You are on page 1of 22

01st August 2012

Day 18

*** Azkaar e Nafia ***


Muawwizatain ka parhna aur fazaeil:
-page 62

Muawwizatein mei aaooz lafz chupa hai, aein waao zaal = kissi ki panah
mei aana
Muawwizatein= wo 2 cheezein jin ki waja se hum panah mei aate hain
Zindagi mei bohat mushkilaat, fitne, sheytaan hain tu 2 suratoan k o inn
ke ehmiyat ki waja se muawwezatein kehte hain;
SURAH AL-FALAQ
SURAH AN-NAAS
Fail aur Mafool ka faraq:
Muawwazatein: 2 tahaffuz/panah mei di gayii cheezein
Yaha hai muawwizatein: 2 panah dene waali sooratein
Sawaal aur panah talab karne ke liye be-misaal hain ye sooratein
Koi talab ya beemaari, dukh, pareshani, sheytaan jis se bhi Allah ki
panah mei aana chahein tu ye sooratein bohat khoobsurat hain!
Daleel: Imam Nisaayi ne Uqba bin Amir r.a se rawayat ki ke unnhoan ne
bayaan kiya; Mei Rasool Allah s.a.w ke saath jaa raha tha tu Allah ke
Nabi ne kaha; Ae Uqba, kaho. Mei ne arz kiya Allah ke Rasool, kiya
kahoon? Aap khamosh rahe, phir farmaya; Uqba, kaho. Mei ne arz
kiya Allah ke Rasool, kiya kahoon?. Aap s.a.w ne sakoont ehtyaar ki.
Mei ne dil mei kaha Ae Allah Nabi s.a.w ko meri taraf matawwaje
farymaaiye. (Nabi ne mujhe 2 baar kehne ko kaha aur mei ne nahi kaha,
tu Aap khamosh ho gaye. Aap ke dil mei mere bare mei koi bura guman
na aaye). Allah ke Nabi s.a.w ne farmaya; Ae Uqba kaho. Mei ne arz
kiya Allah ke Rasool, kiya kahoon? Phir Aap s.a.w ne farmaya; Qul
aaoozubi Rabbil falaq. Mei ne iss surat ko aakhir tak parha tu Aap ne
farmaya; Kaho. Mei ne arz kiya Ae ALLAH ke Rasool, mei kiya
kahoon?. Aap ne farmaya; Qul aaoozubi Rabbin-naas. Mei ne surat ko
akhir tak parha tu Aap s.a.w ne farmaya; Kissi sawaal karne waale ne
in aisi 2 cheezoan ke saath sawaal nahi kiya, aur kissi panaah talab
karne waale ne aisi 2 cheezoan ke saath panaah talab nahi ki.
(Tawajju ka andaaz dikh raha hai, ho sakta hai pehli dafa kaha tu unn ki
tawajju na ho)
Allah ke Nabi s.a.w pe jaadoo hua tha jo aik yahoodi Laqeeb bin Asim??
Ne apni betiyoan ke zariye kissi tarah Aap s.a.w ke baal haasil kar ke
karwaya. Unn baaloan mei girhein lagayein, zarwal naam ke kunwe ke
ander unn ko chupaa diya. Iss ka asar Allah ke Nabi s.a.w ki yaad
daasht pe ho gaya, lekin deen ke muamale mei nahi. Aap taharat ke
kuch masayeil bhoolne lage yaani ye yaad nahi rehta tha ke mei ne
gussal karna hai ya nahi. Sheytaan ka yehi pasandeeda raasta hai ke
logoan ko ganda rakhta hai taake wo deen se door rahein aur gandi
baatein unn ke diloan mei daalta hai.

Allah Tallah ne ye 2 sooratein naazil keen aur aik aik ayat ke saath aik
aik girah khulti gayii. Uss ke baad kabhie koi aisa asar ya kissi pe koi
jadoo tona hota tu Allah ne Nabi issi ke zariye ilaaj karte the.
Inn sooratoan mei Allah ki tawheed-e raboobiyat, aloohiyat, asma o
siffat hian tu sheytaan tu aik dafa Allah ka naam sunn ke door bhaag
jaata hai tu jaha itni dafa Allah ka naam aaye gaa tu wo kaise thehr
sakta hai?
Yaqeen shart hai, iss ke begair kaam nahi ho gaa!
Muawwizaat ka subah sham 3 baar parhne ka har cheez se
kifayaat karna
Daleel: Imam Bukhari, Tirmidhi, Nisaayi ne Abdullah bin Habeeb r.a se
ye rawayat naqal ki, unnhoan ne bayaan kiya ke hum aik baarish aur
shadeed tareeki waali raat mei Rasool Allah ki talaash mei nikle taake
wo hame namaz parhayein. Unnhoan ne bayaan kiya; pass mei ne
anhazrat s.a.w ko dhoond liya tu Aap ne farmaya; kaho. Mei ne kuch
na kaha, Aap ne farmaya; kaho. Mei ne kuch na kaha. Aap ne phir
farmaya; kaho. Mei ne arz kiya; mei kiya kahoon? Aap s.a.w ne
farmaya; Qul, qul huwallahu ahad aur jab tum sham karo aur subah
karo tu Qul huwallahu ahad aur muawwizatein 3 martaba parho. Aisa
karna tumhe har cheez se kifaayat kar de gaa.

*** Daura Quran 2012 - Para 14 - Surah Hijr ***


Theme of Para: Na shukriyoan ka rawayya
-Poora Para aur khaas tor se Surah Nahl shukar aur na-shukri ke
rawayyoan ko zaahir karta hai
-Surah Hijr, Ayah 2 mei na shukri ke asbaab dekhein ge qomoan ke
-Surah Nahl mei bunyadi mazmoon - shirk ki nafi
-Uss basti ka haal jis ne Allah ki nematoan ki na shukri ki aur azaab ka
shikar ho gaye
ACTIVITY: Jaha bhi na shukri ki baat aaye, note kar lein aur apna
muhasba karein
Questions answered in this Para:
Na shukri ki bunyadi waja kiya hoti hai?
Shehad ki makhi ko kiya wahi ki gayi thi?
Sitaroan ko banane ka kiya maqsad hai?
Aik tawheed parest aur aik mushrik ke aqeeda mei kiya faraq hota
hai?
Jab insan ko maut aaye gi tu farishte iss ke paas aa ker kiya
kahein ge?
Najoomiyoan ki baat ko maan na shirk ke kis daairey mi ata hai?
Aasmaan o zameen aur iss ke darmayaan mei aqal walon ke liye
kiya kiya nishaniyaan hain?
Jab asbab aur wasaeil jawab de dein tu kon kaam aata hai?

Dawat aur tableegh kis tareeqay say karnay ka hukum hai ke


zyada se zyada log uss ko maan sakein?
Betiya rehmat hain ya zehmat, Islam iss bare mei kiya kehta hai?
Betoan ko lene ke liye dar dar ki thokrein khana behter, ya Allah
se dua karna?

