You are on page 1of 58

Rudraaksh....

The adventure begins


Oye pille yaha kyo pada hua hai....
Ek sakht aavaj ne mujhe mere sapno ki duniya se utha diya tha....
kitna sundar sapna tha mera....bade bade barf se dhake
pahad....kisi naag ki tarah bal khaakar bahti hui nadiya...
Har tarf sundar sundar phool....jaise saari bahaaar mere sapne mai
he sama gayi ho....
Lekin us aavaj ne mujhe waapas is gandgi mai laakar patak diya....
SUNA NAHI KYA TUNE.....UTHHH BHAAG YAHA SE...
Mai apna sir khujata hua uth kar beth jaata hu...or dekhne lagta
hu mere sapne ko chhin bhhin karne waale shaksh ko...
Wo ek vardi dhaari police wala tha...
Main--saahab kyo jaga diya...kitni acchi neend aa rahi thi...
Police wala--dekh yaha bord par likha hai yaha faaltu bethna mana
hai....
Main--kya saahab....mujhe bhi pata hai yaha kya likha hai....
Lekin mai yaha betha thode he tha....mai to so raha tha...
Police wala--dekh subah subah mera dimag khrab mat kar....ab
yaha se bhagta nazar aa varna teri taange todkar tere haath mai

de dunga...
Main--saahab taange tod doge to mai bhagunga kaise...
Or ye bolkar mai waha se turant rafuchakkar ho gaya....or ek
shaant jagah dekh kar phir se waha late gaya...
Mera naam hai Rudraaksh....kahte hai Rudraaksh MahaDev kai
aansuo se bana tha...shaayd ye kisi ne sach he kaha tha...
meri hight hai saadhe teen feet...
Pata nahi Abdul bhai ne mera naam Rudraaksh kyo rakha...shaayd
meri kismat mai bhi rona he likha tha is liye...
Mai Abdul bhai ki chaay ki dukaan par kaam karta hu waha sab ko
chaay dena or logo ke jhute glass dhona yahi kaam tha mera..
Kaam kai badle Abdul bhai mujhe dono waqt ka khaana dete hai or
night school mai jaane ki fees bhi bhar dete hai....
Mere paas naa ghar tha or naa he Maa Baba ka sir par saaya...
Abdul bhai batate hai mai unhe kutto ke pillo kai paas sota hua mila
tha or un pillo ki Maa mujhe bhi apna dudh pila rahi thi...
Mera paas bas ek he cheej aisi thi jise mai apna kah sakta tha wo
tha mere gale mai latkta sapt mukhi Rudraaksh...shayad isi
Rudraaksh ko dekh kar Abdul bhai ne mera naam Rudraaksh rakh
diya....
Kabhi jab mujhe bhuk lagti hai to mai kisi naa kisi ke gaay ke
baade mai ghus jaata hu...or sidha wahi khada khda unke than se
dudh pine lag jaata hu...mere dudh pi jaane kai chakkar mai gaay
ka bacchda bichara bhuka rah jata tha lekin kabhi kisi bhi jaanwar
ne mujh par hamla nahi kiya ...
Shaayd unko bhi meri haalat par taras aajata tha...

Mai hu Rudraaksh shaayd apni tarah ka ek akela praani....jiska


Abdul bhai jaisa baap saman Maalik...or chaar pero waali meri
kaafi saari Maaye thi...in sab kai alawa mera koi nahi hai.......
Mai ab waha se uth kar Abdul bhai ki dukaan ki taraf badh jaata
hu....dukaan par pahochte he...
Abdul--are Rudra kaha thaa re tu raat bhar se....mai tere
bharose ye dukaan chhodkar chala jaata hu ke tu yaha so jaaega...
Lekin yaha aakar dekhta hu to hamesha ki tarah tu gaayab....
Main--Abdul bhai wo kya hai naa. Kabhi aap raat ko dukan par
sokar dekho...aap ko pata lag jaaega jab macchar aap par charo
taraf se hamla kar denge or aap ka khoon choos choos kar jagah
jagah se suja denge....ek ye macchar he hai jo meri baat nahi
sunta...
Abdul--chal ab chup kar or acche se ek baar saare bartan chamka
de grahko kai aane ka time ho gaya....
Main--grahko ke aane ka time hogaya to aap aise bol rahe ho jaise
kahi ka rashtrpati aane waale hai....peete ek chaay hai or saare
din ghada majuri mujh se karwaate hai....
Bata deta hu Abdul bhai wo din ab jyada dur nahi hai mai jab yaha
se bhaag jaaunga...
Abdul--ab tu chup chap kaam karega yaa uthaau danda....bada
aaya bhaagne waala...jaaega kaha tu yaha se bhag kar...hai kon
tera is duniya mai jo tujh jaise laawaris ko sambhalega...

Main--ek din aaega Abdul bhai jab ye duniya mujhe nahi balki mai
is duniya ko sambhalunga...
Tabhi Abdul bhai apni tabel par pada kapda meri tarf fek kar
Maarte hai.,,
Abdul--jaagte hue sapne mat dekha kar...ab jaldi jaldi haath chala
or uske baad naha dhho kar dhandhe mai lag jaa...
Uske baad mai chupchaap khud ko kosta hua baratan ragadne lag
jaata hu...or phir rojaana waala bekaar kaam....
Pata nahi mai yaha kya kar raha hu...mujhe to kisi barfili vaadiyo
mai hona chaiye tha...
Kaha fas gaya mai bhi....
Kuch he der baad waha ek bus aakar rukti hai...wo bus saadhuo se
khacha khach bhari hui hoti hai...usmai se kaafi saare saadhu
subah kai nity karam kai liye dabba lekar idhar udhar chale jaate
hai or 2 saadhu humari dukaan ki taraf badh jaate hai...
Wo dukaan ke bahar lagi chaarpaayi par beth jaate hai unmai se ek
saadhu jiski kaafi badi daadhi thi bilkul safed rang ki....chehara
bilkul kisi roshni ki tarah cham raha tha...
Mai un ke paas gaya or chaay kai liye pucchne laga....
Unhone mujhe uper se neeche tak dekha...or mujh se puccha...
Saadhu--kya naam hai tera baalak...

Main--Baba Rudraaksh naam hai mera..


Sadhu--tera ye naam kisne rakha...
Main--Baba ye mere Maalik Abdul bhai ne rakha hai...
Sadhu--tujhe pata hai Rudraaksh kya hota hai...
Main--Baba wahi pata hai jo log kahte hai k Rudraaksh MahaDev
ke aansuo se bana hai , bas itna he jaanta hu Baba....
Saadhu--kabhi dekha hai Rudraaksh kaisa hota hai....
Main--dekha kya Baba ye to hamesha mere gale mai he pada
rahata hai...ye dokho....
Or mai saadhu Baba ko wo Rudraaksh dikhaane lag jaata hu....use
dekhte he Baba ki aankhe chamkne lagti hai....wo apne
thharthharate haatho ko mere gale mai pahne Rudraaksh ki taraf
badha dete hai....or use apne haath mai pakad kar apno aankhe
band kar lete hai......
HAI MAHADEV......ye bol achanak saadhu Baba kai muh se nikal
jaate hai...
Main--kya hua Baba...kya meri tarah ye Rudraaksh bhi nakli hai

kya....
Saadhi Baba ek tak mere chahre ki taraf dekhe he jaa rahe
the....tabhi wo bolte hai...
Sadhu --tere Maalik kai paas jaa or use bol kai mai use bula raha
hu....
Mai bhagkar Abdul bhai kai paas jaata hu or Abdul bhai mere piche
piche waha par aajate hai...
Saadhu--Rudraaksh ko hum apne saath lejana chahte hai....tere
yaha iska koi bhavishy nahi hai...iska bhavishya sirf huMaare saath
he hai..,.
Abdul ---Baba ye kaisi baate kar rahe ho...
Mujhe ye us samay mila tha jab ise bolna bhi nahi aata tha...maine
ise apne baacho jaosa pyaar kiya hai...or aap ise le jaana chahte
ho....
Saadhu--mujhe mat samjha tune kis liye ise pala...do waqt ki roti
dene waala koi baap nahi ban jaata...ye tujhe mila jarur hai lekin is
par haq sirf MahaDev ka hai....is liye mujh se vyarth bahas mat
kar or khushi khushi Rudraaksh ko yaha se vida kar...
Abdul---mai kon hota hu Baba ise rokne waala agar ye aapke saath
jana chaahe to mai ise rokunga nahi...
Sadhu--Rudraaksh idhar aao mere paas.

Main--ha Baba kya hua


Sadhu--hum tumhe lejana chahate hai hamesha kai liye kya tum
chalna pasand karoge huMaare saath....
Main--Baba mai yaha khush hu or waise bhi mai aap logo ke saath
rahkar karunga kya....
Sadhu--tumhe kuch nahi karna...humare saath huMaare Gurukul
mai chalo jo hiMaalay ki ghaatiyo mai basa hai,..tumhe wahi apna
adhyatmik gyaan prapt hoga...
Main--Baba adhyatik gyaan kya hota hai...
Baba muskuraate hue...
Saadhu--jab tum ise sikhna shuru karoge tab apne aap pata chal
jaaega.. chalo ab apna haath saamne karo or apni mutthi kas kar
band kar lo....
Maine apna ek haat hawa mai rakh kar apni mutthi band kar li...
Saadhu--chalo ab apni mutthi khol do..
Mai jaise he apno mutthi kholta hu .,,,
Meri hatheli mai se aag ki lapte nikal rahi thi....ye dekh kar mai
ghabra gaya or bhag kar waha rakhi paani ki baalti mai apna haath
daal diya...or jaise he maine apna haath bahar nikala aag phir se

jal uthi.,,,,
Main--Baba bachao is aag se mai jal jaaunga..,
Saadhu--ghabrao mat Rudraaksh ye aag tumhe nuksaan nahi
pahochaaegi apna dusra haath is par phira kar dekho.,,,
Mai jab apna dusra haath us aag kai upar se laajata hu to mujje
thandak ka ehsaas hota hai...
Mai us aag ki thandk se khel raha tha or Abdul bhai Baba kai pairo
mai bethe mujhe dekhe jaa rahe the....
Main--Baba ye aag itni sheetal kaise hai....???
Sadhu--beta ye narak ki aag hai....ye sirf bure logo par asar karti
hai....tumhara man nishchhal hai isliye ye tumhe sheetal lag rahi
hai.....
Bolo ab chalna pasand karoge mere saath....
Main--jarur Baba mujhe agar ye sab sikhne ka moka milega to mai
jarur aapke saath chalunga...
Uske baad mai mera saaman laane dukaan ke andar jaane lagta
hu....

Sadhu--ab kaha chal diye...


Main--Baba mera saaman to le lu....
Sadhu--us saaman ki ab tumhe koi avshykta nahi hai....tum use
yahi chhod do....
Main--theek hai Baba kya mai meri Maa se mil sakta hu....
Saadhu--muskuraate hue...jarur beta tum apni Maa se mil sakte
ho...
MAAA......MAAAA...MAAAAA KAHA HO....
Mai jo jor se aavaje laga kar apni Maa ko pukaar raha tha....
Tabhi waha kaafi saari gaayen or ek kutiya apne kuchh baccho ke
saath bhagti hui mere paas aajati hai....ye sab meri Maa
thi....inhone he bhuka hone par mera pet bhara tha....mai meri
taraf bhaag kar aarahi kutiya ko apne sine se laga leta hu....or
saari gaayen mujhe uper se neeche chaatne lag jaati hai...
Main--Maa mai in saadhu Baba kai saath jaa raha hu pata nahi ab
kab milna hoga....wo kutiya mere saamne bilkul shaant. Tarike se
bethhi mujhe apalak nihaar rahi thi...tabhi wo apni jagaj se uthi or
saadhu Baba ke pero mai lotne lag jaati hai..,
Saadhu Baba uske sir par apna haath ferte hai or kahte hai...

Saadhu--hai mahan aatma tune shwaan yoni mai hote hue bhi apna
pura matratv is baalak par lutaaya hai....jaldi he tumhe moksh
praapt ho jaaega....or tumhare liye swarg ke darwaaje....hamesha
khule rahenge...
Ab Baba apni jagah se khade ho gaye the...or mera haath pakdte
hue apne saath aaye saadhuo ko kahte hai....
Saadhu--shishyo mujhe ab waaps lotna hoga...yaha aakar mera
uddeshya safal ho chuka hai....tum apni yaatra jaari rakh sakte
ho....
Unmai se ek saadhu bolta hai....
Sadhu--Baba agar aap chahe to mai aapke jaane kai liye dusri
gaadi ka prbandh kar sakta hu...
Saadhu--putr mujhe kahi bhi aane jaane kai liye kisi vaahan ki koi
jarurat nahi hai.,,.
Uske baad wo sabhi saadhu...Baba ka aashirwaad lekar apni yaatra
par nikal padte hai...
Sadhu--Abdul...tere ghar mai phir se lakshmi ka vaas hoga....tera
bhagy mai ab ek putri aane waali hai....use acche se shiksha diksha
dilwaana....aane waale waqt mai tumhara or Rudraaksh ka phir se
milan hoga....
Uske baad Baba waha khdi meri sabhi Maao ko muskuraate hue

dwkhte hai or kahte hai....KALYAAN HO...,


Hum dono waha se ek he pal mai hiMaalay ki ghaatiyo mai pahoch
chuke the...kitna sundar naazara tha bilkul wesa he jaisa maine
apne sapne mai dekha tha.,,
Saadhu--beta aaj kai baad ye hiMaalay he tumhara ghar
hai...tumhe yahi par rahana hoga...lekin saavdhaan dakshin disha ki
taraf bhul kar bhi kabhi mat jana....waha rahne waale jeev
tumhare bhakshan kai liye...sadiyo se tatpar hai....
Main--Baba mujhe aapke rahte kisi kaa dar nahi hai....
Saadhu--tumhara jeevan kathinaaiyo se bhara hai beta...har pal
mrityu tumhare piccha karti rahegi....isiliye tumhari siksha aaj he
se shuru karni padegi mujhe....taaki aane waali vipdao se tum lad
sako...
Main--lekin Baba mai kese kisi se lad sakta hua...mai naa to utna
bada hua hu or naa he mujh mai itni taakat hai...
Saadhu--tum bade hone se pahle he apne shatruo ko unke antim
sthaan tak pahucha doge...or rahi baat bal ki to tumhe shaktiya
mai dilwaaunga...
Hum log waha bane ek jhopde kai paas pahoch jaate hai....jhopde
ke aas paas kaafi rang birange phool khile hue the...waha hiran or
jungli jaanwar bina kisi dar kai aaram se ghum rahe the...
Main--Baba kya aap yaha akele rahte hai...
Baba--beta mai yaha nahi rahta....mai sirf tumhe lene kai liye
yaha aaya tha....
or tumhari shiksha diksha bhi mai nahi karunga...
Main--to phir kon mujhe sikhaaega Baba....
yaha to koi mujhe dikhaayi nahi de raha...
Baba--beta Gurudev aate he honge...wo yahi kahi aas paas he
honge...
Main--Baba kya wo aapke bhi Guru hai....
Baba--beta wo saare sansaar ke Guru hai...ab apne sawalo par
viraam lagao...or meri trah Gurudev ki prtiksha karo....
Mai apna muh band karke charo tarf ki adbhut chhata mai khho
jaata hu....kitna manohar vatavarn tha yaha kaa...naa dhool naa
dhua naa logo ka shor har tarf bas shanti he shanti faili hui thi
yaha par....
Tabhi ek jordaar aavaj se mera dhyaan bhang ho jaata hai....
BADRINAATH YE KIS BAALAK KO PAKAD KAR LE AAYE YAHA....
Baba--Gurudev ye mujhe saadharan balak nahi laga isliye mai aapse
shiksha dilwaane ise yaha le aaya.....
Tabhi jhaadiyo mai se ek saadhu nikalta hai uske pet tak unki

daadhi pahoch rahi thi...or sir ki jataye kisi naag ki bhaanti lahra
rahi thi bilkul kaale rang ke baal lekin unka. Badan ka rang kuch
neeli aabha liye hue tha...
aankhe bilkul kisi sher kai saman ke saman chamak rahi
thi...masatak par ek bada sa tilak jo unke roop ko or bhayankar
bana raha tha.,,,
Gurudev--badrinath tujhe pata nahi hai kya mai kis tarah se
shikhsa deta hu...
Baba--Gurudev pata hai isiliye ise aapke he paas laaya hu...ye
shwaan ka dudh pikar bada hua hai...or iske gale mai wo sapt mukhi
Rudraksh bhi hai...
Gurudev--ise agar mujh se shiksa paani hai to yaha se us chhote
pahad tak akele jaana hoga...mai waha apna apna kamandal chhod
kar aagaya hu....us kamandal kai jal ko bina dharti par giraaye
kamandal ko yaha tak laana hai....agar ye safal ho gaya to mai ise
purn roop se apna shishy Maan lunga...or tum to jaante ho mujh se
siksha paana har kise kai bas ki baat nahi hai...
Badrinaath--parantu Gurudev....ye itna bada nahi hai jo akele
waha tak jaa sake....
Gurudev--kabhi kabhi chhota bhi wo kaam kar jaata hai jo bada
nahi kar sakta....
Rudr ko ye pariksha deni he hogi....
Main--theek hai Guru Dev....mai us pahad par jaane kai liye aapse
anumati chahta hu...

Gurudev--jao or jaldi waaps aao....


Or mai nikal padta hu us pahad ki or....
tabhi achanak mujhe ehsaas hua ke mujhe thand lag rahi hai....
mai itni der jab Baba ke saath khada tha tab mujh par thand ka
bilkul bhi asar nahi ho raha tha....ye kaisi Maaya hai bhagwaan...
Mai apne chhote chhote kadmo se aage badhta he jaa raha tha...or
tabhi mere saamne...ek pahadi bhediya aakar khada ho gaya....
Mai pahle to use dekh kar dar gaya....phir uski tarf pyaar se
dheere dheere muskuraate hue badhne lagta hu....
Wo bhediyaa kaafi bada tha or taakatvar bhi lekin mujhe apne itne
paas aata dekh usne apne kaan niche jhuka liye or wahi jamin par
lotne laga...maine uske paas jaakar uske Maathe par haath firaaya
or uske uper beth gaya wo ab khada ho gaya or us pahadi ki taraf
teji se bhaagne laga ....
Mai pahadi tak pahoch gaya tha lekin...mujhe yaha kuchh theek
nazar nahi aaraha tha...wo bhediya bhi ab apne kadam pahadi ki
taraf nahi badha raha tha...isliye mai wahi utar gaya...jaise he
mai pahadi ki tarf chalne laga wo bhediya mere raaste mai khada
ho gaya...
Wo mujhe jaane nahi dena chahta tha...us pahadi ki tarf....lekin
kyo ye mujhe samjh mai nahi aa raha tha....maine pyaar se uske
sir par haath rakha or use wahi intjaar karne ka bol kar mai us
pahad ke uper chadhne laga....waha ek patthar par rakha hua
kamandal mujhe dikhaayi de gaya....mai jaise he us kamandal ko
uthaane kai liye apna haath badhata hu...

Mere saamne ek ek saafed dhuva failne lagta hai....us dhuve mai


se ek budhi aurat nikal kar mujh se kahti hai...
Budhiya---SAAWDHAAN BAALAK...agar tumne is kamandal ko
yaha se le jaane ki koshish kari to yaha rahne waale pret tumhe
zinda nahi chhodenge....isliye yaha se waaps chala jaa....
Main--amma mai waapas to jaaunga nahi....is kamandal ko liye
bina....aap mujhe thodi acche dil ki pret lag rahi ho....kya aap
mujhe bata sakti ho mai kaise is kamandal ko le jaa sakta hu.....
Wo budhiya jor se hasne lagti hai....balak maut tere saamne
saakshaat khadi or tujhe majak sujh raha hai....tu is kamandal ke
rakshak se ise yaha se le jaane ki vidhi puch raha hai...
Yaha se chala jaa...
Mai ab puri tarah se soch mai dub gaya tha...agar mai yaha se
kamandal le kar bhagta bhi hu to saara paani bahar nikal jaaega or
paani zamin par girte he mujhe yaha se jaana padega wo to baad ki
baat hai lekin us se pahle ye pret mujhe nashta samjh kar chatt
kar jaaenge....
kaise lekar jaau mai is kamandal ko wo bhi bina iske paani ko
giraaye...
Ab andhera ho chuka tha lekin chand ki roshni mai waha sab
dikhaayi de raha tha...mere sir ke uper hoti hui sarsrahat ne
mujhe uper dekhne par majboor kar diya......
Mere sir ke theek uper aasaman mai kuch kaale pishhaach gol gol

chakkar laga rahe the...


Mujhe har taraf se preto ki hasi ki aavaj sunaayi de rahi thi....
Budhiya--tu soch kya raha hai.....koi tarika nahi hai yaha se is
kamandal ko le jaane ka....is kamandal ke prbhav ki vajah se he
hum sab ruke hue hai....warna abhi tu kisi ped par tanga hota.....
Main--amma mai ise leja to paaunga nahi....
Kya mai dekh sakta hu ismai kya hai.....
Budiya ne koi jawan nahi diya...unka is tarh se jawab naa aata
dekh maine us kamandal ko apne paas sarka liya....or uske andar
dekhne laga....
Uske andar thhoda saa paani bhara hua tha lekin jaise he maine us
kamandal ko apne paas sarkaaya tha wo paani jor jor se hilne
laga....
Main--apne man mai...hai MahaDev ye kaisi Maaya hai....mere
chhute he is kamadal ka paani itni jor se kaise hil raha hai...
Mai to soch raha tha,iske andar koi saadharn jal hoga lekin isko is
tarah se hilta dekh kar Mera diMaag chakra gaya tha....
Kya karu mai ab.....
Tabhi achanak maine wo kamandal dheere se apne haatho mai uthaa
liya....or us kamandal ke muh laga kar saara paani pi gaya...paani
mere pet mai jaate he mai....us kamandal ko lekar teji se pahadi
kai niche lekar bhagne laga...
Achanak mera is tarah se kamandal lekar bhaagne se waaha ka
Maahol chikh chillahato mai badal gaya....bhagte bhagte mujhe un
preto ki chikhe sunaayi de rahi thi jo mere picche ab haath dhho
kar pad chuke the....
Mujhe apni taraf aata dekh wo bhediya ab khada ho gaya or mai
jaldi se us par beth gaya....pret abhi bhi humara piccha kar rahe
the lekin bhediya apni adhiktam gati se lagataar bhaage he jaa
raha tha.....bada he bhayaanak vaatavarn ho gaya tha.....mere
picche bhaagte pret ab mujh par bade bade ped ukhaad ukhaad kar
fek rahe the or kisi tarah mai unke in waaro se bachta hua Gurudev
tak pahaoch he gaya....
Mai jese he waha pahoch kar bhediye ke uper se utarta hu...ek tej
roshni chaaro tarf fail jaati hai....sab dikhaayi dene laga tha
ab....
Baraf se dhake bade bade pahad....kisi naag ki tarh bal khakar
bahti hui nadiya...har tarf sundar sundar phool....lekin ek kathor
aavaj lagatar mere kaano se takra rahi thi.....
OYE PILLE YAHA KYO PADA HUA HAI....
SUNA NAHI KYA TUNE............... UTHH BHAAG YAHA
SE.......
mai apna sir khujaate hue us shaksh ki taraf dekhta hu...jo ek
police waala tha or mujhe waha soye pade rahne ki vajah se daat
raha tha...
Main--mai yaha kaise aagaya ???mai to waha himalay ki ghaatiyo

mai tha....
OYE SUNA NAHI KYAA TUNE BHAAG YAHA SE....
uske baad m waha se uth kar chala jaata hu...
Mera sir soch soch ke fata jaa raha tha ye kya ho raha hai....lekin
samjh mai kuch nahi aaraha tha...
Mai waha se sidha...dukaan par pahoch gaya waha Abdul bhai abhi
tak aaye nahi the...mai dukaan ke baahar pade us patthar par
betha betha soche he jaa raha tha....kya mai sapna dekh raha
tha....kya vaastav m mai himalay ki ghaatiyo mai gaya tha....
Nahi ....nahi....ye sapna he hoga...bhala mai ek dum se waha se
kaise aa sakta hu or sab se badi baat...mere saath wahi sab ho
raha hai....jo mai pahle dekh chuka hu....kuch to lafda hai....
Mere diMaag ke bend baaje baj rahe the....or mai samjh nahi paa
raha tha...k mai sapne mai hu yaa asliyat mai...
Abdul--are Rudra.....tu yaha kaise betha hai....lagta hai dukaan
kai maccharo se teri dosti ho gayi hai....warna tu to unse bhaagta
phirta tha....
Main-- man mai he......nahi....nahi ye sapna nahi hai....ye asliyat
hai....
Pahle jab mai dukaan par aaya tha tab dukaan khul chuki thi....or
jab mai dubara dukaan par aaya tab dukaan band thi...
Ho naa ho maine koi gadbad kar di hai...are haa yaad aaya jab mai
pahle dukaan par aaya tha to dukaan par aane se pahle ek jagah
aaraam karne beth gaya tha...lekin is baar mai waha nahi ruka....

Shaayd isi vajah se mai samay par dukaan pahoch gaya...or Abdul
bhai ko pata nahi chala kai mai raat ko yaha nahi soya tha.....
Abdul--chal ab jaldi se acche se saare bartan ek baar saaf kar de
graahko ke aane ka samay ho gaya hai....
Man mai....Hai bhagwaan....ye to phir inhone wahi baat kah
di....iska matlab wo saadhuo se bhari bas phir se aaegi...or wo
saadhu Baba nujhe phir se apne saath le jaaenge...
Mai achanak uth jaata hu or bhagkar dukaan kai andar chala jaata
hu or apne puraane kapdo mai se ek sweater pahan kar waapas
bartan dhone lag jaata hu....
Abdul--tu pagal waagal to nahi hogaya hai...itni garmi mai sweater
pahan rakha hai....
Maine koi jawab nahi diya or jaldi jaldi bartan dhone lag jaata
hu....mujhe bas us bus kai aane ka intjaar tha jismai saadhu Baba
aane waale the...tabhi mujhe saadhu Baba waali bus aate hue dikh
jaati hai....
Us bas mai se kaafi saadhu dabbe lekar idhar udhar chale jaate
hai....jesa ki mai ye sab pahle dekh chuka tha....phir mujhe wahi
saadhu Baba dikh jaate hai...or wo aakar humari dukaan ke bahar
rakhi khaat par beth jaate hai....
Mai bhag kar unke paas chala jaata hu
Main--badrinaath Baba mai chalne ke liye taiyar hu....

