You are on page 1of 3

Oas ki boond si hoti hai betiyan..

sparsh khurdara ho to roti hai betiyan..

roshan karega beta to ek kul ko…

do do kulon ko ki laj hoti hai betiyan…

koi nahi hai ek dusre se kam..

heera agar hai beta..

to sucha moti hai betiyan..

kanton ki rah par yeh khud hi chalti hai…

auron ke liye phool hoti hai betiyan..

vidhi ka vidhan hai..

yahi dunia ki rasam hai..

muthi bhar neer si hoti hai betiyan…

Zindagi ka Pinjra Kisi Din Toot Jaay Ga


Phir Musafir Kisi Rah Main Choot Jaay Ga
Abhi Sath Hai To Baat Kar Lia Karo
Kya Pata Kab Zindagi Ka Sath Choot Gaay Ga

Totally fida on your shayri ab hamari bhi suno


waqt badalta hai zindagi ke saath,
zindagi badalti hai mohabbat ke saath
mohabbat nahi badalti apno ka saath
bas apne badal jate hai waqt ke saath.”

dard ke har manzar ko khushi me badlo to baat hai


gham ki aahon me bhi khushnumaayi bharo to
baat hai
imtihaan khuda har vaqt halaat'e'vaqt ke zariye le
raha
nakaami se na daro,musibaton se bhi hanske milo
to baat hai
aankhon mein manzilein thi.........
gire aur sambhalte rahe..........
aandhiyon mein kya dum tha..........
chiraag hawa mein bhi jalte rahe.........
Soch ko badlo, sitare badal jayenge..........
Najar ko badlo, nazare badal jayenge...........
Kashtiya badalne ki jarurat nahi................
Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge..............
Taaron mein akela chaad jagmagata hai.....
mushquilo mein akela insaan dagmagata hai....
kaate se ghabrana mat mere dost.....
kyoki kaaton mein hi akela gulab muskurata

zindagi me gham ki aandhi nahi rukti


khudaayi to har zarre me hai basti
nakaami khuda ki nahi insaan ki banayi shay hai
nakaami ko nakaami na samajhna hi hai zindadili
__________________

dard ke har manzar ko khushi me badlo to baat hai


gham ki aahon me bhi khushnumaayi bharo to
baat hai
imtihaan khuda har vaqt halaat'e'vaqt se le raha
nakaami se na daro,musibaton se bhi hanske milo
to baat hai
zindagi ki raahon me aise muqaam bhi aate hain
hum bujhe bujhe se rahte hain kahin dil na lagate
hain
us vaqt ye yaad rakhna behad zaruuri hai
din sukh ke jaise jaate vaise gham ke bhi beet
jaate hain

You might also like