*** Surah Al-Hijr ***


Tarteeb se 15th Surah, Tarteeb-e Nazool se 54th Makki Surah
Pichli qomon kay tazkeray hain. Makkah ke us dor ki hai jab Allah ke
Nabi s.a.w ko jhutlaane ka silsala barhta jaa raha tha tu pichli qomoan
ke qisse suna ker yaad dilaya gaya ke tumhare saath bhi wo ho sakta
hai jo pichli qomoan ke saath hua kyoun tumhara rawayya bhi nabi ke
saath waisa hai jaisa unnka apne nabiyoan ke saath tha!
15:18
Ashab ul Hijr Hijr aik basti ka naam hai aur pathar ko bhi kehte hain.
Ayah 1
is ko yeh soch ker sun-na kay yeh breaking news hain
Ayah 2
Kaash hum nay nabyion ke baat mani hoti
aur Allah ke nezer may bara aur khud ko chota banaya hota
aisay logon kay sath kia mamla kero, Allah bata rahe hain;
Ayah 3-5
Allah insaan ko uski ghalflet aur khush gumaniyoan ke tilsam say nikal
rehay hain
kay aj mazay ker lo, wo waqt door nahi kay apnay ap ko tum Allah ke is
naimet say door ker kay khushqismet ya mutmain samjho
kafir khawaish keray ga kay kash may muslim hota, wo din door nahi
Baaz kehte hain kafir apni maut ke waqt har kaafir azaab ko dekh ke ye
khawahish karta hai.
Rawayat milti hai ke Allah Tallah jab qayamat ke din jannat aur
jahannum de dein ge tu wo log jo the musalman lekin gunahgaar the, tu
agar Allah chahein ge tu unn ko saza ke tor per jahannum mei daalein
ge jahan kafir bhi hoan ge. phir muslim aik waqt kay baad nikalay jain
gay , kafir sochain gay kay ab humain be nikala jaye ga , us waqt unki
ye ghalat fehmi door ki jaye ge kay nahi ab nahi
us waqt kafir khawhish keray gay kay kash hum muslim hotay!
Duniya mei agar islam apni gaalib kaifiyat pe ho tu har musalman ko
dekh ke kafir ke khayal mei ye zaroor aana chahiye ke kash mei
musalman hota.
Kiya hum apne aas paas rehne waloan ke liye aisa role model dikhte
hain? Kiya hamare chehre pew o itmenaan aur hamare dil mei wo
khushi dikhti hai ke kafir hame dekh ke hasrat kare??
Aaj tu musalman kehte hain lau kaanu kafireen! Sochne ki baat hai!!!
ager muslims mehnat kerain aur apni zindasgi ko baa maqsad banayin
tu aaj bhe kafir kehain gay kay kash may muslim hota!

is liay Allah humain paighaam deta hai kay apni identity pehchaano!
jub muslims ghairon kay kapray pehanta hai, rang dhang, bol chaal har
cheez mei tu wo humain dekh ker khush hotay hain ke hamari utran hi
pehte ho, hum se impressed ho!
Aaj humain yaqeen ho jaye kay Allah ny humain behtreen banaya hai!
Kafir kay pass zindagi ka koi maqsad nahi , is liay is he duniya may
khata peeeta hai na wo gor o fikar karta hai, na tadabbur - na uss ki
jannat na jahannum! Eat, drink, be merry!
HIGHLIGHT - ya kulu , yatamataooo , yulhihhim
Fa saufa yalamoon tu agar kal unn ko pata chal jaaye gaa aisa karne
pe tu agar aaj hum musalman iss tarah hoan ge tu hame nahi pata
chalay gaa? Pata tu chaley ga jab hum bedaar hoan ge. Hadees ka
mafhoom hai ke log so rahe hain, pata tab chaley ga jab inn ki aankh
khule gi.
Aur aankh tab khulti hai jab hum apni zuban mei kehte hain ke fulaa ki
aankh band ho gayii.
Ayah 6
kis ko keh rehay thay ? nabi s.a.w ko!
HIGHLIGHT: innaka la majnooon
aj humain kehain tu hum kyoun ghebratay hain?
Hum sub jannet kay raahi hain! aik rastay per janay walay tamaam
logon kay rastay may same milestones aatay hain. Issi tarah jannat ke
raaste mei bhi kuch milestones aate hain aik jaise, chahe wo Nooh a.s
ka ho ya Nabi s.a.w ka - sacha raasta mukhalafatoan ka hai sabar,
ilzamaat, majnoo, fanatic, bigre huey wageira wageira! agar ye
milestone na dikhein tu kuch masla hai, sahi raaste pe nahi hain!
jo log deen ke raaste mei short cuts lete hain tu bohat kuch kam ho jata
hai
Nabi s.a.w majnoo kehlaaye gaye, aaj koi kuch keh de tu khush hoan
Ayah 7
be jaa mutaalbe!
Ayah 8-9
HIGHLIGHT Ayah 9
Jab tak Allah na chahein, log iss quran ke zabar zer mei bhi tabdeeli
nahi kar sakein ge!
kisi ne baatil nazrayat ko phelaane ke liye Quran istemaal kiya tu jhat
patt khatam ho gaye
musalman iss kitaab pe amal kare tu koi isse tabdeel karne ka mutalba
nahi kare ga! Logoan ne tareekh mei sar tor koshishein kii ke kissi tarah
Quran ko duniya se badal dein.
Aik baadshah tha, uss ne itna zulm kiya, hukm diya saare Quran ke
nushay jala do. Karindoan ne yehi kiya, jaa jaa ke gharoan se aur har
jaga se quran jala diye. Aik din baadshah ko chalet huey kissi ki Quran
parhne ki awaaz aayi, gussa aaya karindoan pe ke tum sab ne mujh se
jhoot bola, tum ne kaha jala diye magar mei ne fulaa jaga awaaz suni
hai iss ki. Phir unnhoan ne kaha ke Quran ke nushay jalaane ko kaha
hai, aap ko kiya pata ke ye Quran tu iss qom ke seenoan mei hai!
Tareekh mei sab se pehle Qurra ko, hafizoan ko, deen ke muballigh
qatal kiye gaye
ke log iss kitaab ke dushman hain

Dua: Allah meri zaat, amal, soch, tor tareeqe se logoan ko Quran dikhe Ameen
Ayah 10-11
pehle majnoon, doosra yastahziyoon
na shukri ke rawayye - Nabi rahmat ban ke aata hai Allah ka deen
sikhane ke liye. Allah ke deen sikhane waale rehmat bante hian, Aalame deen, aima karam, imam masjid, hafiz, qurra hazraat ye kissi shehr
ke liye bohat bari nemat hote hain lekin log hawishoan mei hote hain tu
dushman ho jaate hain
pehle deewana mas'hoor karte hain, phir mazaaq uraate hian
ke iss se bohat se yaani mazaaq urwaane ke darr se log deen se kuch
hadd tak peeche ho jaate hain
kitni der Allah ke raaste ko chorein ge mazaaq urwane ke darr se?
Ayah 12 - HIGHLIGHT - Ayat e Tadabbur
jis tarah gosht pakte huey kisi salakh ke ander dala jaata hai, issi tarah
se quran salakhoan ki tarah ghusta aur chubhta hai kafir aur jhutlaane
waaloan ke dil mei
Quran ki mehfil mei khud ka dil check kiya karein
Dua: Allah ye Quran hamare dil ka noor ban jaaye Ameen
Ayah 13-18
Aaj kuch log sitaroan se qismat ka haal maloom karte hain jo shirk hai.
Sitaroan ko banane ke maqasad;
1) Allah Tallah iss se sheytaanoan ko bhagaate hain - 17
2) Zayyan-naha Lin-nazereen - 16- beautify kiya gaya aasmaan , raat ko
kale aasmaan pe sitaare na hoan tu kitna khauf aaye
3) Allah ne iss mei khushki aur tari ke raaste rakhe huey hain
Aap ne farmaya Iss ke ilawa jo sitaroan se qismat ka haal maloom kare,
haath dikhaaye, najoomi ke paas jaaye aur uss ki baatoan ko maan le tu
uss ne uss cheez ka inkaar kar diya jo Muhamadun Rasoolullah s.a.w le
kea aye.
40 din tak ibadat qabool nahi hoti haath ki lakeer sirf dikhaane se, ya
aisi jaga jaane se - chahe usse maneine ya nahi
Ayah 19-22
kabhie hawa, baarish, oxygen, sooraj ki roshni ka tax/bill aya ghar pe?
Duniya pe tu har har cheez ka tax lagta hai!
Aaj insaniyat ka jeena muhaal hai taxes sarr nahi uthaane dete
Allah kehte hain agar hum ne ye khazane logoan ko diye hote tu pata
nahi kiya haal ho jaata shukar hai ke paharoan aur hawaoan ke
khazane Allah hi ke haath mei hian
Ayah 23
marne pe tax nahi lekin kharche pe kaafi tax hai, jo thori qabar ki jaga
aur funeral arrangements wageira
Allah ne hamare liye kitna kuch raka
Dua: Allah hame apni qadar karna sikha de - Ameen
Ye surah Allah ki nematein dikha ke tawheed seekhaati hai, lekin log
na-shukray hote hian!
Allah zulm nahi karte kissi pe issi liye kaha;