Baba--tum mera naam kaise jaante ho putr...kya hum pahle mil


chuke hai....
Main--ha Baba aap mujhe lekar gaye the yaha se...uske baad
aapne Gurudev se bhi milwaaya tha...uske baad unhone mujhe
siksha dene se pahle ek pariksha dene ke liye bola tha...us chhote
pahad se kamandal laane kai liye...or mai use le bhi aaya
tha...chaliye naa saadhu Baba mujhe waapas jana hai mujhe yaha
nahi rahna.......
Baba--lekin putr mai tumhe kahi lekar gaya he nahi to waaps kese
lekar jaau...or tumne itni garmi me ye sweater kyo pahan rakha
hai....tumhari tabiyat to theek hai...
Baba ke is tarah se mujh naa pahchan na atpata lag raha
tha....kyo kar rahe hai wo aisa kyo....
Maine kya galti kar di...jis vajah se...mere saath ye sab ho raha
hai....
Baba mujhe dekhkar muskuraaye jaa rahe the...phir wo apni baat
bolte hai....
Baba--Rudr tum pareshaan mat hovo....ye sab Gurudev ki Maaya
hai...tumhe is baar wo jal bina giraaye laana hai...mai Guru Dev se
prarthna karunga wo tumhe ek moka or Deve...
Baba ki ye baat sunkar meri jaan mai jaan aayi....
Main--Baba maine galti kaha kari thi....maine to us paani ko zamin
par girne he nahi diya tha...

Baba-- tumhari yukti uttam thi....lekin tum ek baat bhul gaye jo


paani tumne piya Wo tumhare waha bhaagne se tumhare sharir mai
pasine kaa roop le chuka tha jaise he tum us bhediye par se neeche
utre us pasine ki ek bund...dhara se takra gayi....or isi ke saath
tum punh yaha aa gaye.....
Main--hai bhagwaan....meri itni si chuk ne mujhe waaps yaha
laakar patak diya....
Baba mujhe ek baar phir se waha le chalo....is baar mai jarur wo
kamandal paani sahit Gurudev ke charno mai rakh dunga....
Baba--mujhe iske liye Gurudev se aagya leni hogi....
Uske baad Baba ne apni aankhe band kari or apne haath se mere
Rudraaksh ko pakad lete hai....ek adbhut muskaan unke chehare
par fail rahi thi....
Unhone ab aankhe khol li....
Putr Gurudev tumse naaraj nahi hai....lekin shart kai mutaabik tum
wo kaam nahi kar paaye....lekin jo yukti tumne sochi thi usi vajah
se Gurudev ne tumhe punh ek moka or dene ka nishchay kiya hai....
Isi ke saath Baba mera haath pakad lete hai....unke is tarah se
mera haath pakadte he samay ek dum se ruk jaata hai....jo jaha
tha wo wahi khada rah jaata hai....tabhi ek tej prakash mujhe
apne ghere mai lene lag jaata hai.....

Mai jaise he apni aankhe kholta hu mujhe phir se wo kamandal meri


aankho ke saamne pada nazar aajata hai....saamne wo budhi amma
lagatar muskuraaye jaa rahi thi....
Main--amma muskura kyo rahi ho....
Budhiya--baalak mai dekh rahi hu ek baar to tu mere haatho se
bach kar bhaag gaya tha lekin is baar kamandal kaise lekar
jaaega....
Main--amma aap jyada chinta mat karo....is umar mai jyada chinta
nahi karni chaiye....jo mera kaam hai mai wo karunga or jo aapka
kaam hai aap wo karo....
Mujhe halki halki thand lag rahi thi....mera sweater mere saath
nahi aaya tha....
Main--amma mujhe thand lag rahi hai....kya mai thodi der yaha
aag jala kar beth sakta hu....
Budhiya--tere jaisa baalak maine pahli baar dekha hai....jo itne
saare pishaacho or preto se ghira hua hai...lekon dar ka naamo
nishaan tere chehare par nahi hai.....theek hai jala le aag or
sochta rah kai kis tarh se tu use yaha se le jaa sakta hai....
Mai aas paas se kaafi saari sukhi lakdiya laakar kamadal ke paas
rakh di....jaha kamandal pada tha wo patthar kaafi bada tha...
Maine wo saari lakdiya acche se jalaane ke liye usi patthar par

jama di....
Lekin mere saamne ek saamsya or aagayi....aaag kaise jalau...
Main--amma thodi madad kar do naa...in lakdiyo ko jala do naa....
Budhiya--abhi tune he to kaha tha....tera kaam tu karega or mera
kaam mai...
Main--amma bachhe par taras khaao thaand kai kaaran mera haal
bura ho raha hai...
Budhiya---theek hai lekin iske baad mujhe ye mat kahna ke bacche
ko bhuk lagi hai....pine ke liye dudh bhi laao...
Main--amma bhuk to lagi hai...subah se kuch nahi khaaya
maine ...or aapne ye kah kar meri bhukh or bhi bhada di....
Budhiya--tu jitna shakl se masoom lagta hai us se kahi jyada tej
tera diMaag chalta hai....tujhe kya laga mai tera pet bharne ke
liye yaha se jaau or tu ye kamandal lekar bhaag jaaye...
Main--amma kuch nahi khilna to mat khilao lekin kam se kam ye
aag to jala do...
Uske baad budhiya apne muh se phhok Maarkar un lakdiyo ko jala
deti hai...

Lakdiyo ke jal jaane se waha kaafi ujaala ho gaya tha.....or mera


dimag jo thand ki vajah se jam gaya tha wo phir se kaam karne lag
gaya tha...
Main--amma ek baat batao...jaise aapne phhok Maarkar lakdiyo
mai aag lagayi...kya bas itni si aag aapke muh mai se nikalti hai....
Budiya--meri phhok ki aag se to patthar bhi pighal jaate hai....
Main--kaisi baccho jaisi baate kar rahi ho amma...bhala koi itni tej
aag kaise nikaal sakta hai apne muh se....
Budhiya--tu bata kis ko jalau tu bolega wo cheej mai jala kar
raakh kar dungi....
Main--amma rahne do kyo ek balak kai saamne sharminda hona
chahti ho....
Amma ab gusse mai bhar gayi thi meri bak bak sun sun ke...
Budhiya--tu bas ek baar bol or phir dekh kai sharminda kon hota
hai....
Main--theek hai amma ye jo lakdiya jal rahi hai inko aap apni
phhonk se jala kar raakh kar ke batao....lekin is paathar ko mat
pighla dena....warna kamandal zamin par gir jaaega or ismai bhara
hua paani bah jaaega...

Budhiya--tu is patthar se 2 kadm picche hat jaa.....mai tujhe


dikhati hu mai kya kar sakti hu...
Uske baad amma ne apna vishaal muh khola or usmai se lagatar aag
nikalne lagi ....meri lagayi hui lakdiya teji se jalte hue raakh mai
badal chuki thi....
Main--amma ye kya kiya.....itni mushkil se mai lakdiya lekar aaya
tha...or aapne wo sab jala di....amma mai aapke bete jesa hu
aapne itna bada anyaay mere saath kyo kiya...
Ek to mai bhuk se mar raha hu or dusra aapne aag bujhaa kar
mujhe thand se Maarne ka pura prbandh kar liya....is se badhiya
to aap mujh par he phhonk Maar deti....naa rahta baans or naa
bajti baansuri..,,
Budhiya shaayd kisi soch mai dub gayi thi...mai tere liye khaane ka
prbandh kar sakti hu....or baaki dusre pishacho ko lakdiya lekar
aane ko bhi bol deti hu lekin tu yaha se bhaagne ki koshish mat
karna warna mujh se bura koi nahi hoga...
Main--amma mai kahi nahi jaane waala...ye dekho mai jaise he
kamandal kai haath lagata hu iske andar bhara paani buri tarh se
hilne lag jaata hai....
Aap cheenta naa kare mai kahi nahi jaaunga...
Uske baad wo budhiya mere liye kuch khaane ke liye lene chali jaati
hai or jo pishaach mere aas paas pahra de rahe the wo lakdiya lane
gayab ho jaate hai...

Unke jaate he mai us kamandal mai waha bujhi padi raakh daalne
lagta hu mai us kamandal ko raakh se acche se bhar leta hu raakh
ne saara paani sokh liya tha....mai uske baad kamandal uthha kar
aaram se pahad se neeche utar jaata hu...mujhe dekhte he waha
betha bhediya ucchalne lag jaata hai khushi se...us bhediye par
sawaar hone se pahle mai apni kamij kholkar us kamandal ko acche
se upar se baandh deta hu....taaki wo raakh bahar naa gir
paaye....or phir mai bhediye par beth jaata hu....bhediya bhi ab
jyada tej nahi dod raha tha kyoki humara piccha ab koi nahi kar
raha tha...raaste mujhe ek pishaach milaa jo mere liye sukhi
lakdiya dhundhta hua yaha tak aagaya tha....mai use dekh kar jor
se chillata hu....
Main--PISHAAACH BHAIYAAA.,,,, AMMA SE KAHNA MAI KAL
SHAAM KO AAUNGA KHAANA KHAANE......
Uske baad mai uske paas se teji se nikal jaata hu or wo apne sir
khujaata hua rah jaata hai...
Mai aaram se jhopde tak pahoch gaya tha shaayad un preto ko bhi
ye ahsaas ho gaya tha kai maine un sabhi ko ullu bana diya hai is
liye unhone mera piccha nahi kiya...
Mujhe ab thand lagni band ho gayi thi....jhopde kai paas mai ek
havan kund jal raha tha uske saamne Baba badrinaat or Gurudev
bhi kuch taiyaariya kar rahe the....
Maine sab se pahle Baba ka ashirwaad liya or uske baad mai
Gurudev kai pero mai jhuk gaya...Gurudev ne meri pith thapthapate
hue mujhe aashirwaad diya...

Maine unhe wo kamandal bina apni kamij hataye unke haatho mai de
diya....
Lekin unhone bhi wo kamandal meri kamij lotaaye bina apne paas he
rakh liya....ab mai apni kamij Maangu bhi to kaise Maangu...mujhe
is tarah sochta hua dekh kar Gurudev bole....
Gurudev--tumhe is vastr ki ab koi aavshyakta shesh nahi hai....mai
tum se atyadhik prassann hu....tum mujh se koi se bhi do sawal
puch sakte ho....or jaha tak uchit hoga mai un sawalo ka javab bhi
dunga....
Main--Gurudev mera pahla sawaal Ye he ki mujhe yaha konsa
uddeshy pura karna hai....
Gurudev---tumne bhavishy ka sawaal puccha hai jiska javaab bhi
tumhe bhavishy he dega....tumhara uddeshy sansaar mai shaanti
sthapit karne ka hai....iske alawa mai tumhe is baare mai abhi kuch
or nahi bata sakta....
Main--theek hai Gurudev Mai ab yaha aa gaya hu to mujhe ye sab
pata pad he jaaega...
Mera dusra sawal ye hai Gurudev ke mere mata pita kon the....
Gurudev--Baba badrinaath ki taraf dekh kar mera sawal sunkar
muskura dete hai....badrinaath aaj tumne is balak ko yaha laakar
siddh kar diya ke mere baad tum he is jagah ke hakdaar ho....
Baba--Gurudev mai to hamesha aapke charno mai he pada rahna

chahta hu...mujhe sthaan ka lobh ansh Maatr bhi nahi hai....


Gurudev--Baba ki baat sunkar muskura dete hai or meri taraf dekh
kar bolte hai....tumhare pita suryamukh or tumhari mata chandrika
ab is lok mai nahi hai....suryamukh ek shakti shaali raaja hone ke
saath he tantr mantr kai bhi gyaata the....or tumhari mata
chandrika apne naam ke anuroop he roopwaan thi, wo bhi tantr
mantr ki acchi samjh rakhti thi....tumhare mata pita dono he
tumhare Baba Guru badrinaath kai shishy the....inhone he unhe
tantr mantr ki shaktiyo se poshit kiya tha....
Jab tum paida hue pure raajy mai adbhut Maahol ho gaya tha lekin
usi raat ek dusht ne tumhare mata pita ki hatya kar di or Guru
badrinaath tumhe waha se lekar bhaagne mai safal hogaye....jis
dusht ne tumahre mata pita ko Maara wo mera shishy
tha....shaayd mujh se he kuch galtiya hogayi thi jis vajah se wo
apne tan ki tarah he man se bhi kuroop hota chala gaya....mai khud
ko bhi tumhare mata pita ki hatya ka doshi Maanta hu....Guru
badrinaath jab tumhe lekar bhaag rahe the tab unhone apni mantr
shakti se ek aayam ka dwaar bana liya jismai hum teeno abhi
upasthit hai....jab Guru badrinaath us aayam mai pravishth hue to
tum bhuk se ro rahe the....or jab inhone ek Maada shwaan ko apne
baccho ko dudh pilaate dekha tab inhone tumhe waha chhod diya
tha wo tumhe waaps apne saath lejana chahte the lekin usi waqt
tumhara Maalik Abdul tumhe apni god mai utha chuka tha....Guru
badrinaath ne jab tumhe surakshit haatho mai dekha to wo waha se
apne dusre kaaryo ke liye chale gaye...
Ab kuch barso kai baad tumhe Guru badirinaath yaha shiksha kai
liye le aaye...
Or ab tum mere samaksh bethe ho....

Main--Baba us hatyaare ne Maata pita ko kaise Maara jab ki


aapke anusaar wo shakti shaali hone ke saath saath tantr mantr kai
bhi jaankar the....or Baba mujhe kis aayam se uthaa kar laaye
the....ye aayam kya hota hai Gurudev....
Gurudev mere in prshno ko sunkar muskuraate hue mere sir par
haath ferne lag jaate hai....
Gurudev--putr tumhe apne baare mai sirf do sawal pucchne ki
aagya thi. Isliye ab apne sawalo par viraam lagao...
Uske baad mai apne muh par ungli rakh kar beth jaata hu...ye dekh
kar Gurudev mere muh se wo ungli hatate hai or mere haath par
kuch mantr padhte hue ek dhaaga baandhne lagte hai....
uske baad wo mujhe apne gale se lagakar mere kaano mai
Gurumantr phhonk dete hai...
Gurudev ne wo dhaaga bandh kar mujhe apna shishy bana liya
tha....uske baad Gurudev ne mujhe bhojan karne ke liye us jhopde
mai bhej diya mere saath Baba badrinaath bhi us jhopde mai
aagaye thi unhone mere liye bhojan parosa or mere saamne he beth
gaye....
Main--Baba aap bhi kuch khaa lijiye....
Baba--putr mai akhand nirjal vrat par hu....maine bhojan or jal ka
tyaag kar rakha hai isliye mai tumhara aagrah nahi Maan sakta..,.
Main--lekin Baba aapne khaana pina band kyo kar diya.....

Baba--putr jab se tumhare mata pita ki hatya hui hai us din se


maine pran liya tha jab tak us hatyaare ko dand nahi milega mai
kuch grahan nahi karunga....
Agar mai ek aam insaan hota to ab tak mar chuka hota lekin meri
tapsya ki shaktiya mujhe bhukh pyaas se marne nahi de sakti...
Main--Baba aap or Gurudev itne shaktishaali ho phir aap log us
hatyaare ko dand kyo nahi de sakte........
Baba--putr wo hatyaar Gurudev ka shishy rah chuka hai or wo ab
mujh se bhi jyada shakti shaali hai or Gurudev se us hatyaare ne
vachan le rakha hai....k Gurudev kabhi bhi apni shaktiyo ka pryog
us par nahi karenge....
Main--matlab us hatyaare ne Gurudev ke saath chalaki karke
Gurudev se vachan le liya....lekin jab Gurudev mujhe shikhsa denge
to wo shaktiya bhi to unhi ki di hui hongi...phir mai kaise unhi
shaktiyo ka upyog us shaitaan par kar sakta hu.....
Baba--putr Gurudev sirf tumhe shiksha denge....hathiyaar tumhe
praapt karne hai or un hathiyaari ka upyog kaise karna hai ye
Gurudev tumhe sikhaaenge....
Ab jaldi se bhojan kar lo or uske baad sone kai liye taiyaar ho jaao
subah suryodaiy kai saath he tumhara pratham charan adhyaay
shuru ho jaaega....
Uske baad mai khana khaakar mere jhuthe pattal waha se hata
kar...ek dari bicha kar us par late jaata hu....

Lekin mujhe neend nahi aa rahi thi...baar baar us budhhi amma ka


chehra mere saamne aa raha tha....kitne sneh se wo mere liye
khaana dhundhne gayi thi...lekin maine unse chhal karke unka dil
tod diya...wo kya soch rahi hongi mere baare mai.....
Or isike saath mai uth kar beth jaata hu...or jhopdi se bajar nikal
kar Gurudev se unke paas bethne ki aagya lekar waha beth jaata
hu....
Gurudev--kya baat hai putr tunhe neend nahi aa rahi hai kya....
Main--Gurudev kisi baat ko lekar mere man mai kaafi sawal uth
rahe hai....
Gurudev--bolo putr kya baat hai....aise konse sawaal hai jo tumhe
itna vichilit kar raha hai...
Main--Gurudev mujhe jab aapne kamandal laane bheja tha tab
waha par ek budhi amma aapke kamandal ki raksha kar rahi
thi.,.maine unhe dhoka diya....or mai kamandal waha se le
bhaga....Gurudev kya mai unke paas Maafi Maangne jaa sakta
hu....
Gurudev--mere sir par sneh se haath fairte hue....Rudr tum sirsa
kai paas jaa sakte ho...lekin kya tumhe us se dar nahi lagta...
Main--nahi Gurudev mujhe waha kisi se bhi dar nahi laga....kya mai
abhi waha jaa sakta hu.....or mai raat ko wahi par so jaau to aap
naaraj to nahi ho jaaenge...

Gurudev--Rudr agar tum waha jaana chaho to jaa sakte ho lekin


mai tumhe saavdhaan karna chahta hu...wo sabhi pishaach or pret
hai...or sabhi ko unse duri bana kar rakhni chaiye.....
Uske baad mai Gurudev se aagya lekar us chhote se pahad ki taraf
badh jaata hu...
Mai pure raaste bas apne maata pita kai baare mai he sochte hue
jaa raha tha....
Mai jaise he pahad ke paas pahocha mere saamne do pret aagaye
or mujhe pakad kar hawa mai udaane lag gaye....
Mujhe samjh mai nahi aaya ye kya hogaya ek dum se....
Unme se ek pret haste hue mujhe bola...
Pret--HA HA HA HA HA... tune ek baaar to hume murakh bana
diya lekin is baar tu aisa kuch nahi kar paaega...tu ab se hamesha
aise he hawa mai latka rahega.
Mai--are pret bhaiya mai budhi amma se maafi maangne aaya
hu.....mujhe unke paas le chalo....mujhe un se baat karni hai.
Pret--tune sahi kaha mai bhi tujhe sirsa maa ke paas he le jaa
raha hu wahi tera faisla karengi....
Uske baad mai hawa mai udta hua us jagah pahoch gaya waha wo
budhi amma mujhe dekh kar kaafi gusse mai aagayi thi...

Budhiya--dusht baalak tune mujhe aaj do baar murakh banaya or


tu uske baad bhi mere saamne marne ke liye aagaya.....aaj mai
tere praan lekar he dum lungi...
Mai--are amma mai aapse maafi maangne yaha aaya hu....mai
aapka dil nhi dukhana chahta tha....lekin wo kamandal bhi lejana
jaruri tha....mai aapse maafi maangta hu,...mujhe apna baccha
samjh kar maaf kardo....
Budhiya--tu sach kah raha hai....ya phir se mera majak banane
yaha aaya hai...
Mai--nahi amma mai to aap se bas maafi maangne kai liye dubara
yaha aaya hu...mere man mai agar kuch or hota to mai yaha kabhi
nahi aata....
Uske baad budhiya ne apna ek haath hila kar mujhe zamin par
utaar diya....zamin par utarte he maine budhi amma ke paav pakad
liye or unse rota hua maafi maangne lag gaya....
Budhiya--mere sir par pyaar se haath ferte hue....beta bas ab
rona band kar or mere per chhod....maine tujhe maaf kardiya
hai....
Unki ye baat sunkar mai uth kar unke gale se lag jaata hu...
Mai--amma mujhe neend nahi aa rahi thi...kyoki maine aaj pahli
baar kisi ka dil dukhaaya tha...isiliye mai Gurudev se aagya lekar
aapke aapke paas aagaya....mai apne kiye par sharminda hu...

Budhiya--koi baat nahi mai ab tujh se naaraj nahi hu....balki mai


to tere yaha aane se ab khush hu...
Ab muje tu ye bata tune kuch khaaya yaa nahi....ya abhi tak
bhuka he hai...
Mai--amma maine khana khaa liya hai....aapne kuch khaaya.
Budhiya--beta mujhe bhuk pyaas nahi lagti...mai tere liye kuch
phal tod kar laayi thi agar tu unhe khaana chahe to khaa sakta
hai...
Mai--amma mujhe bhuk to nahi hai lekin ye phal aap mere liye laayi
hai isliye mai thode se khaa leta hu...
Uske baad waha padi ek tokri m se mai ek seb utha kar khaane
lagta hu......
Is bich waha khade preto ne waha aag bhi jala di thi...
Budhiya--to ab tu Gurudev ka shishy ban chuka hai....Gurudev
aksar yaha tapasya karne aate rahte hai....or unhone he apna
kamandal yaha rakh diya tha or mujhe iski raksha karne ka daayitv
sompa tha....
Mai--amma aap yaha kitne saalo se rah rahi ho....
Budhiya--mujhe yaha rahte kaafi lamba samay ho gaya hai or baaki
saare pret bhi tab se he mere saath hai....lekin tere yaha aajane
se humari mukti ke dwaar khul gaye hai...humara kaam ab pura ho

gaya hai kamandal ki raksha ka jo kaam Gurudev ne hame diya


tha...jo tumhare use yaha se le jaane ki vajah se ab pura
hua....ab suryoday ke saath he hum bhi is pret yoni se mukt ho
jaaenge..
Mai--ye to acchi baat hui naa amma....
Budhiya--baat to ye acchi he hai lekin ab tum se milne ke baad mai
yaha se nahi jana chahati...mujhe tum apne bete ki tarh priy ho...
Mai--amma mujhe bhi aaj maa milgayi hai...lekin aapne bhi apni
mukti kai liye itne saalo intjaar kiya hai....isliye ab aapko nahi
rukna chaaiye.....
Budhiya--mujhe apne gale se lagate hue...putr mai tumhe kuch
dena chahti hu...
Mai--kya dena chahti ho aamma aap..
Budhiya--ye taabij mai tujhe dena chahti hu...
Mai--ye taabij kya kaam karta hai...
Budhiya--beta ye taabij tumhari raksha har tarah ke preto se
karega kabhi bhi ise utaarna mat.....koi bhi pret is taabij kai hote
hue tumhara baal bhi baanka nahi kar sakta hai...
Amma wo taabij mere gale m bandh deti hai....or mai unhe taabij
kai liye shukriya bhi kah deta hu....

Mai--amma kya mai subah hone tak aapki god mai sir rakh kar so
sakta hu...
Budhiya--kyo nahi beta...tum jab tak chaho tab tak meri god mai
so sakte ho...
Uske baad mai budhi amma ki god mai apna sir rakh kar so jaata
hu.........or wo bade pyaar se mere sir par haath ferti jaa rahi
thi....mujhe kab unki god mai neend aagayi kuch pata nahi
chala.....
Subah ki pahli kiran dhara par chha chuki thi....panchiyo ki kalraw
dhvani chaaro tarf fail chuko thi ise ke saath meri aankhe bhi khul
chuki thi....
mere saamne jal rahi aag mai abhi bhi angaare baaki the...mujhe
abhi bhi apne sir ke uper budhi amma ka haath mehsus ho raha
tha....
lekin us haath mai koi harkat nahi ho rahi thi....
Maine jaise he apna sir amma ki god mai hilaaya mujhe kuch tutta
hua mahsus hua.....
mai turant ammaa ki god mai se hat kar amma ki tarrf dekhne
lagta hu....
Unka haath jo puri raat mujhe dulaar kar raha tha wo ab tut kai
bikhar chuka tha....
wo ek patthar ki murat mai badal chuki thi maine unke gaalo par
apna haath firaaya or unka wo roop dheere dheere hawa mai ghulne

lag gaya tha.....


Budhi amma jaa chuki thi mujh se dur....bahot dur....unka pura
shari hawa mai raakh ki tarah ud gaya tha or waha maojud saare
preto ka bhi...,
Maine ek baar phir se apni maa ko khoo diya tha....mai waha
ghanto rota raha....lekin waha koi aisa nahi tha jo mere aansu poch
sake....
mai bas meri maa ko aavaje lagata raha.....
lekin waha kisi ka jawab nahi aaya ...
Mere aansu thamne ka naam nahi le rahe the mai bas roye jaa raha
tha.....ek baar phir se meri maa mujh se dur ho chuki thi....
Tabhi mujhe mere gaalo par kuch ahsaas hua....
Jab maine meri aansuo se bhari aankho se us taraf dekha to mujhe
wo bhediya nazar aagaya jo apni jibh se mere gaalo ke saath saath
mere aansu bhi chaat raha tha......
Maine ek pal nahi gawaya or us bhediyo ko apni baaho mai bhar liya
or jor jor se rone lag gaya.....
Naa jaane kab mujh par bhagwaan ko taras aaega.....naa jaane
kab mujhe maa ka pyaar milega naa jaane kab mai phir se unki god
mai sir rakh kar so paaunga.....
Tabhi mujhe ek aavaj sunaayi di...wo aavaj Gurudev ki thi...

Gurudev--Rudr mai samjh sakta hu tumhe kitni taklif ho rahi


hai....lekin tumhe to is baat se khush hona chaiye jiske liye tum
apne aansu baha rahe ho use ab moksh mil gaya hai....har tarh ke
dukh taklifo se chhutkaara mil gaya hai sirsa ko.....
Ab rona band karo or dekho nayi subah ho chuki hai....har nayi
subah ek naye karm kai saath aati hai tumhe bhi apne jivan mai
aise karm karne hai taaki mera jhuka hua mastak phir se duniya ke
saamne khada ho sake...
Mai--Gurudev mai rona nahi chahta tha....lekin jab raat ko mai
budhi amma ki god mai soya...mujhe aisa he laga jaise mai meri
maa ki god mai so raha hu...
Gurudev mujh baalak par kripa kare or mujhe mere mata pita kai
baare mai bataaye....mai jaanna chahta hu mere mata pita kaise
the....mujhe kis tarah wo pyaar kiya karte the.....or kaise us
shaitaan ne unki hatya kar di....Gurudev mere in saawalo ka jawab
mujhe chaiye....mai bhi janna chahta hu kyo mera sab kuch chhin
liya gaya....kyo mujhe raaste par ek anaath ka jeevan jina pada...
Gurudev--Rudr apne sawalo par viraam lagao....mai bhi tumhe
tumhare har sawal ka jawab dena chahta hu....lekin ye samay abhi
sahi nahi hai....abhi bas tumhe apni siksha par dhyaan dena
chaiye.....or kisi baat par nahi...
Mai--Gurudev mai ek baar phir se akela hogaya hu...lekin mai
kasam khaata hu mere mare hue mata pita ki....mai kasam khaata
hu us budhi amma ki....mai us shaitaan ka ant jarur karunga...itna
shaktishaali banuga mai....k mere saamne aane par tufaano kai
rukh bhi badal jaaenge.....

