You are on page 1of 2

Assignment no 1

Isl 201
Name: Waqas aamer
Id: bc100402560

Question:

The doctrine of touheed “oneness of ALLAH” is very basic dogma of Islam.


It means belief in oneness of ALLAH as he is the solitary creator of the whole universe,
everything belongs to ALLAH, no one is like him, or opposite to him. You have to
describe in detail how this doctrine of Touheed “Oneness of ALLAH” effects on human
life?

Answer:
Eman kya he:
Kisi bat ko sache dil se maan lena, us per yaqeen rakhna aur zubaan se
iqrar karna eman kehlata he. Iss ye bat zahir hote he ke eman ka matlab kisi khas cheez
per bharosa karna aur uss per andha aitmad karna. Islam ke lihaz se eman ka matlab ye he
ke ALLAH aur us ke rasool (saw) per yaqeen rakhna, ALLAH ke de hue hadayat per
amal karna.
ALLAH per eman:
Sache dil se ye manna ke ALLAH aik he, uss ka koi shareek
nhe, sirf ALLAH he ibadat ke laeik he, har she ALLAH ne peda ke he, zindagi aur moot
usi ke hath may he ALLAH per eman kehlata he. ALLAH per eman ke bunyad chaar
chezo per he. Woo char ye hay:

1. ALLAH ke mojodge aur kisi ne ALLAH ko peda nhe keya.


2. Wo akela tmam dunya ka malik he.
3. Wo akela dunya ka malik he aur apne marzi se har kaam karta he.
4. Sirf ALLAH he ibadat ke haqdar hay aur inn ka koi sanee nhe.

1. ALLAH ke mojodge:
Quran Majeed ne hame saaf saaf ALLAH ke mojodge se
agah kiya hua he. ALLAH ke mojodge ka ihsas har insan ke andar hota he. Agar aik
insan apne aap ka he baghor mutaleaa kar le tu ise iss bath ka yaqeen aa jaye ga. Hmara
dil har waqt ye ihsas hmare zihan may lata he ke ALLAH her jagah mojood hay. Iss bat
ka andaza iss se bhe lagaya ja sakta he ke insan jab bhe kisi mushkil ya musibat may
mubtala hota he to wo hamesha ALLAH se rojo karta he aur ALLAH he se pannah
mangta he. Koi bhe aqalmand insan agar apne irdgird chezo ka baghor mutaleaa kare tu
use her cheez may ALLAH ka aqss nazar aye ga jese ke ALLAH ne farmaya he:
Tarjomah “Aur zameen may bhut se neshania hay yaqeen dilane walo ke liyeaur khud
tmahre zaat may bhe.Tu kya tmhe dikhae nhe deta”.
2. Wo Akela Tmam Dunya Ka Malik He:
Touheed ka dosra nazria ye he ke ALLAH wahid iss dunya
ka malik he. ALLAH ne sari kainat ko peda kiya, wahi sab ka malik aur razik he. Sab usi
ke muhtaj hay. Wahi sab kuch dene wala he lihaza tmam makhloq per lazam he ke wo
apne khaliq-o-malik aur qadeer-o-aleem parwardigar ke ibadat kare aur kisi dosre ko uss
ka shareeq na banae. ALLAH ke ilawa aur koi Khuda nahi. Iss ka matlab ye he ke ham
dil ke gehrai se iss bath ka yaqeen rakhe ke ye dunya ALLAH ne bnaie he aur wo he iss
pore kainat ka malik he aur wo he iss dunya may apne marzi se tabdeeliya la sakta he. Iss
dunya ke sab se barry cheez se le kar sab se choti chez ka ALLAH ko ilm he. Dunya may
jo kuch bhe ho raha he wo sab ALLAH ko pehle se hee maloom hota he. ALLAH ne
farmaya he:
Tarjomah “Kai ALLAH may shuba he jis ne banae aasman aur zameen”.

3. Wo Akela Dunya Ka Malik He Aur Har Kam Apne Marzi Se


Karta He.

ALLAH he iss dunya ke malik hay ALLAH he hark am iss dunya may apne marzi se
karte hay. ALLAH ke hukam se he sooraj talooh aur gharoob hota he. ALLAH ke hukam
se he din aur raat ate hay. Gharz dunya ka har kam ALLAH ke marzi se hota he. Inhe
misalon se aik aur bath bhe zahir hoti he ke agar dunya may doo khuda hote tu wo dono
apne marzi ke kam karte jis ke wajah se dunya ka nizam darham barham ho jata. ALLAH
ne farmaya he.
Tarjomah “Na aftab ke majal he ke chand ko ja pakre aur ne raat din se pehle aa
sakte he aur sab aik aik daere may tair rahe hay”

In sab batoo ka insani zindagi per bhut gihra asar he. Jo shakhs ALLAH
per emaan le aye tu wo hamesha kamyab-o-kamran hota he. Aik insane jo ALLAH per
emaan rakhta he use har waqt iss bath ka darr hota he kekahin wo ALLAH ke hidayaat ke
ulat tu nahi chal raha. Iss ke dil may har waqt ALLAH ka khof hota he kio ke ye bath iss
ke dil may hote he ke ALLAH her waqt ise dekh raha he. Iss wajah se insane her waqt
bhalaie ke kamo ke janib rehta he aur bure kam nhe karta.

You might also like