI NAHI AAYA AB


TAK
KAISA YE PHONE TUMHARA
HAI
Zindagi me kabhi bhi kisi ko apni kamzori
mat banao.
Kabhi kisi ke liye khud ko mat badlo
Pyar usi karo jo aapko vaisa hi pasand
kare jaise aap ho

Hamesha har cheez ke liye taiyyar raho

Kabhi kisi ko khud se zyada chahne ki


galti mat karna Agar Akhri saans tak
zinda rehna chahte to.
Warna aage aapki marzi

Respect Your Love

You might also like