Gurudev--Rudr mai bhi yahi chahta hu....jis shaitaan ko tumhe


khtam karna hai wo atyadhik shaktishaali hai....lekin mai tumhari
nas nas mai aisi shaktiya bharunga jinki vajah se tum kisi kaa bhi
saamna kar sako....
Lekin abhi naa sab kuch jaanne ka sahi samay hai....or naa he
tumhari shiksha khtam hui hai....
Mai--Gurudev mujhe kab mere sawaalo ka jawab milega....kab mai
us shaitaan ko uske ant tak pahuchaunga....
Gurudev--Rudr aaj basant panchami hai....tumhe tumahre sabhi
sawaalo ka jawab agli basant panchami tak mil jaaega.....
Isliye apne krodh ko tumhaare seene mai palne do....tumhare har
sawal ka jawab mai khud tumhe dunga.......
Mujhe ab mere jeevan ka lakshy mil chuka tha...mujhe us shaitaan
ko uske ant tak pahochana hai... jiska naam tak mujhe nahi pata,
lekin jald he wo ghutno ke bal mujh se apni galtiyo ke liye kshama
yachna karega...
Mai apne man mai ye prran karke Gurudev ke saamne khada ho
jaata hu....
Gurudev--Rudr shiksha 2 prakar ki hoti hai....ek shikhsa wah hoti
hai jiske aaradhy devta paataal nivaasi devta hote hai....jo taamsik
pravarti jaga deti hai manushyo mai....
Iska pratyek waar ghaatak hota hai...yaani ke agar mai tumhe
pahla mantr bhi shukaunga usmai bhi itni taakat hogi k wo kisi ke
bhi praan le sake...
Or dusri shiksha jiske aaradhy dev swaym mahadev hai...lekin unhi

ki tarah unki shikhsa ko bhi paana kathin hota hai....iske pahle


mantr se tum ek ghaans ke teenke ko hawa mai uda sakte ho...lekin
us mantr se kisi ke praan nahi har sakte...
Is shikhsa mai tum aatam raksha sikh sakte ho....kisi ko ghaayl kar
sakte ho bade se bade paahad ko hawa mai uda sakte ho....lekin
kisi ko maar nahi sakte...kisi ko maarne kai liye is shiksha mai sirf
ek he sanhaarak mantar hai jiska gyaan tumhare Gurudev ke paas
bhi nahi hai....
Ab bolo tum kya sikhna chaoge...
Mai--Gurudev ye to mere liye kaafi uljha hua sawal hai...mai
baalak is sawal ka jaawab kis tarah de paaunga....aap he mere guru
hai aap jo mujhe sikhaana chaahe mai wo sab sikh lunga.....
Gurudev--Rudr mai tumharai ismai koi sahayta nahi kar sakta kyoki
mera ek niyam hai...har shiksha paane waale ka bhavishy uski sikhi
hui shiksha par nirbhar karta hai....isliye mai apne sabhi chhatro
ko unki pasand ki he skiskha deta hu...ab mujhe batao tum kya
sikhna chaaoge....
Mai--gurdev mere mata pita ne konsi shikhsa li thi....
Gurudev--tumhaare mata pita ke aradhy bhagwan brahm dev
the....wo shiksha ek alag prkaar ki shiksha hai or wo tumhe sikha
bhi nahi sakta kyoki guru badrinaath ko is shiksha ka sampurn
gyaan dene kai baad m maine kisi ko bhi ye shiksha naa sikhaane ka
vachan de diya tha guru badrinaath ko.....
Mai--Gurudev mere chhote se dimag mai nahi aaraha hai k mujhe

kya karna chaiye...


Kya aap mere ek saawal ka jawab de sakte hai....aap ne dono
shiksha sikh rakhi hai aap mujhe dono he kyo nahi sikha dete....
Gurudev--Rudr dono shikhsa ek saath grahan karna sambhav nahi
hai....mujhe 100 varsh sirf ek shikhsa paane mai lag gaye the, ab
100 varsh jitna samay tumhaare paas nahi hai...tumhe in 100
varsho ka gyaan bas 1 varsh mai haasil karna hoga....
Mai--Gurudev aapne mahadev ka sanhaark mantr kyo nahi sikha....
Gurudev--muskuraate hue...Rudr ye sanhaark mantr mere guru ko
bhi gyaat nahi tha....is sanhaark mantr ko agar koi sikha sakta hai
to wo swayam mahadev hai....
Mai--Gurudev in dono shikhsa Mai se sab se aasan sikhsha konsi
hai...
Gurudev--Rudr wese to dono shiksha he ati dushkar hai...lekin
paataal vaasi aaradhy devtao ki shiksha....tum araadhy mahadev ki
shiksha se pahle sikh sakte ho....ab apne sawalo par viraam lagao
or mujhe apna jawab do....
Mai--Gurudev mera bas ek aakhiri sawal hai mujhe uska jawab
milte he mai aapko apna jawab bata dunga....
Gurudev--puccho kya sawal hai tunhara...wese bhi baal sulabh man
sawalo ka tokra hota hai...is liye bas ek aakhiri sawal...

Mai--Gurudev aapke jis shishy ne mere mata pita ki hatya kari use
aapne konsi shiksha prdaan kari thi....
Gurudev--usne paataal vaasi devtao ko apna araadhy banaya
tha....lekin maine tumse kaha tha is baare mai tum mujh se koi
sawal nahi karoge....
Mai--Gurudev mujhe kshama kare....lekin mere liye ye jaanna kaafi
jyada jaruri tha...
Mai apne man mai sochne lagta hu...kya karu...kya karu...konse
devta ko apna aaradhy banau...ek shikhsa mai jaldi sikh sakta
hu...or ek shikhsa ka pura gyaan Gurudev ko bhi nahi hai....kya
karu....ye kaha fas gaya mai....maine apna jeevan hamesha
kathinaaiyo mai he bitaya hai....or asli maja to tabhi hai jab kisi
kathnaayi ko uske mool roop mai he paar kiya jaaye....ha yahi sahi
hoga...mujhe mahadev ko he apna aaradhy banna chaiye...or wese
bhi mahadev ke Rudraaksh ki vajah se he to mai yaha tak pahoch
paaya hu....
Mai--Gurudev mai mahadev ko apna araadhy banna chahta hu......
Gurudev ka chehra mera ye faisla sun kar prassann ho gaye....or
mujhe dekh kar muskuraane lage....
Mai--Gurudev aap mujhe is tarah dekh kar muskura kyo rahe
ho....kya maine kuch galat kar diya....
Gurudev--Rudr tumne jo chuna hai wo agar mera wo shishy chun
leta to shaayad aaj paristhiti dursi hoti....lekin ab kuch kiya nahi

jaa sakta....tumhare man mai aisa kya aaya jiski vajah se tumne
mahadev ko apna araadhy banaya....?
Mai--Gurudev sab se pahle to mai kathinaiyo se darta nahi hu....or
mahadev ke is Rudraaksh ki vajah se he mera naam Rudraaksh
rakha gaya hai....or inki shiksha se milne waali shaktiya kisi ko
nuksaan pahochaane kai liye nahi hai....or rahi baat us sanhaarak
mantr ki....use bhi ek naa ek din mai sikh he lunga....bas Gurudev
maine yahi soch kar apna ye faisla liya hai...
Gurudev--ati uttam Rudr....aaj or abhi se Tumhara pahla adhyaay
shuru hota hai jiska naam hai....sanyam
Sanyam he tumhe apne lakshy mai aage badhne ki prerna
dega....isliye shuruwaat isi se hogi....
Mai--theek hai Gurudev mujhe bataiye mujhe kya karna hoga....
Tumhe is chattan par beth kar apne saamne ek sukha hua patta
rakhna hoga....or tumhe lagataar uski taraf dekhte rahna
hoga....tumhare is tarah prayaas karte rahne se wo patta jaldi he
hawa mai udne lagega....
Mai--theek hai Gurudev mai waha jaa kar ye sab karne ki koshish
karta hu....
Uske baad mai us chattan par jaa kar beth jaata hu or apne
saamne ek sukha patta bhi rakh leta hu....or us patte ko ghurne
lag jaata hu....lekin mai us patte ko jara sa bhi hila nahi paata
hu....

Mujhe ye sab karte hue kaafi der ho chuki thi....or mai aisa karte
karte uktaa chuka tha meri aankhe bhaari hone lag gayi thi....or
mujhe neend bhi aane lag gayi thi...
Mai kuch soch kar us chattan se utha or gurdev ke paas chal
diya....Gurudev abhi aashram ki kuttiya mai aaram kar rahe
the....maine unke paas jaakar bola...
Mai--Gurudev maine us patte ko dur aakash mai uda diya hai....or
aisa karte karte mai ab kaafi jyada thakk bhi gaya hu....kya mai
thodi der aaram kar lu....
Gurudev apni jagah se uthe or mera haath pakad kar mujhe bahar
le aaye.....
Gurudev--Rudr tumhe ye jo pahad dikhaayi de raha hai....ab mujhe
isko uda kar dikhaao....uske baad tum aaram kar sakte ho....
Mai apne man m he sochne lagta hu....mujh se ye chhotasa patta
to ud nahi raha ab ye pahad kaise udaau....Gurudev to bas mujh
bacche ki jaan ke picche haath muh dhho kar pad gaye hai....
Or ye sochte sochte mai waapas usi chattan par jaakar beth gaya
or apne paas se wo patta nikaal kar phir se us par dhyaan lagane
lag gaya....
Raat ho chuki thi lekin barf se dhaki pahadiyo par faili hui barf or
chaand ki roshni se wo jagah puri tarah se jagmaga uthi thi...raat
thi lekin ye ahsaas kuch shaam kai hone jaisa tha....

Wo patta hilne ka naam nahi le raha tha....udna to bahot dur ki


baat hai....mai waha bethe bethe ab pareshan ho gaya tha....mera
man ek jagah ruk he nahi paa raha tha.....
Tabhi Gurudev mere paas aaye .....
Gurudev--Rudr apne man mai uth rahe sawalo par viraam
lagao....khud ke uper bharosa rakho....tabhi tum ise uda
paaoge....agar is tarah se vyathit man se koi bhi kaam karoge wo
kabhi bhi pura nahi hoga....
Sanyam ka arth hota hai ke kis tarah apne uper kaabu rakha
jaaye....or ye sanyam tabhi aa sakta hai tum me jab tum tumhare
man se in sabhi sawalo ko nikaal doge....k ye patta kaise udega....
Khud par bharosa rakho sanyam khud ba khud tumhe mil jaaega...
Mai--Gurudev kya mai paatalwaasi devtaao ko apna aaradhy bana
sakta hu..,.
Gurudev--muskura kar....tumne jo chuna hai usi par aagr
badho....ab waaps picche nahi jaa sakte tum...
Uske baad Gurudev waha se chale gaye...or thodi der baad mere
saamne kuch lakdiya jala di....waise to mujhe thand nahi lag rahi
thi lekin aag ke jalne se waha kaafi roshni ho gayi thi....
Ab Gurudev waaps chale gaye or mai lag gaya phir se us patte ko
udaane mai...

Mere saamne jo aag jal rahi thi wo baar baar mera dhyaan bhatka
rahi thi....kuch keet patange us aag ke chaaro taraf ghum kar uski
lapto mai jal rahe the....har pal koi naa koi jeev un lapto ka
shikaar ho raha tha....
Mai un keet patango ka ye kaam bade dhyaan se dekhne lag
gaya....kaafi der un keeto or aag ke jaan lewa khel ko dekhne kai
baad ek badi he sundar si tittali us aag kai paas aagayi....kitne
manmohak rang us tittali par bikhre hue the ....
Wo jaise he aag kai paas jaane lagi meri aankhe achank fail
gayi....jaise he wo aag ki lapto mai apna jeevan dene jaati waha se
aag ki lapte neeche dab jaati....aag ab mere ishaaro par naach
rahi thi....mai us tittali ko marne nahi de sakta tha....lekin tabhi
mere kaano mai Gurudev ki aavaj gunji....
Gurudev--aisa mat karo Rudr.....aag par se apna dhyaan hatao....
kyo is bechaari tittali ko tadpa rahe ho.......
Mera dhyaan Gurudev ki ye baat sunkar achanak jalti hui aag par
se hat jaata hai...or wo tittali us jalti hui aag mai swaah ho jaati
hai....
Mai--ye kya kiya Gurudev mai kab se us tittali kai praan bachane
ki koshish kar raha tha aag se....lekin aapke is tarah se rokne se
wo mar gayi aag mai jalkar....
Gurudev--mai jaanta hu tum uska jeevan bachane ki koshish kar
rahe the....lekin uska jeevan itna he tha....tum use bachane kai

chakkar mai use or kasht de rahe the.....


Mai--Gurudev lekin mai to use bacha raha tha...
Gurudev--kya tumhe bhuk lagi hai....kya tum sona chahte ho....
Mai--haa Gurudev mujhe bhuk bhi lagi hai...or mai sona bhi chahta
hu....lekin ye mere sawal ka jawab nahi hai...
Gurudev--tumne apne sawal ka jawab khud he de diya Rudr....agar
tumhe bhukha rakh kar tadpaaya jaaye yaa tumhe sone nahi diyaa
jaaye to tum...us tadap mai krodhit bhi ho jaaoge....wahi haal us
tittali ka bhi tha uska moksh uske saamne tha lekin tum use
bachane ke chakkar mai tum use or tadpaate jaa rahe the......
Mai--Gurudev lekin mujhe ye kaise pata chalega k kiske praano ki
raksha karni hai or kiske nahi....
Gurudev--agr tum us tittali ko thodi der bacha bhi lete....tab bhi
uska marna uske bhagy mai likha hua tha....usi tarah.....mera bhi
marna mere bhagy mai likha hua hai....jis din mujhe mrityu aaegi
us din tum mujhe chaah kar bhi bacha nahi paaoge....isliye ab apne
man ko thhoda aaram do or khana khaa kar thodi der vishraam kar
lo...
Mai--nahi Gurudev aap kuch der yahi rukiye...mai thodi he der mai
is patte ko aapko uda kar dikhaata hu....

Gurudev--Rudr ab is patte ko udaane ki jarurat nahi hai....jisne


aag ki lapto par apna kaabu paa liya ho.... use is patte ko udakar
apni shakti vyarth nahi karni chaiye....
Mai aaj tumse bahaot khush hu tum mere pahle aise shishy ho jisne
itni jaldi ye charan pura kar liya.....
Mai--Gurudev Kya mujhe aaj khaane m kheer mil sakti hai...???
mujhe wo bahaot pasand hai.....
Gurudev--Rudr tum jo chaho wo khaa sakte ho....bas apne man ki
ye nishchhalta mat khona kabhi bhi....chahe tumhare saamne badi
se badi vipda aajaye....lekin kabhi apne sahyogiyo ko akela mat
chhodna....
Rudr jab tak tum mere paas shiksha grahan kar rahe ho tab tak
tume jo bhi maangna ho...wo mere is kamandal se maang liya
karo....ye tumhe sab kuch de sakta hai....lekin iski ek he shart
hai....agar is se kuch bhi maango ge to badle mai tumse bhi kuch
maange ga....or tumhe wo cheej jab tak nahi milegi tab tak tum is
kamandal ko uski maangi hui cheej laakar nahi dete....
Mai--lekin Gurudev....aisa kya maangta hai ye...
Gurudev--ye tumhaare maangne par nirbhar karta hai....tumhe
kheer khaani hai naa chalo is kamandal se kheer maang kar dekh
lo....
Mai--he kanadal devta mujhe swadishth kheer khaane kai liye
dijiye....
Kamandal--tumhare liye kheer kuch he pal mai upasthit ho

jaaegi....lekin badle mai mujhe safed barf chaiye...,


Mai--Gurudev ye to badi he aasaan cheej maang li is ne mai abhi
gaya or barf lekar aata hu....
Gurudev meri baat sunkar muskura diye...or mujhe jaane ki aagya
de di...
Thodi der baad mai barf le aaya or us kamandal mai daal
di....jaise he maine us kamandal mai barf daali us kamandal m
mujhe sukhe mevo se bharpoor kheer dikhaayi dene lag gayi....us
kheer ko maine ek katore mai nikaala or Gurudev se aagya lekar us
kheer ka lutf uthaane lag gaya.....jab mera pet bhar gaya kheer
khaa khaa kar tab tak us kamandal mai kheer aati rahi.,..
Mai--he kamandal devta mera pet ab bhar chuka hai ab mujhe kuch
or nahi chaiye....ab mai thodi der vishraam karna chahta hu....aap
bhi vishraam kar le kheer bana kar aap bhi thaak gaye honge....
Uske baad mai Gurudev....ke per dabaane lagta hu lekin Gurudev
mujhe aisa karne se rok dete hai....
Gurudev--Rudr aaj tumhe meri sewa karne ki aavshyakta nahi
hai....aaj tum bas vishraam karo or apne man ko shaanti prdaan
karo.....
Mai uske baad Gurudev se kuch duri par he ek chatayi biccha kar
laite laite kuch sochne lag jaata hu....

Gurudev--Rudr tum abhi tak sawalo kai bhawar mai kyo pade hue
ho....
Mai Gurudev mai jaanna chhata tha k agar mai kamandal ke liye
barf nahi laata to kya kamadal devta mujj se naaraj ho jaate..,,
Gurudev--iska jawab mai tumhe kal subha dunga....abhi vishraam
karo.....
Gurudev ne bol to diya k man ko shaanti prdaan karo....lekin mere
man mai to kaafi saare sawaal ghum rahe the....badi mushkil se
mujhe nennd aayi....
Or agle din suraj nikalne se pahle he Gurudev ne mujhe jaga
diya....saare nity karm niptaane kai baad mujhe Gurudev ne nadi
par le jaakar sury devta ko jal chadhaane ke liye kaha....
Mai--Gurudev suraj to itna garam hota hai....or itna sa jal
chadhaa dene se kya uski garmi mai kuch farak padega.....
Gurudev--Rudr tumhara kahna sahi hai lekin ye jal hum sury ko
isliye arpit karte hai taaki sury hame garmi ke saath saath is jal
jaisi sheetalta bhi prdaan kare....dekho abhi sury kitna sheetal
hai....is samay suray us baalak kai saaman hota hai jo neend se
jaga ho...or jab bhi hum neend se jaagte hai uske baad hum bhi jal
grahan karte hai....
Or jal grahan karne kai baad hum kaafi tarotaaza bhi mehsus karte

hai....
Mai--iska matlab subah subah sury devta ko bhi jal pilana
chaiye....taaki wo apna saara kaam acche se kar sake....or hum
sab ko apna ashirvaad bhi de de....
Gurudev--muskuraate hue....agar tum aisa samjhna chahte ho to
aisa he sahi....ab chalo or ek kaam karne kai baad aaj tumhara
dusra adhyaay shuru karenge....
Mai--Gurudev konsa kaam karna hai.....or aaj konsi shikhsa denge
mujhe....
Gurudev--aaj tumhe wo pahad utha kar dikhana hai mujhe hawa
mai....
Mai--he mahadev....kya sach mai mujhe wo pahad uthana hoga....,
Gurudev--agr tum nahi uthaaoge to pahli shikhsa puri kaise
hogi....isliye ye kaam karna jyada jaruri hai.....
Uske baad hum sabhi aasharm mai pahoch chuke the....Gurudev ne
mujhe ek pahaad ki taraf ishaara karke use uthaane ke liye bol
diya.....
Or mai waha khada khada us pahaad ki tarah dekh kar apne man
mai kuch soche jaa raha tha.....

Gurudev--kya hua Rudr....tum ab kya sochne lag gaye....


Mai--Gurudev agar mai us pahad ko uthaa leta hu to us pahad par
rahne waale jeev dar jaaenge...or ho sakta hai is dar kai maare wo
pahaad se bhi gir jaaye.....
Gurdev--ati uttam Rudr....tumne apna pahla adhyaay pura kar liya
hai....agar tum us pahad ko uthaane ki koshish bhi karte tab bhi
mai tumhe wo uthaane nahi deta....kyoki prakrti se chhed chaad
nahi karni chaiye...agar tum aisa kar dete to prakarti ne jis pahad
ko waha sthaapit kiya tha wo apni jagah se uth jaata or tum chaah
kar bhi us roop mai use phir se sthaapit nahi kar paate....
Ye tha pahla adhyaay sanyam....tumne apne dwaara sikhi hui
shikhsa kaa sanyam se paalan kiya hai....apni shaktiyo ka vyarth
pradarshan nahi karna bhi apne aap ke uper sanyam darshaata
hai....or is vishay mai tum safal rahe....par tumhara baal sulabh
man tumhare kaabu mai nahi rahta....lekin mai chahta bhi nahi tum
use kaabu mai rakhne ki koshish karo....kyoki ye avastha dubaara
nahi aati....or isliye tumhe apna bachpan jeene ka pura adhikaar
hai....
Mai--Gurudev....agala adhyaay konsa hai.....
Gurudev--ye bada kathin hai Rudr....or tumhaare liye to ye sab se
jyada kathin hone waala hai....kyoki tumhari avastha mai is
adhyaay ko puraa kar paana kaafi jyada dushkar hai.....
Tumne mujh se kal raat ko sawal kiya tha...agar kamandal dwaara
maangi gayi cheej use nahi di jaati to wo kya karta hai...

Mai--ha Gurudev mai ye jaanna chhata tha...


Gurudev--mai tumhe kamndal ke prati saawdhaan karna chahta
hu....kyoki ye sawalo ke jaawab dene mai bhi sakshm hai....or
samay purv kiye gaye sawaalo kaa bhaari parinaam bhi bhugatna
pad sakta hai....samay purv kiye gaye saawalo ya kisi cheej ke liye
ye atyant dushkar cheeje maangta hai....or agar ye use naa di
jaaye to to ye praan bhi har sakta hai....or aisa karne se mai bhi
ise nahi rok paaunga....
Is kamandal ko mahadev ka vardaan praapt hai....jo bhi is se kuch
bhi maange ga wo maangne waale ko avashy milega...lekin koi
shrashti ko haani naa pahocha sake isliye badle mai....kamandal bhi
maangne waale ki yogyta parkahta hai...agar wo is kaam mai safal
nahi hota to kamandal ke krodh kaa saamna use khud he karna hota
hai.....
Jab tum us pahad par gaye the....or jab tumne is kamandal ke
andar hilta hua jal dekha tha....tab agar tum ise sambodhit kar ke
ise waha se le jaane ka tarika puch lete to ye khud he tumhe waha
se chalne ka raasta bata deta....lekin tumhe us waqt is kamandal ki
shaktiyo ka gyaan nahi tha....isi vajah se se tumne apni buddhi
lagakar us paani ko girne nahi diya tha.....
Mai--Gurudev mai ab is kamandal se kuch nahi manguga....kya pata
ye kuch aisa maang le jo mai de bhi naa paau....
Gurudev--Rudr mai kuch dino ke liye....dusre aayam mai jaa raha
hu....dusre aayaam mai mera kuch bahot jaruri saaman pada hai jo

mujhe lekar aana hoga....


Tab tak ye kamandal mai tumhare paas he chhode jaa raha hu....
Or isi ke saath tumhara dusraa adhyaay bhi shuru hota hai....jiska
naam hai....laalsaa
Mai--par Gurudev mai yaha akela kaise rahunga....mujhe to khana
banana bhi nahi aata...or kamandal devta se kuch maangne ka
matlab hai Mera kisi naa kisi musibat mai fasna....
Gurudev--tumne jo sikha hai uska abhyaas karte jaao.....or waise
bhi tum yaha akele kaha ho....pura himaalay or yaha ke jeev jantu
tumhari raksha ke liye sadev tatpar hai....
Mai--theek hai Gurudev....aap aaram se jaa kar aaiye....mai koi
naa koi bandobast kar he lunga......
Uske baad Gurudev waha se gaayab ho jaate hai or mai waha akela
rah jaata hu....saara din mai us shiksha ka abhyaas karne lag
jaata hu....
Mai aashram ki safaayi bhi usi shakti ki madad se kar deta
hu....uske baad m mai nadi kinaare jaa kar apni shakti se nadi ki
lahro se khelne lag jaata hu....kabhi mai uski lahro par koi aakriti
bana deta hu kabhi koi aakriti....
Tabhi achanak nadi m Ek bavandar banne lagta hai....or jab wo
bavandar shaant hota hai to ek sundar devi us nadi mai se nikalkar
mere paas aa jaati hai.....
Devi--kya hua Rudr....tum itne udaas kyo bethe ho....kya tumhe
kisi ka intjaar hai yaha....

Mai--aap kon hai....or aap mera naam kaise jaanti hai....


Devi--mera naam shubhadri hai or Ye nadi meri he hai jismai tum
tarah tarah ki aakritya bana rahe the....Or tumhe yaha tumhare
guru ki vajah se har koi jaanta hai....isliye mera bhi tumhe jaanna
swbhaavik hai....
Mai--aap kya saara din is nadi mai rahti ho....kya aapko thand
nahi lagti....
Devi--muskuraate hue...Rudr ye nadi mera he ek roop hai....isliye
iska jal mujh par koi prbhaav nahi daalta....darasal tumhare is
tarah nadi ki lahro par aakritya banane se kaafi samsya khadi ho
sakti thi isliye mujhe apne devi roop mai aana pada....
Mai--samsya....meri vajah se...??
Devi--ha Rudr tumhara is tarah lahro se chhed chaad
karna....aage padne waale gaavo mai baadh kaa roop le sakta
tha....or anjaane mai he tumse maha paap ho jaata.....isi vajah se
mujhe tumhare saamne aana he pada....
Mai--oohh mujhe maaf kare devi ma...kya mai aapko maa bula
sakta hu....

Devi--ha Rudr kyo nahi....tum mujhe maa bula sakte ho....


