You are on page 1of 1

MERE DOST, MERE HUMSAFAR MERE JEEVAN SAATHI

Zindagi mein kabhi yeh socha bhi hi na tha ki


kisi anjaan mod par ek ajnabi se mulakat hogi,
Mulakaton ke dauran, kuch nayi purani baatein hogi,
baaton hi baaton mein mulakaat ko dosti ka naam mil jayegi.
Yeh Milan to ek karishma tha jo khuda ne banayi hogi,
Dost bankar mai dosti ke yeh nayi rishta nibhane lagi.
Milne ki khushi to bahut thi aur dil hi dil mein machalne lagi,
Waqt ke chalte is dosti ke rishthe ko ek nayi rishthe me badalne lagi.
Hum dono ke beech apnapan hi kuch aisa ban gaya,
Ke is naye rishthe ko jeewan saathi ka naam mil gaya,
Who ajnabi jo Dost bankar aaya ab humsafar ban gaya,
Humsafar bankar mere zindagi ko khushyion ke moti se bhar diya.
Hamara yeh rishtha kisi saath pheron ya sakshi se na bandha hai,
Ise to sirf Prem aur Vishwaas ki dor se bandha gaya hai,
Ab aise hum jakadh gaye hai ek duje ke prem ke bandhan mein,
ki ab is aatoot bhandhan ko todhna naamumkin ho gaya hai.
Mere Yaara mere humsafar aap ne to aisa jadoo kar diya hai
Ki aap ke aate hi jeewan me mere nayi roshni si chaa gayi hai,
Ajeeb hai yaara khel kismet ka jo ajnabi ko humsafar bana diya hai,
Pehele mai aur aap the phir bane hum ab humtum bana diya hai.
Aei mere yaara mere dost mere humsafar mere jeevan saathi,
Jab tak jaan hai, har saanson mein hum ye rishta nibhate rehenge,
Bas yun hi mere saath chalte raho aei mere dost mere humsafar,
Yeh tera saath hamein umar bhar nahin par har janam mein chahiye.
Sach to yeh hai mere dost mere humsafar mere jeevan saathi,
Yeh bhandhan dilo ke bandhan hai, Yeh naate dilo ke naate hai,
Ambar mein hi tay hote hai, aur Dharti per judd jate hai,
Ab jab bandh gaye hai hum is bandhan mein to sada nibhana O Yaara.
ANSU SHRINI

You might also like