Ayah 24
Allah ko sab pata chal raha hai, sab ke gunaah sawaab!
Ayah 25
insan ko janjhora gaya yaha tak ab aage asal dikhanyii jaa rahi hai
insaan ki;
Ayah 26
matti sarri hui, puraani ke sookhe gaare se insaan banaya gaya hai!
hama - keechar jis mei jaraseem paida hoan.
Insan ko jab banaya gaya tha tu pehle matti ko goondha gaya tha, phir
jab uss mei jaraseem yanai zindagi ke asraat paeida huey tu insan ki
shakal mei dhaala gaya.
Ayat-e Tadabbur
aaj kis baat ki akar hai mujhey?
mumkin tha insan soney se banta, jis Rabb ne paharoan ki tahoan mei
itna sona rakh diya jo abhi tak daryaaft nahi hua tu Innallaha ala kulli
shayin qadeer!
lekin agar hota tu hota kiya, kiya zameen pe sajda karta?
matti ka ban ke kitna akarta hai aur agar soney, chandi, here ka hota tu
kiya hota?
bara ban-ne ko dil chahe Allah ki baat ke muqable mei tu ye ayat yaad
kar lein!
ACTIVITY: mirror mei iss ayat ke tarjume ko likh ke laga lein urdu mei
Ayah 27-29
Allah ki shan - kamzor makhlooq ke aage itni bari makhlooq ko jhukaaya
gaya
matti ki bohat khoobiyaan hai
Allah ne insanoan ki naslein chalani thein, iss liye matti se paida kiya
matti ke wajood mei growth hai, issi liye har cheez jo matti mei jaati hai
tu aur cheezein ugti hain!
Phal ka aik bheej zameen mei jaata hai, bail ugti hai aur phir poora
darakht jo phal se bhara hota hai Allah ke hukam se!
Ayah 30-36
iman bil akhira sheytan ka bhi hai
Ayah 37-41
HIGHLIGHT - 41 - Ikhlaas ka raasta aise shakhs pe sheytaan ka bass
nahi chale gaa!
ikhlaas wo raaz hai jo farishtoan ko bhi pata nahi chalta
jis niyyat se hum koi kaam karte hain koi nahi janta Allah ke siwa
Allah ke nabi ne bataya ke sab ke saath sheytaan hai. Log heraan huey
ke Allah ke nabi aap k abhi sheytaan hai? Kaha haan lekin Allah ne uss
ko musalman kar diya hai ke wo mujhey ab burayii ki dawat nahi de
sakta!
Sab ke saath aik sheytaan aur aik farishta laga hua hai, sheytaan hame
burayi ka hukam deta hai aur farishta naiki ka Hum aik dafa farishte ki
maan lein ge tu aahista aahista farishte se dosti ho jaaye gi, phir baaqi
naikiyaan asaan ho jaati hain.

jis ki manein ge wo raasta asaan ho jaaye ga. Mukhlis banda bilakhir


sheytaan ke chungle se azaad ho jaata hai!
39 - mera rabb - tawheede raboobiyat
Inn 10 cheezoan se sheytaan ko door kar sakte hain jo khulle aam keh
raha hai hame jannat se door kare ga;
Aaoozubillah kasrat se parhne se
Muawazzatein parhne se
Ayat ul kursi ki kasrat se tilawat
Surat al baqarah poori ya last 2 ayahs parhne se
Sone ke azkaar
Hadees mei aata hai ke 100 baar la illaha illallahu wahdahu la
shareekalahu lahul mulkoo wahuwa ala kulli shayin qadeer subah
uth ke parhne se insan sheytaan ki chungle se azaad ho jaata hai
Zikr e ilaahi Hadees mei aata hai ke insan ke dil pe sheytaan ne
apni thothani rakhi hui hai. Aik aur Hadees ka khulasa hai ke Aap
s.a.w ne farmaya; sheytaan machar ke dank aur aik hadees mei
aata hai haathi ki soondh ki tarah insan ke dil pe nazar rakhta hai
aur junhi banda zikr se gaafil hota hai tu uss per hamla kar deta
hai.
Zikr karne pe sheytaan door bhaagta hai aur gaafil hone pe
waswase daalta hai.
Ba wazu rehna aur aur 5 waqt ki namaz ada karna
Fazool khaane se parheiz karna
Bekaar baatoan se parhaiz
4 cheezoan se sheytaan insaan ko mareez bana deta hai;
zyada khaana
zyada nazroan ka dorana yaani chaka chaki
zyada socialise karne se, ghar rehne se insan secure hota hai
zyada baatein karne se
Agar ye dekhna chahte hain ke mere ander sheytaan ka asar hai ya
nahi? Tu apna dil check karein, jo hamara zameer hai. Momin ka tarazoo
ki tarah hota hia, aik palra bhi idher se udher jhuke tu usse pata lag
jaata hai.
ita'at , ibadat,. Muamalaat har waqt momin inn ko check karta rehta
hai! Zara 19/20 aaye tu pata chal jata hai iman ka level low hai
walaoogwiyyanhum ajmaeen - sab ko kidnap karne ki dhamki de raha
hai sheytaan
Ayah 40 - 41
Dua: Allah hame ikhlaas de dein Ameen
Ikhlaas na ho tu din ba din insan deen se door hota hia!
Ayah 42-43
Ye darwaze gunahoan ke, masiyat ke hain jin pe chalk e insaan galat
kaam karta hai! Maslan, Jo Allah ko nahi manta tu wo dehriyat ke
darwaaze se jaaye gaa, koi nifaaq ke darwaze se, koi fisq ke, koi fajoor
ke, koi zina ke, koi sharaab ke naajaane kitne darwaze hain jin se bach
ke guzarna hai! Yehi taqwa hai.