Mai--mere mata pita is duniya mai nahi hai....isiliye kabhi unka
pyaar mujhe nahi mila....
Devi--kisne kaha tumse tumhare mata pita is duniya mai nahi
hai....??wo to hamesha tumhare paas he rahte hai....tumhare
hriday mai vaas karte hai....
Mai--kya aap mere maata pita ko jaanti hai....
Devi--ha Rudr mai tumhare mata pita se bhi mil chuki hu....lekin
tum mujh se is baare mai koi or sawaal karo is liye mai tumhe ye
bata deti hu ke tumhare un sawalo ka jawab mai nahi de paaungi....
Mai--koi baat nahi maa....mai aapse is baare mai or kuch nahi
puchunga....
Mujhe niraash betha dekh devi shubhadri ne mujh se kaha.....
Devi--Rudr tumhare mata pita ki chaavi tum mai dikhaayi deti
hai....tumharai mata ki tarah tumhaari aankhe bhi jheel ki tarah
neeli hai....or tumhare pita ke chehre kaa tej bhi tumhare chehre
par dikhaayi padta hai....

Mai--maa kya mujhe aap us hatyaare ka naam bata sakti hai.....


Devi--kshama karna Rudr lekin abhi is baare m mai tumhe kuch
nahi bata sakti....tumhe bas apni shikhsa par dhyaan dena hai....or
baaki saari baate khud baa khud tumhare saamne khulti chali
jaaengi....
Mai--theek hai maa mai us samay ka intjaar karunga....
Uske baad devi shubhaadri nadi ki taraf waapas jaane lagti hai or
ek pal thahr kar nadi kai andar haath daal kar ek gale ka kanttha
meri taraf badha deti hai....
Mai--ma ye kya hai....
Devi--Rudr ise apne gale mai dhaaran kar lo....ye tumhe kisi bhi
tarah kai khatre ka aabhas pahle se he kara dega....koi bhi tumhe
chhl yaa dkhoka nahi de paaega isko dhaaran karne kai baad....or
ye ek kavach ka bhi kaam karega....saadharn mantr shakti se ye
tumhe bacha sakta hai....lekin kisi aasadhaaran mantr shakti se ye
tumhe bas kuch pal he bacha sakta hai....
Mai--maa lekin mujhe gurdev ke hote hue kis se khatra hai....
Devi--Rudr samay badal raha hai.....tumhe apni shiksha jaldi he
puri karni chaiye...khatra ab jyada dur nahi hai tumse....
Ab mujhe jana hoga Rudr....kabhi bhi meri aavshykta ho mujhe
pukaar lena....mai tumhare paas jarur aaungi.....
Isi ke saath devi shubhaadri phir se us bavandar mai sama jaati
hai....
Ab mai waapas aashram mai aajata hu or waha kuch sukhi lakdiya
apni shakti ki madad se ikattha karna shuru kar deta hu....mai apni
shakti ki madad se un lakdiyo ko ek aakar mai tod bhi paa raha
tha....or wo bhi badi aasaani se....maine kuch lakdiya aag jalne ke
liye ek jagah laga di or do patthro ko apni shakti ki madad se
aapas mai ragad kar un lakdiyo mai aag bhi laga di.....
Mera aisa karte rahne se mera apni shakti par niyantran bhi badh
raha tha or wo pahle ki apeksha jyada taaktavar bhi hoti jaa rahi
thi........
Lekin ab mujhe bhukh lagna shuru ho gayi thi....jo ki mere liye
ashaniy thi......
Mera jeevan teji se badal raha tha.....jaha mai ek mamuli baccha
tha wahi aaj mai ek dum se itna khaas hogaya k sabhi se mujhe
kuch na kuch mil he raha tha....pahle ma sirsa Ne mujhe wo tabeej
diya....phir ma shubhadri ne gale ka kantha....Gurudev dwara
sikhaaye gaye mantr shakti bhi ab dheere dheere mere kaabu mai
aati jaa rahi thi.....lekin ek samsya us kamandal ke roop m mere
saamne padi thi....mujhe bhukh lag rahi thi....lekin mai bahar jana
nahi chahta tha....ek to andhera ho gaya tha uper se Gurudev bhi
yaha nahi the......

Agar mai kamandal se kuch maang bhi leta hu to ye mujhe kuch naa
kuch laane bahar bhej he dega.....is se badhiya mai khud he bahar
jaakar kuch dhundh laau.....
Mai kuttiyaa se bahar nikla or kisi faldaar ped ki talash mai mai
jungle ke andar badhne lag gaya....kaafi dur jaane ke baad bhi
mujhe koi aisa ped nahi mila....
Tabhi mujhe kisi aavaj ne dara diya wo aavaj sunkar mere rongte
khade hogaye the....mere paas he ki kuch jhaadiiyo mai se patto ki
aavaje lagataar tej hoti jaa rahi thi.....
Un jhaadiyo m se ek bhediya nikal kar bahar aaya....ye wahi
bhediya tha jo mujhe us din mila tha jab mai ma sirsa ke paas se
kamandal lene gaya tha......
Wo mere paas aate he mere muh ko chaatne lag gaya....maine bhi
usko apni baaho mai bhar liya or us se baate karne lag gaya....
Mai--kya dost mujhe to tumne dara he diya tha.....wo to accha
hua jo tum jaldi saamne aagaye....warna meri to tumne haalat patli
kar di thi....
Bhediya--kuuunn...kuuunn...kuuunnn....
Jaise wo meri saari baate samjh raha ho.....
Mai--accha aaj se mai tumhe jhumroo kah kar bulaaunga.....tum
mere ab se pakke waale dost ho....ab se hum dono hamesha saath
rahenge.....

Yaar mujhe bhukh lagi hai koi jagah jaanta hai jaha kuch khaane ko
mil jaaye....
Jhumroo mujhe apne sir se ek taraf dhakelne laga....or uski ye
baat samjh kar k ye shaayd jaanta hai ke khaana kaha milega
mujhe waha lejana chahta hai....mai turant uske uper beth gaya or
wo bhaagte hue.....mujhe waapas aashram ke andar le aaya.....
Mai--jhumroo tu mujhe waaps yaha kyo le aaya.....ek to mujhe
bhukh lag rahi hai or uper se tu mere saath is tarh se khel raha
hai.....
Jhumroo phir se mujhe dhkelne lag gaya or dhakelta dhakelta mujhe
kuttiya k andar lekar aagaya....or kamandal ki taraf dekhte hue
apni punch hilaane laga....
Mai--jhumroo ke bacche tu mujhe waaps is kamanadal ke paas kyo
le aaya......mai is se kuch maang naa lu isiliye mai bahar khana
dhundhne nikal gaya tha or tu mujhe phir se le aaya.....
Ab to kamandal devta se he kuch maangna padega.....
Mai--He kanadal devta.....mujhe or jhumroo ko bhuk lagi hai kyaa
aap humaare liye dudh ki vyavstha kar sakte hai..
Kamandal--dudh tumhe mil jaaega.....lekin pahle tumhe nadi se jal
laakar is kamandal ko bharana padega.....
Mai--chal jhumroo apna kaan ho gaya hai ab jaldi se nadi par

chalte hai or waha se jal laakar iske andar bhar dete hai....phir to
hume dudh he dudh milega.....
Uske baad mai jhumroo ke uper beth kar nadi se jal laakar
kamandal mai bhar deta hu.....ek bartan m mai apne liye dudh
nikaalta hu or ek bartan mai jhumroo kai liye.....
Mai apna dudh peene lagta hu....lekin jhumroo lagataar mujhe he
dekhe jaa raha tha....wo dudh nahi pee raha tha.....maine apna
dudh khtam karke jaise he jhumroo ki taraf dekha wo apne kaan
niche karke mere saamne beth gaya.....
Mai--kya re jhumroo tu dudh kyo nahi pee raha.....ooohhhhh ab
samjh mai aaya.....tu dudh nahi peeta.....tu kutta thode he hai jo
tu dudh piyega.....lekin tune aaj shikaar kyo nahi kiya....
Jhumroo bas apni aankhe band kiye wahi jamin par betha raha.....
Mujhe uska is tarah bethna dukh pahocha raha tha........kya mujhe
kamandal devta se iske khane ke liye kuch maangna chaiye.....
Jhumru apni aankhe band kiye wahi betha hua tha....mai kabhi
kamandal or kabhi jhumru ko dekhne lag gaya.....
Mai is baare mai sochte sochate pareshaan hogaya tha....kya
mujhe kamandl devta se jhumru ke liye kuch maangna chaiye....
He kamandal devta kripa karke ke is mook bhediye ke liye kuch
khaane ke liye dijiye....

Kamandal--theek hai lekin pahle tumhe apna rakt is kamandal mai


daalna hoga....
Kamandal ki baat sun kar mera chehra peela pad gaya....ab mujhe
apna khoon dena hoga kamandal ko uske baad he wo jhumru ke liye
khaana denge....
Mai kuttiya mai se bahar nikla or ek lakdi se apni hatheli mai ek
cheera laga liya.....or apne haath ko kas kar pakad kar waapas
kutiya mai aagaya or apna khoon us kamandal mai tapkaane
laga.....kuch bunde jaate he us kamandal mai se ek kharogosh nikla
or jhumru ke saamne aakar beth gaya....lekin jhumru ne use dekh
kar phir se apni aankhe band kar li....or ab usko aankho mai se
aansu bhi nikalne lag gaye the....
Mujh se jhumru ka ye vyvhaar dekha nahi jaa raha tha maine use
apno baaho mai bhar liya or uske sir ko apni god mai rakh liya....wo
khargosh bhi usi kutiya mai ucchal kud macha raha tha.....mujhe ek
baat to samjh mai aagayi thi ke jhumru ko bhuk nahi lagi hai
lekin.....koi to dukh hai ise jo mai samjh nahi paa raha....lekin
maine bhi man he man ye nishchay karliya tha ke jhumru ka dukh
mai dur karke he rahunga....
Hai kamandal devta jhumru kis kaaran se dukhi hai kripya iska dukh
dur kare....
Kamandal--tumhe dakshin disha m sthit ek gufa mai se ek pandulipi

laakar kamandal mai daalni hogi....uske baad is jeev kai saare dukh
dur ho jaaenge.....
He mahadev....dakshin disha.....guru badrinaath ne mujhe waha
jaane ke liye mana kiya tha.....lekin ab kya karu....
Tabhi kamnadal mai se phir se aavaj aayi....Rudr tunhare paas bas
subah tak ka waqt hai....sury ki pahli kiran mujh par padne se
pahle he mujhe wo pandulipi laakar de do....anytha....tum dono he
maare jaaoge....
Ye kya kar diya maine....khud ke saath saath jhumru ke jeevan ko
bhi sankat mai daal diya maine....agar nahi jaata hu tab bhi marna
nishchit hai or agar jaata hu tab bhi mrityu mera raasta dekh rahi
hai....lekin yaha bethe bethe marne se accha to mai waha dushto
kaa saamna karte hue maara jaau....chal jhumru....yaha bethe ka
ab koi faayda nahi hai....
Maine jaan bujh kar ek musibat apne sir par le li thi...lekin saamna
to karna he tha....
Jhamru ki pith par sawar hokar m dakshin disha ki taraf lagatar
badhne laga....kaafi bhayaanak jungle tha wo ped to the lekin pedo
par pattiya nahi thi........mai ek doraahe par aakr ruk gaya
tha....waha chal rahi hava bhi kaafi darawani aavaje kar rahi
thi....maine pahadi ki taraf ek raasata jaa raha tha use chun liya
tha....kuch duri par aage jaane par mujhe safed kapdo m ek daadhi
waale baaba mile....unka is tarah se is bhayanak jungle m hona
mujhe khatre kaa aabhaas de raha tha...
Mai--baba yaha koi gufaa hai kya mujhe waha jaana h....

Baba--tum sahi raaste par ho....lekin us gufaa m tumhe kya kaam


hai....
Mai--baba mujhe kuch jaruri saaman waha se laana hai...isiliye aap
se puch raha hu.,..
Baba--yaha se aage badhne ke baad m tumhe ek nadi milegi....us
nadi ko paar karne ke baad jab tum apne baaye haath ki tataf
dekhoge tab tum ko wo gufaa dikhaayi de jaaegi..,,
Mai--dhanywaad baba....aap nahi milte to mai to khud ko bhatka
hua mehsus kar raha tha....
Baba--agar tum waha tak jaa he rahe ho to kya mere liye us nadi
m se thhoda peene ka paani laa sakte ho....mera gala kab se pyaas
se sukh raha hai....
Mai--haa baba mai waapas aate waqt aapke liye paani lekar
aaunga....tab tak aap yahi beth kar aaraam kare....
Or uske baad mai waha se teji se badhta hua wo jungle paar karne
laga....
Jaise jaise m wo jungle paar kar raha tha bhyaanak chikhe mere
kaano mai padti jaa rahi thi....

Mujhe ab wo nadi nazar aagayi thi us par ek chhota sa pul bana


hua tha....jo maine or jhumru ne kaafi saavdhaani se paar
kiya...pul paar karne k baad mujhe wo gufa dikhaayi de gayi...
Mai dheere dheere us gufaa ki taraf badhne laga....
Gufa mai kisi ke hone kaa aabhas lagataar mujhe mere gale m pada
hua kantha karwa raha tha....waha par chaaro taraf jaanwro ki
haddiya padi hui thi....jo ye saabit kar rahi thi k yaha koi
khtarnaak jeev rahta hai....
Mai gufa ke andar badh gaya....mujhe kisi ke khrrato ki aavaj
sunaayi de rahi thi...
Andar thodi roshni faili hui thi waha jal rahi aag ki vajah se...
Maine dekha...ek bahaot bada daanav andar aaram kar rahaTha....
wo itna bada tha ke wo mujhe apne ek haath se masalkar khtam
kar sakta tha....wo baar baar neend m kuch sunghne ki koshish kar
raha tha....jaise use meri khushbu waha aa rahi ho....
Wo jaha betha tha uske picche he ek chhota sa baksa mujhe nazar
aagya....
Maine aahista aahista apni shakti ki madad se us bakse ko hava mai
uthha liya...use dheere se apne paas laakar maine us bakse ko apne
haatho m pakad liya....
Maine use khool kar dekha to kaafi saare kaagaj uske andar sahej

kar rakhe hue the...maine us bakse mai se saare kaagaj nikaal kar
apni kamar mai ghusa liye or us bakse ko dheeree se wahi rakh
kar...aahista aahista gufaa se bahar aagaya....
Mujhe gufa ke baahar he ek chhota sa kalash dikhaayi pad gaya
maine use uthaaya or nadi ki taraf jhumru ke saath badh gaya....
Nadi ke paas pahochte he jhumru nadi ki taraf dekh kar gurrane
laga....khtare kaa aabhas to mujhe mere gale ka kantha bhi
lagataar de raha tha lekin mujhe kuch dikhaayi nahi de raha tha....
Maine wo kaagaj apni kamar se nikaale or waha jamin par rakh kar
uspar ek ptthar rakh diya....or dheere dheere nadi ki taraf badhne
laga.....
Maine jaise he wo kalash nadi ke jal se bharna chaha....nadi m ek
jaljala aagaya....nadi ka jal bhayankar tarah se hilne lag gaya
Tha......
Mai ek baar phir se musibato m fas chuka tha....nadi m vishaal
lahre baanne lagi....nadi kaa paani itni jor jor se hil raha tha k
uske jal ke chhite mujh tak bhi pahochne lage the....
Jhumru ki gurraahat bhi lagataar badhti he jaa rahi thi....
Tabhi us nadi mai se ek vishaal saanp nikal kar bahar aagaya.....us
saanp ka dhad kisi ladki ka tha or baaki ka hissa saanp ki tarah
lahra raha tha.....
Wo ladki mere paas lahraati hui aage badhne lagi....

Mai kuch samjh paata us se pahle he me uski vishaal punchh ke


ghere m aa chuka tha...
Jhumru ne mujhe is tarah fasa hua dekh kar us ladki par humla kar
diya lekin...humlaa karne se pahle he us ladki ne jhumru par apne
haatho se waar kar diya.....jhumru waha ek ped se takraaya or
wahi behosh ho gaya....
Mai--hai naag devi....mujhe aap kyo maarna chahti ho...maine
aapka kya bigada hai....
Naag--tu mera kuch bigaad bhi nahi sakta....lekin tune yaha aakar
apni mrityu ko amantran de diya hai....aaj tujhe khaa kar mai apni
shudha bujhaaungi...
Mai--to phir theek hai...mai bhi dekhta hu aap itni badi hokar
mujh chhote baalak ko khaakar kaise pet bharti ho...
Achanak wo apni kundali kasne lagti hai....mujhe apni haddiya
kadkadati mehsus hoti hai....
Mujhe ek dahaad or sunaayi dene lag gayi thi....wo daanav bhi teji
se bhaagta hua meri taraf he aa raha tha....uske haatho m ek ped
jad se ukhda hua tha.....wo mujhe par prhaar karne he waala tha k
maine apni shakti ki nadad se us prhaar ka rukh mod diya....wo

prhaar sidha us naag ke sir par jaakar laga.....or itna waqt kaafi
tha mujhe uski kundli mai se nikalne k liye....
Mai waha se bhaagakr sidhaa jhumru ke paas pahuchta hu....lekin
jhumru abhi bhi behosh he tha....is samay mera yaha se bach ke
bhagna meri kaayarta hogi....yahi soch kar m ek baar phir se un
rakshsho ke saamne jaa kar khada ho gaya....
Maine apni shakti ki madad se undo par pedo ko ukhaad ukhadd kar
maarne laga lekin....unka is se koi asar nahi ho raha tha....
M haar chuka tha....meri shakti abhi itni taakatvar nahi hui thi jo
m un dono kaa saamna kar saku....
Mai apne haath jod kar wahi beth gaya or prarthna karne
laga.....or anaayas he mere mukh se ek mantr nikalne laga....mere
chaaro taarf aag ki vishaal lapte failne lagi....aag ke us vishaal
kavach ko bhed paana un dono ke liye mushkil ho raha tha....
Wo lagataar aag ko paar karne ki koshish kar rahe the lekin jaise
he wo aag ke paas aate khud ko jhulasne se nahi rok paate....tabhi
wo daanav mujhe chhodkar jhumru ji taraf badhne laga....ye dekh
kar m ghabra gaya or apni jagah se uth kar.....apni shakti ki
madad se waha laga hua ek vishaal ped uthaa liya....mera aise
karte he us ped mai aag lag gayi....or wo jaakar sidhaa daanav ke
sar par pada....
Wo daanav is humle se ghabra gaya or nadi ki taraf jalta hua
bhaagne laga....

Ab us naag ki baari thi....maine wahi jalta hua ped us naag par bhi
maar diya....lekin wo naag furti se bachte hue nadi ke andar bhaag
gayi...
Nadi me jaate he usne us daanav ko apni kundali me bhar liya or
use nigalne lagi....
Shaayad wo dono he ek dusre ke dushman the....lekin mujhe yaha
dekh kar pahle mujhe maarna he unhone sahi samjha hoga..
Us naag ne us daanav ko pura nigal liya....lekin tabhi ladkhadaate
hue wo naag phir se paani se nikalkar jamin par aa gira....or kuch
he der baad us naag ka pet faad kar wo daanav bahar
aagaya....uska puraa sharir neela pad chuka tha....wo dheere
dheere apni gufaa ki taraf badhne laga or kuch kadam chalte he
dharti par dhadaam se gir pada....
Mai teji se bhaagakar jhumru ke sir ko apni god m rakh kar
sahlaane lagta hu....jhumru ko bhi ab dheere dheere hosh aane lag
gaya tha....
Jhumru ne mujhe salamat dekh kar mera chehra apni jibh se chatna
shuru kar diya....
Mai--ab bas bhi kar yaar...kitna chaatega...chal ab khada ho
saara khtra dur ho gaya hai....chal dono nadi m se paani peete h
or...us budhe baba ke liye bhi paani lekar jaana hai....

Hum dono ne nadi m se pahle paani piya or phir wo kalash bhar


liya....ptthar ke neeche se wo kaagaj nikaalne ke baad maine phir
se use apni kamar me khons liya....or waapas chal pade aashram ki
or......
Un dono ke marte he jungli jaanwar phir se us jungle m lautne lage
the....jungle phir se hara bhara hone lag gaya tha....har taraf
panchiyo ki kalrav dhwani gunj rahi thi.....mai wo paani se bhara
kalash utha kar jaise he nadi ka pul paar karne laga mujhe wo
safed daadhi waale baba bhi nazar aagaye....
Mai--are baba aap yaha....mai bas aapke liye paani lekar he
aaraha tha....
Baba--beta tumne in daanavo ko maar kar meri pyaas pahle he
bujha di hai.....ab mujhe is jal ki koi avshyakta nahi hai...,
Mai--lekin baba aap hai kon.....or is jungle mai aise akele kyo
ghum rahe ho....
Baba--mai is jungle ka raaja hu....ye jungle mera ghar hai.....
Mai--raaja lekin aap to ek saadhu ki tarah dikh rahe hai.....
Baba meri ye baat sunkar muskuraane lage....or mere haatho m
apne kandhe par rakha ek kambal mujhe dekar kahne lage....

Baba--mera raaja waala roop bhi tumhaare saamne aajaega....ye


kambal tum apne paas rakho ye tumhare aane waale samay mai
bahot kaam aaega....
Mai--lekin baba mujhe is kambal ki koi aavshyakta nahi
hai....Gurudev ki kripa se mujh par thand ka asar nahi hota hai.....
Baba--beta ye koi saadhaaran kambal nahi hai....isko odh lene ke
baad tumhe koi dekh nahi sakta tum puri tarah se adrishy ho
jaaoge...
Mai--sach mai baba....kya ye kambal itni karaamati hai....
Mai us kambal ko apne sir ke uper daal leta hu or khud ki parchaayi
ko pul ke uper se nadi mai dekhne ki koshish karta hu lekin mujhe
apni parchaayi bhi dikhaayi nahi deti.....uske baad mai wo kambal
phir se samet kar apne haatho mai rakh leta hu....
Mai--waah baba ye to kamal ki cheej hai....
Baba--accha beta mujhe ab jaane ki aagya do....
Or uske baad wo safed daadhi vaale baaba ka roop badlane lagta
hai.....or jab wo apne asli roop m aate hai....to mere chehre par
muskaan khil jaati hai.....

Mere saamne ek shaandar sher khada tha....maine unhe haath jod


kar prnaam kiya or waapas aashram ki taraf chal pada...
Panchhiyo ki aavaj sawera hone ka ishaara kar rahi thi or mai
jhumru ke uper beth kar teji se aashram ki taraf badh raha
tha....or suraj nikalne se pahle he us kamandal ke saamne khada
tha.....
Maine apni kamar mai khosi hui wo pandulipi nikaal kar kamadal mai
daal di or tabhi waha ek jor daar prkaash fail gaya....us kamandal
mai se ek bhediya ka baccha nikal kar aagaya or jab maine jhumru
ki taraf dekha to wo bhi ek nanhe shaavak ke roop m mere saamne
ucchal raha tha.....
Kamandal--Rudr jis tarah tumhara swaabhav apne baalpan ke
anusaar hai usi tarah in dono shaavko ka svbhav bhi hai....laalsa
har vastu har cheej ko paa lene ki chahat....
Aisa he kuch barso pahle hua tha....ye dono nanhe shaavak yaha
khelte khelte aashram mai aagaye the....or jab Gurudev ko mujh se
kuch maangte dekha to.....in dono ne bhi mujhse kuch maangne ke
liye pryaas karna shuru kar diya ek din jab Gurudev yaha nahi the
to mere saamne aakar tumhare saathi jhumru ne mujh se kuch aisa
maang liya jiski kimat jhumru nahi de paaya...or isi vajah se uska
sab se priy uska bhai maine apne paas rakh liya.....
Bas isi prkaar samay vyatit hota gaya or jhumru apne bhai ka
intjaar karne laga....
Or baaki sab kuch to tumhare saamne he hai....

Mai--hai kamandal devta....aapka kahna bilkul sahi hai....hume


apni laalsa par kaabu rakhna chaiye...jitne ki avshyakta hai us se
adhik sanchay karne par mushkilo ka he saamna karna padta
hai....jis tarah jhumru ne apni laalsa ki vajah se apna bhai kho
diya....usi tarah jhumru ki samsya jaanne ki laalsa ki vajah se mera
priy mitr mujh se dur hogaya...ab ye nanha shaavak jab tak phir se
bada hoga tab tak sab kuch badal chuka hoga....
Kamandal--tumne theek kaha Rudr....lekin tumne wahi kiya tha jo
jaruri tha....isliye jaldi he tumhari dosto ki kami puri ho
jaaegi....ab in shaavko ko vida karo....or apne abhyaas mai lag
jaao....samay vikraal roop dharne waala hai...jldi he haalat
badlenge....aasman kar rang rakt ki tarah laal ho jaaega....hawa
apne disha badal degi....tumhe un sab ka saamna karna hoga
Rudr....ek tum he ho jo phir se samaj mai shaanti sthapit kar
sakte ho....
In kuch he dino m jhumru mujhe mere bhai ke saman lagne
laga ....or in kuch he dino m mujh se har wo cheej chhin gayi jise
maine apne dil m basa liya tha....pahle mata sirsa or ab jhumru....
Maine un dono nanhe shaavako ko apni god m uthaya....god m
uthaate he wo dono mera chehra chaatne lage...
Mai unhe aashram ke baahar le aaya or tabhi kaafi saare bhediyo
ne mujhe gher liya un saare bhediyo m se ek bhediya mere saamne
aagaya jo shaayad in dono ki maa thi....
Maine jhumru or uske bhai ko ahista se jamin par rakha or wo
dodkar apni maa ke paas chale gaye.....uske baad wo sabhi waapas
jungle ke andar jaane lage..
Mai un sab ko jaata hua dekh raha tha apni aansuo se bhari aankho

se....tabhi jaate jaate jhumru ruka or meri taraf dekhne laga....


Phir achanak usne apna sir aasmaan ki tarah kiya or ek maasoom
aavaj uske gale se nikalne lagi....wwwooooooo....
Uski dekha dekh sabhi bhediye bhi waise he shor machane lag gaye
jaise wo mujhe shukriya kah rahe ho....
Jhumru ab jaa chuka tha mai wahi paas he ek chattan par beth
gaya or jhumru ko yaad karne lag gaya....kabhi mere chehre par
muskaan aajati or kabhi jhumru se alag hone ka dard meri aankho m
aansu laa deta....
M pareshan tha....jhumru he bas mere dil or dimaag m chhaya hua
tha....tabhi mere picche kisi ke hone ka mujhe aabhas hua....
Gurudev--Rudr aise niraash kyo bethe ho....apni niraasha par
kaabu paao....tumne jo kiya wo bilkul theek kiya...jhumru ko uske
pariwaar ke paas jaana he tha....socho jab tum apne pariwaar kw
paas jaoge tab kya hamesha mere saath rah paaoge....
Mai--mera pariwaar....??lekin ab to koi bacha he nahi hai....
Gurudev--samay sab vyavasthit kar deta hai Rudr....or samay he
tumhe tumhare pariwaar se milwaaega....
Itna jaldi maine kisi ko bhi apni laalsa par kaabu karte hue nahi
dekha h Rudr...tumne apna dusra adhyaay bhi purn kar liya
hai....mujhe badi khushi h jo tum aisa kar paaye.....

