You are on page 1of 1

aam hukm-e-sharab karta huu

mohtasib ko kabab karta huu


Tuk to rah ai bina-e-hasti tu
tujh ko kaisa ?harab karta huu
bahas karta huu ho ke abjad-?hva
kis qadar be-hisab karta huu
koi bujhti hai ye bha?ak me abas
tishnagi par itaab karta huu
sar talak ab-e-tegh me huu gharq
ab ta.ii aab aab karta huu
ji me phirta hai 'mir' vo mere
jagta huu ki ?hvab karta huu

arzue hazar rakhte hai


to bhi ham dil ko maar rakhte hai
barq kam-hausla hai ham bhi to
dil ko be-qarar rakhte hai
ghair hi maurid-e-inayat hai
ham bhi to tum se pyaar rakhte hai
na nigah ne payam ne vaada
naam ko ham bhi yaar rakhte hai
ham se ?hush-zamzama kaha yuu to
lab o lahja hazar rakhte hai
choTTe dil ke hai buta mash.hur
bas yahi e'tibar rakhte hai
phir bhi karte hai 'mir' sahab ishq
hai java i?htiyar rakhte hai

You might also like