Hazrat Umer r.a se kissi ne aik moqa pe poocha ke taqwa kiya hai? Tu
kehne lage kabhie tum kisi jungle mei se jis mei dono taraf kantoan wali
shahein ho guzre ho? kaha haan , poocha kaise guzarte ho?Kehne lage
bohat daman samait ke, kaprey lapait ke, idher se udher bachte
bachaate guzarte hian. Tu kaha yehi taqwa hai!
Duniya itni haqeer aur gandi, lekin attraction!!
sheytaan ka kaam: gande ko khoobsurat karna
sabse pehle na shukri iblees ne ki, yehi karne pe insan ko maeil karta
hai!
Ayah 45-46
Allah hame inn mei kar dena - Ameen
Ayah 47-48
Baaz dafa 2 naik logoan ki bhi aapas mei nahi lagti. Tu Allah Tallah
farmaa rahe hain; Wa nazana maa fii soodoorehim.
Hadees mei aata hai ke Jannat se baahir aik nehare hayewaan hai. Allah
jab uss mei mominoan ko daalein ge tu dil dhul jayein ge. Saaf sheeshe
ke dil
Niyyat karein - Aaj apne diloan ko paak karna hai inshAllah, Bara na
shukra pan hia ke insan wo dil jis mei Allah ki muhabbat hai waha
gandagi jama rakhe.
Allah ke liye doosroan ko muaf karein. Dil saaf aur khush ho ga tu khud
mei wussat payein ge!
Allah ke Nabi ne aik moqe pe kaha ke jo shakhs idher se guzre gaa wo
jannati hai. Log soch mei parr gaye kon guzre gaa. Phir dekha aik
sahabi guzre, wazu ka paani unn ki daari se tapak raha tha. Sahabi ko
tajassus hua. Unn ke ghar gaye aur kaha kissi waja se qasam khaa
betha hoon apne ghar nahi rahoo gaa 3 din, aap meri madad karein. Uss
ne kaha shoq se rahiye . 3 din ke baad jab jaane lage tu sach bata diya
ke Allah ke nabi se aap ke bare mei suna tha tu aap ka wo amal dekhna
chah raha tha jo jannati hai. Lekin mujhe aap ke saare amal wohi
dikhein hain jo mere bhi hain. (uss mei tahajjud ka tazkara bhi tha). Tu
kehne lage bhai mere paas koi amal nahi, bus aik baat ke mei kabhie
kisi doosre momin ki koi nemat koi khoobi dekh ker dil mei hasad
mehsoos nahi karta.
Ayah 49
jo mehnat karni hai iss duniya mei hi kar lein
thori se mehnat, kitna rehna hai yaha?
Ayah 50 - Ayat e tadabbut
takraar se ye ayat
ghaffor raheem kis ke liye ALLAH swt?
jo gunah kar ke tauba kar ke palat aaye aur phir naikiyoan pe jama rahe
aur na qadri karein tu duniya o akhirat ke azaab
Ayah 51-56
shukar aur na shukri ke tanazur se qissa sunein
na shukra insan Allah se mayoos ho jaata hai, kehta hai kuch milna tu
hai nahi, yahi mauj kar loon
Ayah 57-60
Loot ki beewi peeche reh gayii!!!

uss ki attachment khandaan aur qom ke saath thi


shohar ke nabi hone ka koi benefit na mila
Ayah 61-72
wahid yaha Allah apne NABI ki jaan ki qasam khaa rahe hian
Ayah 77
hajjaz se sham jaate huey raaste mei ye ilaaqa aata hai
Shukar jab maalik ki khilaaf ho tu shirk mei badal jaata hai
jo aik Rabb ki qadar na kare wohi doosroan ko saath milata hai
jo mard apni jaiz beewiyoan ko chor ke doosroan ke paas jayein tu na
shukre
beewiyaan bhi haqq na dein shoharoan ka tu na shukri
na shukraa insaan humaisha apna nuqsaan kerta hai
shukar guzaar rehna hai nahi tu nemat chin jaati hai
aeka = jungle - 78 onwards
qom-e madyan = as'haabe aeka
80- surah hijr ka naam is waja se
Ayah 83-84
Allah ne iss qom ko taqat di thi, physically bohat taqatwar the.
umarein 200/300 saal hoteen theen. Chooney matti ke ghar mei rehte tu
wo inn ki zindagi mei puraane ho jaate the tu Allah ne inn ke nahunoan
ko itna sakht kar diya ke ye unn ke saath carving kar ke pathroan mei
ghar banate. Innhoan ne na-qadri aur na-shukri ki.
Aaj hame Allah ne kitni skills deen, nematein deen, lekin kiya kaam mei
laa rahe hain ya Allah se doori ke liye istemaal kar rahe hain?
Ayah 85-92
purpose of life- kainaat maqsad pe banayii gayii
haqq: insan iss duniya mei akhirat ko paane ke liye bheja gaya
iss duniya mei rehte huey Allah ko Al Haqq samajhte huey uss ke bataye
baatoan pe amal karein aur Jannat tak pohanch jayein
ba maqsad insan ko doosroan ki fikrein nahi hoteen
great minds discuss ideas, logoan ko nahi
average minds discuss people
aaj hum average ho chuke?
fashion ki baat, khane peene ki baat
zindagi ka maqsad pehn-na orhna bana liya!!
87 - Surah fateha ke baare mei
88- HIGHLIGHT sirf wo karein ge jo Allah ke hukam se bazaabta tor pe
Quran se jure huey hain. Jo jaha bhi beth ke Quran ki taleem le raha hai,
Allah message de rahe hain ke ab doosroan ki cheezein dekh ke impress
nahi hua karo.
Hadees ka khulasa aur mafhoom- jisse Allah ne quran ki nemat di aur
iss ke baad wo duniya waaloan ki cheezoan ko dekh ker mutasir ho tu
uss ne Quran ka na qadri ki.
Jis ne Quran paa liya, uss ke paas tu wo hai jo doosroan ke paas nahi
hai!

Ataya jaa raha hai ke munasib waqt ka intezaar kar ke sathiyoan ki


galtiyoan pe toko
jahannum mei jana asaan hai, jannat mei jaana mushkil!!
naiki mei average pe qayeib rehna bhi relatively asaan
excellency ko paana sab se mushkil ye k2 ko sarr karne ke barabar
hai!
toote huey diloan ko aur nahi torna - balke naye dene ki taraf aane
waloan ko bohat muhabbat dein koi pata nahi kiya kiya chor ke deen
ki taraf aaya hai!
Agar naye aaye hain Islam mei ty: Fa asfahis-safhal jameel aur agar
jamm chuke tu La Tamud-danna ainaika illa maa mattana beehii
azwaja.
leader ko message: aap itna na kurhein
makkah waale budhu the, Allah ke nabi ki kamyabai - unn ko adab
seekha diya
khair aur sabar!!!
quran ki nemat ki qadar karo***
quran ko tukre tukre kar liyaaaj logoan ne aur firqoan mei batt gaye
Ayah 94 - phir Nabi ne khullam khulla tableegh shuru kar di - zimedaari
ka ehsas bohat barh gaya
Ayah 95
hamare pyare Nabi ka mazaaq uraya jaata tha
Ayah 96
Aise log mazaaq uraate the
Ayah 97
Dil ko takleef tu hoti hai lekin gussa nahi
kyounke deen ka kaam apne liye nahi, Allah ke liye hai
Ayah 98
Aisoan ka ilaaj
Apne RABB ki hamd ke saath tasbeeh aur sajda!
aur akhri ghari tak RABB ki bandagi!!
aur akhirat pe yaqeen!
logoan ki baat pe dil dhukhe tu SubhanAllah - aur phir sajda jaha Allah
ke siwa koi nazar nahi aata
akhri damm tak ibadat
yaqeen se muraad maut - marte dam tak ibadat ki halat mei raho

*** Surah Nahl ***


Surah ka aik aur naam = Surat un Nem = Nematoan waali surat
Tarteeeb se 16th surah aur Tarteeb-e nazool se 70th Makki Surah!
Iss Surah mei inn cheezoan ki khaas tor se dawat aur tazkara:
Tafakkur karo
Nematoan ko dikhaya jaa raha hai ke aik khair kis tarah doosri khair
ko faaida deti hai, kainat ki cheezoan jo doosroan ko faida de rahi hai
Shirk ki nafi aur Tawheed ka asbaat
Na-shukri ke rawayye