Mai--Gurudev mai aapse kuch jaanna chahta hu....


Gurudev--pucho Rudr....bas aisa kuch mat puchhna jiska jawab m
naa de paau....
Mai--gurdev jab mai us naag or us daanav ke saamne haar chuka
tha....tab achanak mere mantro mai itni shakti kaise aa
gayi....kaise mere charo taraf wo aag ka ghera ban gaya kaise us
aag ka vikraal swaroop un daanavo ko rok paaya.....
Gurudev--Rudr devi shubhadri ke diye hue gale ke kanthe ki vajah
se waha ek raksha kavach ban gaya tha....or wahi kawach
tumhaare mantro par bhi chadh gaya tha...us kavach ko bhed pana
un daanavo ke bas m nahi tha....isi kanthe ke kaaran tumhari vijay
sunishchit hui....tum unhe maar bhi sakte the jabki koi bhi praan
ghaatak mantr is shikhsa m nahi hai....
Mai--ohh maata shubhadri ke os kanthe ki vajah se mai un dushto
se bach paaya.....aapko maalom hai Gurudev us jungle m mujhe ek
baba mile the jinhone mujhe ek kambal bhi diya.....or uske baad wo
ek adbhut sher m badal kar jungle m chale gaye the....,
Gurudev--mujh se kuch nahi chhupa h Rudr....m sab jaanta
hu...tumhare kalyaankaari prayaaso ki vajah se tumhe aise uphaar
or bhi milenge jinka upyog samay ke anusaar tum kar paaoge.....
Mai--kya aap jaante the mai kamandal devta se kuch aisa
maanglunga jiski vajah se mujhe un daanavo ka saamna karna

padega....
Gurudev--isi vajah se m yaha se chala gaya tha....agar m
tumhaare paas rahta to tum mujh par aashrit ho jaate jo ki mai
nahi chahta tha....
Tumhe aane waali har kathinaayi ka saamna khud he karna
hoga....meri sikhaayi gayi shikhsa ke saath saath tumhe mile
uphaar un mantro ki shaktiyo ko kayi guna badha denge....
Mai--Gurudev devi shubhadri mere maata pita ko kaise jaanti
hai....
Gurudev--ab apne sawalo ki baadh ko roko Rudr.....or chalne ke
liye taiyaar ho jaao....
Hum abhi dusre aayam ke liye yaha se prasthaan karenge...wahi
aayam tumhari karam bhumi banega....
Ek naye safar ki shuruvat ho chuki thi....kuch sawalo ka jawab
dhundhna tha mujhe.....kuch sawal or mere saamne aane waale
the....samay apna vachan hamesha nibhata hai....bas hame bhi
samay se kiya apna vachan nibhana pdta hai...
Maine Gurudev ka haath pakda or ek tez dhamaake ke saath hum
waha se gaayab ho gaye.....agle he pal mujhe bhishan garmi ka
ehsaas dila raha tha....hum ek sulagte hue jwalamukhi ke uper
khade the....
Jwalamukhi ke andar faila laawa sab kuch nigalne ke liye apni jibh
laplapa raha tha....hariyaali ka dur dur tak naamonishaan nahi
tha....aasamn se bhi raakh gir rahi thi jaise....ye jwalamukhi
dubara fatne ke liye taiyaar ho raha ho.....

Mai--Gurudev ye konsi jagah hai...or hum yaha kya kar rahe


hai.....
Gurudev--Rudr ye jwala parvat hai....ye parvat kabhi bahot poojniy
tha......aaj ye jitna ashant dikh raha hai.....utna he shaant or
shital kuch samay pahle ye hua karta tha....jabse dushto ki chhaya
sury nagar par padi hai....tab se he jwala parvat ka krodh bhi
lagataar badh raha hai....
Jwala parvat mere saath saath tumhare liye bhi poojaniy hai isliye
inhe prnaam karo or inka aashirwaad lo...
Mai jwala parvat ka smaran karke unhe praanm karta hu or tabhi
jwalamukhi ka laawa teji se ufanne lagta hai.....
Us laave mai se laal rang ke kapde pahne ek saadhu nikalte
hai....jinke mukh par hajaro sury ka prkaash vidhmaan
tha....aankhe angaaro ki bhaati sulag rahi thi....haatho mai ek
shakti shaali bhala jisme se aag ki lapte nikal rahi thi....
Jwala--guru brahm accha hua jo aap yaha aagye....kab se m bas
aapki he pratiksha kar raha tha....kab se bas aapke aadesh ki
prtiksha kar raha tha ke kab aap mujhe aagya de or samuche sury
nagar ka vinaash kar du mai.....
Gurudev--guru jwala...agar aap samuche nagar ka vinaash kardenge
to yaha rahne waale nirdosh praani bhi aapke krodh ki chapet m

aajenge....kripa karke kuch samay ke liye apna krodh shaant


kare....kyoki ye baalak ab punh yaha shaanti sthapit karega...
Guru jwala meri taraf dhyaan se dkhne lagte hai....mai bas apne
haath jode unke bhaale ki he taraf dekhe jaa raha tha....us m se
nikalti hui lapte mujhe sammohit kar rahi thi....mere is tarah
dhyaan se dekhne se uski lapte dheere dheere kam padne lagi
thi....
Jwala--Rudr apna dhyaan mere bhaale se hatao....m jaanta hu tum
jaldi he yaha shaanti sthapit kar loge lekin tum me abhi itna bal
nahi hai jo itni jaldi tum apna lakshy praapt kar sako....
Mai--guru ji mai to shiksha paane ke liye aatur hu....shaktiya
paane ke liye bhi....or jaldi he mai saari shiksha puri bhi kar
lunga....lekin mera ek sawal hai....
Jwala--puccho Rudr kya sawal hai tumhara......jo tumhe udvign kar
raha h....
Mai--guru ji jab barsaat aati hai tab to aapke bhaale mai se
nikalti aag bhi bujh jaati hogi....phir aap dubara ismai aag kaise
lagate ho....
Guru jwala ka chehra jo thodi der pahle krodh se tamtama raha tha
wo mere is sawal se muskuraaht se bhar gaya....

Jwala--ek komal man hamesha apne sawalo ke jawab dhundhta


rahta hai...or jitne jyada wo sawal pucchta hai utne he naye sawal
punh jaagrat ho jaate hai....waasatav mai sawal he gyaan ko paane
ki pahli sidhi hoti hai....agr aapke man m koi sawal ab shesh nahi
hai iska matlab yaa to aapka gyaan adhura hai yaa phir aapme
sikhne ki jigyaasa khtam ho gayi hai....
Rudr mera bhala baarish padne par bhi bujhta nahi hai....lekin
mujhe khushi hai tumhare sawal ka jawab dene par....yadi tum aise
he sawal karte rahoge to mera bhi akela pan dur ho jaaega....
Guru brham mai chahunga ke Rudr ki shikhsa mere paas
ho....buraayi se ladne ke liye jo shaktiya ise praapt ho sakti
hai...wo mai he Rudr ko de sakta hu....
Gurudev muskuraate hue....guru jwala mai aapke paas Rudr ko
isiliye laaya hu....shiksha ka prarambhik roop Rudr ne pura kar liya
hai....or samay bhi kam hai....or meri sikhaayi gayi shiksa ka pryog
ye us dusht par nahi kar sakta isliye aap he iska maarg darshan
kare....aapki shaktiya Rudr ko jaldi he ek shaktishaali yoddha m
parivartit kar dengi....
Jwala--jaisi aapki aagya guru brahm....mai ab ye jwala parvat
chhod kar Rudr ko waha le jaa raha hu jaha maine apni shiksha
grahan kari thi....kripa karke mujhe aagya de....
Gurudev--hum dono ke guru ek he the isliye hum dono bhi ek dusre
se kuch naa kuch sikhte he rahte the....bas humare vyvhaar alag
the....aap hamesha aag ki tarah krodh se bhare rahte the or mera
man kisi jhhil ki tarah shaant....shaayad Rudr aapse shiksha lete
lete aapke krodhit man ko bhi shaant kar sake....
Mai--Gurudev kya aap humaare saath nahi chal sakte....

Gurudev--Rudr mai to hamesha tumhaare saath he rahunga....ye


kamandal ab se tumhara hai....jab bhi iski aavshyakta tumhe
mehsus ho tumhare dwara iska smaran karte he ye tumhare saamne
upasthit ho jaaega....
Mai--kamandal devta....??? Nahi nahi Gurudev mai chhota baalak
itni khtarnaak vastu ko apne paas kaise rakh sakta hu....
Gurudev--muskuraate hue... chinta mat karo Rudr....jan kalyaan
kai liye tum kamandal se kuch bhi mangoge wo tumse bina kuch
maange, tumhe de dega.
Mai--phir theek hai Gurudev....waise aap saath rahte to accha he
hota....guru jwala ka krodh mujh par tutne se pahle kam se kam
aap mujhe bacha to paate....
Guru jwala muskuraate hue Rudr se kahte hai....
Jwala--Rudr krodh mera swbaav hai....lekin bina kisi kaaran mera
prkop kisi par nahi padta....ab apne Gurudev se aage ki shikhsa ke
liye prasthaan karne ki aagya lo....
Mai--Gurudev...kripa karke mujhe aagya de...mai jaldi he aapse
milne phir se aaunga....
Gurudev--aagya hai Rudr....apne lakshy ko praapt karo....jaldi he
samay phir se badlega.....veerana phir se basant ke phoolo se khil

jaaega...paap ka ant hoga nyaay ki sthapna hogi....or karta tum he


banoge........
Kuch naye sawaal ab man mai uthne lage the.....kuch sawal abhi bhi
jese ke taise pade the....jaane kab in sawalo ke jawab milenge....
Hum dono waha se nikal kar ek shaant jagah pahoch
gaye....aashram ujada hua tha lagta tha jaise barso se yaha koi
nahi aaya....ye aashram ghane jungle ke bicho bich bana hua
tha ....
Mai--guru ji lagta hai yaha kaafi samay se koi nahi aaya....
Guru--ha Rudr jab hum dono ki shiksha puri ho gayi....tab humare
guru ne bhi is aashram ko chhod diya tha...ek baar phir se is
aashram mai mantro ki dhvni gujengi....lekin saawdhaan bina meri
anumati ke tum is jungle se baahar nahi jaaoge....
Mai--guru ji mai kahi nahi jaaunga bina aapse puche....
Kya mai jaan sakta hu abhi hum jis jagah hai wo kya kahlaati hai..
Guru--Rudr ye jagah sury nagar ka he hissa hai....lekin is jungle
mai koi nahi aata hai kyoki yaha rahne waale jeev is jungle mai kisi
ko aane nahi dete....
Ab tumhari shiksha paane ka samay ho gaya hai....tumhari shiksha
ka ye adhyaay pahle mile adhyaayo se adhik kathin hai....

Mai--guru ji ab konsa adhyaay mujhe sikhna hai....


Guru--saty.....saty he sarvopari hai or saty he jeevan ka mool
aadhar hai....tumhe ab saty ki khoj karni hai....lekin saty ko yaha
is jungle m rah kar praapt karna tumhaare liye aasan nahi
hoga....isliye mai tumhe is jungle se bahar jaane ki anumati bhi
deta hu....lekin sirf din bhar tum is aasharam se bahar rah sakte
ho raat hone par tumhe is aashram m he rahna hoga....
Mai--guru ji saty kya hai.....
Guru--humara yaha hona bhi ek saty hai.....saty sabhi jagah
vidhmaan hai....ek saadhu ki saadhna bhi saty hai....saty par he
prithvi ka saara bojh hai....mera tumhara saans lena bhi saty
hai....
Mai apne sir ko khujaate hue guru jwala se mil rahe is gyaan ko
samjhne ki koshish karne lagta hu lekin samjhna to dur mujhe naa
saty ka kahi haath dikh raha tha or naa per....
Mai--guruji agar saty sabhi jagah vidhmaan hai to phir mujhe
dhundhna kya hai....mujhe to samjh m he nahi aaraha aakhir muje
karna kya hai....
Guru--muskuraate hue....ye bhi ek saty hai Rudr...tumhare sawal
bhi saty ka he ek roop hai....saty ka gyaan rakhna itna aasaan
kaary nahi hai....ye ek uljha hua vishay hai....jise tumhe he

suljhaana hai....
Mai--guruji aapne sahi kaha suljhana to mujhe he hai....lekin
suljhaau kya is saty ne to mujhe he uljha diya hai....
Guru--jis din tumhari uljhan sulajh jaaegi tum saty ko praapt kar
loge....ab mera dhyaan lagane ka samay ho gaya hai...tum ab saty
ki khoj m prasthan kar sakte ho....
Mai--jaisi aapki aagya guruji....mai raat hone se pahle waapas
yaha aajaunga....
Guru--Rudr apne baare m tum kisi ko kuch bhi mat batana kyoki ye
saty batane ka abhi uchit samay nahi hai kisi ko bhi.....
Uske baad guru jwaala dharti par aasan laga kar beth gaye....or
mujhe naye sawalo ke saath akela chhod diya...
Mai waha se uchhalta kudta guruji ki batayi disha mai aage badhne
laga....jungle se baahar nikalne ke baad mujhe ek bada sa
darwaaja dikhaayi diya jo shaayd sury nagar ka he tha....m us
darwaaje ki taraf badh gaya ir jaise he mai us darwaaje mai prvesh
karne laga waha mojud prahriyo ne mujhe rok diya....
Prahri--baalak kaha ghuse chale jaa rahe ho....jaante nahi nagar
ke andar jaane ke liye tumhe shulk ada karna padega....
Mai--shulk....?? Konsa shulk mai to ek baalak hu bhala mujh se
kyo shulk le rahe ho....
Prahri--nagar m aane ke liye sabhi ko shulk dena padta hai....or
ye niyam sabhi ke liye hai....
Mai--lekin kya mujhe har baar shulk dena hoga nagar m prvesh
karne ke liye....
Prahri--agar tum anadar jaakar waapas bahar aagye....or agar
phir se tum nagar ke andar prvesh karoge to tumhe pravesh shulk
dena he padega....
Mai--lekin mere paas to dene ke liye kuch bhi nahi hai....bhaiya
jaane do naa aise he andar....
Prahri--agar tere paas dene ke liye shulk nahi hai to bhaag yaha
se....hume or bhi kaam hai....
Unki is tarah ki baato ne mujhe niraash kar diya....ab shulk kaha
se laau nagar m jaane ke liye....
Tabhi waha kuch log nagar m pravesh karne lagte hai or sabhi
prahri ko shulk dene lagte hai....mujhe waha is tarah khada dekh
meri umar ke ek ladka or ladki meri taraf badh jaate hai....

Ladki--kya hua....aise ghado ki tarah muh kyo latka rakha hai....


Mai--mujhe nagar m jaana h or ye prahri mujh se shulk mang raha
hai...
Ladka--to ismai konsi badi baat hai....shulk chukaao or nagar m
ghus jaao....
Ladki--tu to chup kar....agar is ladke ke paas shulk chukaane ke
liye dhan hota to ye yaha khada nahi hota.....kabhi kabhi to mujhe
lagta hai tujh ghade se dosti rakh kr maine galti kar di....
Mai is ladke ka shulk bhr deti hu...
Or uske baad wo ladki mera haath pakad kar mera shulk bhi prahri
ko de deti hai.....or jaise he mai andar jaane lagta hu mere sir par
wo prahri dheere se lappad laga deta hai or jor jor se hasne lagta
hai....
Hum teeno ab nagar ke andar aagaye the....har koi waha apne apne
kaamo m vyast nazar aaraha tha....nagar kisi chhote baazar se
kam nahi lag raha tha...
Ladki--tera naam kya hai ladke...or tu rahta kaha hai....tujhe
pahle kabhi yaha dekha nahi hai....
Mai--mera naam Rudraaksh hai or mai yaha naya aaya hu....

Ladka--naya aaya hu se kya matlab hai...tum to puraane aaye hue


se lagte ho....
Ladki--mera naam avni hai or is ghade ka naam mohan hai....is
ghade ki baato ka bura mat maanna ye pura pagal hai....
Mai--tum dono kya isi nagar m rahte ho....
Avni--nahi hum yaha nahi rahte....hum yaaha paas he k ek gaanv m
rahte hai....waha hum mitti ke khilone banate hai or unhe yaha
laakar bech dete hai....lekin tum yaha kya bechne aaye ho....
Mai--mujhe is nagar ko dekhna tha isiliye mai yaha aagaya....mai
jungle m rahta hu...
Mohan--jungle m to jungli jaanwar rahte hai tum konse jaanwar
ho...
Avni--bhagwaan kasam kis pagal se paala pad gaya hai
mera....Rudr jungle mai rahta hai....or koi jaruri nahi hai jo jungle
m rahe wo jungli ho...
Mai--avni kya mai tum dono ke saath yaha nagar m ghum sakta
hu....
Avni--hum yaha ghumne nahi aaye hai....humara saaman bikne ke

baad tumhe ye nagar bhi dikha denge ab ye tokra apne sir par
rakho....
Mai--tokra m kyo uthaaunga...tumhara saaman hai tum uthaao....
Avni--bacchu maine tumhara pravesh shulk diya hai is vajah se aaj
ke liye tum mere gulaam ho....jaisa m kahungi tumhe waisa he
karna padega....
Mohan--ha ye mera jhhola bhi pakad lo tokre ke saath haatho m
dard ho gaya mere....
Avni--oye ghade ye mera gulaam hai....tera nahi hai jo tera bojh
uthaaega....chalo ab chup chaap kaafi samay vyrth ho gaya hai....
Uske baad hum nagar mai aage badhte hue ek khaali jagah dekh
kar apni dukaan laga dete hai.....un dono kaa saath mujhe accha
lag raha tha....wo dono aapas m kitna ladte the unki ye ladaayi
dekh kar m khud ko hasne se nahi rok paa raha tha....aaj kaafi
dino baad mai dil khol ke has raha tha....shaayd meri ek talash un
dono par aakar khtam ho chuki thi.....
Saare din nagar m kolahal ka vatavaran tha....sabhi log apne kaamo
m lage the....
Hum teeno bhi apni dukaan ka laghbhg saara saaman bech chuke
the....mohan bhi ab dheere dheere mujh se khulne laga
tha....mohan jis tarah ki baate karta tha waisa bilkul bhi nahi
tha....bhola tha lekin bahadur tha....ye baat mujhe avni ne batayi
thi...
Avni dikhne m maasoom lekin dimaag ke maamle m wo kisi lomdi ki

tarah shaatir thi....uska aatmvishwaas gazab ka tha...


Hum teeno waha bethe bethe susta rahe the...aaj kaafi achhi
kamayi hui thi....
Mohan--mai to ab thhak gaya saara din dhan ginte ginte...aaj itne
saalo m pahli baar itna dhan kamaya hai humne....
Avni--tu sach m aalsi hai mohan....lekin tera kahna bhi sahi
hai....warna itne saalo m humne kabhi itne khilone ek saath nahi
beche...
Mohan--ye sab Rudr ka kamal hai....kaise logo ko aavaje dekar sab
ko yaha bula raha tha saaman kharidne ke liye...or wo sab ghado ki
tarah ek k baad ek humse mitti ke khilone kharidne lag gaye.....
Avni--chal Rudr tujhe aaj santare ka ras pilaate hai....tu bhi kya
yaad karega tera pala kin logo se pada hai....
Or phir m bhi un logo ki haa m haa milaate hue ek ras ki dukaan ki
taraf badh jaata hu....waha kuch sikke dene ke baad bade bade
teen katoro m taaza santre ka ras hume mil jaata hai.....vaastav
mai aisa meetha ras maine kabhi nahi piya tha....abdul bhai ke
paas jab m kaam karta tha tab piya tha lekin naa aisi mitthas thi
naa he aisa taazapan....
Hum log waha ras pee rahe the tabhi waha 2 aadmi aagaye or
humse bina baat ke ladne lage....

Unme se ek aadmi ne avni ke haath m se dhan ki pottli chhin li or


jab mai us aadmi ki taraf badhne laga to avni ne mera haath pakad
ke rok diya....
Avni--nahi Rudr inhe ye dhan le jaane do....ye inhi ka he hai....or
waise bhi hum in logo se ye dhan chhin nahi sakte usliye shaanti se
bethna he aakhiri vikalp hai....
Mai--lekin agar ye is tarah se humara dhan loot kar le jaenge to
hum dubara yaha kaise aaenge....
Mohan--sahi kaha Rudr....hume chalkar baat karni chaiye agar
baat nahi samjh aayi to in dono ka patthar se sir phhod dunga....
Avni--tu chup kar....jab dekho ulti baat karta hai....ab kuch
sochne de....
Waise m chahta to apni shakti ki madad se un dono ko sabak sikha
sakta tha lekin....sab ke saamne apni shakti ka pradarshan karna
sahi nahi lag raha tha mujhe....
Hum teeno waha bane ek chabutre par jaa kar beth gaye or sochne
lage....
Avni--agar hum chupchaap us aadmi tak pahoch jaaye....or chupke

se wo pottli uske jhhole m se nikaal le.....lekin aisa sambhav nahi


hai.....nagar ke sabhi log hame aisa karte dekhenge....wo sab
pakad ke maarenge or chor kahenge so alag....
Mai--agar tum chaho to m tumhara dhan waapas laakar de sakta
hu....
Mohan--Rudr jyada hoshiyaar mat ban ye raaja ke log hai....agar
pakad m aagaya to teri haddi pasli ek kar denge ye sab mil
kar....or waise bhi tujhe dekh kar lagta nahi hai tu aisa kar
paaega....
Mai--mohan tum meri chinta mat karo.....ek kaam karo thodi der
apni aankhe band kar lo....or jab tum apni aankhe khologe to wo
dhan tumhaare haatho m hoga....
Avni--tu jarur pagal hai Rudr....itne logo ke bich m tu ye aakhir
karega kaise....mujhe sach m dar lag raha hai....bhul ja us dhan
ko or chal yaha se....
Mai--thodi der apni aankhe band kar lo....or m bas utni he der m
waapas aata hu........
Uske baad badi mushkil se un dono ko maine aankhe band karne ke
liye mana liya or badh gaya waha bane aaraam karne ke ek kamre
ki taraf jo yaha aaye vyaapariyo ke aaraam karne ke liye bana hua
tha....abhi us kamre mai koi bhi nahi tha....

Mai jaise he us kamre m pahoucha maine furti se apne jhhole m se


wo kambal nikaal liya jo mujhe us sher ne diya tha...use odh kar m
phir se sambhal kar kadam badhaate hue bina kisi se takraaye us
aadmi tak pahoch gaya jiske jhhole m wo pottli thi dhan ki....
Maine badi saavdhaani se apna haath us jhhole m daal diya or jab
mujhe ahsaas hua k ye wahi pottli hai to maine use furti se baahar
nikaal liya....
Maine wahi se mohan or avni ko dekha wo ab bhi aankhe band kiye
bethe the....
Mai ab waha se badi saawdhani ke saath phir se usi kamre m
aagaya or apni kambal utaar kar use samet kar waapas jhhole mai
daal diya....
Mai jaldi jaldi un dono ke paas pahocha or unse yaha se chalne ke
liye kahne laga....
Avni--kyo tu to bada hoshiyaar ban raha tha ke aankhe band karo
or dhan tumhaare haatho m hoga ab kya hua bacchu....
Maine chalte chalte mohan ke haatho m wo pottli pakda di or mohan
use dekh kar khushi se jhumne laga or isi khushi m usne mere gaal
bhi chum kar geela kar diya....
Mohan--ab tak hum do dost the....lekin aaj se hum teen ho gaye
hai....kyo avni...

Avni--muskuraate hue....teen tigaada kaam bigaada....


Kaam to ab bigadne he the....lekin un logo ke jo humaare raaste m
rukaawat bankar aaenge....hum teeno ko he ab aage ka safar ek
saath taiy karna tha samay ne phir se mujhe mere dost louta
diye....samay.....jiske saare kaam bilkul samay par he hote
hai...samay...jo kabhi kisi ke liye nahi rukta samay bhi saty hai
lekin is saty ki khoj mujhe nahi hai....mujhe to kuch or dhundhna
hai....pata nahi kya lekin jis din ye khoj puri hogi mera dil jarur
mujhe bata dega.....
Aaj ka saara din mere liye kisi romaanch se kam nahi tha....pahle
dukaandaari uske baad un logo se apna he dhan churana....lekin
mere parti avni ke man m shak apni jagah bana chuka tha....ke
aakhir kaise m bina kisi ke dikhe wo dhan us se le aaya ....jabki
mohan bas mere naam ki maala he jape jaa raha tha...
Hum log nagar se nikal kar ek chhayadaar ped ke neeche beth
gaye....
Mohan--aaj to maja aagaya...wo aadmi jab dekhega ke uska chhina
hua dhan gaayab ho gaya h to wo apna sir pit lega...Rudr aaj agar
tum naa hote to humari mehnat par wo aish kar raha hota....
Mai--aisa nahi hota mohan....ab hum dost hai or aaj ke baad har
musibat ka saamna hum miklar karenge....lekin bas mujhe ek baat
samjh nahi aayi avni ki....aakhir isne aisa kyo kaha ke ye dhan usi
ka hai or wo ise apne paas rakh sakta hai....
Avni--dhan ka kya hai use hum phir se bhi kama sakte hai....lekin

hum abhi itne shakti shaali nahi hue jo ek bade aadmi se bheed
jaaye....aisa nahi h maine haar maan li thi lekin sahi samay aane
par us aadmi ko mere haatho dand bhi milta humara dhan chhinne ki
evaj m....
Mai--shayad tum sahi ho lekin ab se tumhe kisi se bhi darne ki
avshyakta nahi hai....
Avni--Rudr pata nahi kyo mujhe lag raha hai tum koi saadharn
baalak nahi ho...agr tum hume saty bata doge to humari dosti or
jyada ghanisht ho jaaegi....
Rudr--mujhe tumhe saty batane m koi pareshaani nahi hai par m
darta hu agar wo saty sun kar tumne mujhe chhod diya to ek baar
phir se m akela ho jaaunga....
Avni--mai vachan deti ho....apne praan tyaagne tak mai hamesha
tumhari dost rahungi....
Mohan--m bhi vachan deta hu....lekin m praan tyagne ke baad bhi
tumhara dost rahunga...
Avni--ghade....praan tyaagne ke baad tu kaise iska dost rahega....
Mohan--praan tyagne ke baad m hamesha Rudr ke dil m
rahunga....naa ye mujhe bhulega naa humari dosti tutegi...

