Abhi raaste kuch badal se jaayenge O saathi rey thoda thehar ja Yeh paanv bhi ab sambhal se jaayenge Phir wohi barsaat hogi Aur ashq saare dhul se jaayenge Roshni din-raat hogi Aur sab jharokhe khul se jaayenge Yaara tu hi toh bandagi hai Yaara tu hi duaa Yaara kaisi ye berukhi hai Kyun judaa tu huaa Kehna tha aur kya kya mujhe Neend kyun aa gayi phir tujhe Na na Mmm Saathi rey thoda sa thehar ja Abhi mausamon ka badalna baaki hai O saathi rey thoda thehar ja Kuch door saath chalna baaki hai Phir unhi raaston pe Tere mere kadmon ka milna baaki hai Dard mein, ranjishon mein Sang bujhna aur jalna baaki hai Yaara tu hi toh bandagi hai Yaara tu hi duaa
Yaara kaisi ye berukhi hai
Kyun judaa tu huaa (x2) Haan tere aur meri darmiyaan Ab bhi baki hai ik daastaan