Nahl - shehad ki makhi, uss ka tarze amal dikhe gaa ke faida sab ke
kaam mil ker karne mei hai! Team Work!
Ayah 1
Allah ka faisla ; hijrat ka faisla!
Makah waale sata chuke jitna satana tha, AAP s.a.w ki maut ki
tayariyaan mukammal theen, itne mojaze dekhe lekin na maane tu Allah
ka hukam aa gaya
har nabi se wada - nabi logoan mei rahe aur rawayye na shukri ke hoan
tu hijrat aur azaab ka faisla Allah swt ka
Nabi ka wajood kisi qom may rooh ke terhan hai , nabi nikal jaye tu qom
berbaad ho jati hai
Nabi ki hijrat = qom ka azaab!!!
Ayah 2
bande ko na shukri se taqwa rokta hai, Allah ki nematoan ka ehsas bhi
taqwa ki aik qism hai
phir insan gunahoan se bachta aur naikiyan karte darta hai ke haqq ada
nahi kiya
Ayah 3
haqq yaani maqsad se paida kiya
Allah ko shirk se faraq nahi parta
shirk = na shukri
Allah ka kuch nahi bigarta, nuqsan apna
Ayah4
Insan ki auqaat
Ae insan tu kis cheez se paida kiya gaya?
jis Rabb ne bolne ki taqat di, hum ussi se jhagarne lage
takabbur!!!
kabhie insan apne mohsinoan ki na shukri kar ke khair nahi paaye ga
Jo apne mohsinoan ka haq ada na karein, wo tabah o barbaad ho jaate
hain!
Ayah 5 - Ab janwaroan ki takhleeq
Poshaak = leather jackets/skin
Horaak = meat
Ayah 6
Kabhie socha ye chote janwar Allah ki chalti phirti factories hain!
aik aik cheez insaniyat ke faidake liye janwaroan mei
Sheep/bher; jism ki aik aik cheez insaniyat ko faaida de rahi hai!
Macharoan ke faaide - wabaein paida hone se rokte hain - khaas qism
ke bacteria ko kha jata hai jo otherwise hum mei beemaariyaan laata
hai!
Allah ki banayii sab cheezoan aur makhlooq mei jamaal aur kamaal aik
saath hai khoobsurat bhi aur faaida mand bhi!
Hamari banayi cheezoan mei ya tu kamal hai ya Jamaal!
Ayah 7

hamara kitna wazan uthaate hai ye gadhe, hamara masla ke hum fitrat
se door ho gaye
jo insan ki banayi duniya mei rahe ga usse insanoan se pyar ho ga, fitri
mahol mei rehne waale Allah se qareeb hote hian
Activity - open air mei so ke dekhein
Gor o Fikar ki adat dekhin, phir dekhein Allah se kitna pyaar ho gaa!
Ayah 8
bata diya aik waqt aaye ga ke kitna kuch ho ga; gaariyaan, jahaaz
wageira, Tab koi nahi aanta tha inn ke bare mei aur aaj hum nahi jaante
kal kiya kiya ban-ne wala hai - kal gadhe the, aaj gaari jahaz aur kal
hum nahi jaante kiya!!
Ayah 9
Allah hi seedhe raaste pe laata hai - lagta hai?
ird gird kitni distractions
Allah ki shaan ke sab mei se nikaal ke kitaab ki mehfil mei le aata hai
shukar karein aur dua ke jo Allah in raastoan pe laya, wo inn hi pe
chalate rakhe ameen
Ayah 10-11 - ACTIVITY: fruit chaat banate huey ya fruit kaat-te huey
ghar waaloan ko saath mila ke gor karna hai
fruits ke rang dekh ke Allah ko nahi pehchante?
duniya black and white hoti tu bore ho jaate
Allah pe gor karein har cheez mei
hame nafa mand ban-na hai - yehi shukar guzari ka aala muqaam hai
kainaat bol bol ke baa rahi hai nafe waale bano
aaj musalman manzar se hatt gaye ke kissi ke liye nafa mand nahi rahe
Ayah 12-13 - gor o fikar
khirki se baahir dekhein kitne rang nazar aate hain
aasmaan ko dekhein - kitne rang, esp jab soorajh doob raha ho
baadil urr rahe hote hain
qayamat aaye gi tu aasmaan surkh ho jaaye ga
har colour ka mood pe asar hota hai
blue = calm
green = soothing
red = emotions
skin colour = thehraao
khush ho ke kapre pehnein , shukar karein aur Allah ki raah mei aur
kaam karein
Ayah 14
sea food, pearl
shukar karna hai - sab nematein istemaal kar ke
khoob khayein, pehnein lekin shukar - Allah ko nahi bhoolna
dene waale ko bhoolein ge tu ye cheezein wabaal banti hain
Ayah 15
pahar = nails/mekhein iss zameen ki!
qayamat ke din pahar uthein ge tu zameen hil jaaye gi aur nizam talpat
ho jaaye ga
Ayah 16

zameen mei alamatein = khushki/tarr ke raste , raigistaan


goro fikar karein ge tu faaida
sitaroan ka 3rd purpose hai iss ayah mei
hame raasta dikhaate hain
Ayah 17
Allah hum se sawaal kar rahe hain
barabar ho sakte hain? Nahi
Ayah 18
aik nemat bhi ginn na chahein Allah ki tu hargiz nahi gin sakte
kisi ke sar ke baal gin sakte hain?
aangan mei lage aik darakh ke patte gin sakte hian?
shaam ko pakne waale chawaloan ke daane gin sakte hain?
aik nemat nahi gin sakte, nematen kaise ginein ge? tu akar kyoun? na
shukri kyoun?? dil khol lo!
gunahoan pe pakar nahi ho rahi abhi forum ke darguzar aur bakhshne
wala hai Allah swt!
Ayah 19 - Allah sab jaante hain!!!!!
itna jaan-ne wala muaf kare tu kitna raheem hai wo
ACTIVITY: Abhi se le ker kal tak har kaam ko shaoori sochna hai ke
chahti hoon iss kaam ka doosroan ko pata chale? aur sochna ke Allah
jaante hain mei kar rahi hoon
Ayah 20-21
khud qabar mei jaa chukka, zinda nahi murda hai
ye tak nahi jaanta ke kab doobara uthaya jaaye ga!!!
koi naik bazurgh jis ka mazar dikhta hai aaj - bebas shakhs - aaj uss ki
qabar pe jaa ke kuch maangoon tu sochein meri awaaz uss ne suni hai??
jo sun nahi sakta, matti hata ke khud ko bahir nahi kar raha, tu hame
kaise kuch de gaa??
Ayah 22-23 Tu maan jaao ke Rabb tu aik hi hai!
Aur agar akhirat mei imaan nahi tu takabbur mei pare huey hain aise
log!
un logoan ki batein jiko Quran acha nahi lagtta ooper ki gayeen Jab
Nabi s.a.w haqq ki dawat dete makkah mei aur baat phelne lagi tu log
poochate ye nabi kiya baatein karta hai? Ye jo Quran ka itna shor sun
rahe hain tu ye kiya hai?
tu aisoan ke jawaab' Ayah 24
Ayah 24 - aasaaterul awwaleen - puraani baatein aaj ked or mei Quran
se kuch nahi mile gaa! quran ki value nahi pehchante the wo.
aur dar tha ke aa ke nabi ki batein na sun lein ke maan na jayein tu
kehte bas aise hi hai, aap ki haisiyat kam karne ki koshish karte.
Ayah 25-26 - nadamat ki baatein ke aise log nadaan hain
zimedari = doosroan ko hidayat se door karne ki
Ayah 27- HIGHLIGHT aeyna shurakaai yallazeena kuntum tushaaqquna feehim... batao kidher hain wo shareek jin ke bare mei haqq
waaloan se jhagre karte the?