Avni--waah naya dost milte he bada samjhdaar ho gaya hai....ab


chup kar or Rudr ka saty mujhe jaanne de...
Uske baad dono apni aankhe or muh faade hue shuru se ab tak jo
bhi hua sab kuch sunte chale gaye....mohan ne to mujhe apne gale
se he laga liya ye sab sunkar....
Avni--to mahashay ek rajkumaar hai....or wo bhi isi nagar ke jaha
hum abhi bethe hai....
Mai--m koi rajkumar nahi hu avni....m bhi tumhari tarah he ek
saadharn baalak hu....bas fark itna hai ke mujh baalak par ye
saare kaam karne ki jimmedari de di gayi hai....
Mohan--raja surymukh or mata chandrika ke samay ye raajy sukh
samridhhi se bharpur tha...lekin pitaji bataya karte hai raja
surymukh or rani chandrika ki kisi dusht ne hatya kar di or uske
baad us dusht ne kisi or ko yaha ka raja bana diya....
Mai--usi dusht ko to mujhe dhundhna hai mohan....waise yaha ka
raja kon hai....
Avni--yaha ka manidhar bhi bahot dusht hai....wo bas logo ko
maarna jaanta hai....logo ka dhan lootna kaam hai uska....yaha koi
bhi sukhi nahi hai....
Mai--kya tum jaanti ho mere maata pita ki hatya jis dusht ne kari
wo mujhe kaha milega or kya naam hai uska....

Avni--nahi Rudr m nahi jaanti....yaha koi bhi tumhe us dusht ke


baare m nahi bata sakta....sabhi darte h us se.....
Mohan--magar mere pita ji jarur bata sakte hai....wo pahle
tunhare pita ke sainik the....lekin jab unki hatya hui to unhone
nagar chhod diya...
Mai--mohan kya tum mujhe apne pita se milwa sakte ho....bada
ahsaan hoga tumhara mujh par....
Mohan--dost ahsaan nahi hai....agar aisa dubara bola to m tumse
naaraj ho jaunga....or uske baad kitna bhi manoge m nahi
manunga...
Mai--mujhe maaf karna mohan....lekin m tumhare pita se milna
chahta hu....
Mohan--jarur Rudr m aaj he tumhe apne pita ke paas le chalunga
raat ko mere ghar par he vishraam kar lena....
Mai--aaj nahi mohan....mujhe waaps aashram jaana hoga abhi...kal
subah tum dono mujhe yahi mil jaana uske baad tumhare ghar
chalenge...

Avni--to phir hum ab kal subah milenge....lekin tumne bataya ke


kisi saty ki khoj m tum nikale ho....aisa konsa saty hai jise tum
khoj rahe ho....
Mai--pata nahi avni....lekin mujhe shaayd aise he aage badhte
rahna hoga....kisi naa kisi din wo saty bhi mere saamne hoga....
Uske baad hum teeno ek dusre se vida lete hai or m badh jaata hu
aashram ki taraf...
Ashram pahoch kar dekhta hu to waha ka pura nazara badala hua
tha....jo aaj subah ujada hua tha wo ab puri tarah se vyavsthit
tha....
Guru ji ne mujhe apne paas bulaya or mujh se saare din ke baare m
puchne lage....
Or maine unhe sab kuch bata bhi diya....
Guru--Rudr...avni or mohan tumhe tumhare lakshy tak pahochne m
madad karenge.....lekin dhyaan rahe unki suraksha bhi tumhe he
sunishchit karni padegi....kyoki unke paas koi shakti nahi hai...
Mai--guru ji kya unhe m sikha sakta hu....jo maine sikha hai...
Guru--jarur Rudr....
mitr bhi guru ka he roop hota hai....
or ye bhi ek saty hai.....

Ek saty aisa jo har kadam par ab se mere saath rahega....ha


dosti....dosti bhi to ek saty hai....lekin ye bhi wo nahi hai jise
mujhe dhundhna hai....aakhir kya hai wo saty.....kaise milega
mujhe wo....kaha milega konse roop m milega....bas yahi sochte
sochte mai kab devi nindra ki god m sojat hu pata he nahi
chalta.....
Agle din nitykarm ke baad mai guru jwala ke samaksh khada hota
hu....is samay wo dhyaan avastha m bethe hue the unka bhala abhi
bhi aag ki lapto se sushobhit tha....maine unhe man he man prnaam
kiya....
Mera aise karte he guruji ne aankhe khol di....
Guru--Rudr aage aisa samay bhi aaega jab tumhe ratri aasharam
se bahar bhi gujaarni pad sakti hai....isliye m tumhe raatri ko
aashram m aane ke vachan se bhi mukt karta hu....or saath he
saath tumhare dosto ke liye ye uphaar bhi deta hu jo aane waale
samay m tumhari sahayta karenge....
Mai--guruji konse upharo ki baat kar rahe hai aap...
Tabhi guru jwala apna haath aage badhate hai or unke haatho m ek
dhanush prakat ho jaata hai....
Guru--Rudr ye dhanush mohan ke liye hai....or is dhanush ki khaas
baat ye hai ke ye sirf apne malik ki aagya par he kaam karta
hai...or achuk nishana lagane ke liye kisi abhyaas ki bhi jarurat
nahi hai....bas apna dhyaan lakshy par saadho or dhanush par
shaktishaali teer apne aap prakat ho jaaega....prtyancha chhodte

he teer sidha apne lakshy ko bhed dega...


Mai--ye dhanush to kamal ka hai guruji....mohan ise paakar to
khusi se jhum uthega....
Guru--ab jo uphaar mai avni ke liye dene jaa raha hu....uska sahi
upyog he avni ko mahan banega....
Mai--wo uphaar kya hai guru ji...
Guru jwala waapas apna haath faila dete or unke haath mai is
samay ek yantr prkat ho jaata hai....
Mai--guruji ye kaisa hathiyaar hai....
Guru--ye samay h Rudr....is yantr m lagi chabi ko agar ek disha
mai ghumaya jaaye to samay tezi se aage badhne lagta hai....or
agar dusri disha m ghumaayi jaaye to samay piche ki taraf badh
jaata hai....matlab tum samay m aage bhi jaa sakte ho or picche
bhi...matlab purv m ki gayi galtiyo ko tum samay m jaakar sudhaar
sakte ho....or saath he saath aage kya hone waala hai wo bhi dekh
sakte ho lekin bas kuch palo ke liye he....jyada picche jaana samay
chakr ko nuksaan pahocha sakta hai....
Mai--guru ji ye to kaafi shakti shaali hai....kya hum chhote balko
k haath m itni shakti hona jaruri hai....

Guru--Rudr tum sab ke haatho m he bhavishy hai....isliye shakti


sampann hona bhi avashyak hai....
Mai--to kya us dusht ke paas bhi aisi shaktiya hai....jo waqt ko
badal sake....
Guru--samay ko bas wahi bas m kar sakta h jo uske laayak
ho.....samay ko bas m karna tumhare bhi bas m nahi hai
Rudr....isiliye samay ne avni ko chuna hai....shaktiya to us dusht
ke paas bhi hai lekin wo prakarti se mili hui nahi hai divy nahi
hai....uske paas kaali shaktiya hai....jo tumhari shaktiyo se kahi
jyada vidhwansak or shaktishali hai....
Mai--agar uski shaktiya itni shakti shaali hai to bhi hum uska
saamna karne ko taiyaar rahenge guruji...
Guru--abhi tumhe kisi ka saamna karne ki avshyakta nahi hai samay
swaym he tumhara saamna us dusht se karwaaega....bas uchit
samay ki prtiksha karo....ab jao tumhare dost tumhari raah dekh
rahe hai....
Itna kah kar guru jwala apni aankhe phir se band kar ke dhyaan m
leen ho jate hai....or m unhe prnaam karke waapas nagar ki taraf
badh jaata hu.....

Mujhe usi ped ke neeche avni or mohan dikhayi de jaate hai....we


dono mujh se itna der se aane ki vajah puchte hai to mai unhe guru
jwala dwara diye upharo ke baare m bata deta hu or wo uphar un
dono ko de bhi deta hu.....mohan apna dhanush paa kar khushi se
jhumne lagta hai or mujhe kas kar apne gale se laga kar mere gaal
geele kar deta hai....
Mai--mohan ke bacche mera gaal ganda kyo karta hai baar baar....
Mohan--aaj pahli baar mujhe koi uphaar mila wo bhi ek divyaastr
ke roop m to meri khushi ka theekana nahi raha....kya ek baar m
ise chalakar dekhu....
Rudr--ismai puchna kya hai....ye tumhara hai....jab chahe
chalao....
Uske baad mohan waha se kaafi dur latak rahe aam par dhyaan
saatdh kar prtyancha khich deta hai or jaise he wo prtyancha
chhodta hai teer sidha jaakar us aam ke bicho bich lagkar us aam
ke chithhade uda deta hai....
Avni--guruji ne bhi is ghade ko kya soch kar ye divy dhanush diya
hai....bevkuf agar tu tera dhyaan aam ko latkane vaali shakha p
rakhta to aam neeche girta... aam par dhyaan lagaya to aam par
he teer lagega naa....
Mohan--sahi kaha avni tune aage se dhyaan rakhunga....chal ab

tere uphaar ka bhi kamal dikha....m dekhu ye kya kaam karta


hai....
Avni--vyarth apni shakti ko prdarshit nahi karna chaiye....or guruji
ne itni badi shakti aise he mujhe nahi de di....lekin phir bhi m ek
chhota sa pryog jarur karna chahungi....
Avni apne haatho m us yantr ko lekar uski chabi kuch palo ke liye
ghumati hai or wo aam jo teer se khraab ho gaya tha wo phir se usi
daali par jaa laga.....
Avni--mujhe pata tha tu kal se he us aam ke piche pada tha....ab
apna dhyaan daali par rakhna aam par nahi or ab jaldi kar....Rudr
ko tumhare pita se bhi milwana hai.....
Mohan or avni dono he apne Uphaar paa kar khush the....lekin avni
thodi chintit bhi dikhaayi de rahi thi....uske maasoom chehre par
chinta ki lakire saaf nazar aarahi thi....
Mai--avni kya hua....kya tum apne uphaar se khush nahi ho....
Avni--nahi Rudr ye uphaar to mere liye anmol hai....lekin itni badi
shakti apne paas rakhne se dar bhi lagta hai....hum kaise muqabla
karenge un dushto ka hum to bas chhote balak hai....
Mai--avni m bhi yahi sochta tha....lekin jab maine do daanavo se
youdh kiya tab mujhe meri asli takat ka pata chala....isliye chhota
ho ya bada hum sabhi yaha ek maksad se he hai....tum apna

dhyaan in sab baato se hatao or samay par bharosa rkho....


Mohan--Rudr ek baat batao agar m saare din aise he is dhnush ko
apne haatho m rakhunga to mere haatho m dard nahi ho jaaega....
Mohan ki is baat ne avni ko bhi soch m daal diya...
Avni--haatho m dard ho naa ho lekin itni shaktishaali cheeje hum
haatho m lekar nahi ghum sakte....agar ye kahi kho gayi ya gir gayi
to....
Mai--muskuraate hue....tum dono ki baat sahi hai....mai bhi aisa
he chahta tha....mere paas bhi ek kambal hai use bhi mujhe har
samay apne paas rakhna hota hai....
Mohan--lekin kuch to karna padega he.....
Mai--ruko m kuch sochta hu....
Tabhi mere dhyaan m kamandal devta ka khyaal aa jata hai.....
Gurudev ne kaha tha ke ab ye kamndal mujh se kuch nahi mangega
jab tak m is se koi aisi cheej nahi maang leta jo iske bas ke bahar
ho....

Mai--hai kamandal devta prakat ho.....


Tabhi ek tez roshni ke saath wo kamandl mere saamne jamin par
pada tha....
Kamandal--kaise yaad kiya Rudr....kya chaiye tumhe....
Mai--kamandal devta m chahta hu humari cheeje aap apne paas
rakh le....jab bhi hume inki avshyakta hogi hum aap se maang
lenge.....
Kamandal--acchi baat hai....tum mera shashtragaar ke roop m
pryog karna chahte ho....theek hai saari cheeje kamandal m daal
do jab bhi tumhe inki aavshyakta hu mujh se maang lena....lekin
jiski jo cheej hai m usi ko uske dwara maangne par he dunga....
Mai--theek hai kamandal devta....
Uske baad hum ek ek karke apni saari cheeje kamandal m daal dete
hai....dhanush dete samay mohan thoda pareshaan dikha lekin avni
dwara samjhaane par usne bhi apna dhanush kamandal m daal
diya....uske baad kamandal humari saari cheeje lekar waha se
gaayab ho gaya.....
Or hum phir se chalne lage mohan ke ghar ki taraf....

Chalte chalte...
Mai--mohan or kitna dur hai tumhara ghar....ab to bhuk bhi lagne
lag gayi hai...
Mohan--bas paas m he hai jyada dur nahi hai....wo aage pedo ka
jhurmut dikh raha h naa wahi humara gaav hai....
Phir kuch der or chalne ke baad aakhirkaar hum mohan ke ghar
pahoch he gaye...
Mohan ke pita apne kacche pakke ghar ke bahar ek khaat daalkar
bethe the....or mohan ki ma unki gaay bheso ko chara daal rahi
thi.....
Mohan--baba dekho humare ghar m kise lekar aaya hu...
Mohan ke pita mujhe uper se niche dekhne lage or phir mohan se
bole...
Baba--ye naya baalak kon hai mohan....maine pahle kabhi ise yaha
nahi dekha....

Mohan--pahle aap vachan dijiye jo bhi humare bich baate hongi wo


aap kisi ke saamne nahi dohraaenge....
Baba--kaisa beta hai mera....kam se kam apne baap par to
bharosa kar le....sirf ek avni or teri maa he hai jis par tu bharosa
karta hai...kabhi apne baap par bhi bharosa kar.....
Mohan--aap meri pitaayi karte ho isliye mujhe aap par bharosa
nahi hai....
Baba--teri pitayi bhi m tere bhale ke liye he karta hu....taaki tu
thoda samjhdaar ban sake....
Mai--mujhe kshama kare baba....mohan bahadur bhi hai or
samjhdaar bhi....waise m aap se yaha kuch jaanne ke liye aaya hu
kripa karke mujhe wo sab batane ka kasht kare....
Baba--kya jaanna hai balak....tumhare sawalo ka jawab m tab
dunga jab tum mujhe apne baare m bataoge....
Mohan--ye Rudraaksh hai....or iske mata pita ka naam surymukh
or chandrika hai...or kuch jaanna hai ya itna kaafi hai....
Baba--rajkumar Rudraaksh.....hai bhagwaan ye to chamtkaar ho

gaya...mujhe to laga tha aap kabhi nahi aaenge....mujhe yakin nahi


ho raha aaj mere chhote se ghar m is raajy ka rajkumaar aaya
h....
Mai--baba m rajkumar nahi hu....aap bas mujhe Rudr kah kar
bulaaye....or mujhe bataye mere maata pita ki hatya kis dusht ne
kari hai....or m use kaise dhundh sakta hu...
Baba--Rudr is maamle m mai tumhari jyada sahayta nahi kar
paunga....kyoki us dusht ka agr koi naam leta hai to naa jaane
kaise us dusht ko pata chal jaata hai....phir wo apni kaali shaktiyo
ki madad se naam lene waale ke saath saath sabhi ko khtam kar
deta hai....
Mai--koi baat nahi baba....naam ka kya hai...jaise mere liye uska
naam dusht hai aapke liye uska naam kuch or hoga....mere maata
pita ki hatya kaise hui ye bataiye.....
Apne mata pita ke hatyaare ko dhundhte dhundhte mai bilkul sahi
jagah par pahoch gaya tha.....baba jo bata rahe the wo ek saty
tha....lekin saty to khud he saty h....ye bhi mujhe nahi
dhundhna.....
Mai bas ek kadam he dur tha apne mata pita ki hatya ke saty
se....kaisi vidambana hai....kuch din pahle jaha m khud ko akela
samjhta tha is puri duniya m....wahi aaj mere chhote se kaandho
par itna bojh rakh diya gaya hai pata nahi kaise mai apne lakshy ko
prapt kar sakunga....

Baba--beta us raat mahal m jashn ka mahol tha...tumhare janm ki


khushiyo se pura nagar jagmaga raha tha....mai tumhare pita ke
kahe anusaara guru badrinaath ko lene unke niwaas sthal par gaya
tha....
Or jab waha se aaya to dekha pure mahal m aafra tafri machi hui
thi....mai or guru badrinaath bhagte hue tumhare pita ke kaksh ke
samip pahoche...tumhare pita ek mahan yoddha ki tarah us dusht
ke mantro ka saamna kar rahe the....lekin wo dusht atyadhik
shaktishaali hone ke saath saath chhal karne m bhi nipun
tha....raja surymukh ki hatya usne chhal se usi waqt kardi....
Wo dusht raani chandrika par prhaar karta us se pahle he....raani
chandrika ne tumhe apne mantr kavch se surakshit karke guru
badrinaath ki taraf ucchal diya....lekin khud us dusht ke prhaar se
bach naa paayi....
Guru badrinaath ne sabse pahle tumhe surakshit sthan par
pahuchane ka socha isliye unhone mujhe apne praan bachane ka kah
kar kahi gayab ho gaye.....
Uske baadse maine mahal chhod diya....apne priy raja raani ke bina
m us mahal ki kalpna bhi nahi kar sakta hu....
Meri aankhe aansuo se bhar gayi thi....mohan ki maa mere sir ko
apne sneh se bhare haatho se lagatar sahlaaye jaa rahi thi....lekin
aankho se nikalte aansu mere nishchay ko or pakka karne ka sanket
de rahe the....
Mai--baba aisa kya tha mere mata pita ke paas jo us dusht ne unki
hatya kar di....
Baba--ye to aaj bhi rahasy hai beta....lekin jis cheej kai liye bhi

usne tumhare mata pita ki hatya kari wo shaayd use nahi mili....isi
vajah se pure nagar par uska prkop tut pada....wo aaj bhi shaayd
us shakti ki talash m hai....
Mai--baba wo dusht mujhe kaha mil sakta hai....kya wo mahal m
rahta hai....
Baba--us dusht ko dhan ka laalch nahi hai beta....naa he vilaasita
ka....use shakti ka lalach hai wo sarvshaktimaan banna chahta
hai....or lagagtar kisi naa kisi shakti ko prapt karne m laga he
rahta hai....
Mai--baba jaldi he us dusht ke paapo ka ghada bharne waala
hai....wo kitna bhi shaktishaali ban jaaye lekin ek din wo mujh
balak ke saamne apne ghutno par beth kar daya ki bheekh
maangega....
Baba--beta ab m budha ho gaya hu....mai tumhare pita ka aaj bhi
vafadaar hu....isliye mai mohan ko tumhare hawale karta hu....
Mai--baba mohan mera mitr hai...mera saink nahi....hum teeno
dost us dusht ka ant karenge....
Maa--beta tum teeno apna khyaal rakhna....is maa ka ashirwaad
humesha tumhare saath bana rahega....

Mai--maa ab se mohan mere saath he rahega....aap iski kisi tarah


se chinta mat karna....jab tak mere sharir m praan rahenge mohan
or avni ko m kuch nahi hone dunga....
Uske baad mohan ki maa mujhe apne seene se laga leti hai or baba
ke kahne par hum teeno ke liye khaane ke liye kuch banane lagti
hai....
Avni--ab aage kya karna hai Rudr.....hume kis tarf chalna
chaiye....
Mohan--kis taraf kya sab se pahle to hume mahal se us raaja ko
bhagana chaiye....jab us dusht ko iski khabar padegi to wo khud he
saamne aajaega....
Mai--tumhara kahna sahi hai mohan lekin hum abhi taiyaar nahi
hai....us dusht ka saamna hum ek pal bhi nahi kar paaenge....isliye
hume pahle us se ladne ke liye shaktiya arjit karni padengi....
Avni--tumhare hisaab se ab hume kya karna chaiye....
Mai--guruji ke aadesh anusaar hume saty ki khoj karni hai....lekin
ye samjh nahi aa raha konse saty ki....

Mohan ki maa kaafi der se khana banate banate humari baate sun
rahi thi ....or hume khana paros kar humare saamne he beth kar
bolne lagi....
Maa--saty to har jagah vidhymaan hai....ye bhojan bhi saty
hai.....tumhari bhukh bhi saty hai....jo tumhari nazare dekh sakti
hai wo saty hai....jo tumhare kaan sun sakte hai wo bhi saty
hai.....mrityu saty hai jeevan saty hai....ek chinti ka durgam
paristhitiyo m kiya gaya parishram saty hai.....panchhiyo ka udna
saty hai.....sarp ka rengna saty hai....kuch asaty nahi hai.....kyoki
asaty bhi saty hai.....jis parka ek bhagwaan ko maanne ne waala
aastik saty hai usi prkar bhagwaan ko naa maanne wala nastik bhi
saty hai....brhmaand saty hai....ye dhara saty hai....sury ki roshni
saty hai....sury ka ast hona saty hai...
Gyaan saty hai agyaan saty hai....tumne jo paya wo saty hai....or
jo kho diya wo bhi saty hai.....
Mai--maa aapne kaha asaty bhi saty hai ye kaise sambhav hai.....
Maa--beta astay bhi bina saty ke nahi hosakta....matalab agar
tumne kisi se jhut bola to bola gaya wo jhut bhi kisi naa kisi saty
ko chhipaaane ke liye bola gaya hai....yaani us jhut mai bhi saty
nihit hai....
Mai--lekin maa mujhe guruji ne kaha hai saty ko dhundho....m
kaise use dhundhu jo mujhe dikhayi he nhi deta....

Maa--beta unhone kaha saty ko dhundho....iska matlab sab se


pahle tumhe apne aap ko he dhundhna hai....or mere khyaal se tum
khud ko paa chuke ho....
Mai--lekin maa mere sawalo ke jawab abhi nahi mile hai....
Maa--jo maine kaha wo apne guruji se kahna....tumhe tumhare
sawalo ka jawab mil jaaega....
Mai--ye saty meri samjh se pare hai.....aap maa ho ye bhi ek saty
hai....or maa pahli guru bhi hoti hai ye bhi saty hai.....
Mai sab kuch jaankar bhi ek anjaan he tha....guru jwala he ab ek
maatr raasta the mujhe us saty tak pahuchane ke liye....
Hum teeno chal pade aashrm ki taraf mohan ke mata pita ka
ashirwaad lekar....
Aashram pahochne par guru jwala waha kuch hiran ke shaavako ko
ghaas khila rahe the....unka chehra is samay bilkul kisi maasum
baalak ke saman maasumiyat se bhara hua tha...
Hum teeno ne guruji ko prnaam kiya or guru jwala ne kaha....

Guru--Rudr m tum teeno ki he pratiksha kar raha tha....aaj ek


anokha gyaan tumne praapt kiya hai Rudr....
Mai--aisa kya gyaan praapt kiya maine guruji....ye gyaan to sabhi
ko praapt hai....
Guru--Rudr har tarah ka gyaan humare charo taraf faila hua
hai....hum kis ka palan karte hai or kiska nahi ye hum par he
nirbhar karta hai....usi prkar saty bhi humare charo tarf faila
hai....or iska palan karna yaa na karna humaare haath m he hai...
Avni--guruji....phir aapne Rudr ko saty ki khoj m kyo bheja...ye
gyan to ye yahi par rah kar bhi to le sakta tha....
Guru--saty ka gyan lene ke liye....bahar jana aavashyak hai
avni...or jo gyan mohan ki maa ne diya wo sabak sabse pahle ek
maa he apne bacche ko deti hai....lekin Rudr ko uski maa chandrika
ye sabak nahi de paayi isliye ise sab se pahle matratv se bhri maa
ke paas se saty ka bodh karwaya maine....
Mohan--lekin wo to meri maa hai phir unhone mujhe to ye gyaan
nahi diya....

Guru--mohan shabdo se vyakhya karna har baar jaruri nahi


hota....tum apni maa ke saanidhy m rahkar pahle he us gyaan ko
paa chuke ho....iska sirf itna sa matlab hai tum kab saty bolte ho
or kab saty ka palan chhod dete ho....ye tumhara gyaan hai jo
tumne apni maa se grahan kiya....
Mai Rudr ko hamesha saty ka palan karna sikhana chahta hu....kitni
bhi vikat parishthiti ho ye saty ka saath kabhi naa chhode....
Avni--par guru ji agar kabhi Rudr ke saamne kisi ke praan bachane
ka sankat aagaya or saty bolne se kisi ke praan chale gaye tab us
saty ka kya mahatav hai....
Guru--agar saty kisi ke praan le raha hai....tab bhi m yahi
kahunga ke us samay bhi bola gaya saty us asaty par bhari padega
jo kuch palo ke liye us jeev ke praan bacha sakta hai....kyoki saty
jaanlene kai baad ho sakta hai use jeevan daan mil jaaye...lekin
asaty ka bodh hote he praan lene waala us jeev ke saath saath
Rudr ke praan bhi le lega....
Mai--mai ab kabhi jhut nahi kahunga guruji....aapko ye vachan
deta hu....
Guru--mujhe khushi hai Rudr jo tumne mujhe vachan diya....
Uske baad wo mere gale m latak rahe Rudraaksh ko apne haatho se
pakad lete hai or kuch budbudate hue ek mantr padhne lagte hai....

Guru--tumhe shaayd gyaat nahi hai jo tumhare gale m rudaaksh


pada hai wo swayam mahadev ka ek roop hai....ismai asim shaktiya
hai lekin wo shaktiya tumhe swayam praapt karni padegi....aaj saty
ka saath dene ka vachan dekar tumne is Rudraaksh ki ek shakti ko
jaagrit kar diya hai....
Mai--konsi shakti jagrit ho gayi hai guruji
Guru--ab se tumhe kisi bhi sthaan par jaane ke liye bas us sthan
ka smaran karna hoga....ye shakti swayam tumhe waha pahucha
degi....
Mai--guruji kya ab aap mujhe bata sakte hai mere mata pita ki
hatya us dusht ne kyo kari....
Guru--tumhari mata chandrika ne brahm dev ki tapasya karke
vardaan swaroop mile is Rudraaksh ko apne tap ki saari urja se
sanchit kiya hai....wo dusht bhavya nan isi Rudraaksh ki khaatir
tumhare mata pita ke pichhe pada....or unki hatya kar di....
Mai--bhavya nan....or is Rudraaksh m aakhir aisa kya hai jo wo ise
pana chahta hai....

