You are on page 1of 2

Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya,

Dekha iss beemari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya,


Ehed-e-jawani ro ro kaata, peeri main li aankhen muund,
Yaani raat bohat they jaage subh hui araam kiya,
Naahaq hum majbooron pr yeh tohmat hai mukhtaari ki,
Chahte hain so aap karen hain hum ko abass badnaam kiya,
Meer ke deen-o-mazhab ko ab poochte kya ho us ne to,
Qashqaa kheencha dair main betha kab ka tark islam kiya..
added on September 13th, 2015

Faqiraana aaye sadaa kar chale..


MEER TAQI MEER
Faqiraana aaye sadaa kar chale,
Mian khush raho hum duaa kar chale,
Jo tujh bhi na jeene ko kehte they hum,
So us ehd ko ab wafaa kar chale,
Shifaa apni taqdeer hi mei na thi,
Ke maqduur tak to dawaa kar chale,
Parre aese asbaab paayaan-e-kaar,
Ke na-chaaar yun hi jalaa kar chale,
Woh kya cheez hai aah jiss ke liye,
Har aik cheez se dil uthaa kar chale,
Koii na-umeedana karte nigaah,
So tum hum se muun bhi chupa kar chale,
Bohat aarzuu thi gali ki teri,
So yaan se lahuu mei nahaa kr chale,
Dikhaayi diye yuun ke be-khud kiya,
Hamen aap se bhi judaa kar chale,
Jabeen sajdaa karte hi karti gayi,
Haq-e-bandagi hum adaa kar chale,
Parastish ki yaan tak ke aayi buut tujhe,
Nazar me sabhon ki khudaa kar chale,
Jhadde phuul jis rang gulbun se yuun,
Chaman mei jahaan ke hum aa kar chale,
Na dekha gham-e-dostaan shukr hia,
Hamiin daagh apna dikhaa kar chale,
Gayi umar darband-e-fikr-e-ghazal,
So is fun ko aisaa barra kar chale,
Kahen kya jo puuche koii hum se mir,
Jahan mei tum aaye they kya kar chale..
added on February 14th, 2015

Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai..


MEER TAQI MEER
Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai Meer,
Khaak daal, aag lagaa, naam na le, yaad na kar..
added on August 7th, 2014

Ab kar ke faramosh to nashaad karo ge..


MEER TAQI MEER
Ab kar ke faramosh to nashaad* karo ge,
Per hum jo na hon ge to bohat yaad karo ge..
(nashaad;cheerless)
added on March 22nd, 2014

Aag they ibtidaa-e-ishq mein hum..


MEER TAQI MEER
Aag they ibtidaa-e-ishq mein hum,
Ho gaye khaak intehaa yeh hai..
added on March 20th, 2014

Tujh se milne ko beqarar tha dil..


Woh zeher deta to sab ki nigahon main aa jata..
Bahaar ayi to jese yak-baar..
Musafiron se mohabbat ki baat kar lekin..
Chahiye khud pe yaqeen-e-kamil..
Tanha tanha dukh jhelen ge mehfil mehfil gayen ge..
Chala tha zikr zamane ki bewafayi ka..
Gulon ko sunna zara tum sadayen bheji hain..
Hazar gham jinhe gheren sharab kyun na piyen..
Ghazab hai woh zidi barre ho gaye..
Dil ki takleef kam nahin karte..
Kuchaaa-e-ishq main nikal aya..
Zindagi tu ne lahuu le ke diya kuch bhi nahin..
Na koi vaada na koi yaqeen na koi umeed..
Sar hi ab phorriye nadamat main..

You might also like