Ayah 28 - 29 aise zaalimoam ka maut ka waqt!


zindagi pasand ki, maut ke waqt ka muamala - farishtoan ko dekh ke
sulah karna chahein ge
zindagi mei Allah se door, uss waqt kuch qabool nahi kiya jaaye gaa
ab inn ke baraqs logoan ki baatein:
Ayah 30 onwards
Allah ke mutaqqi logoan se sawalaat pooche jaate hain, Jawab: HIGHLIGHT Khairaa - behtareeen cheez utari hai
Ayah 31
Akhirat ka khoobsurat tareen ghar!!
hamesha qayaam ki jannatein
sab khawahishoan ke mutabiq!
Ayah 32- Mutaqqi logoan ke maut ka waqt!
tayyabeen ki baat hui yaha.
Kon log tayyab hain?
Allah ne un ki baat ki jin ki maut se pehle unn ko Allah ka Quran
bohat khoobsurat lagta tha
Innki zindagi pakeezgi ki halat mei guzri thi
Zindagi paak hoti hai;
Kalma tayyab parhne waale ki zindagi pakeeza hoti hai
Banda momin pakeeza hota hai tu zindagi mei halal aata hai, jhooti
batein nikal jaati hain, sochein paak hoti hain, aur pichli zindagi ke
gunaah istaghfar ki kasrat se naikiyoan mei badal jaate hain.
aas paas waloan ko nafa deta hai momin! Iman mazboot hota hia tu
amal bhi mazboot!
Banda tayyabbanta hai; doosroan ko naiki ka hukam kar ke aur burayi
se rok ker!
Jo shakhs duniya mei aazmaishoan ki aandhi pe jama raha, qabar mei
munkar nakeer ke sawaloan pe bhi jame ga! Kalma Tayyab ki jarein dil
mei jaati hain!
Jitna talluq billah mazboot, utne zyada hum deen mei kaam karne waale
hoan ge. Aaj islam ko pakeeza darakhtoan ki zaroorat hai, deen se
jurna!
Jis ke paas j oho, wohi doosroan ko deta hai! log darakht ko pathar
maarte hain, jawab mei phal milta hai
Quran ka peghaam = khud ko paak kar lo
sharaab pasand nahi ke soch gandi hoti hai
kalma tayyab = zuban se le ke dil aur dil se le ker har uzw ko paak kar
deta hai
Ayah 33 - 34 - maut ke farishte
Ayah 35
shirk ka ilzaam Allah pe laga rahe hain
taqdeer hukam nahi ilm hai

Ayah 36
Apne taghootoan ko khud dhoondana hai
Ayah 37
Nabi s.a.w ke tarap ka tezkra
Log hidayat chor ke aaleeshaan zindagi bhi guzaar lein, sakoon nahi
mile gaa!
Allah farma rahe hain Nabi aap na jala karein, inn ki apni zindagi ki
maeeshat e zen he bataye ge kay yeh kis galat rastay pe hain
Cain aaj issi liye nahi hai! Maza nahi mila, na sharaab mei, na parties
mei, na kaproan mei ye miley ga tu Allah ki hidayat mei hi miley ga
aur hidayat maangne se mile gi!
Allah kehtay hain may jis ko hidyata deta ho us ko he milti hai! Allah AlHadi hai, hum qadar na karein tu wo qadar karna chor de ga.
Ayah 38 -40 aqeeda bil akhira kamzor aisoan ka!
Allah qudret wala hai pakar ke bhi deen ki taraf laa sakta hai lekin
aisa nahi kaha! Jism ke ander ka aik aik uzw khud kaam kar raha hai
Allah ke hukam se, tu berooni uzw hamare ehtyar mei aazmaaish ke liye
de diye
yeh choice ke baat hai , Allah ko us banday per piyar ata hai jo khushi
say ata hai
jo khud ko pity feel kerta howa ata hai , us ke tu shaid namaz bhe
qaboool nahi hoti, apnay dil say aye!
Allah kehte hain you are intelligent. tumhain pata hai kay tumhara kis
may faida hai, jo beshak issi raah mei hia. Aur ab agar marzi se aa gaye
ho tu qurbaniyoan ke liye tayaar raho.
Ab agay phir hijrat ki baat;
Ayah 41-42
her banda jis ko khawahish hai jannat ki, us ko mushkilaat say guzerna
peray ga
jo pressure berdasht nahi ker sakta wo precious nahi ban sakta!
hum sub carbon hain, humain pressure berdasht kerna hai tu diamond
ki tarah precious banein ge.
hidayat kay rastay may hijret sab se bara milestone hai
Aik buzurg thuk gaye tu kaha, aye dunya , may ne tujhay talaq di, mei
tujhey teen tallaqein deta hoon, tu mujhay chor day!
Agar deen ke raste mei sab hamari marzi ka ho tu deen bin nafs kiya
hai? Phir kon nahi kare gaa? Deen ka raasta saree zindagi ka phase hai,
mushkilaat ka safar!
aaj ki masjid e nabwi koi dekh ker assume nahi ker sakta kay jub barish
hoti thee tu 3 days tuk pani tapakta rehta tha hamare paas tu aisi koi
kami nahi haan na-shukri zaroor hai! Asal kaam shukar hai
Allah swt paak kertay hain mushkilat say
Munafiq pe mushkil aaye aur wo ilam se nikal jaaye tu wo Allah Tallah
islam ko aise logoan se paak kar rahe hote hian.
Sirf inspiration say kaam nahi hoga , sabar or mushkil k liye tayyar ho
jayye
kuch to azzmaish ay gi
Ashaab-e suf mei the Abu Huraira r.a bhook pyaas sab bardaasht ki
deen ke liye!!

Kuch log nabi saw k saath 23 saal say thay , woh utna na ley sakay jitna
3 saal main Hazrat Abu Huraira r.a nay le liya aur aaj Ameerul
Momeneen fil Hadees hain!
Ae Allah mujhey ilm dost bana de Ameen.
tawakkal , hijrat main sabar ki zaroorat
Aaj dora e quran ker rahay hain hum , aaj nisf tak pohchay hain , agay
bhi barhay gai , lekin asal baat hai k is k baad humara shoq or jazba
kaha jay ga
Allah nay subul as salam ki shakal main humaray liye moqa diya hai ,
pehlay say hum planning ker lein
Ayah 43-44
Kitne badqismat log jo Allah k nabi say taleem nahi letay hain
Inn ayat mei Allah ke nabi ustaad ke roop mei dikhte hain
Nabi saw k paas kitney log thay, lakhon ki basti magar chand 100 k
ashaab e suffa hi thay deen thore logoan se shuru hota hai.
1, Waldain 2,Ustaad .... in do ki jo izzat nahi keray ga , woh kabhi bhi
agay izzat nahi pa sakay ga
Nashukri nahi , ustaad o waldain hain to un ki izzat ker k shukar guzar
banein
Ayah 45-47
main Ayaat e Tadabbur
3 mukhtalif qisam k azaabon ki kaifiyat bata di; asman say , neechay
say aur kerwaton say
Kon apnay aap ko itna bara samjhta hai , Allah k azaab k agay ?
Allah hum ko haqq ki mukhalfat say bacha, nashukri say
Ayah 48-50
Itnay piyaray Rabb ko chor k logon ka mamla agay bataya ja raha hai ab
Ayah 51
Aik ho ya 1000 , Allah ka kisi bhi taarha shareek na banao , Allah wahid
hi hai
Ayah 52-55
Dukh hota hai kitna ziyaada jab mushkil ay hui ho , jaisay hi mushkil
khatam hui to Allah ko bhool gay
Mushrikeen ka amal tha yeh, sochte the bazurgh jab faut ho jata hai tu
Allah se dosti ho jaati ahi aur kaamoan mei nadad karwaate hain
naoozubillah!! Phir unn ki qabr pe charhawe charhane jaate
Kehte har nemat unn ki dein hai jink o Allah ke saath shareek karte the.
53 ... HIGHLIGHT; Wa ma bikum minnaimatim fa min Allah
54- Shirk bil tasarruf
Main topics till now ; Allah ki nashukri , waldain ki nashukri , ab agay
olaad ki na shukri
Ayah 56-60
Beti ki paidaaish , is ko bura samjhna insaan ki dil ka bukhal
Aaj bhi log beti ki paidaaish p khush nahi hotay , abort kerwa detay
hain pehlay hi
Nabi saw ka rawayya dekho k kaisa tha apni betiyon k saath
kitna pyaar tha fatima ra say