Guru--jaisa ki maine bataya....ye Rudraaksh tumhari mata ka


shakti sanchay strot hai.....yaani tumhare mata pita ki sabhi
shaktiya is mai sanchit hai....agar is Rudraaksh mai unki shaktiya
sanchit nahi hoti to bhavya nan kabhi unhe maar nahi paata....
Mai--lekin meri maa ne wo saari shaktiya ismai daali kyo....
Guru--jis prkar ek kalash mai atyadhik jal bharne se...wo jal
kalash se bahar nikalne lag jaata hai usi prkaar tumhare mata pita
ki shaktiya bhi kuch is prkaar he unke sharir m bhar gayi
thi......isiliye unhone wo saari shaktiya is Rudraaksh m bhar kar
tumhe pahna diya....
Mai--lekin....
Guru--or koi sawal nahi....ab tum apni yaatra ko praarambh
karo....or tumhari pahli disha sury ki taraf honi chaiye....
Avni--aapke kahne ka matlab purv disha....
Guru--ha avni purv disha......tumhe bhavya nan ko ek ek sidhi

chadh kar he maat deni hai....ismai sab ka kalyaan hai....


Ab mujhe jana hoga kabhi bhi meri avshyakta hone par tum mujhe
pukaar sakte ho mai usi pal waha aajaunga....
Mai--lekin akele m ye yaatra kaise puri kar paaunga....
Guru--akele kaha ho tum Rudr...tumhare mitr tumhare paas
hai.....
Or ye kah kar wo kahi gaayab ho gaye....shaayd ab aage ka safar
mujhe akele he karna padega....maaf kijiye hum teeno ko he karna
padega.....
Hum teeno ab ek dusre ka muh dekhne lage the karna kya tha kisi
ko kuch pata nahi tha.....guruji ne to bas ek disha bata di.....lekin
us disha m jaana kaha hai ye bhi nahi bataya....
Mai--ab kya karna hai dosto...
Mohan--karna kya hai....guruji ki di hui shakti se purv disha ki
taraf chalo....
Avni--are ghade us shakti ki madad se hum bas wahi jaa sakte hai
jo jagah humne dekh rakhi ho pahle se he....aise he agar shakti ka
pryog kiya to kahi hum sury par naa pahoch jaaye....

Mai--chalo ab jo bhi hoga dekha jaaega.....


Or hum paidal he purv disha ki taraf badhne lage.....hum kaafi
paidal chalne ki vajah se thhak gaye the....or ek ped ke neeche
thoda sustaane lage.....
Mohan--dosto mujh se to ab paidal chala nahi aa raha......kuch to
jugaad karo.....kam se kam koi belgaadi he mangwa lo jaadu se.....
Mai--mujhe aisa koi mantar nahi aata mohan jo yaha belgaadi
prakat kar du....
Avni--Rudr tumhe wo pahad dikh raha hai.....
Mai--ha kyo.....itna bhi andha nahi hu jo itna bada pahad mujhe
naa dikhe....
Avni--to dhyaan lagakar us pahad ki taraf dekho shaayad koi acchi
jagah tumhe dikh jaaye jaha pal bhar m tumhari shakti ki madad se
pahoch sake.....

Mai--waah avni kya yukti sochi hai tumne....


Or isi ke saath m un dono ka haath pakad kar us pahaad par ek
ped ko dekhne lag jaata hu.....or agle he pal hum waha pahoch
jaate hai.....
Lekin ek chhoti si galti ho gayi thi mujh se....maine apna saara
dhyan ped par he laga diya tha or shakti ne hume us ped par he
laakar patak diya....
Mohan--yaar maine to bas aam par nishaana maara tha.....tune to
ped ko he nishaana bana diya ab utaar hume neeche....
Mai phir se un dono ka haath pakad kar zamin ki taraf dhyaan laga
deta hu or agle he pal hum zamin par khade the......
Mai us shakti ko ab dheere dheere samjhne laga tha....or aise he
koshishe karte karte hum sabhi ek nagar m pahaoch gaye.....
Ye ek chhota sa nagar tha lekin yaha jyada log dikhaayi nahi de
rahe the....

Mohan--ye tum hume kaha le aaye Rudr....aisa lagta hai is nagar


ke sabhi log kahi chale gaye h is nagar ko chhod kar....
Avni--lekin abhi bhi kuch log hai yaha....chalo un se he chal kar
puchte hai k hum kaha hai or ye bhi pata kar lete hai k yaha ke
sabhi log kaha gaye.....
Avni ki ye baat sunkar mai or mohan dono us ke picche chalne
lage....or ek shaksh ko dekh kar hum usi ke paas pahoch gaye....
Mai--baba ye konsi jagah hai....or yaha ke saare log kaha gaye....
Baba--tum teeno kaha se aa rahe ho.....yaha se jaldi chale jaao is
se pahle ki andhera ho....
Mohan--wo to hum chale he jaaenge....lekin pahle ye to bata do ke
ye konsi jagah hai...or yaha ke saare log kaha gaye...
Baba--ye kundan nagar hai....or yaha ke saare log is nagar ko

chhod kar kisi dusri jagah bas gaye hai...ab tum log jaao yaha
se....yaha rukna tum balako ke liye theek nahi hai....wo aaj phirse
aegi....or kisi ek ko apne saath utha ke le jaaegi.....ab jitna jaldi
ho sake is nagar ki seema ke bahar chale jaao....
Itna bolkar wo baba lagbhag bhaagte hue ek ghar m ghus gaye or
use acche se band kar diya....
Mai--ye kya baat hui.....us baba ne aisa vyvhaar kyo kiya....
Avni--jarur yaha kuch gadbad hai....hume bhi ab yaha nahi rukna
chaiye....warna kisi musibat m pad sakte hai....
Mohan--andhera to ab waise bhi hone waala hai....kyo naa aaj hum
yahi ruk jaate hai....
Mai--avni mohan theek kah raha hai...hume yaha rahkar dekhna
bhi chaiye ke aisi konsi taakat hai jo yaha ke nagar vaasiyo ko jiski
vajah se nagar chhodna pada....
Avni gusse m tamtamate hue...,.
Avni--m soch he rahi thi tum dono ghado ke saath nahi aana chaiye
tha.....samjhdaari khatre se bachav karne m hai naa ki bevkufo ki

tarah uska saamna karne mai....


Uske baad hum teeno wahi ek saaf suthari jagah dekh kar beth
gaye or apne saath laaya hua bhojan jo mohan ki maa ne humare
saath baandh duya tha use khaane lage....
Hum log khana khaa kar thoda sustaane lage the....or tabhi aasman
m ek tej gadgadaht kai saath badal umadne lage.....kuch he der m
waha baarish shuru ho gayi....
Barish ki boccharo se mili thandak ne hunare andar ek nayi furti
jagrut kar di thi.....
Avni--ye bina mousam ke barsaat aana mujhe kisi gadbad ki taraf
ishaara kar raha hai....
Mohan--tujhe gadbad kab nahi lagti avni....sote jaagte har samay
tere dimag mai gadbad he chalti rahti hai....
Mai--mohan hume saavdhan rahna chaiye....ho naa ho hum ek aisi
jagah par upasthit hai jo khtre se khaali nahi hai.....
Tabhi aasman m ek jordaar bijli kadki jaise pralay he aagayi
ho....or usi roshni m ek kala dhuva badi teji se aasman se dharti
par utarta hua prtit hua.....

Mohan ne kamandal devta se apna dhanush maang liya tha or agle


he pal wo dhanush uske haatho m tha.....lekin maine mohan ko us
dhanush ka upyog karne se rok diya....
Wo dhuva jamin par kisi chakrwaat ki tarah gol gol ghumne laga or
jab wo kaala dhuva chhata to usmai se ek adbhut sundar ladki
bahar nikli.....
Kaala libaas gora rang lambe lambe baal....uski badi badi aankhe
jaise hume sammohit karne lagi.....
Mai--saavdhaan.....tum jo bhi ho agar yaha kisi ka ahit karne aayi
ho to waapas chali jaao....
Bijli ki kadkadhat m ek tez hasi us ladki ki sun kar humare rongte
khade hogaye....
Wo kisi billi ki tarah bal khaati hui humare saamne aakar khadi ho
gayi....
Mai--kon ho tum....koi jadugarni ya chudail....
Kyo pareshan kar rahi ho in nagar ke logo ko....tum se dar kar
pura nagar khaali ho gaya hai....

Ladki--nagar kaha khaali hua hai balak.....abhi to tum sab ho


yaha....aaj lagta hai tum balko ko he lejana padega apne saath ek
saath tum teeno ko dekhkar didi bahot khush ho jaaengi.....
Avni--tumhara naam kya hai....or tum hume kaha lejana chati
ho.....hume lejana itna aasaan nahi hoga tumhare liye...tumhari
bhalayi isimai hai he tum yaha se waapas chali jaao....
Ladki--ha ha ha ha.....khud mujh se bhaybhit ho....lekin mujhe
darane ki koshish kar rahi ho....mera naam taakshi hai.....or
taakshi jab apna shikaar chun leti hai to use mujh se koi nahi bacha
sakta.....bahot din hogaye the kisi se baat kiye hue....shaayd yahi
vajah hai ke tum sab log abhi tak mere saamne khade ho..
Mai--taakshi tum aisa kyo kar rahi ho....tumhe dekh kar aisa nahi
lagta kai tum itni krurr bhi ho sakti ho....
Taakshi--mai tum logo se is baare mai baat nahi kar sakti.....lekin
bas itna jaanti hu yaa to tum mere saath raaji khushi chalo warna
mujhe meri shakti ka prdarshn karna padega tum logo ko le jaane
ke liye.....
Mai--agar tum aisa chahti ho to aisa he sahi....hum teeno mai se
koi bhi ek chun lo tumse ladne ke liye....agar tum jeet gayi to hum
teeno tumhare saath chalenge.....lekin agar tum haar gayi to
tumhe hum se wada karna padega ke kabhi kisi ashay ko nahi

sataogi.....
Taakshi--kad itna chhota or baate kisi veer ki bhaati karte
ho....theek hai agar tum yahi chahtec ho to yahi sahi.....ek kaam
karo tum he aajao mujh se muqabla karne ke liye....tumhe dekhkar
aisa lagta hai tum pal bhar bhi nahi thahr paoge mere saamne.....
Mai us jhopde se bahar nikal kar teji se hoti baarish ke bich m
khada hogaya....apne guru ka smaran karne ke baad....
Mai--taakshi pahle waar tum karo.....kyoki m jaanta hu dusra waar
karne ka moka mai tumhe nahi dunga.....
Mere saamne kuch duri par khadi taakshi apne haath jor jor se
hawa m lahraane lagi......uske haatho ki gati itni jyada thi ki us
gharshan se unmai aag banne lagi.....kuch he palo baad ek
bhayankar aag ka gola taakshi ke haatho m uchal raha tha....
Taakshi--saavdhan balak....ye aakhiri moka hai tumhare
paas.....meri shaktiya ab jagrut ho gayi hai.....samarpan kar do
mere saamne....
Mai--taakshi aakhiri moka ye tumhare liye bhi hai....chali jao yaha
se....

Achanak taakshi ne pure veg kai sath wo aag kaa gola mere taraf
fek diya.....meri aankho ke saamne wo laplapata gola teji se meri
taraf badhne laga.....jaise he wo mere paas pahocha maine apna ek
haath aage badha diya dharti par bah raha jitna bhi paani tha wo
paani hawa mai uth kar mere saamne ek majoobt deewar ke roop
mai khada hogaya.....wo aag ka gola us paani ki diwaar se
bhayankar roop se takraya or us paani m he khatam hogaya.......
Us gole ke khtam hote he wo pani ki diwaar bhi phir se taral ho kar
jamin par bahne lagi.....
Taakshi--ye kaise kiya tumne.....tum koi saadharn balak nahi
ho.....
Mai--mai ek saadharn balak he hu taakshi.....lekin tum jaise
dushto ke liye mai ek bahot badi aafat ban chuka hu....
Maine apne dono haath aasman ki taraf utha diye.....or ek jhatke
ke sath taakshi ki taraf apne haath chhod diye......
Baarish ki barsati bunde asankhy sankhya mai taakshi ki taraf badh
gayi....wo un sab chhoti chhoti bundo se khud ko bachaane ki koi
koshish kar paati us se pahle he wo bunde chhote pattharo ki trah
taakshi se takraane lagi.....pure waatavaran mai taakshi ki cheekhe
gunj rahi thi....wo un bochharo se bachne ki koshish kar rahi thi
lekin uski koi bhi shakti us bocchar se use bacha nahi paa rahi
thi.....

Aakhirkaar ek jor daar chikh ke saath taakshi ne apni haar


sweekar kar li....
Taakshi mere saamne jamin par nidhaal padi buri tarah se haaf rahi
thi....usmai itni bhi shakti nahi bachi thi ke wo apna sir uncha kar
ke meri taraf dekh sake.....
Mohan or avni bhi ab mere paas aagaye the....
Avni--Rudr taakshi mar to nahi jaaegi naa....
Mai--nahi avni....lagataar padti paani ki tej bundo ne isko kamjor
kar diya hai.....sharirik or maansik roop se ab ise sambhlne mai
kaafi waqt lagega.....
Udhar taakshi karhate karhate bas ek he baat bole jaa rahi
thi.....
Taakshi--mujhe maar do....mai jeena nahi chati....mujhe maar
do.....
Taakshi ek sadharan jadugarni thi is liye uski shaktiya itni prbhavi
nahi thi....lekin koi to vajah thi jo taakshi ko is tarah ka kaam
karna pad raha hai....

Taakshi apne dono haath zamin par rakhe apna sir jhukaaye humare
saamne bethi thi....uske aansu barish ki bundo m mil rahe the...
Avni taakshi ke paas gayi or taakshi ke sir ko sahlaate hue kahne
lagi....
Avni--kya hua didi....aap ro kyo rahi ho....or aisa kyo kah rahi ho
ke hum tumhe maar de....
Taakshi--didi....??maine tum logo ko lejaane ke liye shakti ka
sahara bhi liya....uske baad bhi tum mujhe didi bula rahi ho....
Mai--aap hum se badi ho umar m....or aapne jo bhi kuch kiya uska
paschatap aapki aankho m saaf dikh raha hai....
Taakshi--mai bahot buri hu....naa jane kitne he logo ko mai pakad
kar bandi bana chuki hu....
Mai--wo sab kaha hai....shaayd hum log un sab ko waha se nikalkar
aapko is paap se bacha sake....agar aap hume saari baat bata de
to ho sakta hai hum aapki madad kar sake....
Avni or mohan ne taakshi ko sahra dekar khada kiya or use baarish

se bachate hue us jhopde ke paas le aaye jaha hum sab log bethe
the....
Taakshi--maine jo bhi jadu sikha wo maine apni didi se sikha
tha.....hum log yaha ke nahi hai dur aasmano m rahne waale log
hai....ek din aise he hum hawa mai udte hue ek jagah par utar
gaye....waha ki sundarta dekh kar hum use nihaarne lage....
Lekin jaise he didi ne ek phool ko todne ke liye apna haath us phool
ko lagaya wo puri patthar m badalne lagi....wo sundar jagah gaayab
hogayi or uski jagah ujaad biyaabaan humare saamne aagaya....ye
kisi ki maaya thi hume pakdne ke liye....
Mohan--lekin tum logo ko pakadkar bhala koi kya karga....kisne
kiya aisa....
Taakshi--panchaa.....panchaa naam hai us jadugar ka....apni
shaktiyo ko badhane ke liye use manav rakt ki jarurat padti
hai....wo ek baar mai ek he insaan kar rakt leta hai or phir us
insaan ko hamesha ke liye kaali gufa m band kar deta hai....
Mohan--lekin wo un logo ka rakt lekar chhod bhi to sakta
hai.....jab use thhoda he rakt chaiye to...or tumne ye kyo bola ke
hume dekh kar tumhari didi khush ho jaaengi....

Mohan ki ye baat sunkar mai or avni muh faade uski he taraf dekh
rahe the....us se aisi samjhdaari dikhane ki ummid hum me se kisi
ko nahi thi....
Takshi muskurakar kahti hai....
Taakshi--jab maine tum teeno ko dekha to mujhe meri didi ko ek
baat smaran ho ayi thi....unhone kaha tha ke ek din koi teen balak
sansaar mai shaanti sthapit karenge.....or shaayd ab mujhe unki
kahi ye baat sahi bhi lag rahi hai.....tum logo ki himmat dekh kar
mujhe is baat ka ahsaas hogaya hai ke meri didi ko bhi aazad tum
teeno he karwa sakte ho.......
Avni--lekin agar tumhe humare baare m pahle se pata tha to tumne
Rudr ko he ladne ke liye kyo chuna....
Taakshi--mai us samay bas itna janti thi ke koi teen balak hai jo
shaanti sthapit karenge....lekin wo teeno tum he ho uska ahsaas
mujhe Rudr par prhaar karte he hogaya tha....
Mohan--iska matlab tum mujhe ya avni ko chunti to jaldi he hara
deti ladayi m.....
Taakshi--nahi....aisa nahi hai tum dono m bhi alag alag shamtaaye
hai....or agar mai tum logo se bhi yudh karti to mera haal wahi

hona tha yaa shaayd mere praan pakheru ud chuke hote abhi
tak.....or tumhari dusri baat ka jawab m or de deti hu....wo
jadugar un sabhi manushyo ki ek saath bali dega 2 din baad....98
bandi abhi uske paas hai mujhe or meri didi ko chhodkar....agar
mai tum logo ko leja pati to pure 101 hojaate phir wo hum dono
bahno ko chhod deta.....
Mai--2 din ka samay he bacha hai humare paas.....taakshi ek kaam
karo hume jis tarah tum lene aayi thi usi tarah us jadugar ke
saamne bandhak bana kar le jaao....
Mohan--us panchaa ko kanchaa bana kar naa khela to mera naam
mohan nahi....
Avni--maa sahi kahti thi....paglo ke saath nahi rahna chaiye.....ab
chalo.
Hum teeno is samay ek purane kile ke saamne khade the jo ab
laghbhg khandhar m badal chuka tha.....baarish ki rimjhim jhadi
abhi bhi lagi hui thi....
Kile ke mukhy darwaje se hote hue hum ek bade baramde m pahoch
gaye jaha mashalo ke jalne ki vajah se kaafi roshni ho rakhi thi....
Avni--didi kaha hai wo jadugar.....kya use pata chal gaya ke hum
yaha pahoch gaye hai....

Taakshi--ha avni use pata chal chuka hai.....is kile m ghuste he


hum logo ke aane ki khabar us tak pahoch gayi hai....
Tabhi ek jor daar hasne ki aavaj se wo jagah dahal uthi......
Pancha--mai jaanta tha taakshi tum apni bahan ko bachane ke liye
sab kuch karogi.....or tum ne ye siddh bhi kar diya....
Taakshi--ab aap meri bahan ko chhod dijiye.....maine aapka kaam
kar diya ab aap apna wada nibhao.
Pancha--ha ha ha ha.....wada bhi nibhaya jaaega taakshi.....abhi
tumhara kaam pura nahi hua hai.....in teeno ko lejaakar us kile ke
niche bani kaali gufa m band kar do....2 din baad jab bali ki
prakriya puri ho jaaegi tab mai tumhe or tumhari bahan ko aazad
kardunga....
Mai--pancha bhaiya.....kyo aap hum logo ki bali le rahe ho.....kya
mil jaaega is se aapko..,,
Pancha apni badi badi surkh aankho se hum teeno ko ek bharpoor
nazar dekhkar kahta hai....
Pancha--bali dene ke baad meri shaktiya itni badh jaaegi ke uska

muqabla har kisi ke bas m nahi hoga.....


Mohan--itni jyada shaktiyo ka kya tum achar daaloge jab tumhe
mrityu aaegi Tab tumhari koi shakti tumhe bacha nahi paaegi....
Pancha--murkh balak.....mai meri asim taakat ki madad se mrityu
par bhi kaabu kar lunga.....taakshi ab in sab ko leja mere saamne
se or band kar de jab tak mera kaam pura nahi hota....
Uske baad taakshi hum logo ko sidhiyo se hote hue us kile ke
tahkhaane m le aati h or diwaar par tangi ek mashal ko tedha
karte he us deewar m ek raasta ban jaata hai......
Us raaste ko paar karne ke baad humare saamne ek chattan aajati
hai jiska darwaja taakshi koi mantar padh kar khol deti hai.....
Wo ek gufa thi jo shaayad sajayafta mujrimo ko kaid m rakhne ke
liye banayi gayi thi.....
Gufa ke andar bhi mashale jal rahi thi...waha sabhi sahme se
bethe apni mrityu ki prtiksha kar rahe the.....hum teeno waha
bethe sabhi logo ko dekhne lage tabhi taakshi bhagti hui gufa ke ek
taraf chali gayi....
Humne jab taakshi ko is tarah gufa m bhagte dekha to hum bhi
uske piche ho liye......

Taakshi--didi dekho maine kar dikhaya.....pancha ke liye sabhi logo


ko le aayi hu mai.....
Taakshi is samay patthar ke ek murti ke saamne khadi thi jo ke ek
ladki ki thi.....
Avni--kya ye tumhari didi hai taakshi didi...?
Taakshi--ha avni yahi meri didi hai.....pata nahi hum log kaise
yaha se nikal paaenge....kaise meri didi phir se theek ho sakengi.
Mai--aap chinta mat karo....jaldi he yaha se hum sab nikal
jaaenge.....in logo ne kab se khana nahi khaya hai....
Taakshi--wo jaadugar hum logo ko roj khana nahi deta.....kabhi
kabhi to hafte bhar tak ye sab bhukhe rahte hai.....naa peene ko
paani puri tarah se milta hai....
Mai ek jagah zamin par beth jaata hu or kamandal devta ko
pukaarne lagta hu.....or agle he pal kamandal devta mere saamne
hote hai.....

Kamandal--kya chaiye Rudr.....


Mai--kamandal devta yaha bhukhe pyaase log hai.....in sabko kuch
bhi khaaye piye kaafi lamba arsa ho gaya hai....kya aap in sab ke
liye khaane peene ka bandobast kar sakte hai....
Kamandal--kyo nahi Rudr....bhukhe ko khana khilana or pyaase ko
paani ye to sab se bada manav dharm hota hai......mai abhi in sab
ke liye bhojan or paani ki vyavstha kar deta hu.....
Uske baad ek ke baad ek 102 thaaliya kamandal m se nikal kar
zamin par ek katar m laga di jaati hai.....mai or avni un sabhi
kaidiyo ko waha betha dete hai or taakshi ke saath hum bhi wahi
beth jaate hai......
Kamandal se alag alag prkarke vyanjan nikal kar thaali m swayam he
parose jaa rahe the.....jaha kuch der pahle bhukh pyaas se behaal
log apni saari ummide kho chuke the us swadisht bhojan ko dekh
kar wo sab khushi ke saath bhagwaan ko dhanyvaad dete hue
khaane par tu pade....
Taakshi ki aankho m aansu aagye the ye sab dekh kar.....or hum
teeno ek saath beth kar sabhi ko khana khaate dekh fule nahi sama
rahe the......
Sabhi logo ne bhojan kar liya tha.....or hum teeno ek. Saath beth
kar kuch. Yojna bana rahe the...

Avni--ye pancha to kaafi shakti shaali jadugar lagta hai....kya hum


iska saamna kar paaenge Rudr....
Mohan--mera bas chale to mai abhi is pancha ki ki hawa nikal du
apne dhanush se teer chala kar...lekin tum logo ki haa ka he
intjaar hai mujhe.......
Mai--mohan sabr rakho....use harane ka koi na koi or raasta bhi
hoga....
Avni--mujhe nahi lagta hum is shakti shaali jadugar ko hara
paaenge.....uski koi na koi kamjori jarur honi chaiye....agar hum wo
kamjori dhundh le to use hara paana sambhav ho sakta hai.....
Mai--to kya hume kamandal devta se uski kamjori pata karni
chaiye.....nahi....nahi...agar maine kamandal devta se madad
maangi to wo kuch naa kuch kaam karne ke liye hume bol
denge.....hum log ek musibat se nikal kar dusri musibat m phir se
fas jaaenge....
Mohan--guru jwala se puchho....shaayd wo humari madad kar
paaye.....
Mai--guru jwala humari madad kar bhi denge lekin wo abhi kisi

aavashyak kaary mai vyast hai....hume kuch or he sochna hoga....


Kaafi der sochte rahne ke baad bhi hume iska koi ilaaj nahi milta
hai.....aakhirkaar thhak kar hum sabhi maa nindra ki godi m so
jaate hai....
Agla din bhi kuch aise he nikal gaya....saara din humne us gufa mai
he bita diya tha....raat ho chuki thi....
Mohan--Rudr kya ho gaya hai tujhe.....koi to upaay dhudh mere
bhai....warna subah hote he wo jaadugar hum sab ki bali le
lega....mujhe maa ki yaad aarahi hai....or saaath he bahot dar bhi
lag raha hai....
Mai--maa.....?? Hai mahadev mai to bhul he gaya tha.....hai maa
shubhadri humari madad kariye....
Mai jor jor se maa shubhadri ko pukarne lag jaata hu jo Gurudev ke
aashram ke paas bahne waali nadi m mujhe mili thi....
Tabhi waha ek shital roshni failne lag jaati hai.....us roshni ko
dekh kar taakshi bhi humare paas aakar khadi ho jaati hai....
Shubhadri--aaj kaise mere bete ko meri yaad aagayi.....aisi kya
mushkil aagayi mere bahadur bacche ke saamne jo use mujhe
pukarna pada...

Mai--maa mujhe kshma kare.....koi baalak kaise apni maa ko bhul


sakta hai....lekin mujh se ye apraadh hua hai kripa karke mujhe
dand de....
Shubhadri--muskuraate hue.....to mera natkhat baalak ab
samjhdaar bhi ho gaya hai.....or ye tumhre pyare pyaare mitr
mujhe aise kyo dekh rahe hai....
Avni--aapka roop kitni shita hai.....hum sab to bas usi shitalta ka
ahsaas kar rahe hai.....he maa kripa karke humari madad
kare...taaki hum in sab beksur logo ke praan bacha sake....
Shubhadri--jarur meri bacchi.....mai tum logo ki madad jarur
karungi....
Mai--maa kya is jaadugar pancha ki koi kamjori hai....kya hum in
sabhi logo ko yaha se nikaal sakte hai....
Shubhadri--Rudr pancha ek shaktishaali jadygar hai....uski kamjori
ek tute hue sheeshe mai h....agar koi us sheeshe ko jodkar phir se
tod de to us jaadugar ki shaktiya samapt ho jaaengi....lekin
saavdhaan agar tum aisa karne m vifal hote ho to mai bhi tumhari
madad nahi kar paaongi....

