You are on page 1of 2

Meri Shavyatra

Doston thoda ajeeb hai per kahte hai ki likhne wale imagination me bahut kuch likh jate hai....chalo main aaj koshish ker raha hoon meri shav yatra ko imagine karne ki.... Aaj main khada hoon ek ajab si jagah per rote bilakhte logo ke beech kuchh planning karte logo ke beech.. kuchh dhandhas bandhate log.. kuchh vidhiyo per batiyate log.. kuchh tippani karte log.. to kuchh meri baatain karte log.... kuchh logo se mera kuchh rishta hai... to kuchh se meri dosti. kuchh aaise hai jinhe main jaanta nahi... per wo kahte hai ki ve mere aapne hain.... kuchh mujhe gaaliya dete log... kuchh mujhe saraahte log... kuchh ke hisab se achchha hua main gaya... kuchh ke hisab se main ruk kyon nahi gaya... tabhi shuru huyi meri antim yatra mere nashwar shareer ki shav yatra.. log chal pade Ram ka naam lekar... main bhi saath ho liya Jai ho kahte huye.... raaston ko cheerte huye.. bheed ko kaatte huye... rah chalto ka dhyan khiche huye.. antim vidali lete huye... chal padi hai meri shav yatra.. shamshan ki aur badhte huye... main soch raha hoon wahin kahin... ke kya paya maine aur kya kho diya hai.. apne jeevan kaal ke kaamo ki toh leta hua.... tabhi hum pahuche shamshan ghat... mera shav pahucha meri chita ke pass... agni ke bhent chadne meri aakhri jaydaad.. raakh me mili meri poori kaynaat....

maine palat kar dekha rote huye chehro ko... mere jane ke baad gum me dube kuchh apno ko.... ye to thi normal shav yatra... jo dukhi kare sab logo ko.. e mere aapno mere doston... tumhare aansu mere shav se jyada keemti hain.. mat rona mere jane ke baad... meri aatma aapki hasin per hi jeeti hai... shariir to ho gaya aag ke havale... meri aatma to aaj bhi aapke sameep baithi hai.. to bandh karo ye rona dhona.... haso aur sabko hasao... ye hi hai meri aakhri tamanna....

You might also like