un logon ka riwaj : kay aik lerki ke shadi ho aur saas ka inteqaal ho jaye
tu sochtay kay yeh lerki manhoos hai aur maa ko kha gai , 2. phir ager
pehli baiti paida hoti tu talaaq day ker torture kertay
Sab Allah ka hai yeh soch k khashyat nahi ati kia ?
logon ki factories or business say impress hotay ho , magar Allah ki to
aik makhlooq poori factory hai
Sirf aik zaat hai jo hum say har haal main muhabbat kerta hai , Allah AL
wadood
Sachi mwahid wo jo Allah se darne waala bhi ho!
Ayah 61 - 62
HIGHLIGHT .... 62 Anna lahumunnaaar wa annahum mufratoon
Allahumma la taj'alna minhum - Aameen
Ayah 63-64
Mujhay lagti hai yeh kitab rahnuma hidayat ?
Ayah 65- Qudrat ki nishaniyaan
Sunnay walay sirf kaan say nahi dil say
Ayah 66
Ghor kerain doodh kaisay saaf shaffaaf milta hai itni gandgi main say
bacha k
khoon ki ragain bhi hai , pishaab ki nalian bhi usi main hain , gobar say
ladi hoti hai bhens , lekin doodh ! SubhanAllah safaid bilkul clean
Rabbana ma khalaqta haza batila, subhanaka faqina azabannar.
Activity: doodh kay dabbay per sticker chipka dain aisa jjumla likh ker
kay Allah yaad aa jaye
Allah itni saaf nemat detay hum ko , hum is ko ley k kitnay ganday kam
kertay hain
Ayah 67
Sharaab ka mozo pechay 3 bar guzar chuka hai
yeh pehla ishaara tha sharab k haram honay ka, aqalmand sahaba foran
samajh gay thay ke sharaab haram hone waali hai
TU Jab sharaab pee nahi sakte tu na bana sakte hain, na bech sakte
hain!
An Nahl ka aik or message; pakeezgi , safai kerna khud ki
Ayah 68-69
Kia hum ko shehaed acha lagta hai?
Hadees mei aata hai 2 cheezoan mei shifa hai, shehad aur Quran, dono
ko laazim pakro.
Honey bees main;
*Planning
*Team hoti hai , aik malka, baqi workers destination aur kaam aur
raaste set hotey hain
* Aik shahd ki makhi 50 000 miles chal k jaati hai ras lenay aik tsp
shehad banana ke liye
* Kuch makhiyan chajja banati hain mom se, kuch sanchay bana k phir
us main aik aik drop dalti hain
phir dosri team us k ooper cap laga deti hain
kuch bees thanda kerti hain us shahad ko hawa dey k
kuch bees aik boundary banati hain ta k doosray keeron say bachain

"Aik spoon honey ka itnay marahil say guzar ker milta hai "
Ayah 70 - 71
Kia tum mulazmoon ko apni aadhi jaydaad dey daytay ho ?
to Allah ki hasiyat kaisay kisi or ko detay ho?
Ayah 72
hafada = pota
Only grandmothers HIGHLIGHT . 72 ... Hafadah : )
Batil; Materialistic
Ayah 73
Islam A to Z
Shirk sheen raa kaaf
Shirk = shirakat , partner ship Mushrik kehta hai Allah tu hai lekin
saath koi doosra bhi hai, zaat mei, siffat mei, koi madadgaar hai!
Wo kaam jo sirf Allah kar sakta hai, uss ko Allah ke saath kissi doosre
ke naam pe kar dena shirk hai!
2 baree qismain , shirk e akbar , shirk e asghar
-shirk - akbar : Allah kay sath kisi ko bhe shamil karna , khulla shirk
Allah ki aboobiyat, aloohiyat aur asma o siffat mei kissi zinda, murda,
jaandaar aur be-jaan ko Allah ke barabar karna!
Shirk-e akbar ki 3 qismain :
-shirk fil ilm
Allah jo kuch janata hai , koi dosra bhe janta hai , kisi buzurb , peer ,
wali ko yeh pata chal jaye kay kon kia ker reha hai , yeh shirk e akber
hai
Allah kay baray may kisi ka yeh sochna kay may door baith ke kisi ko
pukaron ga tu wo meray samnay aa jaye ga tasawwuf.
2 . shirk fil tasaruf
sarafa say : apna hukm jaree kerna
koi yeh samjhay kay koi wali etc kay pas yeh eikhtyar hai kay wo kisi ko
mar day ya zinda kar de ya kuch day day , yah kuch rok day maslan rizq
wageira
3. shirk fil ibaadaat
jo Allah kay liay ibaadet hai wo kisi aur kay liay kerna
maslan , uskay naam ka qayaam, roza, namaz, uskay gher kay taqaf,
uskay liay qurbani , manatain , us ke chokhat kay agay duain mangna ,
sub say berh ker wahan ja ker unsay dua mangna. Hadees mei aata hai
ibadat ki behtareen qism dua hai.
-shirk e asghar : (shirk-e khafi)
shirk akber jaisay kisi ko heart ke disease ho jaye aur shirk e asgher
kaisi ko cancer ho jaye
aisa shirk jis ka bazahir shirk hona wazeh hi na ho aisa shakhs baaz
dafa galti se, baaz dafa la-ilmi se aise karta hai, baaz dafa us ko pata he
nahi chalta
1. qoli shirk, zaban say maslan gair Allah ki qasam khaa lena Daleel:
Tirmidhi 1135,
Gair Allah ki taraf nisbat rakh ke naam rakhna, maslan Abdul Uzzah,
Peeran ditta, nabi bakhsh, kaneez Fatima, Daleel: Abu Daood, Ibne Maja

Ye kehna ke jo Allah chahein aur jo aap chahein Silsalatul ?, Mustand


Ahmed
Khud ko baadshah kehna
Malik ke liye Rabb aur naukar ke liye abd ka istemaal karna - Bukhari
Halaat o waqiyaat ki nisbat gair Allah ki taraf kar dena, Sahi Muslim
Sitaroan ka apni zindagi mei asar maan-na
2, faili shirk, jism say koi aisa kaam
Maslan:
Bad shagooni lena, kaali billi raasta kaat gayi tu ab haadsa ho gaa,
mujhe peeche se nahi bulaana
Taweez latkaana
Kahin ya aaraaf ke paas jaana
3. qalbi shirk
Rayakaaree, Mustand ahmad 17270
naik kaamoan ko duniya kef aide ke liye karna, Bukhari, Ibne Maja
20 points ager shirk kar liya tu mere liye ye nuqsaan;
o Shirk karna haram hai, anaam 151 araaf 33
o zulm e azeem, luqman 13 , muslim 327
o shikr na qable maafi jurm hai, maida 72 nisa 48 , 116
o shirk azaaab ka sabab, momenoon 117, shura 213
o halaak karne waala gunaah, bukhari 2766
o shirk kabeera gunah hai, bukhari 4477, muslim 86
o mushrik Allah kay deedar say mehroom ho gaa, kahf 110
o musrik aasmaan se girne waale ki tarah hai, hajj 31
o bad haal aur bay yaaro madad gaar ho gaa, bani israiel 22
o mushrik kay naik amaal zaya , Al anaam 28
o Jannat haram, maida 72
o jahanami , bani israel 39, anbiya 98
o astaghfaar nahi ho sakti, tawbah 113
o shifaat nahi, al-aetqaad 7
o najes hota hai, tawbah 28
o mushrikoan ke hilaaf jung ka ailaan, tawbah 5
o mushrik ki qabar per usse aag mei jaane ki ke waeed sunnai
chahiay, Ibn maja 1573
o mushrik ko kissi nabi ki rishtedaari bhi faida nahi de gii , sahi
bukhari 3350
o qayamat ke roz inn kay maabood faida na dain gy, saba 40, 41
o hamesha jahannum mei rahein ge, maida 73, muslim 269
Dua: Ae Allah hame baatil se hata ke haqq pe jama de Ameen.
Ayah 74 - 75
shirk ke practical example
Matlab ye ke shirk kernay wala aur momin aik jaisay nahi ho saktay
Ayah 76 - aik aur misaal; mominaur mawahid
mushrik gher gher ka dhobi, aur momin aik rabb ka
Dua: Ae Allah zahri, batani, qalbi saare shirk hamare muaf kar dein
Ameen.