Mai--maa wo sheesha is waqt kaha hai.....


Shubhadri--wo tuta hua sheesha is kile ke dakshini hisse m hai
lekin jis kamre m wo sheesha rkha hai uska dwaar kholte he pancha
waha pahoch jaaega.....isliye tum logo ko saawdhaani se ye kaam
karna padega....
Mai--lekin maa koi kaise tute sheeshe ko dubara jod sakta hai....
Shubhadri--Rudr samay sab kuch kar sakta hai....isliye samay ka
sahi upyog karna hoga tumhe....
Mai--maa ye kaisi paheli hai....aakhir konse samay ka sahi upyog
karna hoga hume....
Shubhadri--tumhare is sawal ka jawab tumhe khud he dhundhna
hoga....ab mere jaane ka samay hogaya hai Rudr.....kabhi bhi meri
aavshyakta ho mujhe pukaar lena....or avni tum apna khyaal rakhna
kaafi logo ki nazare sirf tum par lagi hai.....
Uske baad ek dum se waha se wo roshni gaayab ho jaati hai or maa
shubhadri kuch naye sawaalo ke saath hume jujhta hua chhodkar ja
chuki hoti hai.....
Raatri ka teesra pahar bit chuka tha hum teeno badi khamoshi ke
saath us kaksh ki taraf badh rahe the jaha wo tuta hua sheesha
rakha hua tha....hum teeno us jaduyi kambal ko odhe ab us kaksh
ke kaafi najdik pahoch gaye the...

Mai--mohan...avni tum dono yahi ruko mai us jadugar ke paas jakar


use uljhane ki koshish karta hu....jab tumhe kuch aavaje sunayi
dene lage tab tum is kaksh ko khol kar andar chale jaana.....mujhe
us jadugar se yudh karna padega...
Mohan--Rudr apna khyal rakhna agar us jadugar ne tumhe murga
ya kabootar bana diya to hum tumhe theek bhi nahi kar paaenge
kyoki hume jadu nahi aata hai....
Avni--mohan tu chup kar....mene soch liya hai ab kya karna hai.
Rudr tum apna khyal rakhna or jitni koshish ho sake us jadugar ko
jyada samay tak uljhaye rakhna....
Mai--theek hai avni ye kambal tum dono odh ke rakho taaki kaksh
ke darwaje par tum dono ki upasthiti wo jaadugar bhaamp naa le...
Uske baad m un dono ko wahi chhodkar waha bane galiyare m se tej
kadmo se laghbagh bhagta hu ek bade darwaje ke saamne pahoch
chuka tha...
Waha kaafi jyada roshni faili hui thi jo ki mujhe ahsas dila rahi thi
ke pancha yahi kahi aas paas hai....
Mene wo darwaja dheere se khola or andar ka haal dekhte he mere
rongte khade ho gaye the....

Pancha ne apne haath m ek pakshi ko pakad rakha tha or mere


dekhte he dekhte pancha ne us pakshi ki gardan apne paas m rakhe
kataar se kaat di....ab wo us pakshi ka khoon ek katore m bhar
raha tha....or meri aankho ke saamne he usne us katore m bhara
saara khoon pee liya tha....ye sab dekh kar mera krodh saatve
aasman par pahoch gaya tha....or maine jor se pancha ko lalkara..
Mai--PANCHA....teri is darindgi ne mere andar krodh ka tufan
bhar diya hai....tune us nirih pakshi ke praan bina ye soche samjhe
le liye ke kya hoga uske pariwaar ka...iska dand tujhe aaj abhi or
isi waqt mai tujhe dunga...
Pancha lagatar meri taraf ashchary se dekhne laga....shaayd use
andaza bhi nahi tha ke ek chhota balak uske saamne is tarh se apni
mutthiya bheche khada hai...
Pancha--balak kyo apni mrityu ko amntran de raha hai samy se
purv....abhi subah tak ka or samay hai tere paas or kyo vyarth
mere haatho se samay purv marna chahta hai....
Pancha apni jagah se khada ho gaya tha....uske haatho m ab ek
narmund mujhe nazar aane lag gaya tha....or dusre haath m
kataar...
Mai--abhi bhi samay hai pancha sudhar ja...warna tera ant jarur
mere he haatho se hoga....

Mere dwara pancha ko is tarah khuli chunoti dena shaayd pancha ke


gusse ko bhadkane ke liye kafi tha....usne meri tarf apne haatho m
padi wo khopdi ucchalne m ek kshan ki bhi deri nahi kari....
Wo khopdi tezi se lahrati hui meri taraf badhne lagi or mai sambhal
paata us se pahle he wo mere seene se takrakr mujhe dharti par
giraa chuki thi....
Ma shubhadri ka diya hua rakhsa kavach us khopdi se mere praan
to bacha chuka tha lekin bhayankr dard ka ahsaas mere seene m ab
bhi ho raha tha....m kisi tarah phir se apne pero par khada hua or
ek mantr budbudane laga....
Pancha khopdi ke waar ko is tarah bekar jaate hue dekh kar abhi
tak ashchary m duba hua tha....or usi pal mene apna mantr sidh
kar liya tha.....
Maine apne dono haath hawa m lahraaye or mere haatho m ab
bijliya chamkne lagi thi....mene ek jhatke se un bijliyo ka waar
pancha par kar diya.....
Wo bijliya pancha ka kuch nuksan pahocha paati us se pahle he
pancha ne apne haath m pakdi us kataar se mere waar ko chhin
bhhinn kar diya....
Apne waar ki ye haalat dekh kar ek baar to meri aankhe fati ki
fati rah gayu thi....jis pancha se mai ladne pahoch gaya tha wo

mujh se kayi guna jyada takatwar tha.....


Mai kuch samjh paata us se pahle he pancha ke haatho m wo
kataar ek baar phir se naachne lagi thi....
Wo us kataar ka prhaar mujh par kar pata us se pahle he wo buri
tarah se chowk gaya....
Pancha--ye kya.....kisne guspeth kari hai us kaksh m....ab koi
mere haatho se nahi bachega....pahle m us ghuspeth karne waale
shaksh ko maarunga or uske baad tujhe....
Mujhe ye samjhte hue der nahi lagi ke avni or mohan us kaksh m
ghus chuke hai....lekin kese mai is shaktishali jadugar ko waha
jaane se roku....kaise mai apne dosto ke prano ki rakhsa
karu.....apne dosto ko khone ka dar mere man mashtishk par buri
tarah se haawi ho chuka tha....aakhir kese mai is jadugar ko apne
dosto le pran lene se roku............?
Pichle updat mai aapne padha ke kis tarah Rudr or jadugar pancha
ek dusre se lad rahe the....pancha ki shaktiyon ke saamne Rudr ki
shaktiya mamuli saabit ho rahi thi....or achank pancha ko ye
mehsus ho jata hai ke jis kaksh m wo tuta hua sheesha pada tha
waha kisi ne ghuspeth kari hai......
Ab aage....

Mai--hai mahadev mere dosto ki raksha karo....ye pancha to unki


taraf he jaa raha hai....
Pancha lagh bhag bhaagte hue us galiyaare se nikal kar seedha us
kaksh m pahoch chuka tha....
Mohan ne use dekhte he apne dhanush se teero ki lagataar barsaat
us par kar di....
Maamle ki ghamibirta samjhte hue avni bhi jaldi jaldi guru jwala ke
diye us yantr ki madad se us sheeshe ko phir se jodne lagi....
Jab pancha ne avni ko us sheeshe ko jodte dekha to wo gusse se
aag babula ho gaya or apni sab se shakti shaali shakti ka aahvahan
karke mohan or avni par uska prhaar kar diya....
Tabhi achank mai apne gale m latak rahe Rudraaksh ki madad se
pancha ke prhaar ke bich m aajata hu....or us prhaar se bachne ke
liye ek raksha kavach ka nirman karne lag jaata hu....
avni ne us yantr ki madad se sheesha to jod liya tha uske baad us
yantr ka upyog usne pancha par bhi kar diya....jis se hua ye ke
pancha ke prhar karne ki gati bahot jyada kam ho gayi.....uska
kiya hua prhaar abhi bhi aadhe raaste me he tha us shakti ke
prbhav se mere or mohan ki gati bhi kam ho gayi thi....mai dheere
dheere us kavach ka nirman kar raha tha or mohan pancha par apne

dhanush se nishaana saadh raha tha....


Bas ek avni he aisi thi jis par us yantr ka prbhav nahi pada tha....
Avni ne mujhe or mohan ko khiska kar pancha ke prhar ke saamne
se hataya or mohan ke teer ke nishaane ka muh us sheeshe ki taraf
kar diya or uske baad khud bhi ek taraf hatte hue us yantr ka
prbhav band kar deti hai....
Pancha ka kiya gaya prhaar saamne diwaar todta hua nikal jaata hai
or mohan ka teer us jude hue sheeshe ko ek baar phir se chakna
chur kar deta hai....
Ye sab itni jaldi hua ke mai kuch samjh bhi nahi paaya....sab ko
surakshit dekh kar mene raahat ki saans li....mohan abhi bhi kabhi
us tute hue sheeshe ki taraf dekhta kabhi apne dhanush ki
taraf....or dusri taraf khadi avni hum dono ko dekh kar muskura
rahi thi....
Meri nazar jab pancha par padi to m use dekhta he rah gaya wo
kisi budhe ki tarah dharti par pada karah raha tha dard se....
Hum teeno uske paas jaakar khade ho gaye....
Pancha--mene tum balko ko bahot kam aanka tha....or aisa karne
ka parinaam mujhe meri saari shaktiya khokar bhugatna

pada....wese ye accha he hua shaktiyo ko paane ki laalsa ne mujhe


ek raakshas bana diya tha....mai bhul gaya tha ke mai bhi baaki
sab ki tarah ek sadharan insaan he hu....mujhe kshama karna
baccho...meri vajah se kaafi praaniyo ko taklif sahni padi....
Mai--baba aapne jo bhi kiya uska dand aapko mil chuka hai....ab
apna baaki ka jivan bhagwan ki bhakti m bitana he aapke liye sahi
hoga....kripa karke hume taakshi ki bahan ko kaise theek karna hai
uska upchar bata dijiye....
Pancha--Rudr...meri shaktiya jaane ke baad taakshi ki bahan
arudha apne purane roop m phir se aachuki hai....Rudr mai tumhe
ek jaankari dena chahta hu jis se aane waale samay m tum logo ki
shaktiya or jyada takatvar ho jaaengi....
Avni--baba aisi konsi jankari hai....kya aapne kabhi us jaankari ka
upyog karne ka nahi socha....
Pancha--mai us shakti ko chah kar bhi kabhi apna nahi paaya....us
shakti ko apnane ke liye tum logo jesi karuna mere dil mai kabhi
nahi thi....mene itne paap kiye uske baad bhi tum sab mere paas
khade ho mujhe sambhalne ke liye....
Mohan--aisi konsi shakti hai baba...or kaha hai wo....
Pancha--yaha se kuch duri par ek jungle hai...usi jungle ke bicho

bich ek chhota sa taalab hai....jab tum apne shashtro or kavch ke


saath us taalab m snan karoge to tumhare shashtro or kavach ki
taakat kayi guna badh jaaegi....or saath he saath naye kavach or
shashtro ki prapti bhi hogi....
Avni--hum kaise aapki baat par yakin kare baba....ho sakta ho aap
humse badla lene ke liye hume kisi musibat m fasa rahe ho....
Pancha--ab kaisa badla beti....mere praan tyagne ka samay ho
gaya hai....sury udai hote he meri aatma mera sharir chhod kar
mahadev ke charno m upasthit ho jaaegi....or mrityu ki or agrasar
jeev kabhi jhut nahi bolte....
Mai--theek hai baba aap jesa chahe hum us jungle m jarur
jaaenge...ab hume aap jaane ki aagya de taaki us tahkhaane m se
aapke dwara band kiye hue bandiyo ko waapas unke pariwaarwaalo
se milwa sake.....
Pancha--mahadev sada tumhari raksha karenge baccho...ab tum log
jao yaha se mere jivan ka aakhiri samay mai mahadev ki aaradhna
karte hue bitana chahta hu....
Uske baad hum pancha se haath jodkar vida lete hai or sabhi
bandiyo ko aazad karwa kar unko unke ghar bhej dete hai....arudha
or taakshi abhi bhi humare saath he thi jo jungle tak jaane mai
humari madad kar rahi thi.....

Ek baar phir hum teeno ne wo kar dikhaya jo asambhav


tha....mahadev ke ashirwad se jaldi he mere mata pita ka hatyara
bhi humare saamne hoga.....
Ab tak aapne is kahani m padha ke kaise avni mohan or Rudr guru
jwala ki batayi disha m aage badhte hai usi disha m aage badhte
hue un teeno ka saamna jadugar pancha se ho jata hai....pancha ko
harane ke baad pancha ke sabhi kediyo ko Rudr aazad kar deta hai
unhi kediyo m arudha or taakshi naam ki do bahne bhi hoti hai jo
Rudr ke saath us jungle m jane ke liye taiyaar ho jaati hai jiska
pata jadugar pancha ne Rudr ko diya tha....
Ab aage...
Hum log abhi jungle ki seema tak he pahuche the ke arudha or
taakshi wahi ruk gayi...mene peeche palat kar jab un dono ki taraf
dekha to unhone badi komalta ke sath apna jawab diya...
Arudha--Rudr hum log is seema se aage nahi jaa sakte aage ka
safar tum teeno ko he pura karna hoga...
Mohan--lekin didi humare saath andar aane m kya pareshani hai....
Taakshi--mohan mere bhai ye jungle koi aam jungle nahi hai ye
yaksho ka banaya hua jungle hai or aisi jagah jaana humare rajy m
mana hota hai...
Avni-- yaksh....?lekin mene to suna hai yaksh acche hote hai or
saath he saath buddhimaan bhi...
Arudha--tumne sahi kaha avni lekin humare yaksho ke saath kuch
matbhed hai jis vajah se na hum unke ilake m prvesh karte hai or
naa he yaksh humare rajy m aate hai...
Mai--jaisa aap chaho didi...aapke humare saath chalne se aapke

rajy ki koi parampara tutati hai to aapko humare saath nahi chalna
chaiye...ab aap apne raajy ke liye waaps jaa sakti hai...
Arudha--Rudr tum logo ne hum par bahot bada upkaar kiya
hai....hume khushi hogi hum kisi bhi tarah se kabhi tumhare kaam
aa sake...
Itna kah kar arudha ne taakshi ki taraf dekha or taakshi ne turant
apne haath se ek anguthi nikal kar avni ke haatho m de di...
Avni--ye kya hai didi...??
Arudha--avni mai chahti hu tum log kbhi humare raajy m bhi aao
isliye jab bhi tumhara man kare ya koi aavshyakta ho tum is
anguthi ka nagina thoda sa daba dena usi kshan tum sab humare
raajy m pahoch jaaoge....lekin ek baat dhyaan rahe sury ast hone
ke baad suryoday tak ye anugthi kaam nahi karegi isliye jab bhi
iska upyog karo suryoday ke baad he karna....
Avni--theek hai didi hum aap logo se milne aapke raajy jarur
aayenge...
Uske baad arudha ne hum teeno ko apne gale se lagakar hum se
vida li or hum badh gaye us jungle ke andar...
Itna sundar jungle maine aaj se pahle kabhi nahi dekha tha puri
tarah se hara bhara waha rang birange phool har jagah khile hue
the...sunadr sundar titliya charo taraf mandra rahi thi pancchiyo
ka kalrav sangeet jaise humare kaano m ek alag mitthas ghole jaa
raha tha...
Hum apne charo taraf faili us sundarta ko apni aankho m basate
hue lagataar us jungle ke andar badh rahe the....
Jaldi he hume wo pokhar( taalab ) dikhaayi de gaya jiske baare m

hume pancha ne bataya tha...


Avni-- lagta hai ye wahi taalab hai jiske baare m pancha bhaiya ne
humse kaha tha...
Mohan--lagta to wahi hai par ye gahra kitna hoga....mujhe tairna
nahi aata kahi m dub naa jaau...
Rudr--tairna to mujhe bhi nahi aata mohan likin hume is taalab ke
andar jana he hoga...kyoki aane waale samay m humara saamna
kaafi shakti shaali logo se hoga jinko harane ke liye hume bhi
shakishaali banna hoga...
Avni--mujhe pata nahi kuch theek nahi lag raha ho naa ho yaha koi
jaal jarur hai jo hume yaha fasane ke liye bicchaya gaya hai....
Mai--sahi kaha avni lekin hume ab aage badhna he hoga....yaha se
khaali haath lot kar waapas jaana mumkin nahi hai ab...
Hum teeno ne ek dusre ki aankho m dekha or ek sahmati ke saath
us talab ke andar apna pahla kadam rakha....
Kadam rakhte he jaise waha tufaan aagaya....humara per jaha
talab ke paani ke andar hona chaiye tha wo ab barf se dhake talab
ke uper tha....pure taalab par ek majboot barf ki chadar achanak
bichh gayi thi...
Hum kuch soch paate us se pahle he humare saamne ek bada sa
daanav aakar khada ho gaya tha....
Us daanav ki aankhe surkh laal thi uske maathe par ek sing bhi
nikla hua tha badan pura baalo se dhaka hua....
Us daanv ko dekhte he hum logo ki haalat kharab hone lag gayi
tho...wese m pahle bhi ek daanav se lad chuka tha lekin ye wala
daanav us se kahi jyada bhayanak or skati shaali mujhe lag raha

tha....
Mene apni shakti jagrit karne ke liye kuch mantr bole lekin koi
mantr yaha kaam nahi aaraha tha...
Hum buri tarah se fas chuke the naa to hum is danav se bach kar
kahi bhaag sakte the or naa he apni shaktiyo ki madad le paa rahe
the.... Ab aage....
"" kon ho tum log...??? Kyo aaye ho yaha ?...kya tum teeno chor
ho?kon ho tum??
Apni lal surkh aankho se dekhte hue wo danav lagatar hume he
ghure jaa raha thha...kisi tarah himmat karke mene use jawab
diya...
""Danavraj hum chor nahi hai....mera naam Rudraaksh hai...iska
naam mohan hai or iska naam avni hai...hum to bas is taalab mai
nahane ke liye aaye thhe..kuch churane nahi...""
Yakayak wo daanav jor jor se haste hue kahne laga...
"" mujhe kya murkh samjha hai tum logo ne....is taalab mai har koi
nahi naha sakta....or jo isme jabardsti nahane ki koshish karega wo
maara jaaega...""
Mohan ne apni kushagrta ka istemaal karte hue danav se ek sawal
puccha...
""Danav bhaiya is taalab mai kon naha sakta hai....hum teeno to
masom balak hai bhala humare liye kaisi pabandi??""
Apni aankhe mohan par tikate hue wo danav kahne lagta hai....
"" is taalab mai wahi naha sakta hai jise marne ka dar na
ho....agar tum teeno mai se koi hai jo marne se nahi darta tab tum

is taalab mai naha sakte ho....lekin agar tumne dar ke saath is


taalab mai nahane ki koshish kari to tum sabhi maare jaoge...
Daanav ki baat sunakar jaha mohan or mere maathe par pasina
chhalk aaya tha wahi avni khadi khadi muskura rahi thhi or
muskurate muskurate wo apne dil ki baat daanav se bol he gayi...
""Hai daanavraj agar koi dara hua jeev is taalab mai nahana chahta
ho to uska kya upaay hai....kya koi bhi tarika nahi hai jis se wo
dara hua jeev apni iccha puri kar sake....""
Avni ki baat sunakr daanav ne kuch der socha or phir jawab
diya....
""Aisa ho sakta hai....lekin uske liye kisi ko apni jaan ki parwah
kiye bager mere haatho marna hoga....uske baad wo jeev apni iccha
puri kar sakta hai or use rokne ke liye main khud bhi yaha nahi
rahunga kyoki jaan lene ke baad main bhi yaha se gayab ho
jaaunga....""
Mohan ka dimag ye sab baate sunkar buri tarah khrab ho chuka
thha wo laghbhg chillate hue avni se bola...
"" hum yaha kyo aaye hai avni....Gurudev dwara diye gaye
hathiyaar pahle se he itne shakti shaali hai hum log kyo inhe or
jyada shaktishaali banaye....mujhe nahi nahana is taalab mai....or
naa main tum dono ko nahane dunga....""
Avni ne mohan ki baat ka jawab diye bager Rudr ke kaan mai kuch
kaha jise sunte hue kabhi Rudr ki aankhe failne lagti kabhi sikudkar
bilkul chhoti ho jaati....
Aakhir kaar avni ki khhusar phhusar band hui or uske baad Rudr ne
kaha....

"" hai daanavraj main aapke haatho se marne ko taiyaar hu....lekin


kya uske baad aap mere dosto ko is taalab mai nahane doge...??""
Daanav bade aashchary se Rudr ko dekhte hue bola....
""Tum itne chhote hote hue bhi itne nidar ho....mujhe samjh mai
nahi aa raha aakhir aisa kya hai tumhare dosto mai jo tum inki
khaatir apni jaan dene jaa rahe ho....""
Rudr ne bina der kiye daanav ke is sawal ka jawab diya...
"" mere dost he mere liye sab kuch hai....yahi mera pariwar hai or
yahi mera gyaan hai....mata pitah or guru ke baad dost he hota hai
jo samaaj ki asli shiksha deta hai.....mujhe to kuch pata he nahi
thha kon kaisa hota hai or in sab ka gyaan dene waale mere dost
he hai...""
Daanav ke mukh par itni der mai pahli baar ek sundar si muskaan
aagayi or usne kaha...
"" Rudr tum sach mai veer ho isliye mai tumhe maarne se pahle ek
baar is taalab mai nahane ki anumati bhi deta hu....jaao or naha lo
lekin mujh se yudh karne ka sochna bhi mat kyoki agar tumne aisa
kuch kiya to tumhare saath tumhare dost bhi maare
jaaenge...bhale he tumhare hathiyaaro ki shaktiyan wapas aajaengi
lekin us shakti se bhi tum mera baal bhi baanka nahi kar paoge..""
Rudr ne muskurakar ek baar daanav ko dekha or uske baad avni or
mohan ki taraf dekhta hua taalab mai utar gaya....
Ab aage...
""Rudr mat jaa mere bhai...ruk jaa tujhe humari dosti ka
vaasta...""

Mohan ki dard bhari chitkaar sun kar Rudr ke pair jaha thhe wahi
jam gaye...usne palat ko apne dost mohan ke chehre ki taraf dekha
jo aansuon se bhari aankho se lagataar bas Rudr ko he pukare jaa
raha thha...
""Mohan mere bhai mujh par bharosa rakh....jab tak mahadev nahi
chahenge mera koi baal bhi baanka nahi kar sakta....apne dar ko
mahadev ke hawale kar de jaise mene kar diya avni ne kar
diya...mujhe marne ka dar nahi hai naa he kisi dard ka
bhay....isliye apni kasam wapas le or mujhe haste haste ek veer
mitra ki tarah vidaayi de naa ki is tarah aansu baha kar...""
Rudr ki baat sunkar mohan ki aankho mai jaise aansuon ki baadh
aagayi thhi....wo rota rota kahne laga...
"" Rudr ghar jaa kar mai apni maa ko kya jawab dunga...??? Kya
main unse ye kahu ke unka rajkumar meri aankho ke saamne maara
gaya or main bas rota hua use bas marta dekhta raha....nahi mere
bhai nahi...main itna bada bojh lekar nahi jee paunga is se badhiya
to is daanav se ladte hue mai maara jaau....""
Apni baat bol kar mohan daanav ki taraf lapka he thha ke avni ne
mohan ka haath pakad liya or us se kahne lagi...
"" mohan sab kiye karaye par paani mat fer....mujh par or Rudr
par bharosa rakh hum jo kuch bhi kar rahe hai wo soch samjh kar
he kar rahe hai...ab apni kasam se Rudr ko mukt kar or use karne
de jo use karna hai....""
""Mujhe yakin nahi ho raha Rudr ke saath saath tu bhi pagal ho kar
Rudr ko jaan dene degi....jaa bhai Rudr jaa....meri kasam se
aazad karta hu tujhe wese bhi mai hota kon hu jo tu meri kasam
dene par ruk jaaye...jaa kar le apne man ki...""
Mohan ki baat sunte he Rudr ke chehre par muskurahat fail

gayi....usne ek nazar avni ko dekha or phir taalab mai aage badh


gaya....
Sab se pahle usne kamandal devta ko pukara or pukarte he
kamandal Rudr ke haatho mai thha....uske baad usne avni or mohan
ka dhanush or samay niyantrit karne wale yantr ka aahvahan kiya
or wo bhi avni or mohan ke haatho mai pahuch gaye....
Uske baad Rudr ne ek lambi saans bhar kar dubki lagayi or jab wo
paani se bahar nikla to uske gale or haath mai pahna raksha kavach
buri tarah se jagmaga rahe thhe....un se nikalne waali roshni itni
jyada thhi ke avni or mohan bhi apni aankhe band karne par majbur
ho gaye....
Ab Rudr dheeme kadamo se daanav ki taraf badhte hue avni or
mohan se kahta hai...
"" main hamesha tumhare dilo mai rahunga....aaj meri yaatra yaha
khatam hoti hai to ho jaaye lekin is yaatra ko apne anjaam tak
pahuchane ki jimmedari ab se tum dono ki hai....""
Apni baat kah kar bina kisi dar ke Rudr daanav ke saamne jaa kar
khada ho jaata hai or daanav se kahta hai....
""Daanavraj maine apna vachan nibhaya or aagaya aapke saamne ab
der naa karo or apne vachan ka bhi paalan karo...""
Daanav ne Rudr ko acche se dekha or apne vishaal haath se Rudr
ke sir ko sahlate hue ek jhatke mai Rudr ki gardan uske dhad se
alag kar di....
"" main chah kar bhi tere praan lene se khud ko rok nahi paaya
veer Rudraaksh....mahadev mujhe shaayd he is kaam ke liye maaf
karenge....""
Apni baat kah kar wo daanav waha se palak jhapkte he gaayb ho

chuka thha...or uske jaate he mohan bilakhta hua Rudr ke nishchal


sharir ke paas aakar foot foot kar rone laga....aansuo ki kuch
bunde naa chahte hue bhi avni ki aankho se nikal gayi....
Mohan ki bhayankar rulaayi or chitkaar se wo sunadar jungle bhi
saham saa gaya thha....or kuch nahi kah raha thha mohan bas yahi
baar baar kahta jaa raha thha rote rote....
"" ab kiske liye ye ladayi ladunga mere bhai...kiske liye....""

You might also like