You are on page 1of 3

Haklane ka ilaj, Karan, Gharelu Upay: Haklana Treatment in

Hindi
ilajupay.com /haklane-ka-ilaj-karan-gharelu-upay-hindi/

Haklane ka ilaj Karan, Haklana thik karne ke Gharelu upay in Hindi


Haklana bolne me aane wali rukawat ko kahte hai. Haklane wala jo bolna chahta hai wo bol nahi baata aur ruk ruk
ke bolta hai. Wo kisi ek vishesh shabad ya vakya ke bich me atak jata hai. Bacho me ye samshya aam hai, 3 se 5
saal ke bacho me yeh sabse jyada paayi jaati hai. Is age me iska ilaj hona aasan hai. Bhot se bacho me yeh age ke
sath apne ap thik bhi ho jaata hai. Agar bachpan me he Haklane ka ilaj nahi karwaya jata to iske saath jeewan bhar
rahna bhi pad jata hai. Abhi tak aise koi dawayi nahi bani jisse ye pakke taur pe puri tarah thik kiya jaa sake. Par
darne ke jarurat nahi bahot se aise Haklana thik karne ke Upay hai jisse Haklana thik kiya ja sakta hai. Speech
therapy bhi haklana thik karne me acha kaam karti hai. Agar aap haklane se chutkara pana chahte hai to niche
diye gaye haklana ka ilaj ke Upay ko dhyan se padhe aur unhe apnaaye.

Haklane ke Karan (Cause of Stammering)

Haklane ke karna kya hai, kis vajah se shab muh se nahi nikal paate? Ispe kafi time se reasearch chal rahi hai aur
sharirik roop se kai hakla hone ke kaaran saamne aaye hai. Jeebh aur anya bolne me kaam karne wali
maanspeshiyo ke pura kaabhu ka hona Haklanae ka karan hai. Ache se bina kisi rukawat ke bolne ke liye hamara
dimag nerve ke liye raste banata hai. Inn rashto se signal badi tezi se gujarne chahiye. Bacho me haklane ki dikkat
tab aati hai jab se rasthe dimag me ache tarah aapas me na jude ho. Jyadatar bache is samshya se nikal aata hai
aur unke haklane se chukara mil jata hai. Par umar (age) badhne ke sath haklana (stammering) thik hona mushkil
ho jata hai.

Jaane: Appendix ka ilaj


Haklana kaise thik kare, Haklane se bachne ke Upay

Bolne se pahle relax rahna Bolne se pahle kabhi bhi haklane ke baare me na soche. Apne dimag aur
shareer dono ko ache se relax kare. Sharirik roop se relax hone ke liye Apne baaho aur kandho ko jhatak le.
Bolne se pahle hont (Lips) kuch der tak fadfadaye. Apne dimag ko shant karna bhi bhot Jruri hai. Ghabpraye
bilkul nahi, yeh mat socho ki main haklaane wala hu. Apne ko ye samjhaye ki haklana koi itne badi baat nahi
jisse main rok na pau.
Shishe ke Saamne khada hokar daily 30 minute tak baat kare. Aise jaise ki koi apke saamne khada hai aur

1/3
ap usko kuch bata rahe ho. Ap koi bhi ek topic lekar uspe baat kar sakte hai. Isse apka aatamvishvaas
badhega jisse dhere dhere apko haklana kam hone lagega.
Saans chhati (chest) se lene ki jagah Pet se le. Pet se saans lene se apne nasho me thakan door ho jaygi.
Yeh aur maanshpeshiyo ko shant karti hai jisse Haklana thik hone me madad milti hai.
Jaise ki sab jaante hai ki gana gaate time haklaate nahi hai. Wo isliye hota hai kyonki gaate samay hum
shabdo ko thoda kheechte hai. Jisse aawaz me ek lay aa jaati hai. Aur haklaane kam ho jata hai. Isliye
kaishish kare bolne me thode lay laane ki.
Agar aap bolte smaay kisi ek vishes shabad pe ruk rahe ho to kisi aur aise shabd ka paryog kare iska erth
(meaning) vahi ho.
Kitab ko jor jor se bol ke padhe. Isse apko saans lene ke dikkat dor hogi. Jin logo ko bolte time haklane ke
vajah se saans lene me problem hoti hai, wo door ho jaygi.

Dekhe: Yog se Motapa (Vajan) Pet kam kaise kare

Yoga se haklana thik kaise kare (Baba Ramdev Yog Video)

Haklane ka ilaj, Ayurvedic Gharelu Nukhse Hindi me

Amla (aawla)

Jeebh ka mota hona haklaane ka ek bda karan hai. Aur amla chabane se jeebh patli hoti hai. Ek kacha taza amla le
aur usse apne jeebh ke kuch samay tak rakhe. Fir Amle ko chabaye aur khaaye. Subhah khali pet he amla khaaye
aur ye regular kuch mahin tak kare, yeh ek acha haklane ka ilaj hai.

Dekhe: Kamar dard ka ilaj Yoga se in Hindi

Gaay ka ghe

Gaay ka ghee cow milk se banaya jata hai jo ki kafi rog ke ilaj me kaam aata hai. Iske sath yeh kafi Ayurvedic
dawayi me bhi istemaal kiya jata hai.

Brahmi Oil

Bharmi oil ek upyogi tel hai jo kafi bimariyo ke ilaj ke liye istemaal hota hai. Haklane ke ilaj ke liye bharmi Oil ko
pahle thoda garam akr le. Dhyan rahe Tel jyada garam na ho. Fir tel se halke haatho se sir pe lagaye ya masaj kare.
Aur tel lagane ke baad 1 ghante tak chhod de. Yeh tel hamari dimag ko majboot aur samran shakti badhata hai.

Padhe:

Badam aur kala namak

Badam Haklane ka ilaj me bahut upyogi hai. badan aur kala namak le aur uska mirhsran (pees) bana le. Is mishran
me thoda paani aur chini mila le. Daily is paste ko jheebh se chaate aur 3o din tak aisa karne se haklana kam ho
jayga.

2/3
Shahad aur Namak

Ek chamch shahad aur ek chamch namak ke le. In dono ko ache se mila le. Aur isko daily subah jeebh par lagaye,
apko haklaane me jarur Aaram milega.

3/3

You might also like