You are on page 1of 2

Bano S.A Ye Abid Ko Batla rahi hai, Meri Sakina S.A Ko Neend Arahi hai. Meri Sakina S.

A Ko Neend Arahi hai. Kehdo Hawaon sey Aahista ayen, kehdo Parindon sey Ghul Na Machayen, Kehdo Andheron sey wapas na jayen, Kehdo Andheron sey wapas na jayen, Jagi Howi Chain Kuch Pa rahi hai. Meri Sakina S.A Ko Neend Arahi hai. Shayed Rasan ki Aziyat Howi kam, Madham karo Bibion shoor-e-Matam, Sajjad Zanjir Boley na is dam, Sajjad Zanjir Boley na is dam, Shayed Ghamo ki Ghari Jarahi hai, Meri Sakina S.A Ko Neend Arahi hai. Yeh Sham-e-Ghariban Ki Jagi howi hai, Tamachon key dar sey nahi so saki hai, Zara phir galey sey rasan jo khuli hai, Zara phir galey sey rasan jo khuli hai, Sukoon sey jo aab sans ley pa rahi hai. Meri Sakina S.A Ko Neend Arahi hai. Main khush hon k soyegi meri dulari, Main qurban is k main aab isk wari, bohat sehchuki dukh yeh Ghazi A.S ki pyari, bohat sehchuki dukh yeh Ghazi A.S ki pyari, Magar nabz kuch or batla rahi hai, Meri Sakina S.A Ko Neend Arahi hai.

Magar Yeh howa kia k zindan roya, badan rooh k sath bachi ka soya, Najagi woh Abid ney shana hillaya, Najagi woh Abid ney shana hillaya, Or aab ma yeh keh bhi nahi pa rahi hai, Meri Sakina S.A Ko Neend Arahi hai. Kahan Tak Likhonga main rehan Noha, kabhi shaam jaon to dekhon woh Roza, Jahan qaidi bachi ka marqad hai tanha, Jahan qaidi bachi ka marqad hai tanha, Jahan Maa abhi bhi Kahayejarahi hai, Meri Sakina S.A Ko Neend Arahi hai.

You might also like