Ayah 77
Allah hi humaray sub ghamm door keray ga, ussi se lau laga lein!!!
Ayah 78 Poori surah mei Allah, Allah, log phir bhi kyoun haqq ada nahi
karte?
apnay bachpan ko , paidaish ko zehan may rekhain.
kis liay diya sub? takay shuker kero Allah ka, Allah ko naraaz karne ke
liye nahi!
Ayah 79 Allah insan ke saath saath parindoan ko bhi thaam huey hai
iss kainaat ki har she ki tarah nahi samjho ge?
Ayah 80 81 - Home sweet home
Allah naimet day laikin Allah ke nafermani na kerain naimet paa ker
Allah insan ko nemat dete hian, aur insan mei nazakat aur takabbur aa
jaata hai. Sardiyoan, garmiyoan ke kapre alag alag Allah ne diye kiya
garmiyoan ke kaproan mei khud ko sahi se chupaate hian?
Sab pehnein lekin haqq ada kar ke, jaisey Allah ne hukam diya!
Nematein milti hain taake hum farma bardaar ho jayein. Ae Allah
humain muslim bana day, Ameen.
HIGHLIGHT Ayah 83 Ayat e tadabbur
Ae Allah hame aise logoan mei na karna, Ameen.
Mei nemat ko pehchaan rahi hoon Allah ki?
Unn se phir munkar tunahi hoti? Na shukri tu nahi hoti?
naimet may sub say baree naimet = Quran, isse pehchaan tu liya, inkaar
tu nahi karte iss ke ehkamaat se?
Ayah 84-88 Qayamat ke din ke muamalaat medaan e mahshar mei
shirk karne waaloan ke saath! shirk ke qismain zehan may rekhain
kia hoga us din jab aik doosre ko bura bhala kahein ge log Allahumma
La Tajalna Minhum Ameen.
Ayah 89 Allah ke Nabi s.a.w qayamat ke din medaan mei bulaaye jaa
rahe hain!
Kitni hoobiyaan hai iss kitaab ki!
Ayah 90-93
Usman bin Mozzoom iss ayat ko sun ker musalman huey the aur Umer
bin Abdul Aziz ne iss ayah ko jumma ke khutba mei shamil kiya tha Jo
musalman bhai har jumma ko namaz se pehle ye ayat sun kea ate hian,
aaj unn ke muamale kaise hian! Samajh na aaye tu baat ooper se guzar
jaati hai!
90- 3 cheezoan ka hukm aur 3 se roka gaya
yeh commitments nibhanay per hai kay waday kerkay toro nahi
92- aise ki misaal jo naikyaan kare aur zaya kar de - kehte hain Makkah
mei aik deewani aurat thi, saara din charkha kaat-ti, dhaage ban jaate
tu sham ko sab kaat deti yaani apni mehnatoan ko zaya na karo aur
khaas tor se wade kar ke toro nahi!
kuch log mehnat kerkay naiki kertay hain phir apnay he amaal say usko
khatam ker daitay hain
Ayah 94-96
Ayah 96 - Ayat e tadabur - HIGHLIGHT

Kiya kuch hai hamare paas? Maal, daulat, ghar, job, status, carrier
Allah keh rahe hian ye sab khatam ho gaa!!!
Wama endallahi baaqin = Baqiyat- us Sualehaat! Baaqi rehne waali
naikiyaan! Aur Allah swt ki marzi!
Haan ye mushkil tu hai lekin bata diya ke sabr karein aur behtareen ajar
milein ge!
Ayah 97 koi gender discrimination nahi! Shart bus ye hai ke momin
hoan!
HIGHLIGHT - fala nuhyeyannahu hayatan tayyaiba
Duniya mei pakeeza zindagi! Gandagi door, gandi mehfelein door, gandi
sochein door
Ayah 98
jub naiki kernay lagay tu shaitan rajeem se Allah ki panaah maang lo ke
jab naiki karne lagein, tab tab wo paas aaye ga.
Quran ke safar mei kasrat se taooz parha karein!
Ayah 99 -102
Puhta ho raha hai imaan?
Ayah 103 - Allah apne nabi ko tassalliyaan de rahe hain. Nabi ked or mei
log negative comments dete the haqq ko dek ker! Ye na kaha karein
kaash hum nabi ked or mei hote, abu jahal bhi tut ha tab. Asal nabi ke
muhabbat mangiye, zindagi ke har muamale mei, tareeqoan mei
sunnatoan aur zaat ki!
HIGHLIGHT- Ayah 104
Ae Allah hame maan-ne waala bana de, Ameen.
Ayah 105 107 - phir na shukri ki baat
Kufr: akhirat ke muqable mei duniya ki zindagi ko foqiyat dena! Aur na
shukri!
Ayah 108 110 HIGHLIGHT; mim badehaa
Hum kehte hain min qable ke na hijrat karein, na sabr karein,a jihaad
karein Allah hame pehle hi bakhsh de!
Ayah 111 kissi pe zarra bhar bhi zulm nahi kiya jaaye gaa!
Ayah 112 - 113- ab aik Makkah ki basti ki misaal, lekin apna shehr
zehan mei rakh ke sunein
Jis nemat ka hum shukar nahi kerain gay woh hum say chin jay gi,
kufraan-e nemat!!!
Ayah 114-117 phir shukar aur tayyab 114
Bata diya ke duniya mei sab halal sawaye 4 cheezoan ke!
Allah hame duniya ke dhokoan mei laa ker akhirat ke azaab ka shikaar
na kar de Ameen.
Ayah 118 - Yahood ke baat ...pahlay surah maida aur surah al anaam
may ziker howa inka
Ayah 119

Mimbadehaa ko HIGHLIGHT kerain - yaha aa gaya tauba, islaah


behter ho jaaye tu Allah muaf kar dein ge!
Ayah 120-122 yaani jo kaam poori ummat nahi kar paati, Ibraheem a.s
ne akele kar diya!
Ibrahim a.s focused thay
121- HIGHLIGHT Shakiral-li anoomihii
Bata diya kin se nematein chinti hain aur kon ko milti hain!
Ayah 123 Allah hame bhi haneef kar de deen mei Ameen.
Focus ho k hi acha kaam ho sakta hai
Ayah 124 - un logon ka ziker jin ko bander banaya gaya
Ayah 125-128 Allah ke Nabi ke naate se aik akhiri hukam tableegh ka
ahsan tareeqa sikhaya gaya!
127 ye mushkilaat Allah ke raaste ki hain, aur badla bhi Allah hi dein
ge.
Ae Allah hame bhi muttaqi bana, ehsaan pea mal karne waala bana aur
shukar karne waala bhi Ameen.

Rabbana Taqqabbal Minna Ameen.

You might also like